Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions:


Question & Answers << Go Back

Topic: Khums Ke Masarif (43 Questions)


Showing 0- 43 questions from 43 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
82
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khoie Date: 2018-05-19

Question: gyar syed insan jo kay shia hai hum us kay illaj kay liay haq-e-sadat ki raqam say madad kar saktay hain?

Answer: ye JAIZ NAHI hay,is say zimmedaari poori nahi hogee. (Ref.Istiftaa)

Print

Id:
855
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Asslam O Alaikim. aik kahtoon appnai shor k intaqal k bad appnai bachoo ki taleem o terbiyet kerti hain.or appnai shor k gher waloon k sath hi rehti hain.un ki amadni ka koi zerya nahi tu kiya un ko khumooss ka adah hissa hum kud say ada ker saktay hain.

Answer: Khums kay 2 hissay hotay hain,aik hissa kisi syed faqeer ya yateem syed ko diya jata hay ya aisay syed ko jo safar main na-chaar ho gaya ho,usko diya jasakta hay.jabkay khums ka dosra hissa sehm-e-Imam(as) hay jo zaroori hay kay maujooda zamanay main Jamiush Sharait Mujtahid ko diya jaey ya aisay kaamoon par kharch kiya jaey jis ki mujtahid nay ijazat dee ho,aur Aihtiyaat-e-Lazim ye hay kay wo Marja-e-Alam ho aur umoomi maslihatoon say aagaah ho.jis shakhs kay paas apnay aur apnay aihl-o-ayaal kay liye saal bhar kay akhraajaat na hoon aur uska koi roozgaar bhi na ho jis kay zariye wo apnay aihl-o-ayaal ka saal bhar ka kharcha poora kar sakay wo faqeer hay..Bayan karda masalay ki roshni main aap jis khatoon ko apna khums dena chahtay hain agar wo syeda hain aur faqeer hain to khums ka aadha hissa yani sehm-e-sadat day saktay hain,agar wo faqeer hain laikin ghair syed hain to phir mujtahid ki ijazat kay baghair khums nahi day saktay..Sehm-e-Sadat mujtahid ki ijazat kay baghair khud mustahiq tak pohuncha saktay hain ,agarchay aihtiyaat-e-mustahib hay kay ye bhi mujtahid ya is kay wakeel ko diya jaey.Ref:Istiftaat I-35,Tauzeehul Masail Pg.No.272,294.Masala No.1804,1953.

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
1018
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: salam... mere pass khums kei 15-20 hazar rupess maujud hai.aur pakistan mei jo earthquake aaya hai ussei hamare bohot sare syed logo ka nuksan hua hai..karachi mei shia masjids mei paise jama kiye jaa rahe hai for helping those syeds..toh kya mei yeh khums kei paise waha dei sakti hu??please reply as soon as possible.

Answer: zaroori hay kay khums 2 hisson main taqseem kiya jaey,is ka 1 hissa Sadaat ka Haq hay aur zaroori hay kay kisi faqeer syed ya yateem ya aisay syed ko diya jaey jo safar main naChaar
ho gaya ho.lihaza aap jin hazraat ki madad ki khatir khums ki raqam day rahay hain agar wo sadaat hain aur faqeer yateem ya safar main naChaar hon to unko khums ka Adha hissa (yani Sehm e Sadaat) dena jaiz hay.jabkay khums ka dosra hissa Imam e Zamana AS ka hay kay jo zaroori hay kay maujooda zamanay main Jamiush sharait mujtahid ko diya jaey ya aisay kaamoo main kharch kiya jaey jis ki Mujtahid Ijazat day lihaza agar aap kay mujtahid nay aap ko Ijazat dee ho kay in zalzala zadgaan ki madad kay liye is raqam ko kharch kar saktay hain to aap kay liye khums ka ye hissa bhi unko dena jaiz hay.Aihtiyat e lazim ye hay kay mujtahid Arjae Aalam ho aur Umoomi maslihatoo say aagaah ho.Ref: Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.272,Masala No.1804.

Print

Id:
1072
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: assalamum alikym kya khums ke raqam zalzala zadgaan ki imdaad main de ja saktey hai jab ke is baat ka moqamal ilm ho key ye momineen ke hatoon se he motaseereen taq pohchi jaye gi.

Answer: zaroori hay kay khums 2 hisson main taqseem kiya jaey,is ka 1 hissa Sadaat ka Haq hay aur zaroori hay kay kisi faqeer syed ya yateem ya aisay syed ko diya jaey jo safar main naChaar ho gaya ho.lihaza aap jin hazraat ki madad ki khatir khums ki raqam day rahay hain agar wo sadaat hain aur faqeer yateem ya safar main naChaar hon to unko khums ka Adha hissa (yani Sehm e Sadaat) dena jaiz hay.jabkay khums ka dosra hissa Imam e Zamana AS ka hay kay jo zaroori hay kay maujooda zamanay main Jamiush sharait mujtahid ko diya jaey ya aisay kaamoo main kharch kiya jaey jis ki Mujtahid Ijazat day lihaza agar aap kay mujtahid nay aap ko
Ijazat dee ho kay in zalzala zadgaan ki madad kay liye is raqam ko kharch kar saktay hain to aap kay liye khums ka ye hissa bhi unko dena jaiz hay.Aihtiyat e lazim ye hay kay mujtahid Arjae Aalam ho aur Umoomi maslihatoo say aagaah ho.Ref: Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.272,Masala No.1804.

Print

Id:
1294
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khumeni Date:

Question: Assalam alaikum. kiya main sahm e sadat ki raqam khud kisi mustahaq sayed ko de saktahoon.wazah ho ki main Aytullah Sistani ke kahne ke Mutabiq marhoom Khomaini ki taqleed par baqi hun. wassalam

Answer: Aqwa ki bina par sehm-e-sadat ka maamla Haakim-e-shara kay ikhtiyaar main hay pas zaroori hay ya is tak pohunchaey ya is ki ijazat say kharch karay.Ref:Tehreer-ul-Waseela Imam Khumaini Pg.No.107,Masala No.7.

Print

Id:
1314
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khumeni Date:

Question: Assalam alaikum. mera sawal Aqae Sistani se ye hai ki -keya main sahme saadat ki raqam khud kisi mustahaq sayyed ko de sakta hun? vazeh ho ki main Aqae sistani ke kahne ke mutabiq Aqaae khumaini ki taqleed par baaqi hun. wassalam. jawab jald dene ki zahmat karke shukriye ka mauqa den.

Answer: Aqwa ki bina par Sehm-e-Sadaat ka maamla Hakim-e-Shara kay Ikhtiyaar main hay,pas zaroori hay kay ya us tak pohunchaey ya us ki ijazat say aur us kay hukum say kharch karay.Ref:Tehreerul Wasila A.Khumaini Part-2 Pg.107.

Print

Id:
1319
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khumeni Date:

Question: Assalam Alaikum, Aap ka jawab mila shukriya .Janab Aqai Khumaini ka fatwa mujhe maaloom hai.magar ab main kisse aur kahan se ijazat loon? jabki dusre mjtahdin sahme saadat khud se mustahaq sayed ko dene ki ijazat e aam dete hain .Please aap Rahnumai farmaen. wassalam.Ques. ID-1314 ke hawale se

Answer: Choonkay aap A.Khumanini kay masail par amal kar rahay hain lihaza aap kay liye is baat ki ijazat nahi hay kay Sehm-e-Sadaat apni marzi say kharch karain lihaza zaroori hay kay aap marja kay wakeel tak raqam pohunchain ya un say ijazat laikar kharch karain.Ref:Tehreerul Wasila A.Khumaini Masala No.7,

Print

Id:
1763
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Is khums allowed for those who collect only for their community not for all momineen

Answer: bismehi taala, khums dene wale k liye zaroori he k mukammal raqam ki raseed hasil kare aur yeh raseed Aytullah Seestani (d.b.) k daftar ki tarf se hona zaroori he (ref: mujthid se puchhe gaye sawalat Aytullah Seestani (d.b.) part 2 page 58)(agar marjea ne ijazat di he aur woh aap ko Aytullah Seestani k daftar ki raseed dete hain to aap de sakte hain)

Print

Id:
2955
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: assalam-alekum arz-e-khidmat yeh hai ki mere pass kuch sahme imam ka pesa hai aur us pese ko ek khasta halat imam baragah me kharch karna cahta hun mene kuch ayse hazrat se ijazat hasil karne ki koshish ki jin ke pass ijaza hai magar wo log usme se kameeshan ke tor par kuch pesa mang rahe hain jab ki wo itna nahi ki usme se unhe diya ja sake to is ke bare me kay hukm hai mere liye mujhe muttala karen wssalam iltemase dua khuda hafizzzz

Answer: Sahm e imam ko mujtahid ki ijazat se masjid ki tameer per kharch kia ja sakhta he. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 2, ques # 131, pg # 59) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
3065
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: meri bhabhi cancer main mutala hain .chay bachain hain .bhai ki amdani boht mehdood hay. kia hum same sadat un ko day saktay hain?bhabhi saray sharai wajibat ada karti hain

Answer: Jee haan.Khums se sehm e saddat ka hissa mustahaq syed faqeer ko dia ja sakhta he. Laikin ehtiyaat e lazim ki bina per os shakhs ko shem e sadaat daina jaiz nahi hay jis ka naan o nafaqqah(karcha) aap per wajib ho.q keh bahbhi ka naan o nafaqah ap per wajib nahi hay is liay shem e sadaat diya jasakta hay.(ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 102, pg # 51). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
3220
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: kia main apni taraf se aek syad family ko sehme sadat de sakta hun

Answer: Sehm e sadaat ka hissa khud aisay mustahaq syed ko jis main tamaam shaar,it maujood hoon daian jaiz hay, agarcha ehtiyaat e mustahab ye hay k hakim e shara ko diya jaay. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#1264 )

Print

Id:
4559
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Assalam-u-Alikum, I would like to know who is authentic representative of Auatullah Sistani in Karachi, Pakistan for Khums collection. Kindly give his contact #. Jazzak Allah Khair. Wasalam, Farhan

Answer: bismehi taala, Muttadid afrad aur ideray khums jama karne ka ijazat nama rakhte hein jin me se aik Quran o itrat academy bhi he.
(Aap Quran o itrat Academy mein apna khums juma karwa sakte hein.).

Print

Id:
4562
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Salam... Sawal mera ye hai k Kiya Hm Maal-e-imam ko Kisi Aisey Masjid o Imambargah ki Tameer may dey saktey hain jis k Tameer K Contractor pr Aitibaar nahi.... (Matlab ye k Masjid o imambargah ko Tameer k silsiley may donation ki Zaroorat too hai kiu k wo masjid o imambargah ilaqey k leay zaroori hai Pr Wus Masjid o imambargah ki intizaamiya currupt hai oor aslan maloom hai k wo tameer ki raqam may Qayanat kr rahey hain...?

Answer: Sahm e Imam(maal e imam) ko muhtahid ki ajazat se masjid ki tameer per karch kia ja sakhta he. (ref : mujtahid se pochay gay sawalat part # 2 , ques # 131 pg # 59)

Print

Id:
5745
Mujtahid:
agha sistani Date:

Question: khums for sahm e imam where the right place or person to offer

Answer: Maal e imam (sehm e imam(a.s)) apne mujtahed ya is k vakil ko dia jaay ga. Kisi bhi fard k lie mujtahid ki ijazaat k bageir is hissa me tassaruf(istemaal) karna jaiz nahi. (Mujthid se poushey gye sawalat part # 1, ques # 110, pg # 60 , 61).

Print

Id:
7727
Mujtahid:
Ayatullah Ali Seeistaani Date:

Question: Do I have to pay the khums to the same Mujtahid whom I am following or if my Father is responsible for my monetry matter,and he is in Taqleed of any other Merja, and if he pays my Khums to him, is it possible?

Answer: Khums should be divided into two parts. One part is Sehme Sadaat, it should be given to a Sayyid who is poor, or orphan, or who has become stranded without money during his journey. The second part is Sehme Imam (A.S.), and during the present time it should be given to a Mujtahid, who fulfils all conditions, or be spent for such purposes as allowed by that Mujtahid. As an obligatory precaution, that Mujtahid must be Aalam, and well versed in public affairs.( Ref: http://sistani.org/index.php?p=251364&id=48&pid=2293 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
16232
Mujtahid:
Ayatullah Sistani Date:

Question: Aik syed kisi aur mujtahid ki taqleed krta hai kia osi khums dena jaiz hai?

Answer: Khums sai shm e sadaat ka hissa faqeer syed ko dia jae ga. Chahae wo kisi aisay mujtahid ki taqleed krta ho jis ki aap taqleed nhi krtay. (Ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 102, pg # 51)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
17188
Mujtahid:
aytullah sistani Date:

Question: sir mera saeal ye hai k mere walid ka inteqal ho chuka hai meri walda tanha hain un ki mere alawa koi aulad nahi hai mai un ki beti hoon ky amai khums ki raqam un ko bhej sakti hoon aur kya khums ki raqam dene se pahle unhe batana zaroori hai k ye khums hai

Answer: 1-Zarori hai k khums 2 hison main taqseem kia jay. Us ka 1 hissa sadaat ka huq hai or zarori hai k Kisi faqeer sayed ya yateem sayed ya ayse sayed ko diya jay jo safar main na-chaar ho gaya ho or dosra hissa Imam (a.s) ka hai jo zarori hai k maujoda zamaney main jaamiol shara,it mujtahid ko diya jaay ya aise kamon par jis ki wo mujtahid ijazat dey kharch kia jay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1804 ).

2- Agar insan per kisi syed k ya aisi syedani k akhrajaat wajib hoon jo o ski bivi nah ho tu ehtiyaat e wajib ki bina per woo s syd ya syedani k khoraak or poshak k akhrajaat or baqi wajib akhrajaat apnay khums se ada nahi kersakta.haan agar syed ya syedani ko khums(sehm e sadaat) ki khuch raqam is maqsad se day k wo wajib akhrajaat k alawa osay dosri zaroriyaat per kherch karain tu koe haraj nahi. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1812) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
32230
Mujtahid:
Ayatullah Sistani Date:

Question: Salam! Kya Ap Ayatullah Sistani k vakil hain? agar haan to please ap ka ijazat nama send kijiye jo mujtahid ki taraf say hota hai.

Answer: Quran o Itrat Academy k principal Hujatul Islam Maulana Ali Raza Mehdavi Ayatullah Sistani k wakeel hain, agar aap ijazat nama daikhna chahtay hain tu aap Quran o Itrat Academy Gurumandir main tashreef laker daikh saktay hain.( http://www.qoitrat.org/about/Default.asp )

Print

Id:
40975
Mujtahid:
Ayatullah Sistani Date:

Question: اسلام علیکم، میرا سوال خمس سے متعلق ھے۔ کیا میں مالِ امام اور مالِ سادات ایک ایسی تنظیم کو دے سکتا ھوں جو کراچی میں کچھ روز قبل رونما ھونے والے واقعہ کے متاثرین مومنین کے گھروں کی تعمیر یا نےؑ گھروں کیلیے کام کر رھی ھو؟ مثال کے طور پر شھید فاوؑنڈیشن۔ دوسرا سوال یہ ھے کہ کیا مالِ سادات اپنے رشتے داروں یا اقارب میں موجود مستحق خاندانوں کو دیا جا سکتا ھو، جو سید ھوں؟ اور اُن کو یہ رقم دیتے وقت کیا یہ بتانا ضروری ھو گا کہ یہ خمس کی رقم ھے؟

Answer: Khums k 2 hissay hotay hain.sehme Imam aur sehme sadaat,
Zarori hai k sehm e Imam a.s, jamae-us-sharait mujtahid-e-alaam ko diya jaey
Aur sehm e sadAat agar syed ko dena chahain tu us syed mai ye sharait hon to usko sehm e sadaat diya jae.
1-ye yaqeen ya itminaan ho k wo shia isna asheri syed hai.
2-zarori hai k wo faqeer ho(yani uski aamdani uskay jaiz akhrajaat say kam ho)
3-wo khums ko gunah mai istemal nahi karay ga aur ehtiyaat ki bina par us syed ko bhi nahi day saktay jisko khums dainay ki wajah say gunnah kernay mai madad milay
4-wo sharabi nah ho(ehtiyate wajib ki bina par)
5-Benamazi na ho(ehtiyate wajib ki bina par)
6-Khullam khulla gunnah na krta ho(ehtiyate wajib ki bina par)
Syed ko uskay hissay ka khums daitay waqt batna zarori nahi hai k ye khums hai. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #1804,1805,1807,1808,1809, and mujtahid sy pochay gae sawalat masla#126,pg#57) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
41938
Mujtahid:
siatani Date:

Question: I need ijazat on behalf of allama sistani for giving sehme sadaat to my needy sadaat relatives.please do the needful or guide me.thankyou

Answer: zaruri hia k khums do hisson men taqseem kiya jaye, uska ek hissa sadaat ka haq hai zaruri hai k kisi faqeer syed ya yateem syed ya ayse syed ko diya jaye jo safar men nachhar hogaya ho, or dusra hissa Imam as ka hai jo zaruri hai k mojuda zamane men jama sharait mujtahid ko diya jaye ya ya ayse kamon pr kharch kiya jaye jis ki wo mujtahid ijazat de, or ehtiyat lazim ki bina per wo mujtahid Aalam(superlative digree of aalim) ho or umumi maslihaton se agah ho, jis yateem syed ko khums diya jaye zaruri hai k wo faqeer bhi ho lekin jo syed safar men nachar hojaye wo chahe apne watan men faqeer na bhi ho use khums diya ja sakta hai, jo syed aadil na ho use khums diya ja sakta hai lekin jo syed asna ashri na ho zaruri hai k use khums na diya jaye, jo shakhs khums ko gunah k kam men istamal kre use khums nahi diya ja sakta balke agr use khums dene se gunah karne men uski madad hoti hai to ehtiyat wajib ye hai k use khums na diya jaye chahe wo use gunah men istamal na bhi kre, isi tarah ehtiyat e wajib ye hai k us syed ko bhi khums na diya jaye jo sharab peeta ho ya namaz na parhta ho ya alaniya gunah krta hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 33 , maslah # 1804,1805,1807,1808)

Print

Id:
45933
Mujtahid:
AYATULLAH SISTANI Date:

Question: ASSLAM ALEKUM MERA SAWAL HAI KI KHUMS KI RAKAM JAIESE 10000 hai is mai sehme imam kis tarah nikalta hai .hamne kuch rakam imambargah me dedi to kya de sakte hai.or baqi abhi nahi de paye hai to kab tak de sakte hai or kin logo ko plz jald ans de agar pareshani na ho to khuda hafiz

Answer: 1)Zarori hai k khums 2 hison main taqseem kia jay. Us ka 1 hissa sadaat ka huq hai or zarori hai k Kisi faqeer sayed ya yateem sayed ya ayse sayed ko diya jay jo safar main na-chaar ho gaya ho or dosra hissa Imam (a.s) ka hai jo zarori hai k maujoda zamaney main jaamiol shara,it mujtahid ko diya jaay ya aise kamon par jis ki wo mujtahid ijazat dey kharch kia jay. Yani agar aap k pas 10000 rupees hai to 5000 rupees sehm e imam a.s. k aur 5000 shem e sadaat k hon gai. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1804 ).
2)Sahm e imam ko mujtahid ki ijazat se masjid aur imambargah ki tameer per kharch kia ja sakhta he laikin sehm e sadaat ko kisi syed ko hi dena ho ga.(ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 2, ques # 131, pg # 59)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
48456
Mujtahid:
sistani sahab Date:

Question: Aslam alekum.meravsawal hai hamare yaha panjetani imambargah ban raha h.jo ki chande se ban raha hai.kya mai us mai haqqe imam de sakti hu.plz jaldi jawab de.

Answer: Sahm e imam ko mujtahid ki ijazat sai masjid o imam bargah ki tamer par kharch kia ja sakta hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 2, sawaal # 131,pg # 59) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
49629
Mujtahid:
sami Date:

Question: assalam o alaikum mera sawal ye hai k syed ko zakat q nahi ji jasakti or agar kisi syed k ghar khane ko na ho to wo kiya kare zakat lele ya na le tafseel se bataiye ga ...

Answer: Syed kisi doseray syed se mastahaq hone ki bina per zakaat le sakta hai.laikin ghair syed se halat majbori k alawa zakat nahi le sakta aur ehtiyaat wajib ki bina per zarori hay k aisi majbori ho k khums aur doseray zaraye aamdani is k akrajaat k liay kaafi nah ho . Isi terah ehtiyaat e wajib ki bina per zarori hai k agar mumkin ho to rozana sirif isi din k zarori akhrajaat ki miqdaaar me zakaat lenay per iktifa karay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1918 )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
52913
Mujtahid:
ayyatullah ali sastani Date:

Question: Assalam o alikum....mera ye question ye hai k jahn tk mein smjhti hn syeds cast janab e syeda s.a sy nasal chali hai Hazrt Ali a.s sy nae.... kya ye bt theak hai???? plz thori detail mein bta diye ga ...waiting for ur reply

Answer: Syed se murad wo shakhs hai k jis ka silsila nasab bap k zariye se hazrat hashim (a.s) (Rasool khuda k walid k dada) tak poochta ho, is bina per alawi, aqeeli, abbasi, fatimi ye sab syed hen. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 1, Mafhoom e Maslah # 1261, Eidition 1430 hij). Jo shakhs sirf apne maa ki taraf se syed ho wo sadat k khas ahteram ka mustahiq hai laikin khums ka mustahiq nahi hai.(Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael , Pg # 44, Eidition# 5) Update on dated 05-02-2016 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id:
54538
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: salam, haq-e-imam jo hai kisi mareez ki jan bahcnay kay liye istamal kia jasakta hai wo bhi cancer ka mareez

Answer: wssalam o alykum, ager ap apne haath se is ko mareez ko dena chahte hai to is main tasarruf se pehle mujtahid (ya is ka wakeel)se ijazat lena zarori hai, or ijazat ke bageer haq e Imaam main tasarruf jaiz nahi hai.(Ref : mujtahid se poche gaae sawalaat , hissa # 1 , question # 110,111.(ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
57817
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Salam, ghair syed ko khums dia ja sakta hai for example khoja shia

Answer: Zarori hay k khums 2 hisso main taqseem kia jay. Oska aik hissa sadaat ka haq hay or zarori hay k kisi faqeer syed ya yateem syed ya aise syed ko diya jay jo safar main nachar hogaya ho or dosra hissa Imam a.s ka hay jo zarori hay k maujoda zamane main jaamiosh sharait mujtahid ko diya jay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah #1804) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
63900
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: kia alvi sadat(ghair fatimi owlad eali a.s) khumas kay haqdar han? or kia alvi sadat per sadqa haram ha? plz jawabat ayatullah ali sistani sahib k fatwa k mutabiq hona chye?

Answer: Wo afraad jin ka silsila e nasab walid ki taraf se faqat hazrat Ali (a.s)se milta ho aur in me khums k mustahiqeen ki baqi sharait moujood hoon to aise syed ko khums main se sadaat ka hissa diya ja sakta hai . Ghair syed ki wajib zakaat aur fitra syed per haram hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 1, Mafhoom e Maslah # 1260,1261 , Eidition 1430 hij). Update on dated –2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
65644
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: <> AoA, ye statment bar bar likhi daikhi hai "dusra hissa Imam as ka hai jo zaruri hai k mojuda zamane men jama sharait mujtahid ko diya jaye ya ya ayse kamon pr kharch kiya jaye jis ki wo mujtahid ijazat de" To me ye janna chahta hon k wo kon say kam hai Sahem-e-Imam k zumrey me k jin ki Ijazat Mutahid Aayat Ul Allah Seestani ny dy rakhi hai? taky har sal ijazat na lyni paray

Answer: Is statement se muraad ye nahi hay k ayatullah sistani (d.b) ne sehm e imam a.s ko kuch kamo main kharch kerne ki ijazat de rakhi hay k khums nikaalne wala khud in kamo main sehm e imam a.s kharach kare, balkeh muraad ye hay k agar sehm e imam a.s ko khud kisi ehem kaam main kharch kerna chahe tu alag se mujtahid ya os k vakil se ijazat lay agar wo ijazat dain tu sahi warna sehm e imam a.s mujtahid ya os k vakil ko day. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1804). Update on dated 18-06-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
65646
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: AoA, I have been giving khums for past 3/ 4 years. For these years I truly believed that Ayat Ul Allah Seestani has granted permission to give Sahem-e-imam either to him or where you see most justifiable fulfilling the criteria of khums. Pursuing my belief I have been giving Sahem-e-Saddat and Sahem-e-Imam to a Syeda Widow, whose husand (pash namaz, matavli imam bargah) and eldest son were martyred in masjid during namaz by the takfiri gunmen terrorists. After that they moved in other cities threatened for their lives. Syeda widow

Answer: Sehme Imam (A.S.), and during the present time it should be given to a Mujtahid, who fulfils all conditions, or be spent for such purposes as allowed by that Mujtahid. As an obligatory precaution, that Mujtahid must be Aalam, and well versed in public affairs. So for spent sehm e imam you must take permission from ayatullah sistani(d.b) or from him vakil. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1804). Update on dated 18-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
65668
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: AoA, regarding Q.no. 65646, ab jo me khums (Sahme Imam A.S) me dy chuka hon (shaheed pash imam ki bewa aur bacho ko), ab uski toseeq kaisy ho gi, ager toseeq nahi hoti to phr mujy dobara dyna paray ga. Ainda k liye mujy ijazat kaisy milay gi?

Answer: Aap ko khums main se sehm e imam (a.s) dobara mujtahid ya os k wakeel ko ada kerna hoga, or wakeel k zerye mujtahid se ijazat hasil ker lain or agar ijazat nah mile tu har saal shem e imam a.s aap khud kharch nah karain balkeh mujtahid ya os k wakeel ko dia karain. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1804). Update on dated 23-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
65823
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: AoA, I live in sargodha, and almost 10,000 rs. khums k me dyna chahta hon (becuase ap sahm-e-Imam k questions k reply ker he nahi rahy), Yaha sargodha me Darul Aloom Muhammadia hai kia yaha per AyatulAllah Seestani k name per Sahme Imam khums jama kerwa sakta hon?

Answer: Agar os jagah ayatollah sistani ka koe wakeel hay tu os ko day sakte hain, agar wakeel maujood nahi hay tu aap hum ko bhi online transfer ker sakte hain. Hamara online account number ye hay: 10470074001826018 Bank Al Habiab soldier bazaar Karachi Pakistan, Account Title: Ali Raza. Jab aap khusm ki raqam transfer ker dain tu in numbers per call ker hum ko bata dain : 021-32226948, 32237207, ya is email address per khums ki malomaat send ker dain k kis naam se slip banay gi or kitni raqam transfer ki hay. (Ref: http://qoitrat.org/payments.php ). Update on dated 23-06-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
68245
Mujtahid:
Date:

Question: Salammm mera sawal yeh hai k ( Syed ) Naam kab se shuru hoaa ! kindly mujhe batayen Thanks

Answer: Syed wo shak hota hay jis ka shajrah e nasab baap ki janib se rasool e akram (s.a.w.w) k jad e buzrug janaab e hashim tak pohnche. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#1261). Update on dated 21-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
88398
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Assalamalaikum! I've a question on Khums sadat part. My sister generally fulfills the criteria and Syed too. To what extent that I can give Khums to her. Wasalam & thanks Mustafa

Answer: Sehm e imam mujtahid ya us k wakeel ko dia jaaye ga lekin sehm e saadaat k mustahiq ki kuch sharaait hai agar wo sharaait mukammal ho to khums mai sai faqat sehm e saadaat us k mustahiq ko diya jaa sakta hai. Sehm e saadaat k mustahiq ki mandarja zail sharait hai:
1) zaroori hai khums lene wala syed ho.
2) shia isna ashari yaane 12 imaami shia ho.
3) faqeer ho.
4) khums ko haram kaamo mai kharch na karay.
5) Ehtiyaat e wajib ki bina par us ka khums daina gunah mai masad shumaar na hota ho.
6) Ehtiyaat e wajib ki bina par sharaab khor or be-namazi nah ho.
7) Ehtiyaat e wajib ki bina par khulam khulla gunah nah karta ho.
8) Ehtiyaat e wajib ki bina par jis ko khums dia jaa raha ho wo khums dene waale ka wajib un nafqa nah ho (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2442). Update on dated 11-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
103264
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-01-25

Question: Salam kya seham e imam hum yateemo ya bemaaro ko dy sakty hain Jo apk irdgird rehty hon. Aur unki imdaad krny waly b koi na hon

Answer: Zarori hay keh sehm e imam a.s maujoda zamane main jaamus shraet mujtahid ko diya jaey ya aise kamo main jis ki wo mujtahid ijazat day kharach kia jaey or ehtiyaat e lazim ye hay keh wo marja aalam ho or omomi maslihato se agaah ho.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail, edition#42, maslah#1804).
[Updated on 25-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104498
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-03-15

Question: Keya sadat ke khums ko non sadat ko diya jasakta hai

Answer: Zarori hay k khums 2 hisso main taqseem kia jay. Oska aik hissa sadaat ka haq hay or zarori hay k kisi faqeer syed ya yateem syed ya aise syed ko diya jay jo safar main nachar hogaya ho or dosra hissa Imam a.s ka hay jo zarori hay k maujoda zamane main jaamiosh sharait mujtahid ko diya jay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah #1804)
[Updated on 16-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104499
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-03-15

Question: Keya sadat ke khums ko non sadat ko diya jasakta hai , keya ese Masjid/Imambade key tameer me bhi serf kiya ja sakta hai?

Answer: Zarori hay k khums 2 hisso main taqseem kia jay. Oska aik hissa sadaat ka haq hay or zarori hay k kisi faqeer syed ya yateem syed ya aise syed ko diya jay jo safar main nachar hogaya ho or dosra hissa Imam a.s ka hay jo zarori hay k maujoda zamane main jaamiosh sharait mujtahid ko diya jay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah #1804)
[Updated on 16-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104514
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-04-26

Question: Mera ye sawal hai ky bht sy sadad baghair shajra ky hain to kya shajra hona lazmi hai ya nh aur boht sy sadat esey hn jo pehly kissi aur caste ya zat sy taluk rakhty thy magar ab khud ko syed keh rahy hn to kesey pta chaly ga ky kon syed hai kon nahin ??

Answer: Jo shaks bhi janab e hashim se mansoob hone ka dawa kare tu os k dawe ko qobool nahi kia jaey ga magar ye keh bayyinah(yani 2 adil mard ki gawahi)ho. Haan, agar kaseer tadaad main loog is k syed honay ki gawahi dain ya is shaks k asli sher main syed hona mashhoor ho ya kisi uqlae bunyaad ki wajah se os ki baat per itminaan ho tu os ko syed tasleem kia jaey ga.(Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#1262,eidition 1439 ).

Note: Syed k soboot k liay likha hoa shajra zarori nahi hay. Q keh jaali shajra bhi tu banaya jaa sakta hay.asal miyaar oper bayan kia gaya hay.
[Updated on 27-Apr-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
108395
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-06-19

Question: Aoa Agha sb Sehm e sadaat k liye mujtahid k wakeel ki ijazat zrori hy ya ni ? Isi trah Sehm e imam k liye b mujtahid k wakeel ki ijazat zarori hy k ni?

Answer: sehm e sadaat, sadaat ka huq hai or zaroori hai k kisi aise syed ko diya jaaye jis mai sharait moujood ho or sehm e imam mujtahi ya us k wakeel ko diya jaaye ya un ki ijaazat sai kharch kia jaaye.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 1804).
[Updated on 19-Jun-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
109321
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-07-27

Question: Khums namaz na parhnay walon ko dya jasakta hai

Answer: Sehm e imam mujtahid ya us k wakeel ko dia jaaye ga lekin sehm e saadaat k mustahiq ki kuch sharaait hai agar wo sharaait mukammal ho to khums mai sai faqat sehm e saadaat us k mustahiq ko diya jaa sakta hai. Sehm e saadaat k mustahiq ki mandarja zail sharait hai:
1) zaroori hai khums lene wala syed ho.
2) shia isna ashari yaane 12 imaami shia ho.
3) faqeer ho.
4) khums ko haram kaamo mai kharch na karay.
5) Ehtiyaat e wajib ki bina par us ka khums daina gunah mai masad shumaar na hota ho.
6) Ehtiyaat e wajib ki bina par sharaab khor or be-namazi nah ho.
7) Ehtiyaat e wajib ki bina par khulam khulla gunah nah karta ho.
8) Ehtiyaat e wajib ki bina par jis ko khums dia jaa raha ho wo khums dene waale ka wajib un nafqa nah ho (Ref:Tauzeehul masail Ayatullah Sistani edition, 41 maslah #2442).
[Updated on 27-Jul-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116529
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-10-28

Question: Kia men apni khala ko baghair bataey 'sehm e sadaat' day sakti hun, un ki madad karnay ki khatir

Answer: sehm e sadaat jis syed ko dena chahain tu agar us syed mai ye sharaait hon to usko sehm e sadaat diya jae.
1-ye yaqeen ya itminaan ho k wo shia isna asheri yani 12 imamo ki imamat ko maanne wala shia ho
2-zarori hai k wo syed faqeer ho.or Faqeer wo shakhs hai jis ke paas apne or apne ghar walo ke liay saal bhar k Akrajaat nah hoon or na hi koe esa hunar ya sarmaaya ho jis ke zarye ye in k or apne akhrajaat chala sakta ho.laikin jis shaks ke paas koi hunar ya jaaidaad ya sarmaaya ho jis se wo apne saal bhar ke akhrajaat pure karsakta ho wo faqeer nahe hai
3-wo khums ko gunah mai istemal nahin karay ga aur ehtiyaat ki bina par us syed ko bhi nahin day saktay jis ko khums dainay ki wajah say gunnah kernay mai madad milay
4-wo sharabi nah ho(ehtiyate wajib ki bina par)
5-Benamazi na ho(ehtiyate wajib ki bina par)
6-Khullam khulla gunnah na karta ho(ehtiyate wajib ki bina par)
Syed ko uskay hissay ka khums daitay waqt batna zarori nahin hai k ye khums hai.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1804,1805,1807,1808,1809,1889. and Mujtahid se pochay gaye sawalaat, part #1, sawaal #126, pg #57).
[Updated on 29-Oct-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123396
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-12-14

Question: Kya sehm e imam hospital ki tameer ya yateem khanay main dai saktay hain?

Answer: Is ke liye mujtahid e alam ki ijazat zaroori hai warna aisi cheezon me sehm e imam kharch nahin kar sakte.

(Re: https://www.sistani.org/persian/qa/01084/ ).
[Updated on 15-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
124219
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-06-25

Question: B. C means bachet committee per khums nikalte hain ya nahi? Aur agr humain qarz dena ho to kia committee k paise per khums niklan hoga ya نہیں?

Answer: 1. Committe mai chon k ap k paise hi jama horhe hote hai is lie khums ki tareekh pr jitni raqam bhar chuke hai vo bhi ( aap he ke ) maal me shamil hogi chahe hath me na bh ho ya isska ek tariqa yh bhi hai k jb committe k piase milein to khums ki tareekh tk jitni raqam ada krchuke the uss ka khums nikal lia jae.
2. Agar saal k doran qarza lia jae or uss saal k maal me se qarze ki raqam ko minus kr k baqi bachi raqam se khums ada kia jaega..
(Ref: Touzih ul Masail Agha Sistani d.b, 44th Edition, Masla No. 1721, 1755)
[Updated on 25-Jun-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
124624
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-08-30

Question: Mujh ko yeh maloom karna ha ke mera bhai bht qareeb ha jobless ha ous ke 2chotay bacchay hain to kya mein jo khums nekalti hoon pora apnay bhai ko dain sakti hoon.

Answer: Khums ke do (2) hissy hote hain: 1. Sehm-e-Imam, jo ke zaroori hai ke Jame-us-sharaait mujtahid ya us ke wakeel ko diya jaaye, Yaa Jame-us-sharaait mujtahid ya us ke wakeel ki ijaazat se aise kamon me kharch kiya jaye jis ki wo mujtahid ijazat day Aur ehtiyat e laazim ye hai ke wo marja, aalam ho aur umoomi maslihaton se aaghah ho. 2. Sehm-e-Sadaat, jo ke sadat ka hissa hai ya to mujtahid k wakeel ko dia jae ya kisi faqeer syed ya yateem syed ya aise syed ko diya jaye jo safar mein laa chaar ho gaya ho.
Ap ka bhai agar syed hai or zarorat mand hai or aap ke wajib-un-nafaqa afrad me se nh hain [yani aap us ke khane, peene, rehne, aur zindgi ke deegar zarooriyat ka bandubast karte hain] to ehtiyat-e-wajib ki bina par aap use sehme sadaat de sakte hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1804 + Tauzeeh ul masail Jaame (farsi), part #2, maslah #837)
[Updated on 30-Aug-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print