Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Chaand k ahkam (7 Questions)


Showing 0- 7 questions from 7 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
114
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-21

Question: Kindly quote quranic reference of Khums? Can we rely on The Shawal moon which was declared by government?

Answer: Ayat of Khums : Surah Anfaal Ayat #41 (Para #10)...
Agar chaand honay ka Yaqeen ya Itmeenaan hasil ho jaey to manna zaroori hay.

Print

Id:
2461
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khumeni Date: 2018-06-07

Question: when is the eid? majority says its today on the 20th september 2009. please if posible rply now cause i need to know it tody itself. thank you

Answer: Pehli ka chand 5 tareeqo say sabit hota hay:
1)Insaan Chand khud daikhay.
2)Aisay khuch loog kahain jin k kehnay say yaqeen(100%) haasil hojaay.
3)2 aadil merd kahain k hum nay khud daikha hay.
4)Pichlay mahinay k 30 din guzar jain.
5)Mujtahid hokum day k aaj chand ki pehli hogae hay.(ref:Ayat ullah Khumeni,Tauzee hul masail, maslah#1727) .

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
5597
Mujtahid:
ayatollah Sistani Date:

Question: assalam o alaikum pakistan mein agr kisi bhi elaqe mein chand nazar aa jaye to kya doosre elaqon wale bhi use apna chand krar de skte hain?? for example: agr karachi me chand nazar aa jaye aur pindi-islamabad me na aye to islamabad walo k lye kya hukam hai

Answer: Shaharoon (cities) ka aik doosray se door aur qareeb hona chand k sabit honay ka meyar nahi he balke meyar danoo k ufaq ka us tarha se aik hona he k aik shahar me chand k dekhay janay se dosray shahar me bhi agar badal wagira jaise rukawat na ho to chand ko dekha ja sakhe pas agar aik shahar me chand sabit ho jey to us shahar k magrib me waqae un shaheroon me bhi chand sabit ho jay ga jo khat e araz k hisab se bohat ziada door na ho lakin is shahar k mashriq me waqae sharoon k lie us waqt tak chand sabit nahi ho ga jab tak k wo shahar mazkoora meyar per pura na utarta ho maslan is tarah k jis elaqae me chand nazar aya wahan chand donoo elaqoon k darmian suraj groob honay k fasle se ziada dair tak nazar aata rahey. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # roza, ques # 197, pg # 95 , 96)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
56429
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Assalamo alaikum janab ham yaham dubai me rahte hai yahan har sal tamazan aur eid ke chand me kashmakash rahti hai kyoki sare marja e taqlid ki janib se tarikh aage rahti hai aur ayatullah ali sistani sahab ki taraf se 1din piche rahti hai yani kisi ki eid hoti hai kisi ka roza hota hai kya sab ka roza aur sabki eid ek sath nahi ho sakti meharbani karke is masle ka hal jald se jald bata de shukriya

Answer: Roza rakhne , aur eid ka silsile me insaan ko apne mujtahid k nazdeek chand ka sabit hona zarori hai. aur inssan ko apne mujtahid he ko follow karna zarori hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1701 )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
65616
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: I am studying and living in China for the last two years. China is a non-Muslim country. Few Muslims in my city, particularly, follow Saudi Arabia during the Holy month of Ramzan, starting and ending according to Saudi Arabia calender. If we see on the world map, and according to my understanding, China must follow Pakistan, instead of Saudi Arabia, because China is 5 hours ahead than Saudi Arabia in time as well. Therefore, how is it possible that moon can be visible in China before Pakistan. I am not expert to do some mathematical calculations to give correct approximation according to change in geography. Therefore, I want to follow Pakistan in terms of Ramzan Fasting Calender rather than to follow the Chinese schedule which is basically following Saudi Arabia. Although, most of the Muslims in my city, particularly Pakistanis, follow Saudi Arabia. Please tell me either can I follow Pakistan rather than Saudi Arabia or not? Because Pakistani Ramzan Calender is appealing me much more than Saudi Arabian's because of geographical location of Pakistan and China. In addition, my living city Hanzhou is in East China. Much far away from Saudi Arabia and even from Pakistan's border as well. Moreover, I have seen that Chinese Muslims offered Eid ul Fitr Prayer on second of Shawal last year and there was no fasting on 1st of Ramzan, because they need to take permission from government for Eid Prayer at least one day before the event (as I heard about it). This is information of my living city in China. Hence, Pakistan's Ramzan Fasting schedule is much appealing me to follow rather than Saudi Arabian's while living in Hangzhou, China. But it is a critical issue as most Pakistani's living here are following Saudi Arabia, even such contradictions are also present in Pakistan Therefore I am consulting a scholar to advice me in this matter. Looking for a prompt reply please, as the month of Ramzan is very close to start.

Answer: You should be able to know that by sighting the new moon in your country or nearby countries that share the same horizon; in other words, if the crescent is sighted in one country, it should be seen in the other, were it not for natural barriers, such as clouds, mountainous terrain, and the like. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1706). Update on dated 18-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
66617
Mujtahid:
Date:

Question: I came from Saudi Arabia and now in Pakistan for Eid you know in Saudi ramzan started one day before so I will follow the Eid with Pakistan or Saudi arabia

Answer: You must follow your current zone now for moon. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #). Update on dated 17-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
77684
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Kaya chand nikal ne ki khaber mard ke mo se sonne caheye keya haddess me likha ha

Answer: “Shoib bin yaqoob hazrat imam jaffer sadiq a.s se or wo apne walid e maajid se riwayat kerte hain k hazrat ameer a.s fermate hain k talaq or chand k maamlay main sirif 2(adil) merdo ki gawahi ko nafiz samajhta hoon”, “Hammaad bin usman hazrat imam jaffer sadiq a.s se riwayat kerte hain fermaya: Hazrat ameer a.s ne fermaya hay k chand k baaray main aurtoo ki shahadat jaiz(naafiz) nahi hay or sirif 2 aadil merdo ki shahadat jaiz (naafiz) hay”. (Ref: Wasaelush shia jild #7, kitabus saum, Ahkaam e maah e ramazan k abwaab ka baab #11). Update on dated 31-03-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print