Showing 0- 8 questions from 8 questions on this page.
Question: kya 9 or 10 muharram ka roza musalmano k liye jaiz ha
Answer:
9 muharram ko roza rakhna jaiz hay balkeh mustahab hay. or 10 muharram ko roza rakhna jaiz hay laikin makhroh hay (yani behter hay k aashora k din roza nah rakha jay or agar koe is din roza rakh lay tu ye kaam haram bhi nahi hay) . (Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masa,il, Maslah#1718).
Aashora ko roza rakna haram nahi hay, laikin afzal ye hay k imam husaain(a.s) or on k ashaab k gham main namaz e asr k baad tak khane peenay se rokay rahain or namaz e asr k baad is faqay ka iftaar pani se kia jay.(ref: http://sistani.org/index.php?p=297396&id=569). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kia 9 Muharram ko bivi k sath hambistri jaiz hai??
Answer: 9 mohaaram ko biwi se humbistri (jima) karna jaiz . (Ref: sistani.org,urdu, ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Meri shadi issi saal moharam say aik weak pehlay hui hai. Kya mai ashora k bad apni b.v say humbisteri kr sakta ho ya nhi. Agar nahi tu kub tuk mamaniat hai.
Answer: 10 mohaaram k baad biwi se humbistri (jima) karna jaiz .(Ref: sistani.org,urdu, ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: I received a text about fast on 9 and 10 of muharram saying it's harram to observe fast on these days.It was reffering to a book named "Damat-ul-sakiba vol#2" narrated by Abdul Malik from Imam Jaffar a.s. My question is, Is there any book of this tittle ? coz i didn't found it on google. If for example on a certain day when offering fast was harram but I observe at that day, then what i may as i had already made niiat of it?
Answer: 10 muhaaram ko roza rakhna makroo hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1717) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: 10 muharram ko roza rakh skhty ya nhi?
Answer: Aashoor k din roza rakhna makhrooh hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1717). Update on dated 14-10-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: 10 muharam.ka roza
Answer: Aashoor k din ka roza rakhna makrooh hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #1717 ). Update on dated 21-12-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Moharram mai aurtoon ka Baal nochna jaiz hai
Answer:
moharramul haraam me, 10 muharram, aashoor ke din me auratoon ka baal nochna jaiz hai or is per koi kaffara bhi nahe hay.
(Ref: sistani.org,urdu,topic,shaaaere hussainia ,sawaal #1)
[Updated on 09-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Ashoork di. Faqa kub sy kub Tak hai Kia faqa k Duran Pani peena jIz hai
Answer:
ashoor k din roza rakhna makrooh hai laikin afzal ye hay k imam husaain(a.s) or on k ashaab k gham main namaz e asr k baad tak khane peenay se rokay rahain or namaz e asr k baad is faqay ka iftaar pani se kia jay.(ref: http://sistani.org/index.php?p=297396&id=569).
[Updated on 05-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]