Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Na-Baligh Bachay (10 Questions)


Showing 0- 10 questions from 10 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
193
Mujtahid:
-- None -- Date: 2018-05-24

Question: asalam walekum 1) meri d.o.b 18 aug HAI aur mein 5 days baad 15 years ka hojaonga ab sawal yeh hai kai kya mein 18aug ko baligh hojaonga yaa phir islamic months kai mutabiq honga aur mujhe namaz mein "wajib-ten-qurbatanillah" kab seh kehna hoga thank u

Answer: Salam un Alaikum,
Aksar mujtahideen key nazdeek baligh honay kee 3 alamaat hein:
1) Naaf key neechay aur sharamgah key uper sakht baloon ka ugna.
ya
2) Mani kharij hona
ya
3) Qamri (chand key hisab sey) 15 saal poray hona.
Ref: Tawzeeh ul Masail of different mujtahideen Prob No. 2260

Print

Id:
644
Mujtahid:
-- None -- Date: 2018-06-03

Question: Does the father/mother will use his/her NABALIG child,s gift (cash/thing). If (No) then it is compulsory to save this amount for so many years or is there any other way of usage

Answer: Baap kay liye ye Jaiz hay kay wo apnay na-baligh bachay kay maal ko uski zarooriyaat main kharch karay.isi tarah baap kay ilawa kisi aur ko bhi ye ikhtiyaar haasil hay magar baap ki ijazat say.Ref:Istiftaat I-37

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
704
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khoie Date:

Question: Are parents can use/spend the gifts/things of their "Nabalig" children ?

Answer: 1:Agar aulaad par us ki Maslihat main kharch kar rahay hain ya is main un kay liye koi Fasaad na ho to koi Ishkaal nahi hay..2:Agar apni zaat par kharch karna chahtay hain to siwaey Faqeer honay kay JAIZ NAHI hay.Ref:Siraatun Nijaat Part 1,3.Q.No.1226,793.

Print

Id:
927
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Salam Alaikum. I am a na-baligh and i have a question.i think i am baligh but i am 14 years and according to islam i will become 15 years on 28 safar. but i have hair below my stomach and under my arm-pits. i also do something which is not allowed by islam(gunae kabira). am i baligh? please reply only on my email address. Thank you.

Answer: Salam un alaikum
Baligh Hone ki 3 Alamat hain
1)15 Qamri(Islamic)saal ka mukammal hona.
2)Mani ka Kharij hona.
3)Stomach k neeche aur Shamramgah k ooper sakht balo(Hard hair) ka ugna
Ref:Tauzeeh(New)Ayatullah Sistani Prob No.2211

Print

Id:
929
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Salam alaikum. My name is Ahmed and I have written to you before also. I wrote a mistake. According to Islam, my birthday is on 27th Rabbiul-Awwal and not Safar. Am I still baligh? Thank you.

Answer: Salam un Alaikum
Your Question was(I am a na-baligh and i have a question.i think i am baligh but i am 14 years and according to islam i will become 15 years on 28 safar(Now 27th Rabbiul-Awwal)but i have hair below my stomach and under my arm-pits. i also do something which is not allowed by islam(gunae kabira). am i baligh?).
Answer:Baligh Hone ki 3 Alamat hain 1)15 Qamri(Islamic)saal ka mukammal hona. 2)Mani ka Kharij hona. 3)Stomach k neeche aur Shamramgah k ooper sakht balo(Hard hair) ka ugna.So You are Baligh.
Ref:Tauzeeh(New)Ayatullah Sistani Prob No.2211

Print

Id:
930
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Salam. Mai aik non-baligh hoon aur jaanna chahtaa hoon ke agar mai baligh ho gaya hoon ya nahi. Mere stomach ke niche hard baal hai from 2 years. Pls. Tell me if I am baligh or not.

Answer: Salam un Alaikum
Ap Baligh hochuke hai kion kay stomach k neeche hard baal ka hona Baligh hone ki alaamat mai se hai.
Ref:Tauzeeh(new)Ayatullah Sistani Prob No.2211

Print

Id:
3263
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Insan ki sharamgah dekhna haram hai.Kia is main 9 saal se kam umar ke bache b shamil hain.

Answer: Balig musalman ki sharamgah ko dekhna haram he. Aur ethiat e lazim ki bina per ye hi hokum he kafir aur is bachay ki sharamgah ki taraf dekhnay ka jo achay buray ko samajhta ho. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2400) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
14628
Mujtahid:
sunni Date:

Question: Adoption of child in Islam

Answer: Note : Is website per fiqhae jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein.
Yes adoption is allowed in islam. And If a woman suckles a child with the conditions which will be mentioned in rule 2438, that child becomes Mehram. (Ref : Ayatollah sistani d.b. masla # 2428) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
23825
Mujtahid:
sultan bahoo Date:

Question: salam ap ne jo taveez btaia hai vo mai ne bandha hai lekin ger vale or dost nai chor rae kete hai sadi kro mai bohat pareshan hoo husband kete hai ke bai ka bacha le lete hai kia vo bacha humare haq mai beter hai istkhare ker ke bta de sukria.hum koi faisla nai ker pa rae please koi slah de sadi ko 13 sal ho ge hai .

Answer: Bachay ko adopt karna jaiz hai. or agar bacha 2 saal say kam hu tu bacha wusool kerna wali khatoon dhoodh pila ker is ko mehram bhi bana sakti hai laikin agar bacha 2 saal say ziada ka ho tu phir osko mehram banay ka koe raasta nahi hay. (Ref : Ayatollah sistani d.b. masla # 2428) (Ref :E-mail Recv from A.Sistani(d.b), 24-12-2010). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
121645
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-02-16

Question: Salam Agr na balig bache sa zina ho jae. Us Ka kufara Kia hai? Agr Roze ki halat ma Balig bache na Namahram larki Ka pastan par bossa dia. Us ki Kia saza hai.kia ya kbeera gunah hai? Or shoot ki vja sa garmahram larki KO touch karna kasa hai?

Answer: 1: Na-baligh par koi sharaei hukum lago nahin hota yani na-baligh agar gunah kare to wo muaaf kar diye jate hain, magar un men se baaz gunah ke liye wo maali aitebar se zimme daar hota hai, wo zimme daari saaqit nahin hoti, is ke alawa baaz gunahon ke aasar baad men bhi zaahir hote hain jis ki wajah se Aap baaz larkion se shaadi nahin kar sakte, ye cheez buloogh se bhi khatam nahin hoti. (lekin buloogh ke baad kiye hue gunah muaaf nahin hote jab tak ke Tauba na ki jaye).
2: Baalig larke ka kisi na mehram larki ke jism ke kisi hissay ko dekhna, choona ya bosa dena(kiss karna) chahe lazzat or shehwat ke iraday ke sath ho ya is ke baghair ye tamam kaam bhi Haram or gunah e kabira me se hain. Aur is gunah se bachne or jinsi taskeen ka sharaei or halaal rasta shadi karna hai Q ke Jo koi bhi chahe mard ho aurat agar shadi na hone ki wajah se Haram kaam me mubtila hote hon to is par wajib hai ke wo shadi kar lay.
Agar rozedar ne mani nikalnay ke irade ke bager is tarah ka kaam kiya ho aur use itminaan bhi ho ke mani kharij nahin ho gi to roza sahi hai aur agarchah mani kharij ho bhi jaye, tab bhi is ka roza sahi hai. Albatta agar use itminaan na ho to is surat me jab mani kharij ho gi to is ka roza batil ho jaye ga.
3: Is surat me bhi na mehram ko choona chahe lazzat or shehwat ke iraday ke sath ho ya is ke baghair ye kaam bhi Haram or gunah e kabira me se hai

(Ref: Kitab nigah aur libas, sawal #109, pg #70. + Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #1576,2407. + Minhaj us Saliheen, Part #1, Edition #1443 hij, maslah #30. + Urdu website, Bulugh, Link https://www.sistani.org/urdu/qa/01741/ ).
[Updated on 16-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print