Showing 0- 28 questions from 28 questions on this page.
Question: Kya roza rakh ke blood test karwa sakte hai?
Answer:
Har wo kaam jo kamzori ka baa,is banay makhrooh hay, maslan khoon daina . ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1629)
Note: Aam taur per Q k khoon test kerne k liay thorha saa khoon nikala jata hay or wo kamzori ka sabab bhi nahi banta tu ye kaam makhooh bhi nahi hoga or roza bhi durust rahay ga. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kya rozy ke halat may plucking kra skty hai?
Answer: Roze ki halat me plucking karna jaiz hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1883) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Kia roza ki halat main blood diya ja sktta hai
Answer: Roze ki halat me blood diya jasakta hai. lekin roze me har aysa kam karna jo komzori ka bais ho maslan khoon daina makrooh(na-psandeeda) hai .(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1553,1629 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Assalam o alikum: sir kya hum roze ki haalat may koi body ka part pain kar raha ho to uspar koi balm lagasakte hai?
Answer: Rozay ki Halat me balm laganay me koi masla nahi. (Ref: Ayatullah Sistani Tauzeehul Masail, Masla #1553) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Roze ma blood donate krne sa roza toota ha ya ni....? aur ab roza chorne ka kia hukam ha ....?
Answer: G nahi, Roze ko batil to anhi krta lekin agr khoon dena jism ki kamzori ka baais bane to phir makrooh hai.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 1553,1629 Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: roza kis tarah maqro hoota ha.... aur roza insan k kis kis hisa ka hota ha??????????
Answer:
1) Makhroohaat e roza main se kuch ehem makhroohaat ye hain: 1) aankh main dawae daalna or surma lagana jab k os ka maza ya bo halaq main pohanch jaey.2)har aisa kaam anjaam daina jo kamzori ka sabab ho maslan fasad khulwana or hammam jana. 3) khushboo daar butiyo(ghaas) ko songna. 4) aurat ka pani main baithna. 5) jo libas pehn rakha ho osay tar kerna. 6) daant nikalwana or har wo kaam kerna jis ki wajah se monh se khoon nikle. 7) tar lakrhi se miswaak kerna. 8) bila wajah pani ya koe sayaal cheez monh main daalna. Or ye bhi makhrooh hay k mani kharij hone k qasd k baghair insane apni bivi ka bosa le ya keo aisa kaam kare jis se shewat ubhre or agar aisa kerna mani k ikhraaj k qasd se ho tu os ka roza batil ho jata hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1666). (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
2) Aik taweel riwayat is silsile main aae hay jis ka khulasa ye hay k roze main insan k tamaam azaa(parts of body) ka roza hona chahiay or ye roza behtareen or qabil e qobool roza hay. (Ref : Ayat Ullah khoe(r.a), Minhaajus Saliheen Part # 1, Mafhoom e Maslah #1004 , published by darul hujjah). Update on dated 23-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kya roza ki halat me ksi qsm ki poetry se roza batil hta ay k nae
Answer: Roze ki halat main ash,aar perhna makhrooh hay, laikin ehl e bait (a.s) ki midhat main main ki gae shairi makhrooh nahi. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 1, Mafhoom e Maslah #1013 , Eidition 1430 hij). Update on dated 24-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kia roza khushbu lagany se makru hota hy
Answer: Nahi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1629). Update on dated 28-06-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: can a person can hug and kiss his wife during fasting.
Answer: Ye makhrooh hay k mani nikalne k qasd k baghair insan apni bivi ka bosa lay ya gale mile ya koe shehwat angez kaam kare. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1629). Update on dated 05-07-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: salam.. jee mera sawal ye hey . k rozey ki halat mey koi mard apni biwi ko choom (kiss) sakta hey or is k ilawa or pyar kar sakta hey.. milap to waisey bi haram hey..
Answer: Ye makhrooh hay k mani nikalne k qasd k baghair insan apni bivi ka bosa(kiss) lay ya gale mile ya koe shehwat angez kaam kare. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1629). Update on dated 05-07-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: mera sawal ye h ki roza k waqt mobile ka use krne se roza makrooh hota hai. or agr hota h to kis tarah use krne makrooh hota hai
Answer: Makhrooh nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Khoe(r.a), Tauzee hul masael, Mafhoom e Maslah #1666). Update on dated 17-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kya Rooze main hairs main oil lagaya ja skta hy
Answer:
Lagaya ja sakta hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1553 )
Update on dated 26-06-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kiy rozy ki halat main kisi bhe kisam ki khushboo lagana jesy non alkuhal ittar ya parfeume wagera wagera sahi hai plz replay
Answer: Roza sahe hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1553 ). Update on dated 23-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kia rozay ki halat main blood dia ja sakta hy
Answer: yes . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1553 ). Update on dated 22-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Rozay main namehram se baat krne se rozay par asar parta hai ?
Answer: Roze main makhrooh hay k koe shehwat angaiz kaam kia jaey. Laihaza is tarah ki baat ki jasakti hay jo k shehwat angaiz nah ho or musalman k shayan e shan ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #1629+Nigah o libas). Update on dated 17-05-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Asalam u alikum agar koi shakhs maghrib ki azan k 1 ghanty bd ya kuch der bd roza iftar kry to uska roza makrooh hojata hai?
Answer:
Rozedaar k liay mustahab hay k roza iftaar kerne se pehlay maghrib or isha ki namaz perhay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #1720). Update on dated 20-05-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Note: Rozay ko dair se iftaar kerna makhrooh nahi hay, balkeh jab maghrib ki azan ka waqt aa jata hay tab hi roza mukammal ho jata hay. Aisa nahi hay k kisi shaks ka roza 15 ghante ka shumaar hoga or jo shaks aik ghante dair se roza iftaar kare tu os ka roza 16 ghante ka shumaar hoga.
Question: Aslamu alaikum, Hazrat mera ek swaal h ki.. kya roje ki halat me mein apni biwi ke gle lag skta hu ya fir kiss le skta hu?
Answer: Makhrooh hay k mani nikaalne k qasd k baghair insaan apni bivi ka bosa lay ya koe shehwat angaiz kam kare(Maslan osay galay lagaey). (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #1629). Update on dated 23-05-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kiya biwi ko roze me kiss kr skte hain???
Answer: Ye makhrooh hay keh mani nikaalne k qasd k baghair insane apni bivi ka boosa lay ya koe shehwat angaiz kaa kare. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #1629). Update on dated 12-05-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: روزے Ú©ÛŒ Øالت میں اگر کوٸ ڈرامے دیکھتا ÛÛ’ تو کیا اس سے روزے Ù¾Û Ú©ÙˆÙ¸ اثر Ù¾Ú‘ سکتا ÛÛ’
Answer:
1-Agar is main koe haram manzar scene nah ho tu daikna jaiz hay or is se roza batil nahi hota (Ref: ayat ullah seestani d b tauzee hul masael edition#41, mafhoom e maslah#1553,
2- Aik taweel riwayat is silsile main aae hay jis ka khulasa ye hay k roze main insan k tamaam azaa parts of body ka roza hona chahiay or ye roza behtareen or qabil e qobool roza hay (Ref ayat ullah khoe r a minhaajus saliheen part 1 mafhoom e maslah#1013)
[Updated on 30-May-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia rozay main parinday (totay) k sir per Kis karnay se roza makrooh hojata hai
Answer:
Rozay daar k liye makrooh makrooh hay k mani nikalney k iraday k baghair apni bivi ka bosa ley ya koi shehwatangez kaam karey. alikin totay ka boosa laina makrooh nahi hay. (Ref: Tauzihul masael Ayatullah Sustani masaala#1629).
[Updated on 13-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Pane m sir ko dubane se roza batil ho jata h kya
Answer:
Pora sar pani main dibonay se roza batil nahi hota laikin ye shaded makhrooh hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1590)
[Updated on 17-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamualaikum roze ki halat m tauba krte waqt agar aansu nikal jaye ya dil ro pade to kya roza maqruh hoga?
Answer:
roza makroh nahe hoga.
(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1629)
[Updated on 23-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Roze ke halat me daant nikal sakte hain
Answer:
Roze ki halat men Daant(Teeth) nikal sakte hain lekin Daant nikalwana aur har wo kaam karna jiski wajah say Moun(mouth) say Khoon niklay wo Makrooh hay ( laiknin gunah hay srif makroh hai yani roze ke sawaab ko kamkarer ga or na kiya jaay tu behter hay) (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #1629).
[Updated on 08-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Slam, Mry father ka kl accident honay ki wja sy sir pht gya tha to bht khun baha tha kia issy b roza makruh hojata e?
Answer:
Har aisa kaam anjaam daina jo kamzori ka sabab ho maslan khoon daina. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1666)
Note: aap k walid ka roza makhrooh nahi hoa, roze main khoon daina makhrooh hay, accident se khoon nikalna ikhteyaari amal nahi hay.
[Updated on 09-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Maira sawal hai k ager iftar k waqet roza iftar ni kia lait hu gaya tu kia roza makro hai??
Answer: Roze daar k liay mustahab hay keh roza iftar karne se pehle maghrib or isha ki namaz perhe laikin agar koe doosra shaks os ka intezaar kar raha ho ya osay itni bhook lagi ho keh hozoor e qalb k sath namaz nah perh sakta ho tu behtar hay keh pehle roza iftar kare laikin jahan tak ho mumkin ho namaz fazilat k waqt main hi ada kare. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1719). [Dated on 09-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Sir Kia roze main pehne hue kpre bhigo kr so Skte Han?
Answer:
Jee han, Pehne howe libas ko gheela kar sakte hen albatta aisa karna makrooh hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1629).
[Updated on 25-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aoa Agar roza mai shewat ki waja se bohat thora sa discharge ho to roza batil to nahi or next roza k lye ghusal ki zaroorat to nahi h?
Answer:
1: Roze main ye makhrooh hai ke mani nikaalne ke qasd ke baghair koi shehwat angaiz karam kiya jaye aur faqat shehwat aane se jo rutoobat kharij hoti hai wo mazi kehlaati hai aur is se roza baatil nahin hota, aur agle roze ke liye ghusl bhi nahin karna hota. Haan! agar shehwat ke sath mani nikal aaye to roza baatil hoga aur agle roze ke liye ghusl bhi karna hoga.
2: Agar kisi shakhs ke badan se koi rutoobat kharij ho aur wo ye na janta ho ke mani hai ya peshab ya koi aur cheez, to agar wo rutoobat 1. shehwat ke saath nikali ho. 2. uchal kar nikli ho. 3. us ke nikalnay ke baad badan sust ho gaya ho to wo rutoobat mani ka hukum rakhti hai (aur ghusl karna hoga) lekin agar in teen alamaat main se saari ki saari ya kuch alamaat us me maujood nah hon to wo mani ka hukum nahin rakhti (yani phir ghusl karne ki zaroorat nahin hai), Lekin agar insan beemar ho to zaroori nahin hai ke wo rutoobat uchal kar nikli ho aur us ke nikalne ke waqt badan sust bhi ho jaye balke sirf shehwat key nikle to wo bhi mani ka hukum rakh gi.
3: Mard ki sharamghah se mani ke alawa teen tarah ki mazeed rutubatain kharij hoti hain:
1. Wo rutoobat jo khabi kabhar shewat ubhrne par mard ki sharamghah se kharij hoti hai usi "Mazi" kehtay hain aur wo paak hai. aur wuzu aur ghusl ko bhi baatil nahin karti.
2. Wo ratubat jo kabhi kabhi mani ke baad kharij hoti hai jise "Wazi" kaha jaata hai.
3. Wo rutoobat jo baz awqat peshab ke bad niklti hai use "Wadi" kehte hain. agar is se peshab mila hua na ho to pak hai is ke alawa is se ghusl wajib nahin hota hai mazeed ye ke jab kisi shakhs ne peshaab ke baad istibra kiya ho aur is ke baad rutoobat kharij ho jis ke bare me shak ho ke wo peshaab hai ya mazkorah baala 3 rutoobaton me se koi aik to wo paak hai.
(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #70,345,1629,1575,1576).
[Updated on 13-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Roze me apni biwi se gale lag kar so sakte Hain
Answer:
Agar koi shehwat angez kaam nahin kiya jaa raha balke sirf aik saath gale lag so rahe hain to ye kaam jaiz hai aur makrooh bhi nahin hai lekin koi shehwat angez kaam kiya jaa raha to ye kaam jaiz hai lekin makrooh hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1553,1629).
[Updated on 20-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]