Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions:


Question & Answers << Go Back

Topic: Qaza Aur Kaffaray Ke Rozay (30 Questions)


Showing 0- 30 questions from 30 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
4010
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: aik rozay ka hadiya kitna hota hai kiun kay meray miyaan bemari ki waja say rozay nai rakh saktay muje es kay bartay main kuch bata dien

Answer: Agar koi shakhs beemari ki wajah se ramzan k rozay na rakhay aur is ki beemari ainda ramzan tak lambi ho jay to jo rozay os ne na rakhay hoon in ki qaza is per wajib nahi he. Aur zurari he k har din k lie aik mud(takreeban 750 gram ) twam yani gundum ya joe ya roti wagira faqeer ko de. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1674) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
9070
Mujtahid:
ana muslim Date:

Question: kya shaval kay 6 rozay bharnay say pehlay ramzan kay chotay huai rozay bharna zaroori hai?

Answer: Jis shaks per qaza rozay hoon os k liay mustahab rozay rakhna jaiz nahi balkay Zarori hai ke wo Qaza Rozay ki Niyat Rakhay aur agar wo Qaza Rozaa rakh le to isay Mustahib rozay ka Sawab bhi (Inshallah) Milay ga(Ref : Mujtahid se pochay gaye Sawalaat part#Roza, Ques#90 pg#53)(Khuda aap ki Tawfiqaat Mein Izafa farmaye).

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
9890
Mujtahid:
all Date:

Question: May nay saudia may ramadan ka 25 rozay rakhay or phir may holidays may pakistan chala gaya or wahan per rozay poray kiya lakin mujhay pata chala kay saudia may ik roza kaza ho gaya hay tu kia mujh per bhi roza kaza ho ga kay may pakistan kay hisab say aab roza rakhun ga.kiun kay meray ik roza zayada ho gay hay. Kia roza jis mulk may hun us hi kay mutabik rakhna ho ga yeh phir may jis mulk travel ker raha hun us kay mutabik rakhna ho ga. thanks

Answer: mojoda maqaam ke mutabiq roze rakhne hon ge, yani saudia main hone ki sorat main is ke mutabiq or Pakistan main hone ki sorat main is ke mutabiq roze rakhne honge. Pas ager ap ko yaqeen hai ke saudia main 1 roza qaza howa hai to us ki qaza karni ho gi.(Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # roza , sawaal # 129 , 176 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
14775
Mujtahid:
Ayatullah Seestani Date:

Question: Marhoom k rozon ki qaza kaisay ada ki ja sakti hai.

Answer: Baap k mernay k baad baray baitay k liay ehtiyaat e lazim ki bina per zarori hay k baap k rozo ki qaza isi terah baja laay jaisay k namaz k silsilay main {tauzeehul masail main}maslah # 1371 main tafseel say bataya gaya hay. wo ye bhi ker sakta hay k her din k badlay 750 gram khana kisi faqeer ko day day. chahay warisoo k razi honay ki sorat main mayyit k maal hi say day. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1683).
Note : agar baap nai apnay kuch rozay na rakhain hon aur un k qaza karnay par qadir ho to agar os nai khuda k hokum ki na-farmani kartay huay in ko tark na kia ho to ehtiyaat e wajib ki bina par wajib hai k baap k marnay k baad os k qaza rozay rakhain.
2) Agar kisi nai miyyat ka qaza roza rakha ho to behtr ye hai k zohar k baad roza na toray. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1672 )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
15399
Mujtahid:
Date:

Question: aslama alakum g me poochhna chahti hoon ki womens ke kuchh roze reh jate..hai...to kya unhe pura karna jaroori hota hai....jaroori hai to kabh rakh sakti hai rahe huye roze......plz batao.

Answer: Haiz or nifaas ki wajah se jo rozay qaza ho jaatay hain on ki qaza karna zarori hai or ehtiyaat e mustahab ki bina par aglay ramzan se phely in rozo ki qaza ker li jaay. Or agar aglay ramzan se pehlay qaza nahi bja lae gae tu har rozay k badlay ¾ kg khana fidya e takheeri k taur per daina hoga. (Ref : Minhajus Salaheen Ayatullah Sistani d.b. Part #1 , masla # 1045,1047) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
15438
Mujtahid:
aqa-e-sistano Date:

Question: salam..meraa aaj ka sawal ye hi k...mere har saal k jo periods ki wajhaa se rooze chutt jatee hii un mein se mein 3-4 razon ki qazaa karte ho baqi k 2-3 roze jo almost 10 years se mein qazaa nhi kar payee. meujhe per kya huqam haii...kiya ye rozon ki qaza mein paison ki sooorat mein ada kar sakte hoon ..ya abhi mein un roozon ki qaza karoon.....

Answer: Haiz or nifaas ki wajah se jo rozay qaza ho jaatay hain on ki qaza karna zarori hai or ehtiyaat e mustahab ki bina par aglay ramzan se phely in rozo ki qaza ker li jaay. Or agar aglay ramzan se pehlay qaza nahi bja lae gae tu har rozay k badlay ¾ kg khana fidya e takheeri k taur per daina hoga. (Ref : Minhajus Salaheen Ayatullah Sistani d.b. Part #1 , masla # 1045,1047) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
16140
Mujtahid:
imam abo hanif Date:

Question: qaza roza kab raksakt hai khi ramzan finsh honi ka baad raksakt hai shawwal ka month main

Answer: Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain.
Rozay ki qaza krnay mai jaldi krna wajib nhi hai agarchahe ehtiyat e mustahabb ye hai k ramzan k mahinay ki qaza doosray aanay walay ramzan sai takheer na karain. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 1, masla # 1047)
Agar koi shakhs ramzan k rozay rakhnay mai kotahi karay to zaroori hai k rozay ki qaza bhi karay aur aur ehtiyat ki bina par har aik din k lie aik mudd toam(khana) faqeer ko day. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1677)

Print

Id:
32196
Mujtahid:
Date:

Question: Sistani farz rozay kay maina 12din bemari ke waja say qaza kia hai ab kesay niyat karkay rakhu

Answer: Aap niyat karein k main ramzan k qaza rozy rakh rahi hoon. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1536 ) . (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
41198
Mujtahid:
agha sistani Date:

Question: mere qaza rozay hain aur jin ki qaza mai ne next ramzan tak ada ni ki hai meri kia resposibility hai ab

Answer: Agar koe shaks ramzan k rozo ki qaza kerne main khuch . ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1680). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
56269
Mujtahid:
Date:

Question: Assalam Alaikum Mera sawal ye hay kay Ramzan main agar koi apni bv kay sath raat ko jimaa keray aur subha wazu ker kay sehri ker lay aur sooraj nikalnay kay baad ghusal keray tu us ka roza ho jaye ga jab kay us nay kuch nahi khaya piya ho

Answer: Wssalam o alykum,Agr azan subah tk ghusl na kiya jye to Us ke liye zarori hai ke is din mafi u zimmah ki niyat se roza rakhe (yani jo bhi Allah Taala ke nazdeek mere liye zimmedari hai us ko Allah Taala ke liye anjaam de raha hon), or phir ramzaan ke baad isi roze qaza kare lekin is main qaza ki niyat na kare balke mafi u zimmah hi ki niyat kare, or Azaan e Subha se pehle gusal e janabat na karne ki waja se kuffara bhi ada kare.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 1591 , 1630 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
56623
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Asslaam Alaikum اگر شق کی بنیاد پر رمضان کے پورے رکھے ھوئے روزوں میں سے کچھ دھرانا چاھیں تو دھرا سکتے ھیں ؟ Agar Shaq ke Buniyad par Ramdan Kay rakhay hoay rozon main say kuch dhurana chahin tau duhrana theek hay ? Shaq say matlab agar Jhoot Bola Gaya, Gheebat kar dee ho, Zyada ya dair say khana khanay say laitnay k baad Dakarnay say moonh main pani a janay say ? Aik shakhs rozana ramdan kay rozay rakhta hay, kya us k liyay rozay ke niyat karna zaroori hay. Aur twatar kay sath 30 rozay rakhta hay.

Answer: Ehtiyaat ki bina per qaza roze rakhna jaiz hay. Rozay me Jhoot bolna ya Geebat karnay say Roza Batil nahi hota. Rozay ki Niyyat dil say Guzaarna(moo say bolna zaroori nahi) kafi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul Masail, Maslah#1553,1531)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
61919
Mujtahid:
Date:

Question: muje yehi puchna hain k mery abu both bemar ty or uno na 5 rozy ramzan shrif k rozy rhky ty as k bad un ki haalth both krhab ho gi te or uny doctr na mana kardia ta wo hospetil main admit ty 2 months k bad un ki death ho gi hain main un ki beti un ki jga rozy rhkna chati ho kaya main rhk shkti ho plz muje zaror bty

Answer: Agar koi shaks kisi bemaary ki waja se ramzaan k roze nah rakhe aur is muddat k guzarne se phele k jis me wo in rozo ki jo us ne nahi rakhe the qaza kar sakta ho mar jae to in rozo ki qaza wajib nahi hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1673). Update on dated 17-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
63935
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: main ye poochna chahti hn k agr kisi k bndy k 4 ya 5 saalon k rozy qza hn r usy sahi tadaad bhi maloom na ho to usy kia krna chahye please iska koi asan sa possible solution btaye Allah apko jazae khair dy

Answer: Sirif on ayaam k rozo ki qaza karna wajib hai jin k baare me yaqeen ho k roza nahi rakha thay. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, roza , sawaal # 79,112,pg: 48 ,59). Update on dated 24-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
71821
Mujtahid:
Date:

Question: Agar him rozy ka kaffara na dein to kiya hoga

Answer: Ramzaan k roze ko jaan boujh kar tourne ka kaffara k tour per zarori hai k 2 mahine roze rakhe ya har roze k badle 60 faqeero me se har aik faqeer ko 750 gm gandum waghaira daina wajib hay .Aur agar ye mumkin na ho to tauba o istigfaar kare aur ehteyaat e wajib ye hai k jis waqt kaffara dene k qabil ho jain kaffara de. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail edition:2015, maslah #1632,1633), (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat roza, ques # 112,113, pg # 59) Update on dated 26-06-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
72243
Mujtahid:
Date:

Question: roze me mani zabardasti nikalne se kya roza makrooh ho sakta hai

Answer: Ramzaan k roze ko jaan boujh kar tourne ka kaffara k tour per zarori hai k 2 mahene roze rakhe ya har roze k badle 60 faqeero me se har aik faqeer ko 750 gm gandum waghaira diya jaay .(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail edition:2015, maslah #1632,1633), (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat roza, ques # 112,113, pg # 59). Update on dated 22-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
77211
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Menses ke doraan jo rozay chot jatey hai kiya unki qaza zaroori hai

Answer: Jee haan, on rozo ki qaza zarori hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael jaame,Edition# 1435,Mafhoom e Maslah #1913). Update on dated 17-03-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
80912
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Agar roze se pehle mani nikalne k baad ghusal na kiya jaye or roza bagher ghusal k rakh liya jaye to kya ye darust hai??

Answer: Ramzan main azaan subh tak janabat ki halat main rehna rozey ko batil kardeta hai , zarori hai k azan subh se phely ghusl karey. or agar jaan bojh kar azan subh tak ghusl nah karey to zarori hai k is din ka roza pora karey or phir ek din or roza rakhey or pehla roza maa-fiz-zimma ki niyat se rakhey or ramzan k baad bhi jis din roza rakhey or os main qaza ki niyat nah karey. Is k alawa is per roze ka kaffara bhi wajib hoga. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masael 36th edition, maslah # 1591,1630). Update on dated 13-06-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
104225
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date: 2023-08-09

Question: Slm... Agar insan ko mlm na ho ka uska qaza rozy Hai or wo mustahab rozy rakna chahta ho to Kia us rozy ki niyat mafizima kr shakta Hai.. Agar qaza roza ho to qaza MA Shumar ho or agar qaza na ho to mustahab MA.......???

Answer: Agar ramzaan ka qaza rozay kisi k zimay hon to wo mustahab roza nahi rak sakta hai aur mustahab rozay ki niyat karna jaiz nahi bal k zaroori hai k wo qaza ka irada karay aur agar wo qaza roza rakh lai to osay mustahab rozay ka sawab bhi milay ga. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # roza, sawaal # 90, pg # 53) (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1544)
[Updated on 09-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
107918
Mujtahid:
Sayyid Ali Hosseini Khamenei Date: 2020-08-27

Question: Salam, Aaj main qaza roza ki niyat se sehri ki, Mn sehri 0400 se phle kar chuka tha, Azan ki timing 04:12 thi, Jo mujhe confirm nhi thi, Main aik dost se subah ki azan ki timing poachi, uss nain 0430 batai, To mn uss kai hisab se pani pee kar niyat ki. Baad mn azan ki timing ka pata chala keh aaj 04:12 hai. Kia mera roza shi hai ya nhi.

Answer: Koe kahe keh subah nahi hoe or insan os k kehne ki bina par koe aisa kaam kare jo roze ko batil karta ho or baad main pata chale keh subbah ho gae thee tu faqat os roze ki qaza karna wajib hogi. (ref tauze ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #1659 )
[Updated on 27-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
108035
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-08-17

Question: Meri ami ki tabiyat kharab rehti hai to kya unki jaga main unke qaza rozay rakh skti hun?

Answer: Jee nahi jab tak wo hayaat hai tou un k qaza rozay koe bhi nahi rakh sakti.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 1514).
[Updated on 18-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
108046
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-08-17

Question: Periods mein jo rozay reh jahe tou kiya shawaal k rozay rakhny sy wo puray ho jaty han?

Answer: Jo rozay periods ki wajah sai nahi rakhay gaye un ki qaza laazmi hai or jab tak kisi shaks k zimmay ramzan k qaza rozay ho wo mustahab roza nahi rakh sakta lehaza agar shawwal mai roza rakhna chahay tou ramzan k qaza rozay ki niyyat karni hogi or saath mai ye bhi iraada karein k agar qaza rozay na hote tou mai ye mustahab rozay bhi anjaam deti tou inshallah parwardigaar usay mustahab rozay ka sawab bhi ata karay ga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 1544,1673).
[Updated on 17-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111155
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-10-29

Question: Assalamualaikum Janab mey umar bar roza nahi rakka aur ab rakna chahta hu please guide me kaise rakhu aur kya niyat karu.

Answer: Aap ko jitne rozo ki tadaad k bare main yaqeen ho keh aap ne nahi rakkhe utni miqdaar main rozey rakhna wajib hain or jaan boojh kar roze nah rakhne ki wajah se kaffare bhi daina hongay.(Ref: https://www.sistani.org/urdu/book/26352/4435/ + https://www.sistani.org/urdu/book/26352/4438/)
[Updated on 29-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115478
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-07-16

Question: If someone has opened their qaza roza after zawaal what qaza and/or kaffara he/she has to pay...

Answer: 1: Jis shakhs nai ramzan ka qaza roza rakha ho wo is rozay ko zohar sai pehlay tor sakta hai Albatta agar qaza ka waqt tang ho to behtar hai k roza na toray. lekin zuhar ke bad ramzan ke qaza roze ko jan boojh kar torna jaiz nahin hai, aur kaffara bhi dena hoga.
2: Jo shakhs ramzan ke rozay ki qaza kare agar wo zuhar ke bad jan boojh kar koi aisa kam kare jo rozay ko batil karta ho to zaroori hai ke 10 faqeeron ko fardan fardan aik mud khana (masalan 750 gram wheat ya rice )de aur agar khana na de sakta ho to 3 rozay rakhay.(Ref: Tauzeeh ul masail Jamea, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #2041)+(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1658).
[Updated on 17-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122292
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-06-06

Question: ہمبستری کے ذریعے قضاء روزہ توڑنے کا کفارہ کیا ہے آقای سیستانی

Answer: Agar apna mah ramadaan ka qaza roza tha to agar azaan e zuhar se pehle jaan bhoojh kar hambistri ke zariye baatil kiya hai to koi kaffara nahin hai.
Lekin agar azaan e zuhar ke baad jaan boojh kar hambistri ke zariye baatil kiya hai to kaffara wajib hai. Aur kaffara ye hai ke 10 faqeeron ko pait bhar ka khana khilayen ya un mein se har aik ko aik mud taam (750 giram) den aur agar aisa nahin kar sakte to 3 din roza rakhen.

(Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), Part #2, Edition #1443, Maslah #153,155).
[Updated on 07-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123028
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-10-06

Question: Qasar roza Zohar time khol skty h.

Answer: Jis shaks ne ramzaan ka qaza roza rakha ho wo is roze ko phele toore sakta hay laikin agar qaza ka waqt tang ho tu behter hay ke roza na toore .
1: Wo safar jis me jana aur aana 44 kilo meter aur wahan 10 din rehne ka irada bhi nah ho isi tarah wo apna watan bhi nah ho to wahan namaz qasr (yani chaar rakati namaz ko do rakat) kar ke parna zaroori hai aur roza bhi nahin rakh saktien.

2: Jis din safar karna ho, agar safar zuhur ke baad shuru karen to ehtiyaat ki bina par us din ke roze ko poora karna hoga (yani zuhur ke baad roza nahin khol saktein) aur agar safar zuhur se pehle shuru karen to phir ehtiyat e wajib ki bina par safar main us din ka roza nahin rakh saktien (yani zuhur se pehle roza khol sakti hain). Lekin har soorat mein Hadd-e-tarrakhus (jis ka maana baad me bataya jaye ga) tak puhnchne se pehle aisa koi kaam nahin karna chahiye jo roze ko baatil karta ho warna kaffara waajib hoga. (yani Hadd-e-tarrakhus se pehle roza nahin khol saktein, lekin agar Hadd-e-tarrakhus se pehle roza iftaar kiya jaye to kaffara waajib hoga).

Note: Had tarrakhas woh jagah hai jahaan se ahl-e-sheher hatta keh woh afraad jo sheher ke muzaafaat mein sheher ke baaher rehte hain musaafir ko na dekh sakein aur us ki alaamat yeh hai keh woh ahl-e-sheher ko na dekh sake.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #,1670,1305,1685,1692).
[Updated on 06-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123127
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-10-24

Question: Assalam o Alaikm jin rozon ka kaffara hona hai un me har ek rozy ka alag kaffara hoga ya sab ko mila k ek he bar kaffara hojyga ... Or duari bat ye k mje na kaffary waly rozon ki tadad maloom hai na tory hwe rozon ki to me iss k lye kia karum

Answer: 1: Har aik rozay ka alag alaag kaffara dena hoga maslan agar 5 rozay ka jaan bhooj kar chorhe the to har aik rozat ke kaffare ke taur par 2 mahine rozay rozay rakhne hon gay yani 5 rozay ke kaffare ke taur par 10 mahine rozay rakhne hon gay. aur is ke alawa wo 5 rozon ki qaza alag se karni hogi. aur agar kaffare ke taur par 60 faqeeron ko khana khilana ho to us ka bhi yahi hukum hai.
2: Aap ko jitne rozon ki tadaad ke bare main yaqeen ho keh aap ne nahin rakhe utni miqdaar main rozon qaza rakhna wajib hain aur isi tarah jitne rozon ki tadaad ke bare main yaqeen ho keh aap ne nahin rakhe ya torhe hain utni miqdaar me rozon ka kaffara dena wajib hai.
lekin jitne rozon ke baare me shak hai ya ehtemaal hai ke nahin rakhe ya rorhe hain us miqdaar ke rozon ki qaza ya kaffara wajib nahin hai.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1630,1681. + Mujtahid se poochay gaye sawalaat, chapter roza, sawal #79,112, pg #48,59).
[Updated on 25-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123361
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-12-17

Question: Suba jb ankh khuli to mainy jldi sy Pani pi kr rozy ki niyaat krli phr mainy time dekha to azaan hwy b 5 min guzar gaey thy.. to kya mera roza hojaega?

Answer: Agar aap ka sawal ramzan ke rozay ke hawalay se hai to aap ki zimmay daari ye hai ke aap ne ye roza bhi mukamal karna hai aur ramzan ke bad is ki qaza bhi anjam deni hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1659).
[Updated on 18-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
124225
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-06-28

Question: Salam ..Myny kl Raat asay hi irada kia tha k myn kl yani k aj roza rkhon gi r waqeii rkhna b tha lkn sehri myn uth na sakki ..r fajar k aadhy ghnty bd aankh khuli..tu kia is k bd myn rozay ki niyat krskti hon r Mera roza sahi hoga !?

Answer: Mustahab roze ki niyyat maghrib se pehle tk ki jaskti hai agar din bhar me nkoi mubtilat e roza anjaam nh diya hai to..
Wajib Qaza roze ki niyyat Zohrain se pehle pehle tk ki jaskti hai agar uss waqt tk koi mubtilat e roza anjam nh dia hai to..
(Ref: Touzih ul
[Updated on 29-Jun-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
124227
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-06-26

Question: Mai nay 18th zilhaj kou bagher e sehri roza rkhnay ka irada kia per meray oper qaza roza bhi hai jiski mai nay niyat nahe ki sehri mai kia mujhey roza continue rkhna chahye?

Answer: Agar kisi pr mahe ramzan ka qaza roza ho to vo mustahab roza nh rkhska
(Ref: Touzih ul Masail Agha Sistani d.b, 44th Edition, Masla No. 1543)
[Updated on 27-Jun-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
124424
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-08-11

Question: Agr koi is dunyya Sy chala jaya tu kya ous ka bhe rozy kuffara hoga

Answer: Baap k mernay k baad baray baitay k liay ehtiyaat e lazim ki bina per zarori hay k baap k rozo ki qaza baja laay (jaisay k namaz k silsilay main tauzeehul masail main maslah # 1371 main tafseel say bataya gaya hay) wo ye bhi ker sakta hay k her din k badlay 750 gram khana kisi faqeer ko day day. chahay warisoo k razi honay ki sorat main mayyit k maal hi say day. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1683).
Note : agar baap nai apnay kuch rozay na rakhain hon aur un k qaza karnay par qadir ho to agar os nai khuda k hokum ki na-farmani kartay huay in ko tark na kia ho to ehtiyaat e wajib ki bina par wajib hai k baap k marnay k baad os k qaza rozay rakhain. 2) Agar kisi nai miyyat ka qaza roza rakha ho to behtr ye hai k zohar k baad roza na toray. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1672 )
[Updated on 12-Aug-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print