Showing 0- 30 questions from 30 questions on this page.
Question: Salamun aleikum ! kya kisi hindu ke hath ka khaya ya piya ja sakta hai. Jabki mana karne par uski dil shikani ho?Hamare atraf main muslims bahot kam hain.
Answer:
Kafir(maslan hindu) najis hain, or kafir ka tamaam jism yahaan tak
k os k baal,nakhun or rutubatain(wetness)bhi najis hain.is liay is
say perhaiz karain.or ye bhi yaad rahay k paak cheez agar najis
cheez say milay(touch) jab k dono main say koe bhi cheez is qadar
geeli(wet) ho k aik ki rutubat dosri ko pochan jaay tu paak cheez bhi
najis hojati hay
Aap dil shikni nah karain balkeh tauriyah (aisi baat k jo jhoot bhi nah ho or is baat say aap ka iradah khuch or ho or sunnay wala khuch or samjhay) say kaam lain.maslan ye keh dain k bhook nahi hay ya dil nahi chahraha or os ko ehsaas bhi na honay dain k aap kun mana ker rahay han.laikin agar baat taqayha kernay tak pohanch jaay tu or baat hay. (ref: Ayat ullah Khoie(d.b).Tauzee hul masail,maslah#107,108,126,2684, & Pg #304).
Question: salamunaliakunna,my question is can we employ chritian maid at home.as was told it is not allowed if they wash our clothes we have re wash by muslim maid.pls reply me soon.
Answer:
Yes, you can give job to Christian maid at your home.it is lawful. As well as Christians are pure(paak).so there is no problem in to wash clothes by Christians.but be careful that she must wash your clothes by Islamic laws of purity. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 103). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Sir, i want to know that we can eat food (khana) with Cristen and Jesus.
Answer: Ahl e kitaab(yahodi, esa’e or majosi) paak hein aur un k sath khana kha sakhtay hein. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 103)
Question: Salam un Alaikum molana sahib main ap se pochna chahta ho k jo cake hamein christian chrismis (25 decemeber) pe apni khushi se daitey hai kya wo hamarey liye khana jaiz hai ya nahi? please Sistani sb k fatwa k mutabiq jawab de kr mashkoor farmaen.
Answer: Yahodi, Esae or majosi paak shumaar kiay gay hain is liay musalman onka khana kha sakta hay , chahay onho ne khane ko gila haath lagaya ho, is shart k saath k hamain is baat ka yaqeen or itmenaan ho k is khane main sharab or is jaisi deegar cheezain shamil nahi jin ka khana haram hay. albatta ghost or cherbi(oil, ghee) or in se bani hoe chezo k makhsoos ehkaam hain. (Ref:A.sistani(d.b),jaded fiqhi masa’il, masalah #152). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kya muslim aur hindu eik glass mein pani p skte hain???
Answer: Kafir(maslan hindu) najis hain, or kafir ka tamaam jism yahaan tak k os k baal,nakhun or rutubatain(wetness)bhi najis hain.is liay is say perhaiz karain.or ye bhi yaad rahay k paak cheez agar najis cheez say milay(touch) jab k dono main say koe bhi cheez is qadar geeli(wet) ho k aik ki rutubat dosri ko pochan jaay tu paak cheez bhi najis hojati hay. (ref: Ayat ullah Khoie(d.b).Tauzee hul masail,maslah#107,108,126,2684, & Pg #304). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kafar hona ki kya nashanian hain
Answer: Her wo shaks jo Allah k wujood ya os ki wahdaniyat ka iqraar na karta hut u wo kafir or najis hay.,aur isi terah ghaali (jo imamo me say kisi ko Khuda kahain ya ye kahain k khuda, imam me holool kar gaya hay) aur kharji or naasbi ( jo imamo sae doshmani ka izhaar karain) bhi najis hain.Jo shaks 12 imamo main se kisi aik ko bhi dushmani ki bina per gali day, wo najis hay.(Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 103,107)
Question: marai ofc mai aik hindu laraka hai us nai subha kitchen ma pani ki bottle bhari ur table pa rakh di ur woh bottle gili thi us ka bad table sa muslim larkai nai bottle uthai jis sa us ka hath gila hogaya tha ur us nai woh gila hath marai shirt pa lagay to mara shirt pak hai ya najis .namaz ho sakti hai ya nhai
Answer:
Kafir(maslan hindu) najis hain, or kafir ka tamaam jism yahaan tak k os k baal,nakhun or rutubatain(wetness)bhi najis hain (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 104)
Agar koi pak cheez kisi najis cheez se lag jay aur donoo ya un me se aik is qadar tar ho k aik ki tari dosray tak pounch jay to pak cheez najis ho jay gi laikin agar waaste mutaadid ho jay to najis nahi ho gi . maslan agar daaya haat pishaab se najis ho aur ya haat ek new ratoobat k saath baaye haat ko lake to baaya haat najis ho jaay ga ap agar baaya haat khush hone k baad maslan tar lebaas se lge to wo lebaas bhi najis ho jaay gaa laikin agar ap wo lebaas kise doseri tar chees ko lak jaay to wo chees najis nahe hoge haa agar tari itni kam ho k dosery chees ko na lage to pak chees najis nahe ho ge . (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 119 ). ( Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: MAEN NY AIK LARKI SAY SHADI KY HY,,OS NY KALMA BHI YAAD KIA,QURAN BHI KUCH PARHA,LAKIN LARKI MUKAMAL TOOR PER MUSALMAN NHN HOI..MERY NIKAH KY WAQT OS NY KAHA THA KEH WO MUSALMAN HO GAI HY,MAGAR USA JA KER WO BADAL GAI,MAGAR MJY UMEED HY MAEN USY SHIA MUSLIM KER LOON GA MUKAMAL.KIA OS LARKI SY MERI NIKAH AB BAQI HY??
Answer:
Agr koi gher_muslim orat shahadaten (yane kise bhi zaban me Allah or Rasool ki gawahi dede) to jb tk is khatoon se islam ki mukhalifat men koi baat ya koi kaam anjam na paye is per islam k ahkam nafiz hongen(yani use musalman samjha jayega).
(Ref : Jadeed Fiqhi Masaail, Masla # 452 , pg # 249, eidition 5)
Note : (Is bina pr agr us orat ne nikah se phele shadatain(yane kise bhi zaban me Allah or Rasool ki gawahi dede) to wo orat musalman hai or musalman orat se nikah karna jaiz hai. lekin agr usne nikah se shahadaten(kalma) (yane kise bhi zaban me Allah or Rasool ki gawahi) na di ho to chonke wo nikah k wqt musalman k hukm men nahi ayegi lehaza wo us wqt kafir shumar hogi or kafir se nikah krna musalman mrd k liye jaaiz nahi hai.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition,before maslah #2328 ).(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: hm shio ko log kaafir q kehty hen?
Answer:
Kafir wo shaks hota hay jo Allah k wujood ya us ki waahdaniyat ka iqraar nah karta ho.Isi terah Ghali(yani wo loog jo aimma main se kisi ko khuda kahain ya kahain k khuda, imam main holool ker gaya hay) or khaarji o naasbi(wo loog jo aimma a.s se bair o bughz k aazhaar karain) bhi kafir or najis hain.isi terah wo shaks jo kisi nabi ki nabowat ya zaroriyaat e deen masalan namaz, roza main se kisi aik ka aisa inkaar karay jo juzwi taur per hi sahi, rasool saw ki takzeeb ka sabab banay kafir or najis hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #103 )
Note: Hum ne oper kafir ki mukammal wazahat ker di hay or Al-humdulillah shia hazraat kisi qism k kufr or shirk ka irtekaab nahi kertay.balkeh sab se behtareen muslim or momin hain.or balkeh tamaam muslim firqo k muqaablay sab se behtareen aqeeda rakhtay hain Or is k baad bhi agar shai ko koe shaks kafir kahay tu hum yehi kahain gay k kisi k faqat kehnay se koe kafir nahi ho jata, agar sachay ho tu sabot paish karo. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Agr ek musalman islam chor kr koi r mazhab apna lay to kya islam main us ki saza mout hai ya usy kch nai kaha jay....
Answer: Saza ka taayun karna Islami Hokomat main Mujtahid ka kaam hai (ayse insane ko murtad e fitri kehte hen or agr islami hukoomat qaaim hoto to ayse shakhs ki saza qatal hai hatta k uski toba bhi qabool nahi ki jaye gi).(Ref ; Sistani.org , topic # qisaas , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: agr kici non Muslim country me musalman foat ho jay (female or male)to kasy pata chaly ga ky ya Muslim tha.(admi ki laash pehchan ky qabil na ho)
Answer:
Note:is website par fiqahe jafria k mutabiq jawabat diye jate hain.
Agar kafir mulk mai mayyat milay aur ehtemaal bhi ho k marnay wala musalmaan hai tu ehtiyaat e lazim ki bina par zaroi hai k usay muslmaan smjha jaey.(Ref : Minhajus Salaheen Ayatullah Sistani d.b. Part #1, masla#302). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: salam janab e aali mera sawal ye hai k..agar baraf ki silli yani chote ye bade tukde jo k mahe ramazan me masjid me pani ko thanda karne k lye laya jata hai agar koi kafir usko choole aor usko pak kar lya jaye to kya wo paak ho jayega?zahir hai k baraf jama hua hota hai ab hame nehi maloom k najasat uske andar sarayat karti hai nehi,lehaza baraye mehrbani jald se jald masle se aagah farmayen..take logon ko najasat se roka ja sake. wassalam
Answer: Agar baraf sakhti se jami hoe ho or aap ne us ko doosre tokrhoon se alag hata ker paak ker liya ho to is surat men baraf paak ho jayegi or sarayat is surat main mumkin nahi hay, albtta agar baraf kachi jami hoe ho or kafir k jism se takrane k baad us k oper wale hisse ka pani pigal ker baraf k andar jane ka imkaan mojood ho to sirf oper wala hissa hata deenge or agar is baat ka imkaan ho oper wali baraf pigal ker neeche ja chuki hogi to is surat men zahir hai k is paak kerna bhi mumkin nahi to ye maya(liquid) cheezon men shumaar ho jaye ga Q k qanoon ye hai agar kisi cheez ki surat ye ho k agar us k oper se kuch miqdaar nikaali jaay to uski jaga khali nah rahe to jese hi wo zarra barabr bhi najis hoga sara najis hojaye ga lekin agr uski surat aysi ho k agr us ki oper se kuch miqdar nikali jaye to uski jaga khali rahe to agarche kuch der baad wo jaga pur hi Q nah hojaye to sirf wohi hissa najis hoga jise nijasat lagi hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #123). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kia hum christen k hath ka paka hua khana kha skty hain?
Answer: Aqa sistani k nazeed yahoodi, christen, majosi, pak . in k haath ki ghosh or cherbi se bani hue cheezo k ilawa dosere halal cheezen khana jaiz.(Ref : Jadeed faqhi masail , masla # 152, pg # 119, eidition 5) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Asslam.o.Alaikum... Mera sawal ye hai k kia Indian vegetarian restaurant main Ja kar un k bartan use karna jais hai ya na jaiz....aur agar aisa ho gaya ho k hm indian restaurant k bartan use kar lain to phir kia kiya jay... Note : Mera question "Indian vegetarian resturant" k bare main hai wahan sb vegetarian tha... Please reply... Allah hafiz
Answer: Wssalam o alykum, ager ap ko is baat ka yaqeen o itminaan ho ke kisi kafir
Question: Kya hindu bhi aik khuda ko manty hyn? Aor agr koi muslman hinduo ki mehfil me kahy k jis khuda ki tm ibadat krty ho me b usi ki ibadat krta hn to kya vo muslman islam k daira se bhhr hojy ga?? Aor kya me bahsiayat e muslam usko kafir keh skta hn ya mera usko kafir kehna jaiz nahi???
Answer: Ager wo Muslim Islaam ke sahi aqaid per imaan rakhta ho or un ka apne amal ke zarye izhaar karta ho jese namaaz pharta ho, roza rakhta ho, Allah o Rasool se mohabbat or In ke dushmano se nafrat karta ho to wo Musalmaan hai (ho sakta hai ke us ne jahalat ye kisi or etbaar se kaha ho) or ap ka us ko kafir kehna jaiz nahi hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 01) , (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 1 , Maslah # 29 , eidition #1st).
Question: غیر مسلم کو چھونے کے ہوالے سے آغا صاصب کا کیا فتوہ ہے ۔بالخصوص مسیحی برادری کو چھونے کے بارے میں کیا احکام ہے
Answer: Ghair kitabi Kafir ehtiyaat e lazim ki bina per najis hay or kitabi kaafi(yani essae, yahodi or majosi ) paak hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),minhajus saliheen, part#1, 1439hijri, maslah #408). Update on dated 23-06-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). Update on dated 23-04-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Hindi ka pasina paak hai yaa naapka
Answer:
Hindu kaafir hain lehaaza us ka paseena ehtiyaat e lazim ki bina najis hay.(Ref: Minhajus saliheen, part#1, ayatullah seestani, maslah#408)
[Updated on 25-Dec-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kafir dost mobile use karta hai mera toh uska pasina mere mobile pai aajata hai toh kya woh napaak hai aur uska solution kya hai
Answer:
Ghair kitabi Kafir ehtiyaat e lazim ki bina per najis hay or kitabi kaafir (yani essae, yahodi or majoosi) paak hain. Agar aap k mobile ko Ghair kitabi kafir ne use kiya hai aur uske hath me pasina tha to mobile najis ho gaya hai. aur uska solution yeh hai keh ek dafa uske zahir ko dho lain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),minhajus saliheen, part#1, 1439hijri, maslah #408).
[Updated on 03-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Muslim ladki jiske walidain 5 wakt namaaz padhte hai or woh ladki ko hindu ladke se pyaar hua hai or us ladke se shadi karna chati hai or uske mazhab mai dakhil ho na chahti hai Islam or hadees isper kya honga
Answer:
woh musalman bacha , jo san e tameez me zahiran musalman ho uske liay islami aaein par amal karne ke siwa koi chara nai, uske liay islam ka inkar karna gumrahi ka sabab hai, aur us par murtad ka hukum lagaya jayega (Saza e maut). (Ref : Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Web address : https://www.sistani.org/urdu/qa/01763/page/2/ )
[Updated on 22-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamunalykum.. Kya Majburey me Hindhu Ke Hatha se Bhaesh ke anchal se nikala hua dodha pak hai? please jald se ia masle se agah farmae...
Answer:
Ghair kitabi Kafir ehtiyaat e lazim ki bina per najis hay or kitabi kaafir (yani essae, yahodi or majoosi) paak hain. agar doodh me kisi tarah se us kafir ka haath lag jaye ya touch ho jaye to jis bartan me doodh hoga woh pura najis ho jayega. (Mafhoom)
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),minhajus saliheen, part#1, 1439hijri, maslah #408, Tauzeeh Ul Masail, Maslah # 119 ).
[Updated on 06-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mai ek hindu ladki hu or maine apna religion chordh diyaa kyaa mujhe allah qubool karenge jo kiyaa ek ldke ke liye kiyaa ab allah ko.salam krti hu ........kyaa allah mujhe qubool.karenge
Answer:
agar koi kafir shahadatin (اشÛد ان لا Ø§Ù„Û Ø§Ù„Ø§ Ø§Ù„Ù„Û Ùˆ اشھد ان Ù…Øمدا رسول Ø§Ù„Ù„Û ) parh le yani kisi bhi zaban men Allah ki wahdaniyat aur khatam un nabiyyin hazrat Muhammad ibn Abdullah S.A.W.W ki nabuwwat ki gawahi dede to musalman ho jata hai aur agar cheh, woh musalman hone se pehle najis kay hukum men tha lekin musalman ho jane ke baad us ka badan , thook , naak ka pani aur pasina paak ho jata hai.
(Ref : Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh ul masail, Masla no 205).
Note: Allah ke liay khuloos se islam qabool karna chaye.
[Updated on 09-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr kisi hindu ka paseena lag jae hath ya kahi pr bi tw ghusal krna wajib hain ya nhi?
Answer:
1: Hindu najis hai or uske baal, nakhun or rutubatain(paseena e.t.c) bhi ehtiiyaat e wajib ki bina per najis hain. aur uska gheela hath ya jism ka koe bhi gheela hissa kisi cheez ko lag jaye to ehtiyaat e wajib ki bina per najis ho jaey gi. lekin is se gusl wajib nahin hoga balke sirf us jaga pe pani baha diya jaye to wo pak ho jaye gi. (Ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 41, Mafhoom e Maslah # 104).
2: Agar koi cheez peshab ke ilawa kisi najasat se najis ho jaye to agar najasat door karne ke baad aik dafa qaleel pani us par dala jaye aur usse juda ho jaye to woh cheez paak ho jati hai albattah libas aur is se milti julti cheezon ko nichorna zaroori hai takeh in ka dhowan nikal jaye.(Ref: Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh Ul Masail, Maslaa no # 156).
[Updated on 27-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya bara imam ko na manany wala kafir ha ya nhe
Answer:
Jee nahin, wo kafir nahin hai. Kafir wo shaks hota hay jo Allah k wujood ya us ki waahdaniyat ka iqraar nah karta ho. isi terah wo shaks jo kisi nabi ki nabowat ya zaroriyaat e deen masalan namaz, roza main se kisi aik ka aisa inkaar karay jo juzwi taur per hi sahi, rasool saw ki takzeeb ka sabab banay to wo kafir hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail 39th edition, maslah #103)
[Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Plz moje answer kr den , agr weham ho k kufiriya alfaz bolen hain to kia banda kafir ho jata hai ????? Liken pata ho k ni boly ... Liken ase lagy jese mu say nikal gy hain shaid etc
Answer:
Jee nahin, i tarh kafir nahin hai. Kafir wo shaks hota hay jo Allah k wujood ya us ki waahdaniyat ka iqraar nah karta ho. isi terah wo shaks jo kisi nabi ki nabowat ya zaroriyaat e deen masalan namaz, roza main se kisi aik ka aisa inkaar karay jo juzwi taur per hi sahi, rasool saw ki takzeeb ka sabab banay to wo kafir hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail 41st edition, maslah #103)
[Updated on 26-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: kia ahltashe larki ka nikah cristine larky say hoskta ha kia?
Answer:
Musalmaan aurat, ka kaafir mard sai nikah karna jaiz nahe hai
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2362 )
[Updated on 26-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: سلام علیکم قبلہ سوال ہی ہے کہ قادیایوں کے ساتھ معملات کافر ہندوں والے ہونگے یا مشرکوں والے یعنی اہل کتاب والے پاک و ناپاک، متعہ و شادی مقلد آغا سیستانی
Answer:
1: Wo shakhs jo kisi nabi ki nabowat ya zaroriyaat e deen masalan namaz, roza main se kisi aik ka aisa inkaar karay jo juzwi taur per hi sahi, Rasool(s.a.w.w) ki takzeeb ka sabab banay kafir hai or Ehtiyat e wajib ki bina par najis hai. Choonke Qadiyani nabi(s.a.w.w) ki nabowat ka inkar karte hain is liye yeh kafir hain or Ehtiyat e wajib ki bina par najis bhi hain).
2: Muslaman aurat kafir mard se nikah nahin kar sakti chahe nikah e daimi ho ghair daimi (muta) ho, kafir ehl e kitab ho ya na ho. Muslaman mard bhi ehl e kitab ke alawa kafir aurton sai nikah e daimi ya nikah e ghair daimi (muta) nahin kar sakta. lekin yahoodi aur esaei aurton se muta karne men koi haraj nahin hai aur ehtiyaat e lazim ki bina par un se daaimi nikah nah kia jaey or majoosi aurat se ehtiyaat e wajib ki bina par nikah hattah keh muta bhi nahin karna chahiay.
(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #44, Maslah #103,2361).
[Updated on 07-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam.mujhay malom karna hay k hindu aurat gaher main kam kaj kar sakti hay (saf safai)? Bachon ki take care kar sakti hay.oskay saat khaya piya ja sakta hay.lean den kiya ja sakta hay? Jazakallha
Answer:
1: Ahle kitab (yahoodi, christens, majoosi) ke alawa kafir (maslan hindu) ehtiyat e wajib ki bina par najis hain, aur kafir (hindu) ka tamaam badan yahan tak ke us ke baal, nakhun or rutubatain (wetness) bhi ehtiyat e lazim ki bina par najis hain. is liye is se parhaiz karain. aur ye bhi yaad rahay ke paak cheez agar najis cheez se mile (touch) jab ke dono ya dono me se koi bhi aik cheez is qadar geeli(wet) ho ke aik ki gilahat (wetness) dusri tak puhunch jaaye to paak cheez bhi najis ho jati hai.
2: Har wo kaam ke jis me aik paak cheez gilahat (wetness) ke sath kafir (hindu) ke badan ke kisi bhi hisse se mass (touch) ho rahi ho, chahe gilahat (wetness) paak cheez par maujood ho ya kafir ke badan par ya dono par maujood ho, aisa kaam nahin karwana chahiye Q ke is surat me wo pak cheez bhi najis ho jaye gi. aur ye baar baar maslah paish aaye ga is liye hindu se aisa koi kaam nahin karwana chahiye ke jis aik paak cheez najis hoti rahe aur phir baar baar us ko paak karna parhe.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #44 maslah #103,104,119).
[Updated on 02-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamu alaikum wa rahmatullahi wa barakatu, mera yeh sawal tha ke jahilya ke time ki bhi namaz padni hogi ya fir sirf imaan lane ke baad wali
Answer:
Kaafir asli yani jo shuru se hi kaafir raha ho aur baad me musalman ho gaya ho to jo namazen us ne haalat e kufr me nahin parhi theen, un ki qaza nahin hai. lekin jo namazen musalman hone ke baad kisi wajah se choot gayi hon un ki qaza karni hogi. aur agar musalman hone ke baad koi namaz nahin chooti
to phir koi qaza nahin.
Khatoon ke liye khas taur par ye maslah hai ke musalman hone ke baad bhi jo namazen Haiz aur nifas ki halat me nahin parhi un ki bhi qaza nahin hai.
(Ref: Tauzeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), Part #1, maslah #1829).
[Updated on 05-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Konsay kufar Kay Sath dosti mamnu hai
Answer:
Kisi bhi qisam ka kafir ho agar woh apne qaul ya fail (amal) ke zariye islam ya muslimeen se dushmani ka izhaar nah karta ho to us se dosti o mohabbat ke taqazay mein ahsaan aur neki ke taamul rakhnay mein koi haraj nahin.
Farmaan e Subhanaho w taala hai:لا یَنھاکم اللہ عن الذین لم یقاتلوکم فی الدین ولم یخرجوکم مِن دیارکم اَن تَبرّوھم و تقسِطوا الیھم اِنّ اللہ یحّب المقسِطین َ.
(Allah tumhe is baat se rokta nahin hai ke tum un logon se jinhon ne tum se deen ke liye laraei nahin ki aur nah hi tumhe tumahray watan se nikaal bahar kya, ke tum un se neki aur aitdaal se paish aao ke be shak Allah aitdaal rakhnay walon ko pasand karta hai).
(Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/02885/ ).
[Updated on 03-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: A-o-A !! mera sawal ye hai k ek qadyani larki ki shadi qadyani larkay sy hui haaii lkn ab wo larki islam qabool kr k musalman larky sy shadi krna chahti haii .. ab is mn kyaa larki ho phle talaq leni paray giii phr wo musalman larky sy shadi kre gi yaa koi kafara wgra ada krna hogaa .. larki kis trha sy musalman larky sy shadi kr skti haaii .. plz renumai farmaen
Answer:
Qadiyaniyon ke silsilay me do nazariye paye jate hain, ya to wo musalman hain ya nahin hain.
1: Agar qadiyani, nabi(s.a.w.w) ke khatam ul ambiya hone ka inkar nahin karte ( yani wo allah ko maante hay or allah ki wahdaaniyat ko maante hain or rasool allah ko maante hain or rasool allah ko aakheri nabi maante hain or zaroriyaat deen maslan namaz roze me se kise aik ka aisa inkaal bhe na karte ho ke jo rasool allah ki jhotlaane ka sabab bane ) to wo musalam hain, aur dono (yani qadiyani larka aur ye larki) apne nikah par baaqi hain. aur larki ko kisi doosre muslaman mard se nikah karne ke liye pehlay shohar (qadiyani larke) se talaq lena zaroori hai, (albatta talaq shohar (qadiyani) ki marzi par mauqoof hai ke chahe to apni biwi ko talaq day chahe to nah day) aur talaq ki iddat ke guzarne ke baad doosre musalam larke se nikah kar sakti hai.
2: Agar qadiyani, nabi(s.a.w.w) ke khatam ul ambiya hone ka inkar karte hain to wo kaafir hain or Ehtiyat e wajib ki bina par najis bhi hain.
Is soorat me sharaei maslah ye hai ke agar kisi ghair muslim mard ki biwi musalman ho jaye, to agar biwi ka islam qubool karna is (ghair muslim shohar) se hambistari hone se pehlay tha to is ka nikah baatil hai aur doosre musalam larke se nikah kar sakti hai. lekin agar hambistari hone ke baad musalman huei thi to ehtiyat e wajib yeh hai ke larki iddat guzare, ab agar qadiyani shohar bhi iddat ke dinon mein islam qubool kar lay, to agar wo dono zindagi guzarne ka iradah rakhte hon to dobarah nikah parhna zaroori hai, aur agar woh alehadgi ka iradah rakhte hon, to Talaq dena zaroori hai. aur talaq ki iddat ke guzarne ke baad doosre musalam larke se nikah kar sakti hai.
Aur agar iddat ke dauraan qadiyani shohar ne nah dobara nikah kiya aur nah talaq di aur iddat khatam ho gayei to nikah bhi khatam ho jaye ga. aur larki doosre musalam larke se nikah kar sakti hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail Jaame(farsi), Ayatullah Sistani(d.b), part #1, maslah #125. + part #4, maslah #151).
[Updated on 26-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]