Showing 0- 24 questions from 24 questions on this page.
Question: kiya rozay main miya biwi aik dosaray ko kiss wagara kar sakthay hai
Answer: Agar koi shakhs rozay ki haalat main ,MANI nikalnay k iraday k baghair apni bewi ko kiss karay to MAKROOH hay aur agar MANI nikalnay ka irada ho to roza Batil ho jaey ga.
Question: assalomaliakum suna hey rozey ki halat mein toothpaste nahin kar saktey jabkey moo mein itni badbu rehti hey kya subah uth kar kya eik martaba brush nahi kar saktey. Doosra sawal kya rozey mein kajal ankhoo mein laga saktey hey aur kya oil/teil ki malish baloo mein kar saktey hein rozey mein
Answer: 1:Aankh main dawa daalna aur surma lagana jabkay is ka maza ya boo halaq main pohunchay to ye makrooh hay...2:Agar brush par maujood paste waghaira halaq tak na pohunchay to brush karna sahih hay aur roza bhi sahih hay,albatta brush karnay say khoon nikal aaey to ye makrooh hay...3:Sar par teil malna jaiz hay aur roza sahih hay.Ref:Tauzeehul Masail Masala No.1629,Book-Roza Q.No.170,I-33.
Question: Salam-o-alikum, kia halat-e-roze mein daad(dental) nekalwa sakte hai. khuda hafiz
Answer: Daant(Teeth) nikalwana aur har wo kaam karna jiski wajah say Moun(mouth) say Khoon niklay wo Makrooh hay.Ref:Tauzeeh ul Masail A.Sistani Masala No.1629
Question: AOA Kia Roze mey khizab(Hair dye) karna sahi hey
Answer:
bismehi taala
Autullah Sistan (d.b.w.)ne roze ke jo mubtelat or makruhat bayan kiye hain khizab un me shamil nahi hain. (ref: tawzuhul masail masala # 1553 & 1629)
Question: A.O.A sir i would like to ask that kiya hum halatey roza main kissi bemar ko blood de saktey hain(1 patient jo hepatitis c ki hai usey blood dena hai usey daily blood lagta hai)
Answer: Har aisa kam karna jo kamzoori ka ba’is bane makrooh he maslan khoon dena . (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1629) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kajal lagane se kia roza makrooh ya baatil hujata hai?
Answer: Aankh me surma lagana makrooh he jabke is ka maza ya boo halaq me pounche. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1629) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: ankh mein drops se daalnay se roza toot jata hai?
Answer: Aankh me dawa daalna makrooh hay agar is ka maza(taste) ya boo(smell) halaq me pounchey. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 1629).
Question: Rozy main bivi ko kiss ker sakty hayen ke nahi ?
Answer:
1)rozay ki halat main mani nikalnay k qasad k bagair insaan ka apni biwi ka bosa lena ya koi shawat angais kaam karna makrooh he.
2)Agar rozay dar mani nikalnay k iraday k bagair misaal k taur per apni biwi se cheerh chaar ya hansi mazaq karay aur ose itminaan ho k mani kharij nahi ho gi to agarchah mani kharij ho jay is ka roza sahi he. albatta agar ose etminaan na ho to is surat me jab mani kharij ho gi to is ka roza batil ho jay ga.
3)Aur agar mani nikalnay k iraday se cheerh chaar ya dil lagi karay laikin is ki mani na niklay to agar dubara rozay ki niyat na karay to is ka roza batil he aur agar dubara rozay ki niyat kar lay to ehtiyaat e lazim ki bina per zaroori he k rozay ko tamaam karay aur is ki qaza bhi baja laye. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1629, 1565-1576) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kia kajal kaganay se roza toot jata hai k nai?>
Answer: Aankh me surma lagana rozay dar k lie makrooh he jabke is ka zaiqa ya boo halaq me pounchay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1629) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kiya rozy ki halat main nakhun(nail) katna jaiz hay na nahe iss say roza mukrooh to nahe hota hay
Answer: Jee nahi rozay ki halat mai nail katnay sai na hi roza batil hota hai aur na hi roza makrooh hota hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1553,1629) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: slam my question is that kai mai apni bevi kai satt kiss ya touch kar saktha ho
Answer: 1)Rozay ki halat main mani nikalnay k qasad k bagair insaan ka apni biwi ka bosa lena ya koi shawat angais kaam karna makrooh he. 2)Agar rozay dar mani nikalnay k iraday k bagair misaal k taur per apni biwi se cheerh chaar ya hansi mazaq karay aur ose itminaan ho k mani kharij nahi ho gi to agarchah mani kharij ho jay is ka roza sahi he. albatta agar ose etminaan na ho to is surat me jab mani kharij ho gi to is ka roza batil ho jay ga. 3)Aur agar mani nikalnay k iraday se cheerh chaar ya dil lagi karay laikin is ki mani na niklay to agar dubara rozay ki niyat na karay to is ka roza batil he aur agar dubara rozay ki niyat kar lay to ehtiyaat e lazim ki bina per zaroori he k rozay ko tamaam karay aur is ki qaza bhi baja laye. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1629, 1565-1576) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: ky ramzan ka rozaay ka doran apna wife sa kising kr sakta hoon
Answer: Rozay ki halat mai mani nikalne k irade k begair apne biwi ka bosa (kiss) lana makrooh hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1629)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: ky ramzan ka rozay ka doran apne wife ko kis kr saktay haan
Answer: Rozay ki halat mai mani nikalnay k qasad k bagair insaan ka apni biwi ka bosa lena ya koi shawat angais kaam karna makrooh he. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1629) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kya roze ke halat me bal katwana saving krna makrooh hai
Answer:
1)Dhari k moudna(shaving karna ) ehtiyate wajib ki bina per jaiz nahe hai.
2)Bal katwane aur shaving karne se roza makrooh nahe hota hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #2042,1553) )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: roze ki halat me gosol wajib ho to ...roza macro ho jayega ya nahin?
Answer: Agar roze dar ko din me ehtelam ho jay to is per fouran ghusal karna wajib nahe hai. Aur ghusal wajib hone se roza makroo nahe hota hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1605,1629) (Khuda ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: rozy ki halat me kis karna kesa hy (BV , Mother & Child)
Answer: Roze ki halat me makroo hai k mani nikalne k irade k beghair insaan apne biwi ka bosa(kiss) le. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1629 )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: sir, kiya mai roze kee halat mea sar ke bal kaat sakta hoon,kiun ke mai night shift kar raha hoon.
Answer: Jee haan ramzan mai mai sar k baal katwa saktay hain.(Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla #1553 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: sir mera question h k kya wife ko kiss krny s roza toot jata h ya kisi aur ko krny s
Answer: Roze ki halat me makrooh hai k mani nikalne k irade k beghair insan apne biwi ka bosa(kiss) le. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1629 )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Kya Mian Biwi roze ki halat main gale lg ker so sakte hain.
Answer: Rozay ki halat main mani nikalnay k qasad k bagair insan ka apni biwi k sath koi bhi shehwat angais kaam karna makrooh hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1629) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Kia rozay my khoon deny sy roza thootta hy
Answer: Khoon denay sai roza batil nahi hota hai albetta rozay dar k lie makrooh hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1629)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Kia roza ki halat main blood diya ja skta hai
Answer: Khoon denay sai roza batil nahi hota hai albetta rozay dar k lie makrooh hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1629)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: maine nafil roza rakha or subha 4 bje sehari bhi ki or niyat ke liy late uthi 6 : 35 ko uthi to roza rakh sakti hu kya ???
Answer:
Agar aap is niyat k sath soyi thin k kal roza rakhoon gi tu yehi aap ki niyat hogi or aap ka roza sahi hoga. Insan ke liay rozay ki niyyat dil se guzarna ya masalan yeh kehna ke "me kal roza rakhonga" zaroori nahi balkeh is ka irada karna kafi hai keh woh bargah e ilahi me apni zillat ke izhar ke liay azan subah se maghrib tak koi aisa kaam nahi karega jis se roza batil ho aur yeh yaqeen hasil karne ke liay is tamam waqt men woh rozay se raha hai zaroori hai keh kuch der azan e subah se pehle aur kuch der maghrib ke baad bhi aise kaam karne se parhaiz kare jin se roza batil ho jata hai. (Ref:Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh ul masail, masla # 1531 ).
Mustahab roze me bhi niyat karna zaroori hai. han agar aap ne magrib se kuch waqt pehly bhi niyat kar li to kafi hai. (Ref:Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh ul masail, masla # 1534 ).
[Updated on 01-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mera swal ye he keh periods ki wajah se jo rozy chutty thy ab me uski qaza Rakh ri tw kisi ne mjhy kaha keh me sehri 3:30 yaani ramzan ki timing pe band krdun jab ke yahan fajar 5:55 pe hoti Aap pls btaein me sehri kab rok dun
Answer:
Jee nahin, balke jis waqt namaz fajar ho rahi ho us se ihtiatan 10 minutes pehly roze ko batil karne wali cheezon se parhez kiya jaye. Q ke ramzan k roze ki niyat ka aakhri waqt aik aise shak k liay jis ki tawju ho, azan se phele hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail Edition 41st , maslah #1533)
[Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia injection sy roza toot Jaya hai?
Answer:
Injection lagwane se roza batil nahe hota. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41st edition, maslah #1557 )
[Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]