Showing 0- 8 questions from 8 questions on this page.
Question: Salam mere do sawalt hai 1) Eid kai din roza kyun haram hai? 2)jisam kai kon kon sai jaghon kai baal katna jaaiz hai? shukriya wsalam
Answer:
Salam un Alaikum,
1) Eid key din rozay key haram honay key baray mein
masoomeen(a.s) kee riwayaat maujood hein.
2) Darhi key elawah jism key baqi baal katna jayez hay.
Question: saal ma kitne roze mana han
Answer:
1)Eid ul fitr aur eid e qurban k din roza rakhna haram he. 2) jis din k baray me insaan ko ye ilm na ho k shabaan ki aakhri tareekh he ya ramzaan ki pehli to agar wo is din pehli ramzaan ki niyat se roza rakhay to haram he. 3)agar aurat ke mustahab rozay rakhnay se shohar k haq talfi hoti ho to aurat ka roza rakhna haram he. 4) agar aulad ka mustahab roza maa baap k lie aziyat ka maujib ho to aulad ke lie mustahab roza rakhna haram he.Is k ilawa aur bhi haram rozain hein.
2) Aashoor k din roza rakhna makhroh hay or os din ka roza bhi makhroh hay jis k baray main shak ho keh arfa(9 zil haj) ka din hay ya eid e qubaan ka din hay. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 1709 , 1710 , 1711,1717). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: As salaamu Alaikum Janaab.. Kya Eid aur bakreed k din roza rakhna chahiye
Answer: Eid-ul-fitar aur baqar eid k din roza rakhna haraam hai. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #1709). (Khuda aap ki Tawfiqaat mein Izafa farmaye)
Question: salaam,mera ye sawal h.qurbani ka roza kis time se kis time tk hota h?
Answer: Eid e qurban k din roza rakhna haram hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1709)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: ek saal me kitne din roza rakna hram hen
Answer:
Note : Is website mai fiqh e jafaria k mutabiq jawabat diay jatay hain.
Eid-ul-fitr(1st shawwal) aur Eid-ul-azha(10th zilhaj) ko roza rakhna haram hai.
Jis din k baray mai insan ko ye ilm na ho k akhri tareekh hai ya ramzan ki prhli tareekh hai tou agr wo us din pehli ramzan ki neyat sy roza rakhay tou haram hai. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1708). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Nafili rozay year mn kitnay mamnoon hn
Answer:
Chand din rozay raknat haram or makroh hain jin main se chand ye hain haram rozay: 1-Eid ul fitr aur eid e qurban ke din roza rakhna haram he. 2-Aur jis din k baray me insan ko ye ilm na ho k shabaan ki aakhri tareekh he ya ramzan ki pehli to agar wo is din pehli ramzaan ki niyat se roza rakhay to haram he. 3-Agar aurat k mustahab rozay rakhnay se shohar ki haq talfi hoti ho to aurat ka roza rakhna haram he. 4-Agar aulad ka mustahab roza maa baap k liay aziyat ka maujib ho to aulad k liay mustahab roza rakhna haram he is k ilawa aur bhi haram rozain hein makroh rozay aashoor k din roza rakhna makhroh hay or os din ka roza bhi makhroh hay jis k baray main shak ho keh arfa 9 zil haj ka din hay ya eid e qubaan ka din hay haram aur makrooh rozay k alawa saal k tammaam dino k rozay mustahab hein. (Ref: Tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani d b maslah#1709,1710,1711,1717).
[Updated on 01-Jun-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Sir 3 din ka lgta roza rakha sakty hai kay asay roza ho sakta hai?
Answer:
Jee nahin, Aisa roza nahin rakh sakte Q ke aik din aur aik raat ya do din ya is se zaaid din ka roza rakhna ke jis ke darmiyan iftaar na ho HARAM hai.
(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, maslah #1066).
[Updated on 26-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Zaid Ne 1 Shawwal Yani Eid Ul Fitr Ke Din Nafli Roza Rakh Liya Is Par Bakar Ne Zaid Se Kaha Eid Wale Din Roza Rakhna Mana Hai Lihaza Tum Par Wajib Hai Ki Roza Tod Do To Zaid Ne Bina Bahas Kiye Roza Tod Bhi Diya Ab Sawal Ye Hai Zaid Ka Eid Wale Din Nafli Roza Rakh Kar Uska Todna Kaisa Aur Roza Todne Par Us Par Kya Hukum Nafiz Hoga
Answer:
(Eid ke din roza rakhna haram hai,or nahe rakha jasakta hay )
Iftaar karna (torna) zaroori hai, aur agar zaid ko eid ul fitr ke din roza rakhne ke haram hone ke baare me ilm nahin tha to wo ghunahgaar bhi nahin hoga.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1709).
[Updated on 07-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]