Showing 0- 49 questions from 49 questions on this page.
Question: assalam o alaikum sawal hai k mera recent nikkah hoa hai do maheeny bad shadi hai. mery husband namaz nhi party na h roza rakhty hain mery khny par unho ne nikkah k bad namazein start kr di t but ab phr sy nahi parhy n mera un ko namaz k liye force karna pasnd nhi. main bht pareshan hon mera dil door hota ja rha hai unsy q k woh namaz nhi party ap koi tareeka bataen k main kistrha samjhaon unhe plzzzzzz. n roza ki ahmiat or namaz tark karny wali ki saza. jazakAllah
Answer: w.s., aap zabardasti nahin kar sakte, aap nasihat aur amr bil maaroof k zariye is kam se rok sakte hain. (ref: www.sistani.org/urdu/amr bil maaroof/q1)
Question: mara sawal hai k hamary ghar main aik budkar orat rehti hai mari nani ki khidmat k lia lakin dill sy wo orat saf nai hai.islmi tor py bi kafi ahadiss ko badal k sunati hai or khud ko mualama batati hai jo nakabile burdasht hai.kya hum unki galat bato py tameez or lihaz ko samny rakhty hoe chup rahty or unki fazool bato py dehan na dy ker acha kerty hain ya hamain gunaha hoga?
Answer:
Aap amar bil maroof (naik kaam ka hokum dayna) or nahi anil munkar (burae say rookna) ki shrait or darajaat k mutabiq amal karain.
Amar bil maroof ki 5 shaarit hain jin main say aik ye bhi hay k amar bil maroof or nahi anil mukar kernay wala maroof (achchay kaam) or munkar (buray kaam) ko jaanta ho k ye baat sahi hay ya ghalat.
Or is k 3 darajaat hain Jin main 2 ye hain. pehla derjah ye hay k aap 1) gunahar or gunah say dili naraf ka izhaar karain or os say mulaqaat or baat kerna chordain.2) zabaan say nasihat karain, or haram kaam say rokain or os kaam ka azaab biyaan karain.mazeed ye k kisi ko baghair tasdeeq k badkaar kehna aik barha gunah hay..(ref: yat ullah Khoie,Tauzee hul masail, Pg#304,305). (Ap ko chahiaay k on ki jo baatain aap ko khilaaf e shariyat lagti hain on ki ulama say tasdeeq Karin k ye batain sahi hain ya ghalat)
Question: janab ma ya pochna chati hon k ap ne jo amar bil maroof nahi anal munkir k steps batae ha , kia ya apni aulad, bewi or chote behn bhai par bhi apply hote han maslan , aulad walden ka hukum na mane , ya un se badtameezi karen, ya koi ayasa kam kare jo ghar ki k lia or us k apne lia nuksan deha ha , ya bewi abpne shohar sar baland awaz ma bat kare ya , use lift na kare , ya us ki ijazat ka bagher ghar se apne ma bap k jai , isi tarah chote behn bhai ki behteri ka lia wo steps han ya nahi,
Answer: : Amar bil maroof aur nahi anil munkar ka wojoob mukallaf(yani Baligh merd or aurat) per apnay ghar walooo aur rishtay daroon ki nisbat shaded tar he. Is buniyaad per agar koe apnay ghar waloon , rishtay daroon aur deeni ehbaab se namaz aur roza aur khums k silsilay me be’tawajahi daikhay aur wo muharamaat k murtakib hotay hoon maslan gheebat aur jhoot wagirah. Be’ehtiyaati aur be’ baaqi ko daikhay to amar bil maroof aur nahi anil munkar k tinoo darjoo ki ria’yat kartay huay agay barhay aur in ko bura’i se rokay aur inko achay kamoo ki daa’wat de. Lakin baap aur maa ki nisbat ehtiyaat e wajib he k narmi se un ki rahnuma’e karay aur kisi bhi waqt un k saamnay sakhti se pesh nah aay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2011)
Question: Assalam -o- ailaikum, Al hamdo lillah mairay char (4) baitay hayn.Un kee age biltarteeb 21 Saal/19.5 Saal/ 11.5 Saal aur 9 saal ke hayn. Mai un per Namaz, Rozay kay liyea sakhtee kartaa hoon. Kya issa kerna saihee hay. aur yeah keh, kya mai apni aulad per deegar shari ahkam ( like maa ke izzat, sila-e-rehmi) kay liya bhee sakhtee kar sakta hoon ya naihee. Mairay donoo baray bachay AIK MBBS aur DOOSRA ENGENEERING ka student hay, kya mai dunyavi taleem kay liya bachoo per sakhtee kar sakta hoon. Please jawab zaroor deejeya ga. Was-salam -o- Ailaikum
Answer:
Amar bil maroof wa nahi anil munkar is surat wajib hota hay jab maroof ka anjaam daina wajib or munkar ka anjaam daina haram ho or Amar bil maroof wa nahi anil munkar is surat mustahab hota hay jab maroof ka anjaam daina mustahab or munkar ka anjaam daina makhroh ho.
Amar bil maroof wa nahi anil munkar main laazmi hay k khata kaar ki haisiyat o shaksiyat ko mad e nazar raka jaay keh osay aziyat or ihanat mehsoos nah ho or isi terah laazmi hay keh itni sakhti or dushwari say oski girift nah ki jay keh osay deen or deeni programe say nafrat paida ho jaay.
Amar bil maroof wa nahi anil munkar k chand darjay(steps) hain:
1) gunahgaar say dili azhaar e bayzari maslan rukh morh laina or baat nah kerna.
2) Zabaan say waaz o nasihat kerna
3) Amali iqdaam maslan maarna or qaid kerna
Or laazim hay keh abtida pehlay ya dosray darjay say ki jay or pehlay oska intekhab karain jis main aziyat kam or asar ziyada ho.or agar natija hasil nah ho tu bil tadreej sakhti or dushwari ikhtiyaar karain or agar dili or zabani azhaar e nafrat asar andaaz nah ho tu naubat amali darjay tak pohanch jati hay or ehtiyaat e wajib hay k teesray darjay k intekhaab k liay hakim e shara say ijazat lain. (ref: Ayatullah khoe (r.h.), Tauzee hul masail, maslah#2008,2010).
Question: Salaam, Mein UK Post Graduation karne ja rahi hu aur meri mother mujhe nahi dena chahti. mera visa aa gaya hai. vo mujhe rokne ki puri koshish kar rahi hai. yahan tak ki vo badua bhi de sakti hai jis ki vajah se mujhe aage ja ke bahut problems ho sakti hai. vo har maulana ke pas jati hai aur mujhe rokne ki puri koshish kar rahi hai.kuch aisa wazaif bataye jis se mujhe mom ki badua na lage aur mujhe UK jake koi pareshani na ho.
Answer:
1)jab bhi waldain ki taraf sai koi hokum ya roktok mohabbat ki wajah sai ho aur is ki mukhalifat se inhen aziat hoti ho to aulad k liye un ki mukhalifat karna haram hai.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1387 eidition 31)
2)baite per waldain k 2 farz aaid hote hain:
1) waldain se naiki kare yane agar wo zarorat mand ho to in k lye infaaq(karcha) kare aur in ki zindaghi ki zaroriaat ko pura kare aur insane fitrat aur mizaaj k taqazo k mutabiq in ki zindaghe se mutaliq mamool ki farmaish ko bhi pura kare. Aise farmaishaat jin ko thukrana in k ahsaanaat k muqable me napasaddida samja jata hai. albata ye farmaishaat waldain ki qowat wa zooaf k mutabiq muktalif ho sakte hain.
2)waldain k sath husne solook hai. yani in se apne qool wa faile k zarie bura salooq na kare .agarche wo is per zulme kar rahe ho.
3)agar (upper biaan kiye hoa)mana me waldain se ahsaan is amar ka mutaqazi ho k baita baab(ya mah) k qareeb rahe ya shafqat ki bina per baite k bahroni mulke safar se baab(ya mah) ko aziyat ho to ise chaiay k wo lazami tore per safar tarak kare bashat ye k is se baite ka nuqsaan na hota ho warna safar tarak karna wajib nahe . (Ref : Jadeed faqhi masail , ques # 345,350 , pg # 211,214, eidition 5). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: maine kaafi log dekhe hain agar unhe kahen ke namaz parho toh wo kaehte ke ye hamara amal hai aur akeli namaz parhne se insaan musalman nahin hota us ke dusre amal bhi ache hone chahiye ..namaz ki ehmayat kya hai dusre gunahon par parda daale??
Answer:
1- Agar koe shaks islaam k sahi aqaid per yaqeen rakhta ho or oska izhaar kerta ho agarchah ye izhaar marifat o basirat k saath nah bhi ho tab bhi wo musalmaan or momin hay or os par emaan or islam k tamaam ehkaam jari hoongay.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah#1)
2- Amar bil maroof(naikiyo ka hokum daina) or nahi anil munkar(bura,eyo se rookna) 5 sharait k saath wajib hay.or ye aik aisa azeem deeni fariza hay k quran e kareem main Allah ne irshad ferya hay k “ tum main se aik garouh(group) aisa ho jo khair ki taraf daawat day or buraa,eyo se mana karay or yehi loog falah pane walay hain.” Or amar bil maroof or nahi anil munkar ki 5 sharait main se aik ye bhi he k khata kaar par amar bil maroof or nahi anil munkar k asar ka ehtemaal ho, is bunyaad par k koe shaks jaanta ho k oska kehna asar nahi karay ga tu fuqaha main mash,hoor he k is sorat main oska koe fariza nahi he, or amar bil maroof or nahi anil munkar os par wajib nahi he laikin ehtiyaat e wajib ye he k karahat or naraazgi ka izhaar khata kaar k is kaam par karay chahay jaanta ho k wo asar nahi lay ga.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 2009)
3- Namaz deeni aamal main se behtareen amal he.Agar ye baargah e ilaahi main qabool ho gae tu doosri ibadaat bhi qabool hojain gi or agar ye qabool nah hoe tu doosray aamal bhi qabool nahi hoongay.
Huzoor nabi e kareem (s.a.w.w) ka irshad hay k “ jo shaks namaz ko ehmiyat nah day or osay mamooli cheez samjhay wo aakhirat main azaab ka mustahiq hay.( Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, pg# 121 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Asalam O Alakum mani phale bhi sawal kiya tha jawab nahi mila mera 3 sawal ha phale ya ka agar koi aurat parda karti ho shariyat ka hisab sa laken us ka shohar us ko coat sacrf phan kar pardeye ka khaye to us aurat ka liya kya hukm ha dosra sawal ha ka arga r nikkah ka bade mard par wajeb ha ka aurat ko kharcha daye ruksati sa phale theesra sawal ka mard agar aurat ko majboor karaye ka wo coat scarf phaen kar hi parda karye aur wo na mane to kya hukom ha aur mane to mard ka liya kya gunah ha please reply karye
Answer:
1-Agar bivi mukammal sher,e perda kerti ho tu phir bhi shohar kahay k coat scarf pehno tu bivi k liay shohar k baat maana wajib nahi hay, or na hi shohar per wajib ya mustahab hay k wo apni bivi ko caot or scarf k liay amar bil maroof karay.Q k Islam ne faqat mukammal sher,e perda kerne ka hokum diya hay nah k coat, scard ko perday main shumaar kia hay.(Ref: Ayatollah sistani(d.b),minhaajus saliheen, part#3, amslah#337-339)
2-Jee haan,naan o nafqa daina wajib hay. Siwaay is sorat k keh koe aisi alamat ho jis se tay ho jay k naan o nafqa daina zarori nahi hay chahay isi aitebaar se keh riwaaj hi asia ho(k rukhsati se pehlay naan o nafqa nahi dia jaata ho).(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Mujtahid se pochay gay sawalaat#4, jawaab#142).
3-Aurat k hoqooq main se aik huq merd per ye bhi hay k merd osay aziyat o azaar nah pohnchay or kisi sher,e wajah k baghair os k saath sakhti or tursh rawi(naraazgi or ghussaa) se paish nah aay.(Ref: Ayatullah sistani, Tauzeehul masail, maslah#2376). Bivi k liay shohar ki is baat per amal kerna wajib nahi hay or shohar ko bhi ye huq nahi k wo os k saath kisi sher,e wajah k baghair sakhti or tursh rawi(naraazgi or ghussaa) se paish aay.
Note: oper jo hokum biyaan hoa hay wo faqat wajib or haraam ki had tak tha, Liakin hum aap ko nasihat kertay hain k bivi or shohar k dermiyaan piyaar o bohabbat ka rishta hota hay, aaqa or kaneez ka nahi, laihaza aap agar chahtay hain k aap ki bivi mukammal perday k bawajood scarf or coat pehne tu aap ye baat os ko piyaar o muhabbat se kahain “mairi khahish he k aap ye pehno or agar aap mujh se sacha piyaar kerti ho tu mairi ye baat mano warna nahi maano” or bivi ko bhi apne shohar ki har jaiz khahish pori kerne ki koshish kerni chahiay or os k dil ko khush kerna chahiay. (Khuda aap ki taufiqaat main izafa fermaay)
Question: mera sawal hai k olad k liye uski maa he sbkch hoti hai..magr jb maa ghalt rasty pe hoto olad ko kia krna chahye?? maa sy badzubani krni chahye usko rokny k liye ya phir sbkch daikh kr b ankhen bnd krlyni chaye.meri cuzn hai usk papa america me rehty hain maa yahen us k sth rehti hai.un k ghr ausraliya sy bnda aya hua haijo raat ushe k han rukta hai or wo dono sth nahaty hain jb k meri czn ki umer itni hai k uski apni b shadi hoskti hai or usny apni maa ko khud daikha hai sb krty hua..or ye daikhny k bd wo mar si gai hai.sbkch roknyki koshsish kr rai hai bdtamizi sy pyr sy but wolg usi py pabndiyan laga rahy hain usko aik ghulam sa bana kr rkhdiya hai to mera sawal itna hai k is situation me olad ko kia krna chahye sbkch daikh kr ankh bnd krly ya buri bn k sbkch roky.allah ne kia farmaya hai is sb k bary me plz rply me
Answer:
Agr Amr_bil_maroof ki sharaait mukammil ho gai hon or olad pr wajib hogaya ho k wo walden k amal k nateeje men unko acchai ki trf bulaen or buraai se roken or isi tarh agr olad k aqeede k mutabiq walden ki amal or mo`aqaff sahi na ho to olad un se behs kr sakti hai lekin olad ka ye farz banta hai k walden se behs-o-mubahasa krte wqt adab or tehzeeb ka khayal rakhen or unki tarf ghoor kr bhi na dekhe, apni awaz ko walden ki awaz se ziyada buland na kren, lekin tando tez alfaz krna jaiz nahi hen. or agr apki cousin ka aysa kch krne k bad bhi agr unki walida is kam se baz na ayen to to kam se kam apki cousin itna kr sakti h k wo telephone pr apne walid ko is bat ki ittala deden take unki walida is gunah se kinara kashi ikhtiyar krlen.(Ref : Ayat_ullah Sistani(d.b), Jadeed Fiqhi Masaail, 5th Eddition, Ques#346-347, Pg#212-213)
Question: kesse be namaze ko namaz parhane ki leye kya karna chahiye plllsssss answer
Answer:
1)Amar bil maroof aur nahi anil munkar ka wojoob mukallaf(yani Baligh merd or aurat) per apnay ghar walooo aur rishtay daroon ki nisbat shaded tar he. Is buniyaad per agar koe apnay ghar waloon , rishtay daroon aur deeni ehbaab se namaz aur roza aur khums k silsilay me be’tawajahi daikhay aur wo muharamaat k murtakib hotay hoon maslan gheebat aur jhoot wagirah. Be-ehtiyaati aur be-baaqi ko daikhay to amar bil maroof aur nahi anil munkar k tinoo darjoo ki ria’yat kartay huay agay barhay aur in ko bura’i se rokay aur inko achay kamoo ki daa’wat de. Lakin baap aur maa ki nisbat ehtiyaat e wajib he k narmi se un ki rahnuma’e karay aur kisi bhi waqt un k saamnay sakhti se pesh nah aay.
2)Amar bil maroof wa nahi anil munkar k chand darjay(steps) hain:
1)gunahgaar say dili azhaar e bayzari maslan rukh morh laina or baat nah kerna.
2)Zabaan say waaz o nasihat kerna
3)Amali iqdaam maslan maarna or qaid kerna
Or laazim hay keh ibtida pehlay ya dosray darjay say ki jay or pehlay oska intekhab karain jis main aziyat kam or asar ziyada ho.or agar natija hasil nah ho tu bil tadreej sakhti or dushwari ikhtiyaar karain or agar dili or zabani azhaar e nafrat asar andaaz nah ho tu naubat amali darjay tak pohanch jati hay or ehtiyaat e wajib hay k teesray darjay k intekhaab k liay hakim e shara say ijazat lain. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2011)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: mei ne ek dost ko gunah se bachane k liye us se baat karna choor diya. Kiya ye sahi hai.
Answer: Jee han Amr bil maroof aur nahi anil munkar krna wajib hai aur is k darjay hain jis mai sai pehla derja gunahgar sai qalbi izhar e bezari hai maslan bat na krna, doosray darjay mai zaban sai nasihat krna, aur teesray drjay mai amli aqdam maslan marna aur qaid krna hai. Lazim hai k amr bil maroof aur nahi anil munkar pehlay ya doosray drjay sai kia jae. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2010)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: plz answer me kia beta apni ma ko namaz parhna ka kah sakta he ya nai plz answer me plzzzzzzzzzzzzzzzzz
Answer: Amr bil maroof aur nahi anil munkar ka karna apnay ghar walo par doosron ki nisbat ziada shadeed hai laikin maa aur baap ki nisbat ehtiyat e wajib hai k narmi sai in ki rehnumai karay aur kisi bhi waqt in k samnay sakhti sai pesh na aye. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2011)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Agar behen kisi ghair mard k sath mobile pe chat karte waqt pakri jaye . tu uske sath kaisa salook kiya jaye.. islam k mutabiq.. Agar uski ghalti hu... aj kal yeh common issue hai.. plz jald sa jald jawab dejiye.. m waiting
Answer: Amar bil maroof aur nahi anil munkar ka wojoob mukallaf(yani Baligh merd or aurat) per apnay ghar walooo aur rishtay daroon ki nisbat shadeed tar hai. Is buniyaad per agar koi apnay ghar waloon , rishtay daroon aur deeni ehbaab se namaz aur roza aur khums k silsilay me be’tawajahi daikhay aur wo muharamaat k murtakib hotay hoon maslan gheebat aur jhoot wagirah. Be’ehtiyaati aur be’ baaqi ko daikhay to amar bil maroof aur nahi anil munkar k tinoo darjoo ki ria’yat kartay huay agay barhay aur in ko bura’i se rokay aur inko achay kamoo ki daa’wat dain. Aur Amar bil maroof wa nahi anil munkar k chand darjay(steps) hain: 1)Gunahgaar say dili azhaar e bayzari maslan rukh morh laina or baat nah kerna. 2)Zabaan say waaz o nasihat kerna 3)Amali iqdaam maslan maarna or qaid kerna Or laazim hay keh abtida pehlay ya dosray darjay say ki jay or pehlay oska intekhab karain jis main aziyat kam or asar ziyada ho.or agar natija hasil nah ho tu bil tadreej sakhti or dushwari ikhtiyaar karain or agar dili or zabani azhaar e nafrat asar andaaz nah ho tu naubat amali darjay tak pohanch jati hay or ehtiyaat e wajib hay k teesray darjay k intekhaab k liay hakim e shara say ijazat lain. (ref: Ayatullah Sistani (d.b.), Tauzee hul masail, maslah # 2008-11). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Salam...mera sawaal apne eklautey bhai k liye h..woh mullk se bahr job krna chahata h pr maa baap razi nhi ghar k masle bhi ijazat nhi detein.kiyauska bahr jakr nokri krna behtr h...aur agr nhi tou plz koi asan dua batadigiye taki uski delhi m shandaar job lag sakey aapki bahut mehrbani hogi...jawab ki besabri se muntazir hu...
Answer:
wssalam o alykum, ager ap ke maa o baap apni mohabbat o shafqat ki waja se us ko bahaar jaane se mana karahain or ager wo un ki mukhaallifat karke bahar jaae to un ko takleef o aziyat pochain gi to is sorat main us ka bahar jana jaiz nahi hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 1387).
Job ke liye apne bhai ke bazoo per sura e aal e imraan ki aayat no 73 likh kar band dain to INSHALLAH ALLAH TAALA sahib e roozgaar kar de ga.(Ref : tajalliyaat e Quraan , pg 34 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).
Question: Salam Agha, I want to know what is the ruling in Islam for scolding Parents for not doing such things which may lead to thier health problem.
Answer: Baap aur maa ki nisbat ehtiyate wajib hai k mulaimat aur narmi say unki rehnumai ki jaey aur kis bhi waqt un k samnay sakhti sy pesh na aein.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 33th edition,maslah #2011). (Khuda aap ki Tawfiqaat mein Izafa farmaye)
Question: how do i prevent my Girl friend from other false peoples??? they want to do something wrong with her
Answer:
Aap ko un ko nahi anil munkar karna (buraaiyoon se rokna chahiye) chahiye ager nahi anil munkar ki sharaait puri hon to, (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 2008 to 2011).
aap ko aik fiqhi maslay ki taraf mutawajah kia jata hai: Jins e mukhalif sai is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak phounch jay, ye jaiz nahi hai. (Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).
Question: AOA mera eik sawal hain eik madarasa k peshe imam k zimadari kia hain kia wo polatation k faisle bhi kar sakty hain ya nahe? zara detail samjaye shukriya
Answer: Peshe imam ki zimedaariyoon main se ik amar bi al maroof o nahi an al mukar hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 2008 to 2011 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).
Question: SALAM MERA SAWAL YE HAI K MARI WIFE NAMAZ NH PARTI HAI TO KIYA US K SAT RAHNA THEEK HAI ISLAM MAI BAI NAMAZI K LIYE KIYA HUKUM HAI ? MAIE TAQLEED AAYT-UL-ALLAH SEESTANI KI KARTA HO PLZ MARI YE MUSHKIL KO HALL KARE. MUHTAJ E DUA MOHAMMAD RAZA
Answer:
Amar bil maroof k silsile me kise aurat per zabarsaste nahe karsakte.(sistani.org, urdu ,amal bil maroof , sawal 2) albatta
Agar kise k naike baat ( maslan namaz , roza wagaira ) qabool karne ka ahtemal ( chance ) ho to amar bil maroof karna wajib hai.aur agar baat qabool karne ka ahtemal no ho to ehteyat wajib ye hai k karahat aur naraazghi k izhar ghunaghaar k is fail nashaista per kare chai janta ho k wo is ka asar nahe le gha. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #2009 )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Nikah ke saat aath saal baad gharwaloo se alag rehna jaiz hai jab sirf jagdeh ho jawab ki talab zarori hai
Answer: jab bhi waaldain ki taraf sai koi hokum ya rooktook mohabbat ki wajah sai ho aur is ki mukhaalifat sai inhain aziyat hoti ho to aulad k lie un ki mukhaalifat karna haram hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1387 eidition 31) . (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: mere walid 66 yrs, namaz parhte kabhi nai dekha, except Jumatul wida, Eid & Janaza. Ghar me sare log Alhamdo Lillah deeni faraiz ada karte hn. Aulad ki is silsile me kia zimmedari banti hai. Jazak Allah
Answer: Chahiye ke Walid ko – in ke martabe o ehtraam ka khiyaal rakhte howe – namaaz ki nasihat (Amar bi Al-Maroof) karain, or sakt gutagoo main nasihat karna jaiz nahi. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 1 , Maslah # 1274 , eidition # 1st , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: ji mera name danish sayed hai mai mumbai ka rehne wala hu maine ek ladki se pyar kia hu uski jo ammi hai wo ek gair mard se talukat rakhti hai anke shauhar ke ye bat nai pata hai lekin jisse mai pyar kiya hu use pata hai ye bat to mijhe janna hai ki uska masla kya hai kya jisse mai pyar karta hu usko bhi utna hi gunah milega jitna uski ammi ko milega kyu ki 18 sal se wo apne shauhar ko dhekhe me rakhti hai apne baccho ko leke wo gair mardo ke sath ghumti hai aur wo admi uske ghar par bhi ata hai to uska masla bataye plz
Answer: Us larki ko apni maa ko ehtiraam ke sath in chezo se mana karna chahiye, or ager mana karne se wo na ruke to un se naraazgi ka izhaar karna chahiye, or ager wo amar bil maroof na kare ya un ka is galat kaam main sath de to in dono guhnaah ki waja se us ko Allah Taala se toba karni chahiye. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 2008 to 2011) , (Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen , Part # 1 , Maslah # 30 , eidition # 2009 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: meray walid ko lawata ki gandi aadat hay. wo ham jins parast han. saray sheher ko pata hay. mjay b wazeh tor par pata hay. man un ka bara beta hon. meri umar 27 saal hay. mjay meray walid k is kam se nafrat hay, ab to mjay un se be nafrat hoti ja rai hay. man is muamlay men bot pareshan hon. muaashray men mera koi muqam nai hay, mera sawal ye hay k kia man apne walid ko roknay k liay koi tadbeer kar sakta hon, kia un ko is buri aadat se roknay ki mjay islam men ijazat hay? kia man is bat se tang a kar apna ghar hamesha k liay chor kar kisi aur jaga abad ho sakta hon. meri is mumla men madad karen aur mjay koi hall btaen.
Answer:
Agar apko ahtemal ho k ap k walid per apki bat asar kregi or wo isko qabool krengi to amar bil maroof karna wajib hai aur gunah se rookna wajib hai, or agar baat qabool karne ka ahtemal no ho to ehteyat wajib ye hai k karahat aur naraazghi ka izhar ghunaghaar k is f nashaista kaam per Karen chahe jante ho k wo is ka asar nahe le ga.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #2009 )
Aulad k liye apne waldain ko amar bilmaroof karte hoye ehteyat wajib ye hai k in ki narmi se renumai karen or kise bhi waqt waldain k samne sakhti se paish na ayen.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #2011 )
Question: Meray Maa baap me bohot jhagda hota hai WO dono namaz bhe partay hain Quran bhe magar koi unme se zaban pe qaabu nai rakhta me unki akloti aulad hu aur gusse me aakay unhe chup karanay k liye meri awaz bhe unchi ho jati hai aap ye btayen k Islam is baaray me kia kehta hai mujhe kia karna chahye? Aur meri awaz agar unchi hoti hai to sirf apni Ami ki bhalai k liye k baat na bar hay.kia me gunahgar hon ge?
Answer:
Bête(ya beti) k aqide k mutabiq waldain ki jo raay aur muakaf sahe nahe , is me in se bahas aur mubaisa karsakta hai . laikin bête (ya beti ) k liye zarore farz banta hai k waldain se bahas wa mubaisa k dourain adab aur tehzeeb ka khayaal rakhe aur in ki taraf ghoor kar dhekhne se bhe ghuraz kare . apne awaz ko waldain ki awaz se ziyada buland na kare che chai k tanwa taaz alfaz istemal kare jo batareeq aula jaiz nahe . (Ref : Jadeed faqhi masail , ques # 347 , pg # 213, eidition 5)
Aulad per waldain ka sath ahsaan karna aur un ka ehteraam karna wajib hai . (ref:sistani .org, urdu, waldain k huqooq ,que:1). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Agar shohar kisi gunah main mubtila ho ho aur biwi usay roknay ki taqat na rakhti ho to usay Kia karma chahiye??? Aur Kia khuda k Han us se is baray main sawal kia jaye ga k shohar Ko kion us gunah se na roka??
Answer: Agar kisi insaan k naik baat qabool karne ka ehtemal (chance) ho to amar bil maroof or nahi anil munkir wajib hai aur ghunah se rookna wajib hai aur agar baat qabool karne ka ehtemal nah ho to ehteyaat e wajib ye hai k karahat aur naraazgi ka izhaar ghunaghaar k is kaam nashaista per kare, chahay jaanta ho k wo is ka asar nahi le ga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2009). Update on dated 30-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: agar rozay daar bhoolay sy kuch kha ya pi raha ho to kya usko rokna chahye ya nahi?
Answer: Os ko khane peenay se rookna wajib nahi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael, Mafhoom e pg#304). Update on dated 22-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Ager sure nahi hay k taqreeb may raqs hoga to phir ja saktay..q k ye b sure hay k gunah may shamil ni hogay
Answer: Wahan jaa tu saktay hain lekin wahan jaa kar agar raqs wagera ho raha ho tu phir aap par zimedaari aajaye gi yani aap ka wahan bethna raqs wagera ki taeed ka sabab nah ban raha ho or sharaet mukammal honay ki soorat mai aap ko amar bil maaroof wa nahi anil munkar karna bhi wahib hoga. (Ref:Email rcvd from aqai seestani). Update on dated 11-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: agar baap zina karta hai to krna chahiya
Answer: Ehtiyaat e wajib hay k maan or baap ko amar bil maaroof or nahi anil munkir k hisab say narmi say kaam lia jaey kisi waqt un k samnay sakhti say pesh na aaia jaey. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2011). Update on dated 01-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kise hindu ko zabarsastti ismlam qabool karwana jaiz hai
Answer:
Amar bil maroof or nahi anil munkar ki kuch sharaet hain un ko madde nazar rakh kar islam ki taraf raghib kia jaa sakta hai lekin kisi ko maarna, zabardasti karna, ye jaiz nahi hoga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah#2009).
[Updated on 24-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: agar koyi namaz na parta hu tu us k hath ka khana kha saktay hain ya nahi
Answer:
1)Namaz ka jaan bhojh kar tark karna haram o gunah e kabeera hai. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 1 masla # 30)
2)Us ke tha khana khana to jaiz hai lekin mustahab hai ke jo shakhs masjid na aata ho us ke sath mil kar khana na khaye, apnay kamon us se mashwarah na kare, us ke parhos me na rahe aur na us se aurat ka rishta lay aur na use rishta day.
Note: agar amarbilmaroof( naiki ka hukum dena ) ke sharaait moujood hay tu aise shaks ko naiki ka humkum dena maslan namaz perhne ka lhena zarori hay .
(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah # 884)
[Updated on 17-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam alaikum wa Rahmatullah WA barkatahu mera apse se ye sawal hai ki agar maa ke kisi ghair mard se talukat hai tho bete kya kya farz banta hai
Answer:
Ehtiyaat e wajib hay k maah or baap ko amar bil maaroof or nahi anil munkir k hisab say narmi say kaam lia jaey kisi waqt un k samnay sakhti say pesh na aaia jaey. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2011).
[Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: S/w mai phr se y sawal puchna chahta hu ki main jis ladki s nikah karna chahta hu wo kisi ldke k thigs p baithi hai kya ye zina h or is se tauba kaise kre wo ladki or y jante hue kya mai usse nikah kar skta hu use maaf kr sakta sakta ho
Answer:
salam. Aap os larki se nikah kar sakte hain, larki ka ye amal zina shumaar nahi hoga, aap os ko taubah ki janib mutawajjah kar sakte hain o os ko maaaf bhi kar sakte hain.(Ref: tauzihul masael, ayatullah sistani, maslah#2007, 2363)
[Updated on 28-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr maa baap mai larai ho aur unme se aik ghalti p nazar rha ho to kia olad ko smjhana chahye usy jo ghlti pr h?
Answer:
Ehtiyaat e wajib hay k maan or baap ko amar bil maaroof or nahi anil munkir k hisab say narmi say kaam lia jaey kisi waqt un k samnay sakhti say pesh na aaia jaey. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2011).
[Updated on 13-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam walaikum.......mere sohar khud namaz nahi padte pr har namaz ke waqt mujhe namaz padne ka bolte he aur me padti bhi hu namaz ......toh me unse kehti hu ke pehle khud Amal kare fir dusro ko boley.....kya mera aisa bolna ghnaah e Kareem he
Answer:
Maula ali a.s ka qaul hay keh ye daikho kia kaha ja raha hay, ye nah daikho keh koon keh raha hay.(Ref: http://tahafuzaqaidshia.blogspot.com/2015/02/blog-post.html).
Aap ka ye ayteraaz dusrust nahi hay keh pehle khud karo phir doosro ko bolo, agar wo naik kaam ka keh rahe hain tu os ko qobool karna chahiay or ayteraaz nahi karna chahiay. aap bhi amar bil maroof ki sharaet k sath on ko amar kar sakti hain.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah #2008-2011).
[Updated on 13-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: ager ham kisi ko kisi kabira gunah k ghalat honay ka bolain k yeh ghalat hai....or wo agay say jawab day k tum to jaisay boht parsa ho na jo bol rahi yeh ghalat hai.... to is per kia jawab den...ham beh insan hain perfect to nae ho saktay but gunah kabira or sagheera ka farq to hota hai.....kabira nae kernay chahyen na
Answer:
Maula Ali(a.s) ka qaul hay keh ye daikho kia kaha ja raha hay, ye nah daikho keh kon keh raha hay.
(Ref: http://tahafuzaqaidshia.blogspot.com/2015/02/blog-post.html).
Us ka ye ayteraaz dusrust nahi hay keh pehle khud karo phir doosro ko bolo, agar koi naik kaam ka keh raha hai tu os ko qobool karna chahiay or ayteraaz nahi karna chahiay. aap bhi amar bil maroof ki sharaet k sath on ko amar kar sakti hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #2008-2011)
(Note: Gunahan e kabira karna to wese bhi haram hain aur anjam nahin jasakte lekin Gunahan e sagira karne ki bhi ijazat nahin hai. Q ke jis sagira gunah ko bar bar anjam diya ya is ko haqeer(kamtar) samajhna jaye to ye bhi kabira ho jate hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus Salaheen, Part #1, maslah #30)
[Updated on 18-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Ager maa bemar phopho se milne per khush na ho or bety se naraz ho aher wo milta hai to kya bety per jaiz hai phopo se milna?
Answer:
musalman per sele rehmi (yani apne khoni rishtedaaro se talluqaat ko jure rakhna ) wajib hai or qte rehmi karna (yani apne khoni rishtedaaro se talluqaat kokhatam karna ) kunahaane kabera me se hay.(ref:jadeed fighe masail ,aqa sistani ,urdu, pg no:171,masla:295) ,sele rehmi me itna kafi inhe ( yani jin ke sath sele rehmi karna wajib hai salaam pouchaya jaae ,in ki ahwaal purse ki jaae or ise tarah ke kaam kie jaae or in louqo se sele rehmi karna wajib hai jinhe urf (louqo ) me rishtedaar samja jata hai or ye baat jaan lena zarori hai ke sele rehmi srif ye nahe hai ke kise ke paas jakar is se mila jaae balke telephone kar ke bhi khabar ghere karlena or waqt perhne per madad karna bhi sele remi ke lie kafi hai .(deen ke ahkaam,aqa sistani ke fatwe ke mutabiq,pg no: 324,325, masla no:991,995)
aulaad ki zaat ki had tak muaamlaat ya tarze amar ka taaluq hay jis ki waja se waaledain ko aziyat ho us ki do kisme hain : (1) aulad ke kise kaam ki waja se waaldain ko is lie aziyat hote hai ke wo bacche se shafqat or dilsuzi rakhte hain .aise surat me bacche ka har wo kaam haram hoga jis se waaldain ko aziyat hote ho chaae waaldain ise mana kare ya na kare .(2) waaldain me se kise aik ko is lie aziyat hote hai ke khud is walid ya waleda me aik bure khaslat or eadat paae jaate hay. misaal ke tour per mah ya baap baite ki dunyawi ya ukhrawi bhalaaie nahe chaathy ( jis ki waja se baita jab bhi koi naike kaam kare mah ya baap ko aziyat hote hai) agar waaldain ko aziyat is nouiyat ki ho tu is ka koi asar nahe parega or waaldain ki khuwaish pure karna wajib nahe hai albatta baite ke lie zarore hai ke wo apne quol or fail ke zarie mah se beadabe se ijtenaab kare.(ref:jadeed fighe masail ,aqa sistani ,urdu, pg no:212,213,masla:345,348)
[Updated on 29-Oct-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar maa ka kisi gair mard ke saath najayaz rishta hai too beta kya kare
Answer:
Kisi bhi Aurat ka apne shohar k alawa kisi se jismani talluq rakhna haram or gunah e kabira hay.
(Ref: Minhajus saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, edition #1439, maslah #30)
(Note: Shohar ke alawa Kisi se bhi is tarh ka kam karna chahe wo koi bhi ho haram aur gunah e kabira hai. aur bete ke liye amar bil maroof aur nahi anil mukar( yani ghuna se rokhna ) ke tahat ye kam bhi wajib hai ke apni walida ko is gunah se roke ).
[Updated on 08-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam mera shohar nemehram or mere susraal walo k saath meri gheebat kerty hain or logo se meri buriyan kerty hain un ki iss aadat ki waja se mujhe un se nqfrat ho gae hai jabb se un k asliat saamne i hai wo mere saamne theek or logo k saath meri buraiyan kerty hain iss baare mein islam kya kehta hai shohar ko?
Answer:
(Aap apne shohar ko waaz o naseehat or amar bil maroof kar sakti hain or is sharaei masale se aghah kar sakti hain or shohar ke liye lazim hai ke is par amal karei warna wo gunhagar hoga).
1: Gheebat karna haram hai or gheebat se murad ye hai ke kisi bara imami shia (mard ho ya aurat, biwi ho ya koi aur) ke makhfi aib (عیب) ko us ki gair mojudgi men doosre ke saamne bayan kare chahe us ki shakhsiyat ko majrooh karne or us ki tauheen karne ke qasd se ho ya aise qasd ke bagair ho, Han agar tauheen karne ke qasd se us ke aib(عیب) ko bayan kare to do gunah (gheebat or tauheen) hon gay.
(Ref: Tauzeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), Part #2, maslah #457,458).
[Updated on 15-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr bv mobile pr kisi aur se bat kree to shohr ko kia krna chahie
Answer:
Aap biwi ko amar bil maroof kar sakte hain or unhe samjha sakte hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b) edition #42, pg #302).
[Updated on 31-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asslam o alaikum. Kia biwi k parda na krny ka gunah shohar ko mily ga? Or kia shohar zabardasti parda krwa skta hai?
Answer:
Nahin, aur woh hijaab ke liye biwi par zabardasti nahin kar sakta, haan ghar se bahir nikalne par pabandi laga sakta hai aur hijaab ke sath bahir jane ki shart kar sakta hai.agar Amar bil maroof or nahe anilmunkar ki tamam sharaait moujood ho Jin me se aik ye hay ke gunagaar per Amar bil maroof or nahe anilmunkar ka asar ho tu shohar per amar bilmaroof nahe anil munkar wajib hay or zoja ko bepardaghe se zaban se mana kare balke agar jaan ho ke gunagaar per koi asar nahe Hoga tu eyteyat wajib ki Bina per gunaghaar ke us fail se naraazghe ka izhaar zaroor kare .
(Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/17171/, tuiziual masail,Urdu,topic Amar bil maroof ).
[Updated on 29-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya walidein ki islah karna jayez hai ya nhi?
Answer:
Agar walidein haram ko anjaam day rahe hon ya wajib ko tark kar rahe hon to aulad ke liye apne walidein ko achaei ki taraf dawat dena aur buraei se rokna jaiz hai. lekin aulad ke liye apne walidein ko achaei ki taraf dawat waqt aur buraei se rokte waqt, ehtiyat wajib ye hai ke narmi se un ki renumai kare aur hargiz walidein ke samne sakhti se paish na aaye.
(Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), Part #2, Maslah #388. + Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #2011).
[Updated on 17-Apr-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamualaikum, Mera sawal ye hai k, ye European countries, middle East (dubai) or US etc jahan pa be-parda auratain hote hain, jin pa na chahty hwy b nazar pr jate hai, tang kapry pehny hoty hain, being a Muslim kia hmari nazar prrna halal hai ya haram ? rehnhmae farmay
Answer:
1: Aksar auqaat momin nojawanon ko taleem, aarzi ya hamesha rahaish ki gharz se ger islami mamalik mein khasosan Europi mamalik aur America jana parta hai. chunkay musalman nojawan islam ke paband hotay hain jis ki wajah se buhat saari pareshaniyon, mushkilaat aur sawalaat se dochar hotay hain. lehaza munasib maloom hota hai ke un nojawanon ki khidmat mein darj zail sharaei ahkaam bayan kar diye jayen jo un mushkilaat se niklny mein madad o muawin saabit hon.
2 : Fuqha e kiraam is baat ki tasreeh karte hain ke shak aur lazzat ki niyat se aurton ko dekhna Haraam hai aur lazzat ki nigah ka matlab yeh hai ke un ki taraf shehwat ki nazar se dekha jaye aur shak ki nigah ka matlab yeh hai ke Haraam kaam mein mubtala honay ka khauf ho.
3: Jo aurtain be hajabi se rokay jane par nahin rukteen un ke chehray, hathelion aur un aaza ko dekhna jaaiz hai jo aam taur par nahin chupaye jatay. lekin shart yeh ke jinsi lazzat ki nigah se nah dekha jaye aur dekhnay walay ka Haraam kaam mein mubtala honay ka khatrah bhi nah ho. lekin un aaza ko dekhna jaiz nahin jinhein mamool ke khilaaf sirf kuch aurtain zaahir karti hain.
4: Riwayaat mein manqool jumla "أنّ النَّظَرَة الأولٰى لَکَ، وَ الثَّانِیَة عَلَیک" pehli nigah tumahray faiday mein hai aur dusri nazar nuqsaan mein hai, is jumale ka matlab yeh hai ke dono nigahon mein is hawalay se farq paaya jata hai ke pehli nigah ittifaqi aur sarsari aur lazzat o shehwat se khaali hoti hai (is liye qabil muwakhza nahin hoti) barkhilaf dusri nigah ke jo qasd aur iraday se hoti hai, jis mein lazzat bhi shaamil hoti hai is liye dekhnay walay ke liye nuqsaan da saabit hoti hai. yahi wajah hai ke baaz riwayaat mein Imam Sadiq(a.s) farmatay hain: ’’النَّظرَةُ بَعْدَ النَّظْرَةِ تَزْرَعُ فِی الْقَلْبِ الشَّہْوَةَ، وَ کَفَى بِہَا لِصَاحِبِہَا فِتْنَةً‘‘ aik ke baad doosri nigah (dekhnay walay ke) dil mein shehwat ka beej bo deti hai aur yeh dekhnay walay ki azmaish ke liye kaafi hai.
behar haal yeh aik wazeh haqeeqat hai ke riwayat mazkoorah ka jumla, insani nigah ko tadaad ki bunyaad par jaaiz qarar nahin deta. is maana men ke pehli nigah har haalat mein jaaiz ho agarchay maqsad o iradah se ki jaye aur ibtidayi taur par pak nah ho (balke ghalat nigah ho) ya yeh nigah musalsal jami rehne ki wajah se ghalat nigah mein tabdeel ho gayei ho. Q ke dekhnay walay ka nafs e amarah is ka itaat guzaar nahin hota ke woh fauran ankhen band kar lay aur nah riwayat ka yeh jumla yeh kehna chahta hai ke dusri nigah har haalat mein Haraam hai agarchay aik lamha ke liye ho aur lazzat se bilkul khaali ho.
(Ref: Jadeed fiqhi masail, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #458,459,476).
[Updated on 27-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: assalam o walikum m sunni firqe se hn mere walid sahab sb nek kam krte hn bs ek namaz ni parte Allah jane q ab yahan sawall krne m ajib lgra h k walid k khilaaf gustakhi na ho ase m kia kia jaye k wo namaz parhne lge
Answer:
(Note: Is website par fiqh e jafferiya {shia mazhab} ke mutabiq jawabat diye jatay hain).
Agar walidein, ghunahon ko anjaam day rahe hon ya wajib ko tark kar rahe hon to aulad ke liye apne walidein ko achaei ki taraf dawat dena aur buraei se rokna jaiz hai. lekin aulad ke liye apne walidein ko achaei ki taraf dawat dete waqt aur buraei se rokte waqt, ehtiyat wajib ye hai ke narmi se un ki renumai kare aur hargiz walidein ke samne sakhti se paish na aaye.
(Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), Part #2, Maslah #388. + Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #2011).
[Updated on 27-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Helooo agar ap kisi ko geebat karte sunee or kuch keh bhi nhi sakeee lekin apko gussaaa bhot ayee matlab jaise apki maaa apke baap ke baree me kuch kaheee or ap kuch kar bhi nhi saktai rone ke ilawa please mujhe batai me kia karoo mujhse ye sab bardasht nhi hota ?
Answer:
(Note: Is website par fiqh e jafferiya {shia mazhab} ke mutabiq jawabat diye jatay hain).
1: Aap unhen waaz o naseehat or amar bil maroof kar sakti hain or is sharaei masale se aghah kar sakti hain ke gheebat karna Haram aur Gunah e kabira hai. lihaza agar walidein me se koi bhi aik ghunah ko anjaam day raha ho ya wajib ko tark kar raha ho to aulad ke liye apne walidein ko achaei ki taraf dawat dena aur buraei se rokna jaiz hai. lekin aulad ke liye apne walidein ko achaei ki taraf dawat dete waqt aur buraei se rokte waqt, ehtiyat wajib ye hai ke narmi se un ki renumai kare aur hargiz walidein ke samne sakhti se paish na aaye.
(Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), Part #2, Maslah #388. + Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #2011).
[Updated on 06-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Molana sahab Meri ma ka chakar gair mard k sath h or mujhy jab ye pta chala two ab mujhy apni maa sy nafrat ho Rahi h ab ap batao m kya karon mujhy Kuch samajh nhi AA rha
Answer:
1: Agar walida ghunah ko anjaam day rahi ho ya wajib ko tark kar rahi ho to aulad ke liye apni walida ko achaei ki taraf dawat dena aur buraei se rokna jaiz hai. lekin aulad ke liye apne walida ko achaei ki taraf dawat dete waqt aur buraei se rokte waqt, ehtiyat wajib ye hai ke narmi se un ki renumai kare aur hargiz walida ke samne sakhti se paish na aaye.
2: Kisi bhi Aurat ka apne shohar ke alawa kisi aur se jismani talluq rakhna haram or gunah e kabira hay. aap ko chahiye ke ya to khud amar bil maroof aur nahin anil munkar (yani ghuna se rokhne) ke tahat apni walida ko is kam ke anjam dene se mana karen ya apne walid ya kisi aur rishtedar ko batayen, taake wo amar bil maroof aur nahin anil munkar ke tahat aap ki walida ko mana kare Q ke amar bil maroof aur nahi anil munkar karna bhi wajib hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2011. + Minhajus Saliheen, part #1, edition #1443, maslah #30).
[Updated on 21-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar shoher namaz na perhta ho lakin saas sirf apny grandson ko he namaz ka boly jab k mai apny bety ko lazmi namaz ka kehti hon jab k meri saas apny bety ko na kahy to kya kerna chhayw ? Ye kis ka farz hai shoher ko namaz ka kehna biwi ka ya maan baap ka?
Answer:
1: Biwi apne shohar ko aur saas apne bete ko waaz o naseehat aur amar bil maroof kar sakti hain aur is sharaei masale se aghaah kar sakti hain keh Namaz ka jan bhooj kar tark karna (na parhna) Haram aur ghunah e kabira hai.
2: Agar amar bil maroof aur nahi anil munkar ki tamam sharaait maujood hon jin me se aik ye hay ke ghunaghaar par amar bil maroof aur nahi anil munkar ka asar ho to biwi aur saas dono par amar bil maroof aur nahi anil munkar wajib hai aur shohar ya bete ko zaban se mana karen balke agar maloom ho ke ghunaghaar par koi asar nahi hoga to ehteyat e wajib ki bina par ghunaghaar ke us kaam se naraazghi ka izhaar zaroor karen.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2008,2009,2010. + link; https://www.sistani.org/urdu/qa/01716/ ).
[Updated on 21-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya Haram talk ko khtm krny k lye Dil Tor dain to kya gonna hota h ya mukafat Amal hota h ??
Answer:
Wajibaat or muharramaat k liay Amar bil maroof or nahi anil munkar karna shareit k sath wajib hay. or amar bil maroof or nahi anil munkar main kam aziyat or ziyada asar wale marhale se agaaz kia jaey.(Ref: Tauzihul masael, ayatullah sistani, maslah#2009)
[Updated on 28-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamualaikum! Sir mein pochna chahti hun k mein or mery husband joined family mein rehty hain or meri nanand or meri saas mjy bht taunt marty hain or bht tookty hain or bura bhala kehty hain or mein khamosh rehti hun kia mein unki ye batein apny husband ko bta skti hun bager us mein jhoot shamil kiye... Please guide krein... Jazakallah
Answer:
Kisi momin mard aur aurat ko bhi bura bhala kehna ya use aziyat puhnchana ye jaiz nahin hai. lehaza agar us ko ghunah se bachane ka yahi rasta ho to phir aap ko chahiye ke apne shohar ko bata den Q ke mazloom, jab zaalim ke khilaaf madad mangne ke liye gheebat kare to ye jaiz hai.
ya phir aap khud amar bil maroof aur nahi anil mukar (yani ghunah se rokne) ke tahat apni nanand aur saas ko is kam ke anjam dene se roken balke agar maloom ho ke ghunaghaar par koi asar nahin hoga tab bhi ehteyat e wajib ki bina par ghunaghaar ke us kaam se naraazghi ka izhaar zaroor karen ya apne shohar ko batayen.
(Ref: Minhajus saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, edition #1443, maslah #30. + Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b) edition #42, pg #302. + Mujtahid se pooche gaye sawalat, part #4, pg #99, sawal #223).
[Updated on 18-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam o alaikum sir ek Jawan beti jis k bigarhny k khadshat zaahir hain us beti py Nazar rakhny waala Allah k Baad uska baap hai Kiya is surat me baap Kahi door ja k aitkaaf me beth Sakta hai
Answer:
Fiqhe jaferia ke mutabiq Har mukallaf (jis per sharhe zimmedari wajib ho)ke liye amar bil-marof aur nahi anil-munkar ka wajib hona apne ehl-o-ayal aur rishta daaron ki banisbat ziyada ahmiyat rakhta hai, is bana par insaan ke ghar walon aur rishta daaron mein agar koi shakhs (mard ya aurat) deeni wajibat jaisay namaz, roza, khums, hijaab ya is ke alawa dosre waajibaat par ko anjaam na dete ho aur unhen subk (halka) shumaar karta ho aur ya Haram kaam jaisay sood, gheebat, jhoot, ghina aur shehwat amez music sunna ya is ke alawa dosre Haram kaamon ko anjaam dainay mein be baak ho aur laa parwahi karta ho to laazim hai ke mazeed ahmiyat dete hue amar amar bil-marof aur nahi anil-munkar ke teenon maraatib ki riyaat karte hue usay Haraam kaam se rokay aur usay wajib ko anjaam dainay aur Haram ko tark karne ki taraf dawat day.
Note: Aitkaaf karna aik mustahab amal hai jise agar insaan anjaam na day to ghunahgar nahin hoga jabke amar bil-marof aur nahi anil-munkar karna wajib hai ke jise agar insaan anjaam na day to ghunahgar shumaar hoga.
lehaza aap ke liye zaroori hai ke aap Aitkaaf me na baithen balke apni beti ko bigarne (buray kaamon) se roken.
(Ref: Tauzeeh ul masail Jaame[farsi], Ayatullah Sistani(d.b), part #2, maslah #387).
[Updated on 11-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Apni walida ko zina krta dakha kya beta hona ka natah muj pe kya wajib ? Walid sahab rizq ka silsala main 7 saal se bahir aur walida se zina ho gya quran o sunnat main kya hukum ak beta ka lia ?
Answer:
1: Agar walida ghunah ko anjaam day rahi ho ya wajib ko tark kar rahi ho to aulad ke liye apni walida ko achaei ki taraf dawat dena aur buraei se rokna jaiz hai. lekin aulad ke liye apne walida ko achaei ki taraf dawat dete waqt aur buraei se rokte waqt, ehtiyat wajib ye hai ke narmi se un ki renumai kare aur hargiz walida ke samne sakhti se paish na aaye.
2: Kisi bhi Aurat ka apne shohar ke alawa kisi aur se jismani talluq rakhna Haram Aur Ghunah e kabira hai. Aur aap ko chahiye ke ya to khud amar bil maroof aur nahin anil munkar (yani ghuna se rokhne) ke tahat apni walida ko is kam ke anjam dene se mana karen ya apne walid ya kisi aur rishtedar ko batayen, taake wo amar bil maroof aur nahin anil munkar ke tahat aap ki walida ko mana kare Q ke amar bil maroof aur nahi anil munkar karna bhi wajib hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2011. + Minhajus Saliheen, part #1, edition #1443, maslah #30).
[Updated on 25-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar biwi parda na karay to kia husband ko bhe uska gunah ho ga?
Answer:
Agar amar bilmaroof or nahe anilmunkar ke sharaaiet moujood hain tu shohar ko apni biwi ko amar bilmaroof or nahe anilmunkar karna chaaie or une sharaait me se aik shart khata kaar per asar hone ka ahtemaal( chance) hay is bunyaad pe koi shaks jaanta hay ke is ka khena asar nahe kare ga tu dosere fuqahaa me mashoor ye hay ke amar bilmaroof or nahe anilmunkar is per wajib nahe hay laiki (aqa sistani sahab ke mutabiq) ehteyat wajib ye hay ke karaahat or naraazghe ka izhaar khatakaar ke is fail nashaasta par kare chaae jaanta ho ke wo is ka asar nahe lega .laikin pardeh karne per zabardasti nahe karsakta hay.
( ref: tuiziul masail,aqa sistani,masla no :2027,2028,sistani .org ,urdu, topic : amarbilmaaroof ,masla : 5)
[Updated on 26-Jul-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]