Showing 0- 15 questions from 15 questions on this page.
Question: 3 rakat aur 4 rakat namaz mai ager shak ho kay hamari 3 rakat hai ya 4 tou kia hukum hai?
Answer: 1.Agar 3 rakaati Namaz hay masalan teesri aur chouthi rakaat main shak ho to Namaz Batil hay.2.Haan agar chaar rakaati namaz ho masalan Zohar,Asar aur Isha aur teesri aur chouthi rakaat main shak hoto wo samjhay ga kay chaar rakaat parhi hain aur Namaz ko Tamaam karay ga aur baad main aik rakaat Namaz e Aihtiyaat kharay hokar ya 2 rakaat baith kar parhay ga.Ref: Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.1152(2),1186(5)
Question: zohar,asar,isha ki tesri aur choth rakat kay shak k baray mai kia hukum hai?
Answer:
Is soorat main wo samjhay ga kay 4 rakaat parhi hain aur Namaz ko tamam karay ga aur baad main 1 rakaat Namaz e Aihtiyat kharay ho kar ya 2 rakaat baith kar parhay ga.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.1186(5)
Question: Salam/mujhe hath dhony,taharat karte waqy aur khas taur par ghusle janabat karte huay bauhat shaq (doubt) hotay hain. main iss masalay main pechlay 14 years say giraftar hoon aur ab main khud bhi bauhat tung hoon aur meri family bhi. Allah, mola kay wastay dua karain aur koi aasan hul batain. shukria
Answer: Choonkay aap kaseeru-sh-Shak hain aur waswasay ki beemari main mubtala hain is liye aap ko shak ki parwa nahi karna chahiye aur apnay aamaal ko durust samajhna chahiye.Ref:Istiftaat A.Sistani I-49.
Question: Be-shohar Aurat say kia muraad hay? kia ye lafz sirf Gher shadi shuda kay lie istamaal hota hay?
Answer: Be-shohar aurat main baywa ya talaaq yaafta ya ghair shadi shoda sab shamil hain.(ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#2364)
Question: agar ak shakhs ko tashahud parhtey waqt shaq ho jae k is ney do rakat parhi hain ya teeen to?????????
Answer:
Chand sorato main agar kisi ko 4 rakati namaz ki rakato ki tadaad k baray main shak ho tu zarori hay keh fauran ghor o fikr karay or agar yaqeen ya gumaan shak k kisi aik taraf hojaay tu osi ko ikhteyaar karay or namaz ko mukammal karay warna shkiyaat e namaz k maslay per amal karay.
Namaz ki rakaat main 9 qisim k shak sahi hain.jin main se aik ye hay k “ dosray sajday main dakhil honay k baad shak karay keh 2 rakatain perhi hain ya 3 rakatain, is sorat main osay u samajh laina chahiay keh 3 rakatain perhi hain or 1 rakat or perhay phir namaz ko mukammal karay or namaz k baad 1 rakat namaz e ehtiyaat kharhay ho ker baja laay.ehtiyaat e wajib ki bina per baith ker 2 rakat namaz e ehtiyaat kafi nah hogi.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masail, Maslah# 1186(1)) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: namaz mein dehan bhtak jana sa agr ye cnfusion h jay k aek rakat parhe h ya 2,to kya krna chahiye?
Answer: Agar fajar ki wajib namaz mai shak ho jae k 1 parhi hai ya 2, to namaz batil hai aur start sai dubara parhni paray gi. albetta is k mazeed masail hai jo aap pouch saktay hain.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1152)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: As Salam-o-Alaikum Agar chothi rakat mae yeh shuk ho ja a k yeh tesri rakat hae ya chothi hae to kya zarori hae.
Answer: Namaz k doran jis waqt bhi kisi ko 3 rakat aur 4 rakat k darmian mai shak ho zaroori hai k ye samajh lai k 4 rakatain parhi hain aur namaz ko tamam karay aur baad mai aik rakat namaz e ehtiyat kharay ho kar ya 2 rakat beth kar parhay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1186)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: mje namaz mei wahaam rahta h mai her cheez buht zada dafa repeat krti hu r namaz b bar bar pahrti hu mje lagta h k ghalat parha h maine ye kuch miss kr dia h maine r is waja se mai buht preshan hu plz koi solution btae is k...
Answer: Zarori hai ke ap apne weham ki parwa na karain masalan ap ko her namaaz ki 2nd rakat main jab ap sajde se sar uthaain to shak hota ho ke main ne 2 sajde se sar uthaya hai ya 1 sajde se to zarori hai ke samjain ke 2 sajde se sar uthaya hai or phir tashahud phar kar baqi namaaz pharain.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 1st , Maslah # 849 , eidition # 1st , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: السلام علیکم اگر نماز کی پہلی یا دوسری رکعت کے سجود میں شک ہو کہ ہہلا سجدہ ہے یا دوسرا لیکن تیسری رکعت کیلئے قیام کرتےہی یاد آجائےکہ دونوں سجدے کئے ہیں تو کیا ایسی صورت میں نماز صحیح ہے؟
Answer:
Agar namazi kharha hote waqt shak kare keh sajdah ya tashahud baja laya hay ya nahi tu zarori hay keh apne shak ki parwah nah kare.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail, edition#42, maslah#1159).
[Updated on 14-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam I really need help urgently plz tell me I am suffering from ocd mghy har waqt ye shak hota hai k mghy nijasat lagi hogi ajkal mghy ye weham hota hai k meri body Sy peshab ki bonden kharij hoti hain jab k mghy yaqeen Nhn hota, or jab main urine kar k English toilet Sy uthti hoon bas usi waqt mghy mehsus hota hai mere jisam Sy kch nikla hai or phr mghy bht dar lagta hai har waqt nahana mumkin Nhn or phr jahan jahan bethi hoon wo sab mghy napak lagta hai isi liye roz blanket dhoti hoon chadaren dhoti hoon but ab thak gai hoon mghy khof hota hai k Allah naraz hojaengy plz help me mghy yaqeen Nhn k wo peshab nikalta hai ya Nhn but hai feel hota hai k jese kch hoa ya shayad nikla
Answer:
Agar aap kaseerush Shak (yani buht ziyada shak karti) hain aur waswasay ki beemari main mubtala hain tu aap ko shak ki parwa nahi karni chahiye aur apnay aamaal ko durust samajhna chahiye.(Ref:Istiftaat A.Sistani I-49).
[Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam plz plz help me, mghy ocd hai em suffering from very hard time mghy har waqt ye weham hota hai k main najis hogai hoon kabhi ye lagta hai k peshab nikla hai jism Sy to main nahati hoon or 4 bar b naha leti hoon lekin is sy ziada nahana mumkin Nhn hai phr jab shak hota hai k toilet seat par Beth k wazu k baad uthty hoe mere body Sy shayad peshab nikla hai kch wazn sa mehsus hota hai jese kch nikla ho shayad ya phr weham ki waja Sy mai muscle squeeze karti hoon I really dun know phr bahir aky jahan jahan bethi hoon har jaga napak lagti hai is dar Sy quran ko Nhn chooti namaz Nhn parhti or shohar mere agar namaz party hain to mghy jae namaz ko dhona ka dil karta hai main bht ziada pareshan hoon har waqt kapry dhona bed sheets dhona bht ziada pareshan hoon kya karon
Answer:
Agar aap kaseerush Shak (yani buht ziyada shak karti) hain aur waswasay ki beemari main mubtala hain tu aap ko shak ki parwa nahi karni chahiye aur apnay aamaal ko durust samajhna chahiye.(Ref:Istiftaat A.Sistani I-49).
[Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam mghy shak hota hai har waqt k pakae hai ya napaki, mghy urine drops nikalny ka shak hota rehta hai is waja Sy jahan bethi hoon wo jaga b napak lagti hai is liye namaz Nhn parhti lagta hai Sara ghar napak hai, phr har aik chez dhoti hoon phr shak hota hai dhoya ya Nhn phr dhoti hoon dar lagta hai k ab mere shohar Jo namaz hai wo bethe hain sofa par ya bed par to wo b napak hogaye hain or ab quran ya namaz parhengy to khak e shifa or jae nimaz tak nijasat puhch jae gi main bht tang agai hoon dil karta hai maar hi doon khd ko plz help me toilet set Sy uthne k baad wazu k baad lagta hai k uthty urine bahi hogai har dafa Nhn naha sakti Allah na naraz hojaen mgh Sy em afraid help me plz
Answer:
Agar aap kaseerush Shak (yani buhat ziyada shak karti) hain aur waswasay ki beemari main mubtala hain tu aap ko shak ki parwa nahi karni chahiye aur apnay aamaal ko durust samajhna chahiye.(Ref:Istiftaat A.Sistani I-49).
[Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam alaikum Molana sahab Maine aapse pehle bhi ye sawal poocha that lekin maazirat chahta hoon aapke Jawab se mujhe itminan haasil nahi hua , apne pichli martaba kaha kisi aalim e deen se ruju karein , to aap bhi to aalim e deen hi hain. Meri aap se iltija hai ki Baraye meharbani aap mujhe thoda tafseel se iska jawab dein taaki mujhe itminan ho jaaye , .....Mera masla ye hai ki Nikah ke baare mein khayal aane se ab khauf aur darr sa mehsoos hota hai ,bohat zyada shak hota hai aur aisa lagta hai nikah sahi hi nahi hoga yaani batil ho jayega ya fir Allah nikah ko qubool nahi karega aur agar nikah kar liya to iska gunah milega . Jab shehwani khayalaat aate hain tab bhi dil mein bohat zyada khauf mehsoos hota hai , isiliye maine socha ki kisi bhi dawa ke zariye jinsi shehwat ko khatam kar diya jaaye warna aage ye cheez bohat zyada pareshan karegi ?
Answer:
Kisi amal ya ibadat k anjam dainay k baad agar shak paida ho keh wo durust tha ya nahi tu os shak ki parwah nahi karni chahiay or anjam shuda amal ya ibadat ko durust qaraar daina chahiay.(Ref: tauzihul masael, maslah#1168).
[Updated on 28-Jan-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mai najasat ki shek ki waja sai namaz nahi Pharta hoon Kia karoon
Answer:
Namaz parhna wajib hai shak ki wajah se us ko tark nahi kia jaa sakta. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39, pg # 121)
Jo shakhs buhat ziyada shak karta ho Us ko chahiay keh wo apne shak aur waswase ki parwah nah kare.(Ref: https://www.sistani.org/urdu/book/26352/4222/)
[Updated on 10-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Jis ko har namaaz me bohut zyada shak hota ho wo kya kre
Answer:
Jo insaan buhat ziyada shak karta ho use ye naseehat hai ke khud ki islaah kare aur is beemari se nijaat pane ke do raste haim:
1. Is baat par tawajjuh kare ke ye halat islaam aur aqal ke nazdeek na-pasandeedah hai Q ke insaan miyana rawi ki halat se kharij ho jata hai aur bager kisi nateeje ke apni insaani salahiyaton ko zaaya karta hai, aur ye kaam hargiz parhezgari nahin hai, islaam me is ki sakht mazammat hai aur ye shaitaan ki pairawi hai, Pas Agar insaan is baat ko samajh raha ho to is beemari se nijaat paane ka dosra marhala ye hoga.
2. Apne nafs par qaboo paane ki poori koshish kare, is ke behkawe me na aaye aur us ko apne par musallat na hone day aur ye yaqeen rakhe ke khuda wand use shak par tawajjuh na karne ke liye sarzanish nahin kare ga, masalan agar shak kare ke badan ke kisi hisse par paani punhcha ya nahin aur apne shak ki parwah na kare aur ye soche ke taharat haasil ho gayei hai, aur jitna bhi shukook se be tawajjuhi kare, khayal aur waswasa kamzor hota jaye ga yahan tak ke shaitaan is se mayoos ho jaye ga, taharat aur nijaasat ke masale me aik miyana rawi is ke andar paida ho jaye gi, yaqeen rakhe ke agar is mukhalifat ke silsile ko jaari rakhe to yaqeenan shaitaan par kamiyabi haasil hogi aur Allah ki madad is ke shaamil e hal hogi, shaitaan ka fireb kamzor ho jaye ga, khuda wand quran me faramata hai: ke (beshak shaitaan ka makr o fireb kamzor hai).
Agar Kaseerul shak wo shaks hay jo bhut ziyada shak kare ,namaz ke ajza me se kise jus ke anjaam dene ke bare me shak kare tu ise yu samagna chaaie ke is jus ko anjaam dedia hay .
(Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/02843/ ), tauzihul masail aqa sistani pg ,191,masla no.1171,1172)
[Updated on 02-Feb-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]