Showing 0- 42 questions from 42 questions on this page.
Question: Assalomoalikam< If someone can do relation with her wief if she has performing some Mustaheb Roza what will she do, her Roza will be over or what else ?
Answer:
Salam un alaikum,
Agar aurat key mustahib roza rakhnay sey shohar kee haq talfi hoti ho to aurat ka roza rakhna haram hay aur ehtiyat-e-wajib yeh hay keh agar shohar kee haq talfi na ho tab bhi us kee ijazat key bagair mustahib roza na rakhay.
Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Sistani (Probe No. 1749)
Question: SALAM! me jab mustahib roza rakhta ho to meri mother mera roza kholwa dete hai,jaise wo kehti hai ke me dawat de rahi ho, tu kia me roza khol sakta ho?or yeh bhi bataye ke dawat me khana hona zarori hai ke sirf pani ya sharbat chale ga? (plz refrence de de to kia hi bat ho gi) KHUDA HAFIZ
Answer:
Jo shaks mustahab roza rakhe os k liay wajib nahi hay k osay ikhtetaam tak pohanchaey balkeh agar os ka momin bhai osay khane ki dawat day tu mustahab hay k o ski dawat ko qobool ker lay. Or din main hi roza khol lay chahay zuhur k baad hi q nah ho.
(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #)
yeh istihbab us surat men he ke jab dawat qubool karna momin ke suroor ka bais bane or dawat rad karna na rahati ka bais bane.
(Ref:Istifta Agha sistani D.B)
Update on dated 13-23-2021.
(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)
Question: agar koi mustahib roza kholwai to fazilat kiss me ziyada hai 1...me roza kho lo ya 2...ose mana ker do? or agar khol do to,tu kia agar koi roz roz kholwa de to kia hukum hai? or agar roza khol de tu kia os ka sawab kitna ho ga,os roze se ziyada jo me pora karo ya os kam ya otna hi?
Answer:
Jo shaks mustahab roza rakhe os k liay wajib nahi hay k osay ikhtetaam tak pohanchaey balkeh agar os ka momin bhai osay khane ki dawat day tu mustahab hay k o ski dawat ko qobool ker lay. Or din main hi roza khol lay chahay zuhur k baad hi q nah ho.
(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #)
yeh istihbab us surat men he ke jab dawat qubool karna momin ke suroor ka bais bane or dawat rad karna na rahati ka bais bane.
(Ref:Istifta Agha sistani D.B)
Update on dated 13-23-2021.
(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)
Question: 15 shaban kay bad rozay rakhanay k baray main hukam kya ha?
Answer: bismehi taala, rajab aur shaban k pure mahine me jab bhi roze rakhe jaye musthab he (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.1757)
Question: Salaam, sir kia ham nafli roza kisi dost ki dawat per zawal ke bad aftar kar saktay hain?
Answer: Jo shaks mustahab roza rakhay tu os per wajib nahi keh osay aakhir tak pohchay or jab chahay tu roza torh sakta, balkeh agar koe momin bhai khanay ki dawat day tu mustahab hay k o ski dawat qabool kerlay or roza iftaar kerlay,momin bhai ki daawat qabool kernay(khana khanay)say agarcha roza baatil hojaay ga laikin ye amal osay rozay k ajr o sawaab say mehroom nahi karay ga.(Ayat Ullah Khamnaie(d.b),taleemul ehkaam taleemul ehkaam,pg#58-61) .
Question: Sal main kis kis din din roza rakhana haram hay ya makrou hy?
Answer:
1)Eid ul fitr aur eid e qurban ke din roza rakhna haram he. 2)Aur jis din k baray me insaan ko ye ilm na ho k shabaan ki aakhri tareekh he ya ramzaan ki pehli to agar wo is din pehli ramzaan ki niyat se roza rakhay to haram he. 3)agar aurat ke mustahab rozay rakhnay se shohar k haq talfi hoti ho to aurat ka roza rakhna haram he. 4) agar aulad ka mustahab roza maa baap k lie aziyat ka maujib ho to aulad ke lie mustahab roza rakhna haram he.Is k ilawa aur bhi haram rozain hein .
2) Aashoor k din roza rakhna makhroh hay or os din ka roza bhi makhroh hay jis k baray main shak ho keh arfa(9 zil haj) ka din hay ya eid e qubaan ka din hay. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 1709 , 1710 , 1711,1717).
Question: Assalam alikum,kya zilhaj ke 10 roze rakh sakte?ya 10 se kam 3 rakh sate hai iski koi hadees bataye?
Answer:
1)Zilhajj ki pehli tarikh say 9 tarikh tak roza rakhna takeed k sath mustahab hay laikin agar insan rozay ki wajah say paida honay wali kamzori ki bina par yom e arafa ki dua na parh sakhay to is din ka roza rakhna makrooh hay.
2)Eid e quban k din roza rakhna haram hay.
3) in 9 din k rozo main se aap jitney rozay rakhain gay utne rozo ka sawaab milay ga ye zarori nahi hay k poray 9 rakahin gay tu hi sawab milay ga. (Ref : Tauzeeh e ul Masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1718) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: salam,9 zil haj k rozay rakhnay ki niyat kia ki jati hai or is rozay ka kia sawab hai?
Answer: Zilhaj ki 1st say 9th tak roza rakhnay ki bohat takeed aae hai, 9th zilhaj ka roza mustahab ki niyat say rakha jaey laikin agar insan rozay ki wajah say paida honay wali kamzori ki bina par yom-e- arfaa(9th zilhaj) ki duaein nah parh sakay tou us din ka roza rakhna makrooh hay. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #1718)
Question: sir g agar men ko ehtelam ho jay raat ko sotay huway os ko pata bhi na chalay aur subha roza bhi ho tu kaya kary ga?
Answer: Agar koi ramzan me subah ki azan k baad jaghe aur ye dekhay k ise ehtelam hogaya hai to agarche ise maloom ho k ya ehtelam azan se phele hua hai is ka roza sahe hai .(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #1606) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: slam ap se mera sawal ye hain ke roza mein mani ka ikhraj ho jaye to rooza kharab to nahi hota
Answer: Rozay ki halat me ehtalam ho jaye tu roza batil nahe hota hai.. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1571) (Khuda ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Kya sex karne ke bad bina nhaye roza rakh sakte he or subah nha sakte he.
Answer:
1) Ramzan ka wajib roza rakhnay k lie Fajar k waqt se phele tak ghusal karna zarori hai. Aur agar jan boojh kar fajar sai pehlay ghusl na karay hatta k waqt tang ho jae to zaroori hai k tayummum karay aur aur os din ka roza rakhay.
2) Agar Junub shakhs ramzan me jan booj kar azan e subah tak ghusl na karay ya jis shakhs ka fariza tayammum ho wo jan booj kar tayammum nah karay to zarori he k us din ka roza pura karay aur phir aik din aur roza rakhey aur q k ye tay nahi he k ye dosra roza qaza he ya saza , lehaza ramzan k is din ka roza bhi ma,fiz zimma ki niyat se rakhe aur ramzan k bad bhi jis din roza rakhe is me qaza ki niyat na karay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1591-94) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kya roze main TV Movie Ya Song Dekhane Se roza toot jaata hai kay
Answer:
1-In kaamo se roza nahi toot ta. (Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla #1553 )
2-Agar aisi filmain be-heai par mustamil na hoon to dekhna jaiz hail akin shehwat aur haram mai mubtila honay ka khof na ho. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 1, sawaal # 183, pg # 90)
3- Ginna haram hai is sai murad wo batil kalam hai jisay aisi lai k sath gaya jay jo lohv o laeb ki mehfiloo sai makhoos ho. Isi terha aisi lai k sath quran aur dua ya is jaisi cheezoo ka parhna bhi jaiz nahi. Aur mosooqi yani aalaat ko is terha bajana jo lohv o laeb ki mehfiloo sai mutabiqat rakhay haram hai is k alawa haram nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2043) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: agr jan bhoj k mani nekal aye to kia roza tot jata hai
Answer:
1)Agar koi rozay dar istemna karay yani mard apnay hath sai ya kisi doosray zariay sai jima k alawa koi aisa fail karay jis k natijay mai mani kharij ho to roza batil ho jata hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1553)
2)Istemna krna haram hai chahae kisi bhi zarie sai ho. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 462, pg # 253) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Kia wo shakhs jis par mah e ramazan mai jan boojh kar roza tornay ka kaffara hai, mustahabb roza rakh sakta hai?
Answer: Jee han, rakh sakta hai. (Ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # Roza, ques # 122, pg # 62)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: jis shakhs par koi qaza roza baqi ho wo koi mustahab roza rakh sakta hay kia?
Answer: Agar qaza roza kisi k zimmay ho to wo mustahab roza nahi rakh sakta hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1544)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: mujhe pochna he k shab.e.mehraj main sirf 27 ka roza rakhty hen .. lakin mujhe aj ek sahab nay kaha k 1 roza nai rakh sakhty .. ya to 26 27 ka rakho ya 27 28 ka .. tu ap mujhe thora tafseel say bata den k agar ek roza nai rakh sakhty to q nai rakh sakhty ....
Answer:
Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain.
Rajab k puray mahinay roza rakhna mustahab hai aur ye zaroori nahi hai k saray rozay 26 aur 27 ka ya 27 aur 28 ka roza mila kar rakha jae. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1718)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: mera sawal yeh hai k mene rajab j roozey rakhey hai 16 or shab-E-Miraj ka rakha hai meri cousin ne kaha k rajab mein rozey nahi rakhe jatey hai haram hai mujhe janna hai k kya islam mein hai yeh rozey rakhna yea quran mein yea koi hadess plzz batain mujhe
Answer: Rajab aur shaban k puray mahinay mai rozay rakhna mustahab hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1718) aur 27 rajab ka roza to un 4 dino mai sai hai jin mai roza rakhnay ki khas shan hai jaisa k is din ka roza 70,000 saal k rozoo ka sawab rakhta hai. (Ref : Mafatihul jinan pg # 305)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Jan bhuj kar roza toodh ne par kiya karna hoga kufaara kiya hoga?
Answer: Agar koi shakhs ramzan k roze ko jaan bojh ker khanay pinay, jima, istemna ya janabat per baqi rahne ki wajah se batil karey jab k jabar (zabardisti) aur na’chari ki bina per nahi balkeh amadan(jaan boojh kar) aur ikhtiyar se aisa kia ho to is per rozay ki qaza k alawa kaffarah bhi wajib ho ga. Aur jo koi mazkoora umoor k alawa kisi aur tariqay se roza batil karay to ehthiyat e mustahab ye he k wo qaza k alawa kaffarah bhi day. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1565, 1630) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Please mjy eid e ghadeer k rozy ki fazeelat k bary mai jo ahsadees e masoomeen a.s hain un ki kitabo yani books ka reference chahye
Answer: 18 zilhajjeid ghadeer ka din hai ye din allah aur aale muhammad ki buhad bare eidoo me se hai allah ne har nabi ko is din ka ahteraam karne aur eid manaane ka hokum diya is din rasool ne hazrat ali ko apna kalifa aur janasheen banaya , is din ka roza 60 saal k ghunaya ka kafara hai, mazeed malomaat k lie kitaab mafaati ul jinaan , allama sheikh abbas qumi, eid ghadeer k aamaal ki taraf ruju kare. (ref: mafaati ul jinaan , allama sheikh abbas qumi, pg:263) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: mustahab roza agr koi khulwa de sawal e khuda k naam pr to koi waqt hai uska? ya kisi b waqt ho skta hai? n rozedar k lye kya hukum hai
Answer:
Jo shaks mustahab roza rakhe os k liay wajib nahi hay k osay ikhtetaam tak pohanchaey balkeh agar os ka momin bhai osay khane ki dawat day tu mustahab hay k o ski dawat ko qobool ker lay. Or din main hi roza khol lay chahay zuhur k baad hi q nah ho.
(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #)
yeh istihbab us surat men he ke jab dawat qubool karna momin ke suroor ka bais bane or dawat rad karna na rahati ka bais bane.
(Ref:Istifta Agha sistani D.B)
Update on dated 13-23-2021.
(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)
Question: plz tell me eid kay 2 or 3 din ko roza rahk saktay hain
Answer: jee rakha ja sakta hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2366 ). Update on dated 01-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Mera sawal ye hai ke shawwal ke 6 roze shawwal ke konsi date say start kare
Answer: 4 shawal say 9 shawwal tak. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah #1718). Update on dated 26-08-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Agr nafil roza me sehri ka waqt 4.53 hai... Or koi insan anjane me 4.58 tk sehr kare or fr pata chale ki sehr ka waqt to 5 min pehle khtm ho chuka h... To kya uska roza mana jayga? Ya nai??? (anjane me time cross hua )
Answer:
Ye roza sahi nahi hoga.(Ref: Mujtahid se pochae gaey sawalaat, sawal#18). [Updated on 25-Apr-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya shawal k rozay eid k dosre din se rekhna jaiz hai
Answer:
jee rakhay jaa saktay hai faqat pehli shawwal ko roza rakhna haraam hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 1709).
[Updated on 15-Jun-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: A.o.a can you tell me what is the neyat of eid ghadeer fast?
Answer: Fast of Ghadeer is mustahab. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #1718). Update on dated 20-08-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kya mustahab roza bina khaye piye yani aath pehra rakha ja sakta hai??
Answer:
Jaiz hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Urwatul wusqa, part#2, maslah #2558). Update on dated 06-09-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Agar sohar hukum day Kay roza khol lo you Kiya hukum hai chaye wo wajib ki niyat say rakha ho
Answer:
Agar aurat k mustahab roza rakhne se shohar k haq lazat e jima ki haq talafi hoti ho to aurat ka roza rakhna haram hai yehi hukum wajib e ghair moaiyan maslan ghair moaiyan nazar k roze ka hai aur is surat me ehtiyaat e wajib ki bina per roza batil hogha aur nazar bhi puri nahi maani jaey gi yehi hukum ehtiyaat e wajib ki bina per os waqt hai jab shohar aurat ko mustahab ya ghair moaiyan nazar ka roza rakhne se mana karde chahaey is se shohar ki haq talfi nah bhi hoti ho (Ref: Ayatullah sistani d b tauzeehul masail 41st edition maslah#1710)
[Updated on 16-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam-Alaikum!!...3 Rajab ko roza rakh sakte hain jabki ye din imame naqi ki shahadat hain aur is din ko laylatul ragaeb kaha gya hain ..,?
Answer:
Rajab aur shaban k pure mahine me jab bhi roze rakhe jaye musthab he (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.1757)
[Updated on 15-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam sir kia bagar niyat k mustahab roza rakh sakta hai?
Answer:
Jee nahin mustahab roze me bhi niyat karna zaroori hai. han agar aap ne magrib se kuch waqt pehly bhi niyat kar li to kafi hai. (Ref:Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh ul masail, masla # 1534 ).
Insan ke liay rozay ki niyyat dil se guzarna ya masalan yeh kehna ke "me kal roza rakhonga" zaroori nahi balkeh is ka irada karna kafi hai keh woh bargah e ilahi me apni zillat ke izhar ke liay azan subah se maghrib tak koi aisa kaam nahi karega jis se roza batil ho aur yeh yaqeen hasil karne ke liay is tamam waqt men woh rozay se raha hai zaroori hai keh kuch der azan e subah se pehle aur kuch der maghrib ke baad bhi aise kaam karne se parhaiz kare jin se roza batil ho jata hai. (Ref:Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh ul masail, masla # 1531 ).
[Updated on 05-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Maine mustaheb roza rakha aur mere momin dost ne mujhe khane par invite karliya mere liye kya hukm hai
Answer:
Jo shakhs mustahab roza rakhe us ke liye wajib nahin hai ke use ikhtitam tak punhchaye balke agar us ka koi momin bhai use khane ki dawat de to mustahab hai ke us ki dawat ko qubool kar lay aur din me hi roza khol lay chahe zuhur ke bad hi kion na ho. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 1718)
[Updated on 08-Nov-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Shawwal ky 6 rozy kya rakhny chahy
Answer:
Jee rakhay jaa saktay hai faqat pehli shawwal ko roza rakhna haraam hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 1709).
[Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia hajat k rozay safar k month m rkh sakty hain? Or chehlum m roza rkhna makro to nh?
Answer:
G han rakh saktay hain, aur chehlum (yani 20 safar) ka roza makrooh nahin hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #1717,2615 ).
[Updated on 27-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: 27 rajab ko roza rakhna chahiye
Answer:
Rajab aur shaban ke puray mahinay main rozay rakhna mustahab hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail, edition #42, maslah #1718) aur 27 Rajab ka roza to un 4 dino main sai hai jin main roza rakhnay ki khas shan hai jaisa k is din ka roza 70,hazar saal k rozon ka sawab rakhta hai. (Ref: Mafatih ul jinan, pg #305)
[Updated on 15-Mar-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia bivi apny shohar KY karobar mein taraqi KY lie nafli roza rkh skti hai?
Answer:
Jee han, rakh sakti hai. Albatta Agar aurat ke mustahab (nafli) roza rakhne se shohar ke haq-e-lazzat ki haq talfi hoti ho tu aurat ka rozah rakhna haram hai. yehi hokum wajib gair muayyin mas’alan gair muayyin nazar ke rozey ka hai aur us surat main ehtiyat wajib ki bina par roza batil hoga aur nazar bhi poori nahin mani jaye gi. Yehi hokum ehtiyat-e-wajib ki bina par us waqat hai jab shohar, aurat ko mustahb ya gair muayyin nazar ka roza rakhne se manah kar dey, chahey us se shohar ki haq talfi nah bhi hoti ho aur ehtiyat-e-mustahab yeh hai keh us ki ijazat ke bagair mustahb (nafli) roza nah rakhe.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1709).
[Updated on 15-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: 4 mustahib rozay 17,25,27,18 most fazilat walay hn inki riwayat kis imam a.s se milti hy
Answer:
Jawaab dedia hay .
[Updated on 14-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: 4 mustahib rozay 17,25,27,18 most fazilat walay hn inki riwayat kis imam a.s se milti hy
Answer:
Hazrat imam ali naqi (a.s) se sawaal kia gaya tha ke saal ke wo koonse din hain ke jis me (mustahab ) roza rakha jata hai,(yani ye wo din hain jin me roza rakhna khososiat ka hamil hai) (1) 17rabiulawwal ,hazrat rasool allah ki wiladat ka din ,(2)27rajib ,jis din rasool allah mabhoos banabuwat hoe ,(3)25zeqaad,jis me kaaba ke neche se zameen bechaae ghae ,(4)18zilhaj jo gadeer ka din hay .or ye wo 4 din hain ke aytullah sistani sahab ki tauzeeh ul masail,urdu ,pg no 260, masla no : 1717,me bhe in 4 dino me roza rakhna taqeed ke sath mustahab ( ajro sawaab ka bais) qaraar dia hay
(ref:wasailushia,urdu, jild no: 7,pg no 258,hadees no :3)
[Updated on 14-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: کیا 4 شابان کو عید کے دن روزہ رکھ سکتے ہے ؟"
Answer:
4shabaan ko rakh sakte hain balke rajab aur shaaban ke poore mahine ke rozay rakhna takeedi mustahab hain.
(Note: Eid ul fitr aur eid ul azha ke din roza rakhna Haram hai lekin is ke alawa baaqi eidon [eid gadeer, eid mubahila, eid naurooz, wagera] pe roza rakhna Haram nahin hai balke takeedi mustahab hai).
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1709,1718).
[Updated on 14-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam Shaban mai kis kis din roze rakhne chahiye
Answer:
Shabaan ke poore mahine ke rozay rakhna takeedi mustahab hain. ya is mahine me jitne rozay rakh sakien chahe wo aik din hi q nah ho.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1718).
[Updated on 25-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya Ramzan say eik ya do din pehlay roza rakhna sae hai ?
Answer:
Jee han, sahi hai, balke Ramzan se pehlay shabaan ke pooray mahinay ke rozay rakhna bhi mustahab hain.(laikin jab tak ramzan sabit na hojaay ye roze ramzaan ki niyat se nahe rakhe ghe )
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #44, maslah #1717).
[Updated on 02-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: nafil roza aur qaza roza mian dono ka sehari aur iftiyar timings kya hai
Answer:
1: Iftaari ka waqt to tamam rozon ka aik hi hai aur wo hai azaan-e-maghrib( maghrib ki namaz ka sharhe waqt ), lekin wajib ghair muayin rozay ki niyat ka waqt azaan-e-zuhur tak baaqi rehta hai lehaza agar wajib ghair muayin rozay ke liye jaisay kaffare ka roza ya maah ramazan ka qaza roza, jaan boojh kar azaan-e-zuhur se pehlay niyat nah kare to haraj nahin hai. balkay agar niyat se pehlay roza nah rakhnay ka iradah rakhta ho ya taraddud mein ho ke roza rakhay ya na rakhay, chunanche aisa kaam jo rozay ko baatil karta hai anjaam nah diya ho aur azaan-e-zuhur se pehlay niyat kare to is ka roza sahi hai lekin zuhur ke baad ki niyat ehtiyat-e-wajib ki bina par kaafi nahin hai.
2: Mustahab (nafil) rozay me agar aisa kaam jo rozay ko baatil karta hai anjaam nah diya ho aur azaan-e-maghrib se pehlay niyat kare to is ka roza sahi hai. lehaza agar azaan-e-maghrib se kuch waqt pehly bhi niyat kar li jaye to kaafi hai.
(Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), part #2, maslah #40. + Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #1534).
[Updated on 14-Feb-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Eid e Ghadeer k din rozadar ka roza khulanaeyka kya sawab hai?
Answer:
Ghadeer k din kisi momin ko iftar karane ka sawab hai .
Kisi momin ko khana khilane ka sawab kasrat se riwayat me zikr hua hai.
Rasool e khuda s.a ne farmaya: Jis ne teen mominen ko khana khilaya Allah use 3 jannato me khana khilaega 1.Jannat e Firdous se 2.Jannat e Adan se 3.Darakht e Tooba se..
Imam e Sadiq a.s ne farmaya: Jo koi kisi momin ko pait bhar k khana khilae to Allah k ilawa koi bhi uss sawab ko shumar nh krskta, na koi mukarrab farishta na koi payambar e mursal..
(Ref: Kitab Miftah ul Hayat, Page No. 281)
[Updated on 25-Jun-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Nagil rozay ki niyat kis waqt tak ki ja sakti hai?
Answer:
Agar roze ko baatil karne wala kaam maslan khana, peena wagera nah kiya ho aur din me jis waqt bhi mustahab rozay ki niyyat kar li jaye to roza sahi hai, chahe magharib hone me kam waqt hi reh gaya ho.
(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1534).
[Updated on 22-Jul-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]