Showing 0- 50 questions from 98 questions on this page.
Question: SALAAM, PESHAB KARNE KE BAD AGAR PANI KHARIJ HO TO KIA YEH NAJIS HO GA.
Answer:
Salam un Alaikum,
Agar yaqeen ho keh yeh ratoobat peshab hee hay to phir najis hogi. Shak kee sorat mein agar peshab key baad istabra kiya tha to wo ratoobat paak shumar hogi, laikin agar istabra nahi kiya tha to phir najis shumar hogi. Aurat key liye pehsab key baad istabra nahi hay lehaza agar koi ratoobat kharij ho aur shak ho keh paak hay ya nahi to wo paak mani jaye gee.
Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Seestani (Topic of Istabra Page No.18)
Question: Peshaab karnay kay baad agar Maqam-e-Peshab say agar koi ratoobat kharij ho to us kay baray main kiya hukum hay ?
Answer:
Agar yaqeen ho keh yeh ratoobat peshab hee hay to phir najis hogi. Shak kee sorat mein agar peshab key baad istabra kiya tha to wo ratoobat paak shumar hogi, laikin agar istabra nahi kiya tha to phir najis shumar hogi. Aurat key liye pehsab key baad istabra nahi hay lehaza agar koi ratoobat kharij ho aur shak ho keh paak hay ya nahi to wo paak mani jaye gee.
Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Seestani (Topic of Istabra Page No.18)
Khuda Hafiz
Question: salam ..mera sawal yeh hai key kia ager peshab kerny key bad hum istanja kery aur us ke bad peshab ke drops niklee tu kia woh pak hai ya najis ?kia aise halat main namaz sahi hai ?
Answer:
Agar koi shakhs pehsab kay baad Istibraa karay aur us kay baad Rutoobat Kharij ho jis kay baray
main usay shak ho kay peshab hay ya koi aur paak rutoobat to wo rutoobat paak samjhi jaey
ge,Albatta agar Yaqeen ho kay peshab hay to wo Najis hay.Ref: Tauzeehul Masail A.Sistani Masala
No.70 Pg.25.
Question: salam sir mujhay aksar katry girnay k mehsoos hoota hai ..mi istabra bhe karta hon ...kya voo pakk hai ..namazz sahi hai kya meri
Answer: Istabra k baad agar qatray aain or ye yaqeen ho k ye katry paishaab k ya mani hain to voo najis hain.or agar shak ho k ye katray paishaab k hain ya nahi to paak hain, mazeed ye k mard k paishaab ki naali say paishaab k baad aik ratobat wazi bhi nikalti hay jo k paak hay,agar is main paishaab shamil nah ho to.(Ref:Seestani’s tauzee hul masail maslah #70).
Question: Istibra ka jo tareeqa tauzeeh me diya hua hai, kia zarori hai k wohi tareeqa istemaal kiya jaye? Ya phir kisi tareeqay sey khud ko yaqeen a jaye k peshaab nalli me baqi nahi rahi hai tou jafi hoga??
Answer: Istebra aik mustahab amal he jo mard hazraat peshab karnay k bad is liay anjam datay hein takeh itminan ho jay k ab peshab nali me baqi nahi raha he. Is k bohat se tareeqay hein.jis me se aik tauzeeh ul masa,il me likha he.layhaza agar aap ko kisi bhi tariqay se itminaan hojaay k ab paishab nali main baqi nahi raha hay chahay bohot ziada waqt guzarne k zarye hi itminaan ho jay tub hi kafi hay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 69) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: janab main taharat ka sahi tariqa janna chahta ho
Answer:
Peshab ka makhraj pani k alawa kisi aur cheez se pak nahi hota aur osay aik martaba dhona kafi he.al’battah ehtiyaat e mustahab he k 2 martabah dohain aur behter ye he k 3 martabah dohain. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 62)
2)agar maqad(maqam e pakhana) ko pani se dohaya jay to zurari he k pakhana ka koe zarrah bhi baqi na rahay al’battah agar rang ya boo baaqi reh jay to koe haraj nahi he. Aur agar pehli baar hi aisay hi dhul jay k pakhana k zarraat baqi na rahain tu doubara dhona laazim nahi he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 62 , 63)
(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Asalamoalikom, Alhamduliah main 5 waqat ki namaz adaa karta hoon but mara sawal b peshab kay qatroon say related hay, Alhamdulilah main theeek aur healthy insaan hoon, but pata nai mujeh ko peshab kay baad kafee time lag jata hay main tissue use karta hoon aur kafee dair taak bhata rehta hoon tissue ko check karta hoon k koi qaatra baqi to nai rehgia pher mian istanga karta hoon plz guide me marey tharaan k bhoot say loog hay jo bilaaa wajja kay whaam mian hain.Jazaak Allah
Answer:
1) agar paishaab kernay k kaafi waqt guzarnay ki wajah say itminaan ho k paishaab naali(penis) main baaqi nahi raha or is doraan jism say koe rutubat kharij ho or os k baaray main shak ho k ye paishab hay k koe or rutubat tu wo paak kehlaay gi.agar aap ko yaqeen ho k ye paishab hay tu aap ko jism or badan ko paak kerna wajib hoga.aap paishaab k baad istibra karain.istibra aik mustahab amal hay jo merd is liay kertay hain k itminaan ho jaay k paishaab ab naali main baaqi nahi raha.or istibra k baad jo bhi mashkook rutubat niklay wo paak kehlaay gi or wuzu bhi baaqi rahay ga.mazeed ye k paishaab k baad kabhi kabhi aik rutubat bhi kharij hoti hay jis ko wadee kaha jaata hay jo k paak hay or is k nikalnay say wuzu bhi baaqi reta hay .(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#69,70,72).
2) Istebra aik mustahab amal hay jo merd hazraat paishaab k baad is wajah say anjaam daitay hain taa’keh ye itminaan ho jaay k pishaab ki naali may peshaab baaki nahi raha. Is ka tareeqa ye hay k peshaab say farigh honay k baad ultay haath(left hand) ki darmiyaani ungli (middle finger) ha us ko pakhanay k maqam say peshab ki naali ki jerh tak soontain(wipe) aur is k baad angothay ko peshaab ki naali k oper or aur angutay k saath wali ungli ko peshaab ki naali k neechay rakhain or daba kar khatna k maqam tak le aaen phir 3 dafa jatkein. (ref : tauzeeh ul masail ayat ullaha sistani d.b masla no 69) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Assalaamm alaikum va rahmatullilah wabarkatuhu...mera sawaal yeh hai k jab surat(urine) karke aane k baad bhi ek khatra girjata hai to usse taharat toot jati hai ya nahi. allah hafiz
Answer:
1) Agar koi shakhs pehsab kay baad Istibraa karay aur us kay baad Rutoobat Kharij ho jis k baray main usay shak ho kay peshab hay ya koi aur paak rutoobat to wo rutoobat paak samjhi jaey ge, Albatta agar Yaqeen ho kay peshab hay to wo Najis hay.(Ref: Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.70 Pg.25).
2)istibra ka tareeqa : Istebra aik mustahab amal hay jo merd hazraat paishaab k baad is wajah say anjaam daitay hain taa’keh ye itminaan ho jaay k pishaab ki naali may peshaab baaki nahi raha. Is ka tareeqa ye hay k peshaab say farigh honay k baad ultay haath(left hand) ki darmiyaani ungli (middle finger) ha us ko pakhanay k maqam say peshab ki naali ki jerh tak soontain(wipe) aur is k baad angothay ko peshaab ki naali k oper or aur angutay k saath wali ungli ko peshaab ki naali k neechay rakhain or daba kar khatna k maqam tak le aaen phir 3 dafa jatkein. (ref : tauzeeh ul masail ayat ullaha sistani d.b masla no 69) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: agar gusal ka baad be liqued kharaj hu to kiya wazoo toot jata hian.
Answer: Mani kharij honey ke bad insane ke lie peshb karna musthib he.aur agar peshab na karey aur ghusl ke bad is ke peshab ki nali se ratoobat (liquid) kharij ho jis ke baray me na janta ho ke mani he ya koi aur ratoobat to vo ratoobat mani ka hakum rakhti he.(ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 347)
Question: salam o alaikum, sir mera sawal yeh hai k doran washroom meray kuch katray nikal jatay hai is soorat mai har namaz say pehlay nahana zarori hai ya mai aisay hi namaz parh sakta hu
Answer: Ans : vo ratubat (pani) jo baz auqat peshab ke bad niklti he aur jise wadi kaha jata he, agar peshab is se mila hua na ho to pak he. (ref tauzeeh ul masail ayat ullaha sistani d.b masla no 70)
Question: istanja means peshab karne ke baad ka aamaal tozi mei jo likha hai buhaat garhi urdu mei hai please aasaan urdu mei ye aamaal bataeen male and female dono ke leye thanks
Answer:
Ans :istanja alag amal ha shayad aap jo amal pounchna chah rehain hein woh istebra hain. Aur ye amal male kay lia ha. istebra islam ma mustahib amal ha. Istbra karnay kay bad ya itmanan ho jata ha ka kay pishab ki nali ma peshab baki nahin raha. Is ka tareeqa ya ha kay peshab say farig honay kay bad bayen(left) hath ki jo sab sa bari ungli ha us ko pakhana ke maqam ke end per rakh kar dabain aur uper testes tak ungli laein. ye amal 3 dafa karain phir usi bayen(left) hath ke anguta (thumb) ko peshab ki nali ke upper rakhain aur anguta ke bad wali ungli ko peshab ki nali ke necha rakhein phir dono (ungli aur anguta) ko daba kar khatna ke maqam tak le ayen phir 3 dafa jatkein. (ref : tauzeeh ul masail ayat ullaha sistani d.b masla no 69)
Aurat ke lia peshab ke bad istebra nahin he. (ref: tauzeeh ul masail ayat ullaha sistani d.b masla no 74)
Question: Istibra kese kiya jata hai?
Answer: Istebra aik mustahab amal hay jo merd hazraat paishaab k baad is wajah say anjaam daitay hain taa’keh ye itminaan ho jaay k pishaab ki naali may peshaab baaki nahi raha. Is ka tareeqa ye hay k peshaab say farigh honay k baad ultay haath(left hand) ki darmiyaani ungli (middle finger) ha us ko pakhanay k maqam say peshab ki naali ki jerh tak soontain(wipe) aur is k baad angothay ko peshaab ki naali k oper or aur angutay k saath wali ungli ko peshaab ki naali k neechay rakhain or daba kar khatna k maqam tak le aaen phir 3 dafa jatkein. (ref : tauzeeh ul masail ayat ullaha sistani d.b masla no 69)
Question: i wana ask how to perform istibtra??
Answer:
Istebra aik mustahab amal hay jo merd hazraat paishaab k baad is wajah say anjaam daitay hain taa’keh ye itminaan ho jaay k pishaab ki naali may peshaab k qatre baqi nahi rahe. Iska tareeqa ye hay k peshaab se farigh hone k baad ultay haath(left hand) ki darmiyaani ungli (middle finger) ha us ko pakhanay k maqam say peshab ki naali ki jerrh tak sontain(wipe) aur is k baad angothay ko peshaab ki naali k oper or aur angutay k saath wali ungli ko peshaab ki naali k neeche rakhen or daba kar khatna k maqam tak le aaen phir 3 dafa jhatkein.
(Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla # 70)
(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Salam. sir meri prob ye h k jb b wshroom krta hu to kbi kbar jb agr apni body pe zra zor dalta hu lyk khansta hu bhagta hu ya zor se bthta hu to 1 2 drops nkil jatey hein. mje ni pta ye peeshab k hein ya money k bt ye kiya he? is se napak hjatey hien? isvja se meri nmaz b choot gyi he.
Answer:
1)Wo ratubat jo baaz awqat peshab k baad nikalti he usi wadi kaha jata he aur agar peshab os se mila hua na ho to wo pak he. Mazeed ye k jab kisi shakhs ne peshab k baad istebra kia ho aur os k baad koi ratubat kharij ho jis k baray me shak ho k peshab he ya koi aur ratooobat to wo pak he. 2)Istebra aik mustahab amal hay jo merd hazraat paishaab k baad is wajah say anjaam daitay hain taa’keh ye itminaan ho jaay k pishaab ki naali may peshaab baaki nahi raha. Is ka tareeqa ye hay k peshaab say farigh honay k baad ultay haath(left hand) ki darmiyaani ungli (middle finger) ha us ko pakhanay k maqam say peshab ki naali ki jerh tak soontain(wipe) aur is k baad angothay ko peshaab ki naali k oper or aur angutay k saath wali ungli ko peshaab ki naali k neechay rakhain or daba kar khatna k maqam tak le aaen phir 3 dafa jatkein. 3)Agar kisi nay istebra na kia ho aur peshab karnay k bad kafi waqt ghuzr janay ki wajah say osay itminan ho k peshab nail may baqi nahi reha tha aur is doran ratoobat kharij ho aur osay shak ho k pak hay ya nahi to wo ratoobat pak hogi aur os say wazoo bhi batil nahi ho ga.
4)Agar wo ratubat k peshab ya mani honay ka yaqeen ho to phir najis libas me namaz sahi nahi he. (ref : tauzeeh ul masail ayat ullaha sistani d.b masla no 69-73 , 787) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: ASALAMUALAIKUM K baad arz ha k mujhe plz ye bata dain k agar koi larka kisi aisi chez ko daikhe jis k baad uska zakar akar jae aur mani se pehle pani ki tarhan Garhi jo chez nikalti ha wo nikle to kiya ghusal wajib hoga aur us pani wali chez ko kiya kehte hain plz jaldi jawab dijiyega SHUKRIYA
Answer: Wo ratubat jo khabi khabi shehwat ubhrney per mard k peshab ki nali se kharij hoti he usay mazi kahte hein aur wo paak he. Us se ghusl wajib nahi hota or wuzu bhi batil nahi hota.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 70,71) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: aslam-o-alikom mere peshaap keerne ke bad kuch katry kapron main gir jatay hain kiya main namaz parh sakta houn bohat kosish karta houn achi tara saff kar loun magaar aisa nahi kar sakta ka pake rah sakou hata ke nahane ke bad be aisa he hota hay
Answer:
1)Wo ratubat jo baaz awqat peshab k baad nikalti he usi wadi kaha jata he aur agar peshab os se mila hua na ho to wo pak he. Mazeed ye k jab kisi shakhs ne peshab k baad istebra kia ho aur os k baad koi ratubat kharij ho jis k baray me shak ho k peshab he ya koi aur ratooobat to wo pak he.
2) Istebra aik mustahab amal hay jo merd hazraat paishaab k baad is wajah say anjaam daitay hain taa’keh ye itminaan ho jaay k pishaab ki naali may peshaab baaki nahi raha. Is ka tareeqa ye hay k peshaab say farigh honay k baad ultay haath(left hand) ki darmiyaani ungli (middle finger) ha us ko pakhanay k maqam say peshab ki naali ki jerh tak soontain(wipe) aur is k baad angothay ko peshaab ki naali k oper or aur angutay k saath wali ungli ko peshaab ki naali k neechay rakhain or daba kar khatna k maqam tak le aaen phir 3 dafa jatkein.
3)agar wo ratubat k peshab honay ka yaqeen ho to phir najis libas me namaz sahi nahi he. (ref : tauzeeh ul masail ayat ullaha sistani d.b masla no 69-70 , 787) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: salam mjhy pishab k bad ruk ruk k drops aty hn or jalan b hoti ha or bad me yh feel hota ha k jese choty se drops nklty hn or sath e yun feel hota ha jese soian chubh rai hon me smjh nai pati k kia drops ay h n ya nai aksr jb is trha ki soian chbti hn to me chk krti hn to meri vagina dry e hoti ha is k ilawa mjhy discharge b hota ha to mjhy us k gilapn se feel hota ha is me drops na ho pishab k btay me kia krn namaz paki se kese parhn?
Answer:
Aurat k lie peshab k bad istibra nahi he to agar koe ratubat kharij ho aur shak ho k ye peshab he ya nahi to wo ratubat paak ho gi aur is se wuzu aur ghusl bhi batil nahi ho ga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 74).
Wazifa:
Sorah zumar ki ayat#67 ko likh ker kamar main baandh lain or zaafraan se likh ker pee lain tu qatra qatra peshaab aanay se nijaat hasil ho gi(Ref: nawaay saliheen, pg#329). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Assalamoalaikum agar istibra k bawujood baad me qatray aa jaatay hon to aisa banda Quran Majeed ko kaise hath lagaai?? Plz help me?? Allah Jaza de.
Answer: Jab kisi sakhs ne peshab karnay k baad istebra kia hua ho aur is k baad koi ratoobat kharij ho jis k baray me shak ho k peshab he k ya koi aur ratoobat to wo pak he aur quran majeed ko hath lagha sakhta he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 70) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: asalam oalikum sir mujhe kuch din se namaz kay doran halka sa katra pishab araha hai please kuch bata dije shukriya
Answer: istibra islam ma mustahab amal hay. Istibra karnay k baad ya itminaan ho jata ha k pishaab ki nali ma peshaab baaki nehi reha. Is ka tarika yae hay k peshaab say farigh honay k baad baa’en(left) haath ki jo sab sa bari ungli hay us ko pakhana ka maqam ka aakhir per rakh kar dabaein aur oper peshaab ki nali tak ungli laein. ye amal 3 dafa karain phir usi baaen(left) haath ka angutha(thumb) ko peshaab ki nali ka opper rakhain aur angutha ka baad wali ungli ko peshaab ki nali ka neecha rakhein phir dono ungli aur angutha ko daba kar khatna k maqam tak lain phir 3 dafa jatakein. (Ref tauzeeh ul masail ayat ullaha sistani pg # 25)
Question: Asalam-u-alikum! istanga karne ke baad asa mehsoos kota hai jese pishab ke qatre ate hain, leukoria bhi hai, aur istanga ke baad gilapan already hota hai, is liye faraq pata nahi chalta, na koi drop bahir ata hai, aur na kapron par lagta hai. us ki waja se bohat pareshan hon, shalwar par hath ya feet lagte hain tou napak lagte hain. confirm pata nahi hai... jaldi jawab de di jiye ga. Jazak Allah
Answer: Istibra aik mustahab amal he jo merd hazraat paishab kerne k baad is liay anjaam daitay hain k itminaan hasil hojaay k ab paishab nail main baqi nahi raha he.Laikin aurat k liay peshab k baad istibra nahi he.Laihaza agar koe ratubat kharij ho or shak ho k ye paishab he ya nahi tu wo ratubat paak hogi or agar ye aurat wuzu se ho tu iska wuzu or ghusl bhi is ratubat k kharij hone ki wajah se batil nahi hoga. (Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 74). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Istbra kia hai?
Answer: Istibra aik mustahab amal he jo merd hazraat paishab kerne k baad is liay anjaam daitay hain k itminaan hasil hojaay k ab paishab nail main baqi nahi raha he.Laikin aurat k liay peshab k baad istibra nahi he. (Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 74). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: assalam o alaikum mera sawal ye hey k mje paishab kerney k baad b katrey aty hain to kia agr wo katrey kapron per lag jaye to kaprey napak ho jayaingy kia?
Answer:
1)Agar aap nay peshab k baad istebra kia ho aur is k baad ratoobat kharij ho agar shak ho k ye ratoobat peshab hai ya koi aur to wo pak ho gi aur kapray bhi pak rahaiun gai.
2)Agar aap nay peshab k baad istebra kia ho aur is k baad ratoobat kharij agar is k baray mai yaqeen hai k ye peshab hai to wo najis ho gi aur kapray bhi najis ho jae gai.
3)Istibra aik mustahab amal he jo merd hazraat paishab kerne k baad is liay anjaam daitay hain k itminaan hasil hojaay k ab paishab nail main baqi nahi raha he.Laikin aurat k liay peshab k baad istibra nahi he. (Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 70-74). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Assalam aleykum mera sawal ye hai ki jab koi istinja karke inkle or fir se usko lage ki uska peshab kharij ho raha hai ya wo kahi ja raha ho or usko libas na badal sake or usmai peshaab ke katre lag jaye to namaz jayez hogi..
Answer:
1) Istibra aik mustahab amal he jo merd hazraat paishab kerne k baad is liay anjaam daitay hain k itminaan hasil hojaay k ab paishab naali main baqi nahi raha he.Laikin aurat k liay peshab k baad istibra nahi hai. Pas agar kor ratubat kharij ho or shak ho k ye paishab hay ya nahi tu wo ratubat paak hogi or is k wuzu or ghusl ko bhi batil nahi karay gi. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 69,74)
2)Namaz parhnay walay ka libas paak hona zaroori hai. Agar koe shakhs halat e iktiyari mai najis libas k sath namaz parhay to is ki namaz batil hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 787) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Mujhe peshab karne ke kuch der baad katra aata he kya istanja karna zaroori he ya me ase hi namaz par sakta ho
Answer:
1)Jis kisi shakhs nai peshab k baad istebra kia ho aur is k baad koi ratoobat kharij ho jis k baray mai wo na janta ho k peshab hai ya koi aur ratoobat to wo pak hai. is lie ko chahea k istebra karain.
2)Aur agar kisi shakhs nai istebra na kia ho aur peshab krnay k baad kafi waqt guzr janay ki wajah sai osay etminan ho k peshab nali mai baqi nhi raha tha aur is doran ratoobat kharij ho aur osay shak ho k pak hai ya nhi to wo ratoobat pak ho gi aur is sai wazooo bhi batil na ho ga.
3)Istebra aik mustahab amal hay jo merd hazraat paishaab k baad is wajah say anjaam daitay hain taa’keh ye itminaan ho jaay k pishaab ki naali may peshaab baaki nahi raha. Is ka tareeqa ye hay k peshaab say farigh honay k baad ultay haath(left hand) ki darmiyaani ungli (middle finger) ha us ko pakhanay k maqam say peshab ki naali ki jerh tak soontain(wipe) aur is k baad angothay ko peshaab ki naali k oper or aur angutay k saath wali ungli ko peshaab ki naali k neechay rakhain or daba kar khatna k maqam tak le aaen phir 3 dafa jatkein. (Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla # 70) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Aslam Alaikum, Main aik student hoon aur mUjhe parhae karne k liye kafi waqt darkar hota hai tau aksar owkat jab main parhai karta hoon aur main peeshab karne k liye nahin jata tau kuch time k baed aisa mehsoos hota hai jaise k kuch katre gir gae hoon aur mujhe pareshani hoti k aya bagair kisi kaifiyat k mujh par ghusul-e-Janabat tau Wajib Nahin hogay aur issi ulgan main meri nimaz kaza hojati hai. Kya agar main istinja kar tau iss sorat main mujhe kiya karna chiye Kya istinja karna kafi hoga? aur bar-e-Mehrbani Mujhe Istanja karne ka sahi tareeqa bhi mausool kar dijiye . Shukriya.
Answer:
Agar kisi shaks k maqam-e-peshab say koe liquid niklay aur wo ye na janta ho k wo mani hai,peshab hai ya koi aur cheez tu agar wo liquid shehwat k sath niklay,uchal ker niklay aur us k nikalnay k baad badan sust hogaya ho tu wo mani hai laihaza wuzu toot jaega aur ghusl-e-janabat bhi kerna hoga,laikin agar ye alamaat nah hoon tu wo mani nahi hai,laihaza agar wo peshab hai tu wuzu toot jaega magar ghusl nahi kerna parega.is k alawa agr wo liquid jo kabhi kabhi shehwat ubharnay par merd k penis say nikalta hay, tu usay mazee kehtay hain aur wo paak hoti hay aur us say wuzu bhi nahi toot ta aur ghusl bhi nahi kerna hota. (Ref:Ayatullah Sitsani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #70,345).
Istebra aik mustahab amal hay jo mard hazrat peshab k bad is wajah say anjam daitay hain ta k ye itminan ho jae k peshab ki naali may peshab baki nahi raha. Is ki bohat si tarkeebain hai aur jis terah bhi yaqeen ho jae k nali mai peshab baqi nahi raha hai albetta aik tareeqa ye hay k peshab say farigh honay k baad ultay haath(left hand) ki darmiyaani ungli (middle finger) ha us ko pakhanay k maqam say peshab ki naali ki jerh tak soontain(wipe) aur is k baad angothay ko peshaab ki naali k oper or aur angutay k sath wali ungli ko peshab ki naali k neechay rakhain or daba kar khatna k maqam tak le aaen phir 3 dafa jatkein. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 69)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Assalam alaikum, Sir mera sawal ye hain ke main jab b peshap kar laitha hun tho kuch dair ke baad muje drops athe hain, is ke ilawa muje peshap b bohath jaldi jaldi athy hain, main tho haran ye hun ke main aap ne aap ko har ek ghalat cheez se dur rakka hain for exampl main sex vedio,pictures,larkio etc ko daiktha b nahi hun per b mere sath aisa hi hotha hain, main tho sirf ye chahtha hun ke main nimaz ache tareeky se ada karu our apne taleem ko jari rak saku. plz sir muje kuch aisa mashwara dy ke main is bemari se teek ho jaow Insallah
Answer:
Istebra aik mustahab amal hay jo merd hazrat peshab k bad is wajah say anjam daitay hain ta keh ye itminan ho jae k peshab ki naali may peshab baki nahi raha. Is ka tareeqa ye hay k pashab say farigh honay k baad ultay haath(left hand) ki darmiyaani ungli (middle finger) ha us ko pakhanay k maqam say peshab ki naali ki jerh tak soontain(wipe) aur is k baad angothay ko peshaab ki naali k oper or aur angutay k saath wali ungli ko peshaab ki naali k neechay rakhain or daba kar khatna k maqam tak le aaen phir 3 dafa jatkein. 3)Agar kisi nay istebra na kia ho aur peshab karnay k bad kafi waqt ghuzr janay ki wajah say osay itminan ho k peshab nail may baqi nahi reha tha aur is doran ratoobat kharij ho aur osay shak ho k pak hay ya nahi to wo ratoobat pak hogi aur os say wazoo bhi batil nahi ho ga. 4)Agar wo ratubat k peshab ya mani honay ka yaqeen ho to phir najis libas me namaz sahi nahi he. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 69-73 , 787) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Note: aap sorah e zamar ki ayat#67 ko likh kar kamar se bandhain or zaafran se likh kar os ko pee lein. Insha allah ifaqah hoga. (Ref : Kitab Naway e Salaheen pg #329 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Salaam Alaiku Janab, Kabhi Kabhi jab mujko kabz(constipation)hota hai aur me zoor laga kar stool pass karta hu to pesaab ke saath kuch mani jaisa dikhane wala fluid pass ho jata hai. Mujko Please batae ki is halat me gusl wajib hai ya nahi.Iski wajah se mujko Namaz parne me and Imambargah jaane me bahut shak hota hai.
Answer: Wo ratoobat jo baaz awqat peshab k baad niklti hai agar peshab os sai mila hua na ho to wo pak hai aur os ko wida kaha jata hai. wo mani nhi hai aur ghusl bhi wajib nhi hota hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 70)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Assalam o Alaikum.. Sir mere 2 sawal hain. 1)istinja ka sahi tariqa kya hai? 2)agr main peshab k bad istinja kr leta hoon, or phir kuch dair bad wuzu krna ho to kya mujhe istinja b dobara krna parre ga? Aap ki bht mehrabani ho gi.. Or plz mujhe email id par sawal k jawab k bare mai zarur btayiye ga.. Jazak ALLAH
Answer: 1)Peshab ka makhraj pani k alawa kisi aur cheez se pak nahi hota aur osay aik martaba dhona kafi he. al’betta ehtiyat e mustahabb he k 2 martabah dohain aur behter ye he k 3 martabah dohain. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 62) 2)Agar maqad(maqam e pakhana) ko pani se dohaya jay to zarori he k pakhana ka koi zarrah bhi baqi na rahay al’betta agar rang ya boo baaqi reh jay to koi haraj nahi he. Aur agar pehli baar hi aisay dhul jay k pakhana k zarraat baqi na rahain tu doubara dhona lazim nahi he. 3)phatar, dhela kapra ya in hi jaisi doosri cheezain agar khusk aur pak hon to in sai maqad (maqam e phakana) ko pak kia ja sakta hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 62, 63, 64) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: 110....... I am waswasi person, I have few question as I asked You Before I know one Question is allowed But please, I asked a question to Imam Majid O IMAMBARGAH about my problem about purity he said that " the semen(mony) comes out through jerk or jumped out or a hot semen the Ghusal is wajib other wise not" so the problem is that last night after urination and before istibra i feel stain in urethra when wipped it with my hand a white liquid comes out like semen i think uirne mixed with it not sure when i rubbed this liquid with hands its like a foam and oily type after that i did istibra 3 times then took taharat ahen i stood up for wahing my hands in basin a same stain felt but i didnot pay attention to doubt after 20 min etc i saw on my underwear there were excretion and a very tiny whitish spot appears on it so is that Ghusal is wajib or not?
Answer:
1)Aam tor wo ratubat jo peshab k baad niklti hai agar peshab is sai mila hua na ho to wo pak hai. mazeed ye k jab kisi shakhs nai peshab k bad istebra kia ho aur is k bad ratubat kharij ho jis k baray mai shak ho k ye peshab hai ya koi aur to wo bhi pak hai.
2)Agar kisi shaks k badan se koi ratubat kharij ho aur wo ye na janta ho k mani hai ya peshab ya koi aur cheeze, agar wo ratubat shewat k sath aur uchal kar nikle ho aur is k niklne k bad badan sust ho gaya ho to wo ratubat mani ka hokum rakhti hai .laikin agar in teen alamat mai sai sari ki sari ya kuch mujood na ho to wo ratubat mani k hokum mai nahi aye gi laikin agar insan bemar ho to phir zarori nahi hai k wo ratubat uchal kar nikly aur is k niklne k waqt badan sust ho jay bal k agar sirf shewat k sat nikle to wo ratubat mani k hokum mai ho ge (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 69, 345) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Aslam Alikum, Mera Sawal ye hai k mujhe 5 saal se ye pareshani hai k Peshab karne k bad kuch qatre aa jate jis ka confrim bhi ho k waqae qatre aate hai jis wajah se mujhe pareshani hoti hai namaz padne me toh aap btaye k is masle me namaz or dusre ahkam me kiya kiya jae or ye mere sath kafi saalo se ho raha hai poochna ye hai kiya aisi halat me nimaaz parhne ki ijazat hai ya nimaaz chorni chahiye, masjid, imambargah me ja sakte hai k nai. me boht pareshan hoo plz iska jawab mere mail pe de jazakallah
Answer: Istebra aik mustahab amal hay jo merd hazrat peshab k bad is wajah say anjam daitay hain ta keh ye itminan ho jae k peshab ki naali may peshab baki nahi raha. Is ka tareeqa ye hay k pashab say farigh honay k baad ultay haath(left hand) ki darmiyaani ungli (middle finger) ha us ko pakhanay k maqam say peshab ki naali ki jerh tak soontain(wipe) aur is k baad angothay ko peshaab ki naali k oper or aur angutay k saath wali ungli ko peshaab ki naali k neechay rakhain or daba kar khatna k maqam tak le aaen phir 3 dafa jatkein. 3)Agar kisi nay istebra na kia ho aur peshab karnay k bad kafi waqt ghuzr janay ki wajah say osay itminan ho k peshab nail may baqi nahi reha tha aur is doran ratoobat kharij ho aur osay shak ho k pak hay ya nahi to wo ratoobat pak hogi aur os say wazoo bhi batil nahi ho ga. 4)Agar wo ratubat k peshab ya mani honay ka yaqeen ho to phir najis libas me namaz sahi nahi he. (ref : tauzeeh ul masail ayat ullaha sistani d.b masla no 69-73 , 787) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Assalam o Alaikum main apsay ye pouchna chahta ho kay kabhi kabar mujhay peshab krnay k baad aisa feel hota hay kay kuch katray reh gaye hay then mujhay dobara bathroom jana parhta hay sooo ye kya masla hay plz mujhay bataye n ixka solution bhi bata day
Answer: Istebra aik mustahab amal hay jo merd hazrat peshab k bad is wajah say anjam daitay hain ta keh ye itminan ho jae k peshab ki naali may peshab baki nahi raha. Is ka tareeqa ye hay k pashab say farigh honay k baad ultay haath(left hand) ki darmiyaani ungli (middle finger) ha us ko pakhanay k maqam say peshab ki naali ki jerh tak soontain(wipe) aur is k baad angothay ko peshaab ki naali k oper or aur angutay k saath wali ungli ko peshaab ki naali k neechay rakhain or daba kar khatna k maqam tak le aaen phir 3 dafa jatkein. 3)Agar kisi nay istebra na kia ho aur peshab karnay k bad kafi waqt ghuzr janay ki wajah say osay itminan ho k peshab nail may baqi nahi reha tha aur is doran ratoobat kharij ho aur osay shak ho k pak hay ya nahi to wo ratoobat pak hogi aur os say wazoo bhi batil nahi ho ga. 4)Agar wo ratubat k peshab ya mani honay ka yaqeen ho to phir najis libas me namaz sahi nahi he. (ref : tauzeeh ul masail ayat ullaha sistani d.b masla no 69-73 , 787) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Agar pishap karne k baad mani kharij hoti ho to ye kis waja se hota hai or is problem ko kese thek kia ja sakta hain?
Answer: Mani ko pechan’nay ki 3 alamat hain 1:shehwat k sath niklay yani os k niklnay k waqt shehwat mehsos ho, 2: is k niklnay k bad badan sust ho jae, 3: uchal kar nikli ho. Agar is terah niklay to wo mani ka hokum rakhti hai yani namaz aur doosri abadat k lie ghusl e janabat krna zaroori ho ga. is k alawa Wo ratubat jo baz awqat peshab k bad niklti hai agar peshab os sai mila hua na ho to pak hai aur ghusl bhi wajib nahi hota hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 344-45, 70)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Mujy peshab key sath manii aney lag gae hai or kbi kbi mujy peshab ki jaga jalan bhi hoti hai please mujy is hal jald sey jald batye
Answer: Istebra aik mustahab amal hay jo mard hazrat peshab k bad is wajah say anjam daitay hain ta k ye itminan ho jae k peshab ki naali may peshab baki nahi raha. Is ka tareeqa ye hay k peshab say farigh honay k baad ultay haath(left hand) ki darmiyaani ungli (middle finger) ha us ko pakhanay k maqam say peshab ki naali ki jerh tak soontain(wipe) aur is k baad angothay ko peshaab ki naali k oper or aur angutay k sath wali ungli ko peshab ki naali k neechay rakhain or daba kar khatna k maqam tak le aaen phir 3 dafa jatkein. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 69-70)Note : peshab k baad jo ratubat aati hai wo mani nahi hoti hai. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: sir mujhay aksar peshab k bad qatre atay hyn jis ki waja se me namaz ba qaidgi se nhi parh skta is ka koi hal btaye or kiya is sy kapray napak ho jaty hyn ye be btaye or is bemari se kesy chutkara paya jaye
Answer: Aam tor par jo peshab k maqam sai khabi kabar qatray nikltay hain wo is wajah sai nikltay hain k ham peshab karnay k baad istebra na kartay hain. Istebra aik mustahab amal hay jo mard hazrat peshab k bad is wajah say anjam daitay hain ta k ye itminan ho jae k peshab ki naali may peshab baki nahi raha. Is ka tareeqa ye hay k peshab say farigh honay k baad ultay haath(left hand) ki darmiyaani ungli (middle finger) ha us ko pakhanay k maqam say peshab ki naali ki jerh tak soontain(wipe) aur is k baad angothay ko peshaab ki naali k oper or aur angutay k saath wali ungli ko peshaab ki naali k neechay rakhain or daba kar khatna k maqam tak le aaen phir 3 dafa jatkein. Agar aap nai istebra kar lia aur phir baad mai koi drop niklay to wo peshab nahi hota hai aur wo pak bhi hai os sai namaz bhi sahi rahay gi laikin agar peshab k baad istebra nahi kia ho aur phir koi drop peshab ki jigha sai niklay to wo najis ho ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 69-74)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: kya kisi ko istenja karne ke baad peshab ka katra kharij ho jay to use gusl karna zarori ho jata hai ki nhi
Answer: Istebra aik mustahab amal hay jo mard hazrat peshab k bad is wajah say anjam daitay hain ta k ye itminan ho jae k peshab ki naali may peshab baki nahi raha. Is ka tareeqa ye hay k peshab say farigh honay k baad ultay haath(left hand) ki darmiyaani ungli (middle finger) ha us ko pakhanay k maqam say peshab ki naali ki jerh tak soontain(wipe) aur is k baad angothay ko peshaab ki naali k oper or aur angutay k sath wali ungli ko peshab ki naali k neechay rakhain or daba kar khatna k maqam tak le aaen phir 3 dafa jatkein. 3)Agar kisi nay istebra na kia ho aur peshab karnay k bad kafi waqt ghuzr janay ki wajah say osay itminan ho k peshab nail may baqi nahi reha tha aur is doran ratoobat kharij ho aur osay shak ho k pak hay ya nahi to wo ratoobat pak hogi aur os say wazoo bhi batil nahi ho ga. (Ref : Tauzeeh ul masail ayat ullaha sistani d.b masla # 69-73, 787) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: AOA, ajj kal mujha peshab karna ka thori dar bad peshab ka mamoli droop nikalta han shayad sardiyo ki waja sa..or underwear pa lag jata ha..to kia mare kapra pak hon ga ya napalk plz bataen me kia karo....???
Answer: Istebra aik mustahab amal hay jo merd hazrat peshab k bad is wajah say anjam daitay hain ta keh ye itminan ho jae k peshab ki naali may peshab baki nahi raha. Is ka tareeqa ye hay k pashab say farigh honay k baad ultay haath(left hand) ki darmiyaani ungli (middle finger) ha us ko pakhanay k maqam say peshab ki naali ki jerh tak soontain(wipe) aur is k baad angothay ko peshaab ki naali k oper or aur angutay k saath wali ungli ko peshaab ki naali k neechay rakhain or daba kar khatna k maqam tak le aaen phir 3 dafa jatkein. 3)Agar kisi nay istebra na kia ho aur peshab karnay k bad kafi waqt ghuzr janay ki wajah say osay itminan ho k peshab nail may baqi nahi reha tha aur is doran ratoobat kharij ho aur osay shak ho k pak hay ya nahi to wo ratoobat pak hogi aur os say wazoo bhi batil nahi ho ga. 4)Agar wo ratubat k peshab ya mani honay ka yaqeen ho to phir najis libas me namaz sahi nahi he. (ref : tauzeeh ul masail ayat ullaha sistani d.b masla no 69-73 , 787) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: mera question hai k jb main peshab krta hun to kuch dair tk drops girtay rehtay hain kafi arsa pehlay ye bhot zaida tha problem hr waqat girtay rehtay thay koi solution batayen plz plz plzzzzy
Answer:
1)Istebra aik mustahab amal hay jo merd hazrat peshab k bad is wajah say anjam daitay hain ta keh ye itminan ho jae k peshab ki naali may peshab baki nahi raha. Is ka tareeqa ye hay k peshab say farigh honay k baad ultay haath(left hand) ki darmiyaani ungli (middle finger) ha us ko pakhanay k maqam say peshab ki naali ki jerh tak soontain(wipe) aur is k baad angothay ko peshaab ki naali k oper or aur angutay k saath wali ungli ko peshaab ki naali k neechay rakhain or daba kar khatna k maqam tak le aaen phir 3 dafa jatkein. (ref : tauzeeh ul masail ayat ullaha sistani d.b masla no 69)
2)Agar peshab k qatray aanay ki beemari hai to ap k lie wazifa bhi bayan krtay hain, Surah e zumar surah # 39 ki ayat 67 likh kr qamar par bandh lain aur zafraan sy likh kr pilain to qatra qatra pishaab ki bemari khtam ho jaegi. (Ref : book nawaey saleheen pg # 329)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: sir mujha peshab ka thore dar bad peshab ka drop ate ha..or bar bar kapra napak ho jata ha,me kia karo???? or ya abhe sardiyo me ho raha ha...
Answer: Istebra aik mustahab amal hay jo merd hazraat paishaab k baad is wajah say anjaam daitay hain taa’keh ye itminaan ho jaay k pishaab ki naali may peshaab baaki nahi raha. Is ka tareeqa ye hay k peshaab say farigh honay k baad ultay haath(left hand) ki darmiyaani ungli (middle finger) ha us ko pakhanay k maqam say peshab ki naali ki jerh tak soontain(wipe) aur is k baad angothay ko peshaab ki naali k upper or aur angutay k saath wali ungli ko peshaab ki naali k neechay rakhain or daba kar khatna k maqam tak le aaen phir 3 dafa jatkein. (Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla # 70) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: As Salam-o-Alikum. Dr sahab meri age 20 years hai..... Sir mera masla yeh hai kay main jub kisi garam cheez (sofa, Bed) pe bethta hunn to Chand katree nikal parte hain. aur jub Ghusal ker kay nikalta hun tab bhe chand katree nikal perte hain... is ka koi hall btain plzzzz. i am v worry....
Answer: 1)Agar mani niklnay ka yaqeen he to Ghusl-e-Janabat wajib namaz parhnay aur aisi hi doosri ibadaat kay liye wajib hota hay.Warna wajib nahi he.(Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.65 Masala No.356.) 2)wo ratoobat jo khabi khabi shawat ubharnay per mard k ala e tanasul se kharij ho ose mazi kehtay hein, Aur wo pak hai ya wo ratubat jo peshab k baad niklti hai jisay wida kaha jata hai aur agar peshab is sai mila hua na ho k to pak hai. aur agar ye qatray peshab k baad nikltay hain to peshab k baad istebra kia jata hai jis sai peshab ki nali sai peshab nikl jata hai. os ka tareeqa ye hai k pashab say farigh honay k baad ultay haath(left hand) ki darmiyaani ungli (middle finger) ha us ko pakhanay k maqam say peshab ki naali ki jerh tak soontain(wipe) aur is k baad angothay ko peshaab ki naali k oper or aur angutay k saath wali ungli ko peshaab ki naali k neechay rakhain or daba kar khatna k maqam tak le aaen phir 3 dafa jatkein. (Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.65 Masala No.356,70) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Salam Qibla agar Peshab krne k baad Mani k ek ya do ktray aajain to kya namaz k liye Ghusal Wajib ho jai ga....
Answer: Wo ratoobat jo baz awqat peshab k bad niklti hai osay wida kehtay hain agar is sai peshab mila hua na ho to pak hai is k alawa is sai ghusl wajib nahi hota hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 70)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: asalam-o-alaikum sir muje peeshab karne ke baad jab me ta,harat bhi kar leta hun us k bad kuch ( qatre ) ate hen kya ye na paaki he? kya esi halat k andar me namaz ada kar sakta hun?? plz tell me
Answer: Istibra aik mustahab amal he jo merd hazraat paishab kerne k baad is liay anjaam daitay hain k itminaan hasil hojaay k ab paishab nail main baqi nahi raha he.Laikin aurat k liay peshab k baad istibra nahi he.Laihaza agar koe ratubat kharij ho or shak ho k ye paishab he ya nahi tu wo ratubat paak hogi or agar ye aurat wuzu se ho tu iska wuzu or ghusl bhi is ratubat k kharij hone ki wajah se batil nahi hoga. (Ref:A.Sistani(d.b). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Istanja karna ka sahi tarika
Answer: Istinja o istibra ye hai ke insan peshaab karne ke baad koi bhi esa amal kare ke is ko itminaan ho jaae ke peshaab ki nail mian peshaab baqi nahi raha or phir pani se us maqaam ko paak kar le. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 33 , maslah # 69 , ALLAH Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: salam g kya tharat karny k bd jo qatry niklty hai wo nijas hai ya pak
Answer:
1)Istebra aik mustahab amal hay jo merd hazrat peshab k bad is wajah say anjam daitay hain ta keh ye itminan ho jae k peshab ki naali may peshab baki nahi raha. Is ka tareeqa ye hay k peshab say farigh honay k baad ultay haath(left hand) ki darmiyaani ungli (middle finger) ha us ko pakhanay k maqam say peshab ki naali ki jerh tak soontain(wipe) aur is k baad angothay ko peshaab ki naali k oper or aur angutay k saath wali ungli ko peshaab ki naali k neechay rakhain or daba kar khatna k maqam tak le aaen phir 3 dafa jatkein.
2)Jis kisi shakhs nai peshab k baad istebra kia ho aur is k baad koi ratoobat kharij ho jis k baray mai wo na janta ho k peshab hai ya koi aur ratoobat to wo pak hai. aur agar istebra na kia ho aur yaqeen ho k jo ratubat nikli hai wo peshab hai to namaz parhnay k lie os jigha ko pak krnay k bad wazoo karna bhi zaroori hai.(ref : tauzeeh ul masail ayat ullaha sistani d.b masla no 69-73 , 787) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Sir pehshab ke baad peshad ke kuch qatre ate ae kia mea us ke bad Namz prh satka ho ya gusal wajab ho jata ae
Answer:
1)Istebra aik mustahab amal hay jo merd hazrat peshab k bad is wajah say anjam daitay hain ta keh ye itminan ho jae k peshab ki naali may peshab baki nahi raha. Is ka tareeqa ye hay k peshab say farigh honay k baad ultay haath(left hand) ki darmiyaani ungli (middle finger) ha us ko pakhanay k maqam say peshab ki naali ki jerh tak soontain(wipe) aur is k baad angothay ko peshaab ki naali k oper or aur angutay k saath wali ungli ko peshaab ki naali k neechay rakhain or daba kar khatna k maqam tak le aaen phir 3 dafa jatkein.
2)Jis kisi shakhs nai peshab k baad istebra kia ho aur is k baad koi ratoobat kharij ho jis k baray mai wo na janta ho k peshab hai ya koi aur ratoobat to wo pak hai. aur agar istebra na kia ho aur yaqeen ho k jo ratubat nikli hai wo peshab hai to namaz parhnay k lie os jigha aur kapray ko pak krnay k bad wazoo karna bhi zaroori hai.(ref : tauzeeh ul masail ayat ullaha sistani d.b masla no 69-73 , 787) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: mera sawal ye hi k abi main nay urine pass kiya us k baad wazoo kiya phir namaz k lye khara ho gya tw jab main sajday main gya tw urine ka qatra nikal gya is surat main main namaz mukamal kar sakta houn ya tour doun. ye Office ki baat hai jab k or kapray b nahi hain.
Answer:
1)Jis kisi shakhs nai peshab k baad istebra kia ho aur is k baad koi ratoobat kharij ho jis k baray mai wo na janta ho k peshab hai ya koi aur ratoobat to wo pak hai.
2)Istebra aik mustahab amal hay jo merd hazraat paishaab k baad is wajah say anjaam daitay hain taa’keh ye itminaan ho jaay k paishaab ki naali may paishaab baaki nahi raha. Is ka tareeqa ye hay k peshaab say farigh honay k baad ultay haath(left hand) ki darmiyaani ungli (middle finger) ha us ko pakhanay k maqam say peshab ki naali ki jerh tak soontain(wipe) aur is k baad angothay ko peshaab ki naali k oper or aur angutay k saath wali ungli ko peshaab ki naali k neechay rakhain or daba kar khatna k maqam tak le aaen phir 3 dafa jatkein.
3)Agar namaz k doran jo ratubat kharij hui hai wo paishab ho to namaz batil ho jae gi. aur pak ho kar dubara namaz parhni paray gi. (Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla # 70,113) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: assalamo alekum sir mera masla ye hai k mian jub b pishab karne jata ho to mujhe asa lagta hai k istanja karne k bad mujhe qatray are ho pishab k mujhe ye maloom karna hai k ye mera weham hai ya beemari meri namaz asi waja se chut jati hai ap pleas mujhe koi hal batai k main kia karo or namaz kese paro
Answer:
Istebra aik mustahab amal hay jo merd hazrat peshab k bad is wajah say anjam daitay hain ta keh ye itminan ho jae k peshab ki naali may peshab baki nahi raha. Is ka tareeqa ye hay k peshab say farigh honay k baad ultay haath(left hand) ki darmiyaani ungli (middle finger) ha us ko pakhanay k maqam say peshab ki naali ki jerh tak soontain(wipe) aur is k baad angothay ko peshaab ki naali k oper or aur angutay k saath wali ungli ko peshaab ki naali k neechay rakhain or daba kar khatna k maqam tak le aaen phir 3 dafa jatkein. 3)Agar kisi nay istebra na kia ho aur peshab karnay k bad kafi waqt ghuzr janay ki wajah say osay itminan ho k peshab nali may baqi nahi reha tha aur is doran ratoobat kharij ho aur osay shak ho k pak hay ya nahi to wo ratoobat pak
hogi aur os say wazoo bhi batil nahi ho ga. 4)Agar wo ratubat k peshab ya mani honay ka yaqeen ho to phir najis libas me namaz sahi nahi he. (ref : tauzeeh ul masail ayat ullaha sistani d.b masla no 69-73 , 787) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: salam qibla mera sawal hai ka namaz se pehly maine peshaab kya aur achi tarah istambra bhi kya aur us k baad bhi agar ek qatra peshaab ka kapron ko lag jai to kya us kapron main namaz ho sakti hai kya wo kaprey paak rahen gen plz reply urgent
Answer: Jis shakhs nai istebra kia ho aur is k bad koi ratubat kharij ho jis k baray mai wo na janta ho k peshab hai ya koi aur ratoobat to wo pak hai, kapray bhi pak rehain gay aur namaz bhi sahi ho gi. laikin agar yaqeen ho k peshab hi nikla hai to phir kapray najis ho jain gai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 70)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Mera question ye he ki jab me peshab kar ke ya nah ke (after bathing) namaz me jata hu to sajde me ya phir jab aise hi bethta hu to peshab ke bund nikal jate he apse request he plz jald se jald koi solution dijiyega
Answer: Aam tor par jo peshab k maqam sai khabi kabar qatray nikltay hain wo is wajah sai nikltay hain k ham peshab karnay k baad istebra na kartay hain. Istebra aik mustahab amal hay jo mard hazrat peshab k bad is wajah say anjam daitay hain ta k ye itminan ho jae k peshab ki naali may peshab baki nahi raha. Is ka tareeqa ye hay k peshab say farigh honay k baad ultay haath(left hand) ki darmiyaani ungli (middle finger) ha us ko pakhanay k maqam say peshab ki naali ki jerh tak soontain(wipe) aur is k baad angothay ko peshaab ki naali k oper or aur angutay k saath wali ungli ko peshaab ki naali k neechay rakhain or daba kar khatna k maqam tak le aaen phir 3 dafa jatkein. Agar aap nai istebra kar lia aur phir baad mai koi drop niklay to wo peshab nahi hota hai aur wo pak bhi hai os sai namaz bhi sahi rahay gi laikin agar peshab k baad istebra nahi kia ho aur phir koi drop peshab ki jigha sai niklay to wo najis ho ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 69-74)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: salam , janab mera yeh sawal hai ki jab mai toilet mai jata hun to istabra karta hun par jaisey ki yakeen nahi hota ki mainey pakhney ki jagha say istabra kiya ho mai bar bar istabra karta rahta hun jiskey chakkat mai 3 bar key bajayeh 4 bar hojata hai jaise ki 3 bar nechey say lana hai to uski jagha 4 bar agar karlo to kiya istabra jaiz hoga or mujhey shaq ki bhut zyada bimari hai uska kiya ilaj hai kiya mai ignore karun is say kiya meri namaz or baki kam jayez hoga janab meri islah karey
Answer: Istebra aik mustahab amal hay jo mard hazrat peshab k bad is wajah say anjam daitay hain ta k ye itminan ho jae k peshab ki naali may peshab baki nahi raha. Is ki bohat si tarkeebain hai aur jis terah bhi yaqeen ho jae k nali mai peshab baqi nahi raha hai albetta aik tareeqa ye hay k peshab say farigh honay k baad ultay haath(left hand) ki darmiyaani ungli (middle finger) ha us ko pakhanay k maqam say peshab ki naali ki jerh tak soontain(wipe) aur is k baad angothay ko peshaab ki naali k oper or aur angutay k sath wali ungli ko peshab ki naali k neechay rakhain or daba kar khatna k maqam tak le aaen phir 3 dafa jatkein. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 69)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: pishab karne ke bad kuch katre nikalte hein who pak he ya napak
Answer: Jo ratubat peshab k bad aur istabra se phele insan se kharij hoti hai wo bhi peshab ka hokum rakhte hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 69-73) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).