Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions:


Question & Answers << Go Back

Topic: Fitra (39 Questions)


Showing 0- 39 questions from 39 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
6840
Mujtahid:
Date:

Question: fitra kab wajib hota hai? namazke libaas ki kitne shart hoti hai

Answer: Eid ul Fitr ki raat Ghoroob e aftab k waqt chand sharait k saath fitra niklaana wajib hota he.
2)Namaz parhnay walay k libas ki 6 shrtain hain.
1 : Pak ho. 2 : Mubah ho bina bar ethiat e wajib. 3 : Murdar k ajzah say na bana ho. 4 : darenday k ajzah say na bana ho balke ethiat e wajib ki bina per haram ghost hewan k ajzah say na bana ho. 5,6 : Agar namaz parhnay wala mard ho to is ka libas khalis resham aur sonay ki kerhai ka bana hua na ho. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1952, 756).

Print

Id:
7446
Mujtahid:
seestani Date:

Question: salam,mera sawal yeh hai k wajib sadqa kya hai yeh kb daina hota hai.

Answer: Wajib saqday se murad wajib zakaat aur fitra he. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 103, pg # 52,). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
7723
Mujtahid:
Date:

Question: ramzan ki zakat (fitra) ke mustahik koon hai

Answer: Fitra ethiyat e wajib ki bina per faqat un shia 12 imami shia faqiro ko dena zaroori he jo in shra’it per puray utartay hoon jin ka zikr zakat k mustahikeen me ho chukka he aur agar sheher (city) me 12 imami shia faqeer na mlain to doosray musalman faqiro ko fitra day sakhtay hein. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1972).
Jis faqeer ko fitra diya jay tu zarori nahi hay keh wo aadil ho laikin ehtiyaat e wajib ye hay k sharabi, bay namazi or jo khul’lam khulla gunah kerta ho osay fitra nah diya jay.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masail, Maslah# 1974) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
15162
Mujtahid:
Date:

Question: Assalam 0 Alikum. Mufti sahab hamara Q ye hai ke eas saal ka fitra kitna hoga. our kahete hai ke hamari salary me se bhi kitna persantejh nikal na hoga. Please hame bataye.

Answer: Jo gheza aap k shr(city) me istemal hote hai maslan gandum , jou in ka 3 kg (ya 3 kg ki qimat)dena hota hai. Aur agar qimat dain to os jins ki niyat karni ho gi jis jins ki qimat day rajay hain.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b1.) Masla #1952) Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
16257
Mujtahid:
Ayatullah Sistani d.b Date:

Question: Masjid ki tameer ya murmmat mai hissa lenay k lie kia fitra istemal kia ja sakta hai?

Answer: Ehtiyat e wajib ki bina par ye jaiz nhi hia. (Ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # Roza, ques # 220, pg # 106)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
48319
Mujtahid:
Sistani Date:

Question: Kia syed ko fitra dia ja sakta hai?

Answer: Syed ka fitra syed ko dia ja sakta hai. (Ref : Sistani.org urdu) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
48320
Mujtahid:
Sistani Date:

Question: e eid fitra alag kar denay k baad agar is sai gum ho jae ya kharach ho jae to kia hokum hai?

Answer: Is k badlay dubara fitra nikal dena wajib hai. aur ehtiyat e wajib ki bina par qurbat ki niyat ki jae. (Ref : Sistani.org urdu) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
48321
Mujtahid:
Sistani Date:

Question: Aik shakhs nai restaurant mai logo ki dawat is baat sai be-khabar ho kar ki k kal eid hai, Dawat k baad maloom hua k shab e eid thi to kia mehmanon ka fitra maizban k zimay hai?

Answer: Mehmanon ka fitra maizban k zimay nahi hai. (Ref : Sistani.org urdu) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
50819
Mujtahid:
Date:

Question: Assalam O Alaikum.mera sawal hai k fitrana kitna wajib hai kitna diya jana chahiye?

Answer: Jo ghiza ap k shehr(city) me istemal hoti hain maslan gandum, jou, chawal wagira, in ka 3 kg (ya 3 kg ki qimat) dena hoti hai. Aur agar qimat dain to os jins ki niyat karni ho gi jis jins ki qimat day rajay hain. Maslan agar chawal ki qimat dai rehay hain to qimat detay waqt aap k zehn mai ho k ye fitra chawal ki qimat ka dai rehay hain.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b1.) Masla #1952) Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
66208
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: CAN I GIVE FITRA IN ADVANCE AND IF YES THAT WHAT WILL BE THE NIAT

Answer: Agar koe shaks ramzan se pehle fitra day tu ye sahi nahi hay or behter ye hay k ramzan main bhi fitra nah de.Albatta agar ramzan se pehle faqeer ko fitra day or jab fitra os per wajib ho jaey qarze ko fitra shumaar ker le, tu koe haraj nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1983). Update on dated 04-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
81737
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Assalamualaikum Mera sawal hai k mayne jo fitra nikala kya wo notes tabdeel kiye ja sakte hain?

Answer: Fitre ki raqam tabdeel nahi ker sakty. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail Jaame, maslah #2681 ). Update on dated 01-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
81757
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Salam, Mughe ye pochna ha k hamare yaha Masjid k Fitre box me Fitra dala jata ha. Jo k Eid ki namaz se pehle rakha hota ha. Kia hamari zimedari us box me fitra dal k khatam hojati ha? Masjid walo ka kehna yeh ha ka wo pehle hi Masjid k paiso se Fitra nikal lete ha phir jab unhe Eid k din logo ka dia hoa Fitra milta ha to wo is tarah wapis Masjid fund me dal dete ha. Kia ye jaiz ha? Shukria.

Answer: Is tarah se aap ka fitra ada nahi hoga, Q k jo raqam aap ne fitre ki niyat se nikaali hay wo raqam fitra shumaar hoti hay. Aap ko fitra dobara daina hoga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Ahkam e khumus w fitra, Sawal #2, pg#176). Update on dated 26-08-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
81788
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: aager koe waqt per fitra na da sakay tu kia woh baat ma fitra da sakta ga?

Answer: Jee day sakta hain, lekin ada or qaza ki niyat kiay bagair. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah #1989). Update on dated 14-08-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
81792
Mujtahid:
Date:

Question: AOA...aj eid ka teesra din ha..mane fitrana ki niyat ki hui ti mgar eid se pahle dena bhool gai hu..plz btyan kya ab de skti hu?

Answer: Jee day sakti hain lekin ada or qaza ki niyat kiay bagair. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah #1989). Update on dated 14-08-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
81804
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Is it wajib to give imam e zamana fitra in eid ul fitr

Answer: It is not wajib.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1952-53). Update on dated 28-07-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
97304
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-07-25

Question: کیا 7 سے چھوٹی عمر کے بچوں کا فطرہ دینا فرض ہے ۔ اور کس عمر کے لوگوں کا فطرہ دینا چاہئے۔

Answer: Eid ul fitar ki raat ghurob e aaftab k waqt jo shakhs baligh o aaqil ho aur behosh nah ho aur nah faqeer ho aur nah kisi ka ghulam ho to zarori he keh apne aur un logon k liay jo us k haan khana khatay hoon(chhotay hon ya barhay) fi kas aik saa (taqriban 3 kilo) un ghizaon mein se jo us k shahar mein istemaal hoti hon mustahiq ko de agar un ki qeemat naqd ki shakal mein de tab bhi kafi he. (Ref: Ayatullah sistani tozih ul masail masaalah#1952).
[Updated on 25-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
97314
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-06-02

Question: Aslam o Alaikum sir fitrana kitna dena ha is mahe ramzan ma 2019 ?? reply must

Answer: jo ghiza ap k shehr city me istemal hoti hain maslan gandum jou chawal wagira in ka 3 kg ya 3 kg ki qimat dena hoti hai aur agar qimat dain to os jins ki niyat karni ho gi jis jins ki qimat day rahay hain maslan agar chawal ki qimat dai rehay hain to qimat detay waqt aap k zehn mai ho k ye fitra chawal ki qimat ka dai rehay hain. (Ref tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani d b1 masla 1952).
[Updated on 02-Jun-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
107798
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-20

Question: Fithra ka Niyath

Answer: Jo ghiza ap k shehr(city) me istemal hoti hain maslan gandum, jou, chawal wagira, in ka 3 kg (ya 3 kg ki qimat) dena hoti hai. Aur agar qimat dain to os jins ki niyat karni ho gi jis jins ki qimat day rajay hain. Maslan agar chawal ki qimat dai rehay hain to qimat detay waqt aap k zehn mai ho k ye fitra chawal ki qimat ka dai rehay hain.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b1.) Masla #1952)
[Updated on 20-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
107814
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-04

Question: Assalamalaikum Fitra nikalte waqt hamein kya niyat krni chahiye

Answer: Jo ghiza ap k shehr(city) me istemal hoti hain maslan gandum, jou, chawal wagira, in ka 3 kg (ya 3 kg ki qimat) dena hoti hai. Aur agar qimat dain to os jins ki niyat karni ho gi jis jins ki qimat day rajay hain. Maslan agar chawal ki qimat dai rehay hain to qimat detay waqt aap k zehn mai ho k ye fitra chawal ki qimat ka dai rehay hain.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b1.) Masla #1952)
[Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
107909
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-08-27

Question: Kia us bachy Ka fitra dena b zaroori h Jo abhi tk maan k pait men ho????

Answer: jee nahi us ka fitra wajib nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail aaytullah seestani edition 41 maslah no 1963).
[Updated on 27-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
107923
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-08-27

Question: bivi seyd hay or us ka shohar ger syed hay to us k bachon ka fitra kis ko dengy

Answer: 1) Fitra ethiyat e wajib ki bina per faqat un shia 12 imami shia faqiro ko dena zaroori he jo in shra’it per puray utartay hoon jin ka zikr zakat k mustahikeen me ho chukka he aur agar sheher (city) me 12 imami shia faqeer na mlain to doosray musalman faqiro ko fitra day sakhtay hein. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1972).
2) Jis faqeer ko fitra diya jay tu zarori nahi hay keh wo aadil ho laikin ehtiyaat e wajib ye hay k sharabi, bay namazi or jo khul’lam khulla gunah kerta ho osay fitra nah diya jay.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masail, Maslah# 1974)
(Note: fitra mustahqeen ko dena hota hai na ke apne ghar walon ko.)
3)Gahir syed,kis syed ko fitra nahi day sakta hatta keh agar syed os k ghar khana khata ho tab bhi os ka fitra wo kisi dooosray syed ko nahi day sakta.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masail, Maslah# 1767).
[Updated on 27-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114414
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-17

Question: kya qarzay ki raqam ko zakaat kay tor par maaf karsakty hain

Answer: fiqhe jaferia ke mutabiq Raqam ( paiso )par zakat nahin hoti. hah agar ramzaan se phele kise shaks ne kise faqeer( sharhe) ko qarza dia ho or jab fitra is per wajib hojaae tu wo qarz ko fitre me shumaar karsakta hae(Ref: ATauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1820,1983).
[Updated on 18-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114648
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-07

Question: jab mehman ghar me aaye to uske phitra kai se nekale

Answer: Jo mehman eid-ul-fitr ki rat guroob se pehle sahib e khana (mezban) ke ghar aaye, aur rat us ke han guzare aur us ke han khana khane walon men (agarche waqti taur par) shumar ho to us ka fitar bhi sahib e khana par wajib hai. misal ke taur par wo mehman jo guroob se pehle mezban ke ghar aaye, aur rat usi ke ghar men rahe aur mezban ne us ke liye zaroori sahulaton ko muhayya kiya ho aur us ke kharch ka zimme dar ho agarche mehmen ne kuch na khaya ho ya apne khane se iftar kiya ho to us ka fitra mezban par wajib hai. lekin jis mehman ko sirf iftar ke liye dawat di ho gayi ho aur rat men na rahe to wo khana khane walon men shumar nahin hota aur us ka fitra mezban par wajib nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail Jamme, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #2652).
[Updated on 08-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114899
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-08-29

Question: Agar kisi k ghar aftari k liye jaen or aftari k bd eid ka elan ho jae to fitrana kon dega?

Answer: Jis shakhs ko Insaan ne eid ki shab men apne ghar iftaar par bulaya ho, wo us ke han khana khane wala shumar nahin hota aur sahib e khana par us ka fitra wajib nahin hai.
(Ref: Tauzeeh ul masael, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #1957).
[Updated on 30-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122809
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-23

Question: Hamla aurat k payt me jo bacha h os bachy pr fitra wajib hota h?

Answer: Jo bacha abhi maan ke pait men ho us ka fitra wajib nahin hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #41, maslah #1963).
[Updated on 24-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123286
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-11-15

Question: mujje ye pochna tha k fitranq ghr k mulazim ko de sakte hn ya fitrane k paison se use eid k kapre ya iski zarort ki cheezen le k de sate hn

Answer: Jis mulazim ko fitra (fitrana) diya jaye agar us me sharaait poori hain aur saahib khana (yani aap ke ghar) ke yahan khana khane wala shumaar nahin hota to use fitra (fitrana) day sakte hain, warna nahin day sakte.

Albatta, Fitre (fitrane) ki raqam tabdeel kar ke us ko eid ke kapre aur zaroorat ka saman lay ke nahin day sakte. Balke fitra hi dena hoga.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1918,1972,1974,1975).
[Updated on 15-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123301
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-11-19

Question: Biwe maa k gr ho os ka ftrana shuhr adda kr skta hai?

Answer: Biwi eid-ul-fitr ki raat, guroob se pehle jis ghar me hai agar us ke yahan khaana khaane waali shumar to biwi ka firta sahib e khana (yani maan ke ghar me jo fitra nikalta hai us) pe wajib hai, Albatta agar shohar apni biwi ka fitra nikalna chahe to biwi jis ghar me hai us ke saahib khana ki ijazat se nikal sakta hai.

(Ref: Tauzeeh ul masail Jaame[farsi], Ayatullah Sistani(d.b), part #2, edition #1443, maslah #1042,1043,1048,1050).
[Updated on 20-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123355
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-12-15

Question: Assalamoalaikum. Agr kisi k ghr m rashan arho kahin se jis k ghr m rashan dal rha ho kia us pr fitra (zakat) dena wajib hai?

Answer: Eid ul fitar ki raat ghurob e aaftab ke waqt jo shakhs baligh o aaqil ho aur behosh nah ho aur faqeer bhi nah ho aur nah kisi ka ghulam ho (jab ye tamam sharait maujood hon) to zaroori hai ke apne aur un logon ke liye jo us ke haan khana khatay hon (chhotay hon ya barhay) fi fard aik saa (taqriban 3 kilo) un ghizaon mein se jo us ke sheher mein istemaal hoti hon mustahiq (faqeer) ko day agar un ki qeemat naqd ki shakal mein day tab bhi kaafi hai.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1952).
[Updated on 16-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123384
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-12-13

Question: Agar koiii shakhs mulk sy bahar rehta ho or uski amdan bhi na hi sarkari wazeefy sy khata ho to kia uska fitra usky ghar waly dy sakty hn jabky usky abu fot ho gay hon lekin unki pension sy kia uska fitra dia ja skta?

Answer: Jo shakhs ghareeb o faqeer ho us par fitra dena wajib nahin hai lehaza jis shakhs paas apne aur apne ahal o ayal ke liye saal bhar ka kharch nah ho aur koi rozgaar bhi nah ho jis ke zariye woh apne ahal o ayal ke saal bhar ka kharch poora kar sakay to us par fitra dena wajib nahin hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1952,1953).
[Updated on 14-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123388
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-12-13

Question: Kia apni family ka fittra ghar me use kar sakta hay?

Answer: Apne hi ghar ke afraad jaise ke aulaad, maan, baap, aur biwi ke jis ke khane peene aur rehen sehen ka bandobast khud fitra nikalne wale par wajib hai, fitra un afraad ko nahin day sakte Q ke jo shakhs fitra day raha hai, us ke liye zaroori hai ke woh fitra us faqeer ko day jis faqeer ka nafqa (kharch) fitra dainay walay par wajib na ho.

(Ref: Tauzeeh ul masail Jaame[farsi], Ayatullah Sistani(d.b), part #2, edition #1443, maslah #994,1082).
[Updated on 14-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123458
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-01-07

Question: فطرہ اگر زیادہ دینا ہو تو کسی چیز کو معین کرنا ضروری ہے یا ایسے ہی دے سکتے ہیں فی فرد 2500 یا اس سے زیادہ دینا ہو تو دے سکتے ہیں

Answer: Us jins ko muayyen karna wajib hai.
(Ref: Mujtahid se poochay gaye sawalaat, chapter roza, sawal #217, pg #104).
[Updated on 08-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123475
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-01-08

Question: Fitrana sirf ghar walo ka deya jata ya jo ramzan ma a ka raat raha ka ga hu unka be dana huta ha

Answer: Jo mehman eid-ul-fitr ki rat guroob se pehle sahib e khana (mezban) ke ghar aaye, aur rat us ke han guzare aur us ke han khana khane walon men (agarche waqti taur par) shumar ho to us ka fitar bhi sahib e khana par wajib hai. misal ke taur par wo mehman jo guroob se pehle mezban ke ghar aaye, aur rat usi ke ghar men rahe aur mezban ne us ke liye zaroori sahulaton ko muhayya kiya ho aur us ke kharch ka zimme dar ho agarche mehmen ne kuch na khaya ho ya apne khane se iftar kiya ho to us ka fitra mezban par wajib hai. isi tarah Jo mehman eid-ul-fitr ki rat guroob ke baad sahib e khana (mezban) ke ghar aaye, aur rat us ke han guzare aur us ke han khana khane walon men shumar ho to us ka fitar sahib e khana par ehtiyat e wajib ki bina par wajib hai. aur agar us ke han khana khane walon men shumar nh ho to wajib nahin hai.
lekin jis mehman ko sirf iftaar ke liye dawat di ho gayei ho aur rat men na rahe to wo khana khane walon men shumar nahin hota aur us ka fitra mezban par wajib nahin hai.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1956,1957).
[Updated on 09-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123503
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-01-08

Question: Akhri aftaari mai agar rishtaydaar kisi k ghar roza khoulain tu fitra dena wajib hei ghar walo ko un logo ka

Answer: Jo mehman eid-ul-fitr ki rat guroob se pehle sahib e khana (mezban) ke ghar aaye, aur rat us ke han guzare aur us ke han khana khane walon men (agarche waqti taur par) shumar ho to us ka fitar bhi sahib e khana par wajib hai. misal ke taur par wo mehman jo guroob se pehle mezban ke ghar aaye, aur rat usi ke ghar men rahe aur mezban ne us ke liye zaroori sahulaton ko muhayya kiya ho aur us ke kharch ka zimme dar ho agarche mehmen ne kuch na khaya ho ya apne khane se iftar kiya ho to us ka fitra mezban par wajib hai. lekin jis mehman ko sirf iftar ke liye dawat di ho gayei ho aur rat men na rahe to wo khana khane walon men shumar nahin hota aur us ka fitra mezban par wajib nahin hai.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1956,1957).
[Updated on 09-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123509
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-08

Question: Jin ki amdani kam ho aur akrajat zaida ho unkey lye kya ukam ha

Answer: Aisa shaks Faqeer shumar hoga or Agr vo 12 Imami Shia bhi ho ehtiyat lazim ki bina par khullam khulla gunah aur tark e namaz bhi na krta ho aur sharabi bhi na ho to vo Shari Faqeer shumar hoga aur aise shaks ko Fitra,Kaffara aur agr syed bhi ho to jitne ka muhtaj ho use utni raqam bhi di jaskti hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), 44th edition, maslah #1908,1971).
[Updated on 09-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123515
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-08

Question: Asalam- u - Alaikum Mera sawal hai kia fitra talib ilam ko diya ja sakta hai

Answer: Wslm
Agar Talib e Ilm shia Isna Ashari ho aur Sharii Faqeer ho to use Zakat e Fitra dia ja skta hai yaani vo k
1. Jis k saal bhar k ikhrajat zyada ho aur amadani kam ho
2. Ehtiyat e lazim ki bina par Khullam khulla gunah bhi na karta ho, be namazi aur sharabi bhi na ho
3. Ehtiyat e wajib ki bina par Gunah ki taraf mail bhi na ho
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), 44th edition, maslah #1907,1908,1971).
[Updated on 09-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123517
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-19

Question: Asalam- u - Alaikum Mera sawal hai kia fitra talib ilam ko diya ja sakta hai

Answer: W.slm
Agar talibe ilm jinhein ap fitra dena chahte hai un mai tamam sharait poori hai ( Sharii faqeer ho: yaani saal bhar k ikhrajat zyada ho or uss ki nisbat income kam ho, Shia Isna Ashari ho, Ehtiyat e wajib ki bina par khullam khulla gunah na krta ho,Sharabi na ho,be namazi na ho ) or vo ap k haa khane wala bhi shumar na hota ho to us talibe ilm ko fitra dia jaskta hai.
Faqeer wo shaks hay jis ke pass apne or apne ahleo ayaal ke lie saal bhar ke akhrajaat na hoon laikin jis shaks ke pass koi hunar hoo ya jaaedaad ho ya sarmaya ho jis se wo apne saal bhar ke akhrajaat pure karsakta ho wo faqeer nahe hay .jo faqeer mehnat karke rozi kama sakta ho or apna or apne ahloayaal ka kharcha bardaash karsakta ho laikin susti ki waja se rozi na kamaaraha hon us ke lie zakaat lena jaiz nahe hay .wo taalibeilm jis ke lie rozi kamana us ke tehseel ilm me rukawat ho agar is per ilm hasil karna wajib aini ( ya wo ilm jo har aik per khud wajib hota hay ) na ho tu kise bhe surat me faqeero ke hisso se zakaat nahe lesakta hay or jis faqeer ke lie hunar seekna mushkil na ho ehteyat wajib ki bina per zakaat per zinjaghe basar na kare laikin jab tak hunar seekne me mashgool ho zakaat lesakta hay .( Tauzihul masail aqa sistani masala:1972,1974,1889,1894)

[Updated on 20-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123552
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-01-12

Question: Salam mere ye sawal hai k ager fitre k paise nikaldea the lkn de nahi sake kafi din hogye ab koei aisa shaks Nazar mei NAHI jis ko den ab kia krna chahi hai plz reply

Answer: Agar koi mutahiq nah mil raha ho to ye kar sakti hain ke aap kisi qaabil e itmenaan shakhs ko fitr ki raqam day den ke wo is raqam ko mutahiq tak punhcha day chahe wo aap ke marjea ka wakeel ho ya na ho.

(Ref: Ahkam e khums-o-fitra, sawal #24, pg #184).
[Updated on 13-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123874
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-05-18

Question: Q. Salam o Alaikum , Meri walda nain FITRA eid ul fitr kay din muj dya tha , wo ab tk mehfooz hai aur m de nh paya tha , ab wo fitra dena chah raha hun , de sakhta hu. jawab aj hi de dijya ga shukrya . aj ki date mention kijyega search kernay m asani hogi

Answer: Jee aap pe fitre ki usi raqam ko jama krwana zarori hai or takheer karni ki taubah karna zarori hai..18/05/24 . (Ref: Touzih ul Masail Agha Sistani d.b, 47th Edition, Masla No. 1989).
[Updated on 18-May-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126292
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-05-01

Question: Jin mehman ka fitrah lazim hy unka musalman ya Shia hona laazim hy?

Answer: Mehman ka musalman ya shia hona Lazim nahin hai balke kaafir ho tab bhi fitra dena wajib hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #1954).
[Updated on 02-May-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print