Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions:


Question & Answers << Go Back

Topic: Hadees (22 Questions)


Showing 0- 22 questions from 22 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
1345
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: I want imam ali(as) saying in urdu and nahjul balaga in urdu please advise if you no any web site

Answer: http://www.balaghah.net

Print

Id:
3352
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Salam o Alaikum. Please let me know the bibi fatima SA kunyat & names. Thanks

Answer: 1) Asma e Girami):
i) Imam jafer sadiq(a.s) say riwayat hay k Allah nay Janaab e syedah k 9 naam rakay hain. Fatimah(s.a), Siddeeqah(s.a), Mabarakah(s.a), Tahirah(s.a), Zakeeyah(s.a), Raaziyah(s.a), Merzeeyah(s.a), Muhaddisah(s.a), Zahra(s.a).

ii) Abu jafer Qummi k mutabiq Janaab e syedah k naam ye hain: Batool(s.a), has’saan(s.a), hurrah(s.a), syedah(s.a), Uzraa(s.a), hawraa(s.a), Mubarakah(s.a), Tahirah(s.a), Zakeeyah(s.a), Razeeyah(s.a), Merzeeyah(s.a), Muhaddisah(s.a), Meryamul; Kubraa(s.a), Siddeeqatul kubraa(s.a).
Janaab e syedah ko aasman per Nooriyah(s.a), Samawiyah(s.a),Haawiyah(s.a) k naam say yaad kiya jata hay.

2) Kunyat: Ummul Hasan, Ummul Hussain, Ummul Muhsin, Ummul aa’immaa Umm e abeehaa, (Ref : bihaarul Anwaar, jild # 3, pg # 20). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
3353
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Salam O Alaikum Please confirm that INSIYA name is Bibi Fatima (S.A)Kunyat. ?

Answer: Janaab e syedah ka naam al-hawra ul unsiyah bhi hay. (Ref : bihaarul Anwaar, jild # 3, pg #10-13). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
7507
Mujtahid:
Date:

Question: muje lagta hai app me say ksi nay b hadees nahi perhi k HAZRAT MUHAMMAD (S.A.W)ny skhti say mana farmay anal sex kane say yani pechay or ye b k jis na orat k pechay yani anal sex kiya to ALLHA us shaks ka chera dkhne ko tyar nahi yani wo haram he ya bat itni skthi say mana ki gai hai to app kse keh skte hen k agar bivi man jae to pir anal sex ker skte han?jb k ye bivi pe depend nahi kerta Allha nay haram kara diya hai

Answer: Note : Is website per fiqhae jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein.

Note: aap jis hadees k zikr ker rahay hain os main kisi lerkay or aurat se anal sex kernay ko mana kia gaya hay or azaab bataya gaya hay.is se tu inkaar hi nahi hay ye tu gunah e kabira hay k lerkay ya merd k saath anal sex kaiya jay or isi terah aurat se anal sex kerna bhi zina k hokum main hay. Laikin is hadees main bivi se anal sex kernay ka bayaan nahi aya balkeh jo auart insan per haram ho os k baray main kaha gaya hay. Bivi se anal sex k jaiz honay k liay alag se ahadees maujood hain.
(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus Saliheen,Part#, Maslah# 29,228) . (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
10489
Mujtahid:
suynni Date:

Question: ilm hasil karo chahe tmhain chaina jana pare? kya yah sahi hadees hai ager hai to is ka kesi hadees ki book se reference dain plz

Answer: Note : Is website per fiqhae jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein.
Jee haan ye hadees sahi hay or hadees k alfaaz ye hain k “اطلبوا العلم ولو بالصین ” yani ilm hasil karo agarchah cheen(chaina) tak jana perhay. Ye hadees Ah,yaa,ay uloo,mud deen ki jild #1 k pg#8 per, wasaa,e lush shia ki jild #27,pg#27 per, Rauzatul waezeen,mu,al,lif fatal neesha pori, pg#10 per, Al-jaami,us sagheer, mu,al,lif jalaalud deen suyoti, jild#1, pg#169 per, kanzul amaal, mu,al,lif muttaqi hindi, jild#10 k pg#138 per maujood hay.(Ref:munyatul mureed, pg#46+ http://www.daikondi.com/tahlim.htm )

Print

Id:
32271
Mujtahid:
Deoband Date:

Question: Assalam o Alaikum. Sir I just want to know. Tell me ahadith and verses of Quran about "telling a lie" and "abusing (using bad language)" as well as about liars and abusers? Please sir, answer briefly. Thanks. Babar Bhayo

Answer: 1)Jhoot k baray mai quran ki ayat: Jhoot to wohi log boltay hain jo khuda ki ayaton par iman nahi rakhtay hain. (Surah nahal surah # 16 , ayat # 105)
2)Jhoot k baray mai Hadith: Imam a.s. ka qoul hai k Allah nai tamam burai aur gunahoo k lie talay muqarrar kiay hain in tamam taloo ki chabi sharab hai aur jhoot sharab sai bhi badtar hai. (kafi, jild # 2, pg # 340)
3)Islam mai gali denay ki koi gunjaish nahi hai, Islam to kafiron ko bhi gali denay ka rawadar nahi hai surah anam surah # 6, ayat # 109 mai khuda nai irshad farmaya hai k “Mushrikeen k khud sakhta khudaoo ko gali na do k wo thumaray khuda ko gali dain gai.”
4)Hadees mai hai k “khabardar, logo ko gali na do is sai dushmani janam leti hai”(Wasail us Shia jild # 12, pg # 298)
(Ref : Kitab Moharammat e Islam Pg 159, 216)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
41354
Mujtahid:
Aqai Sistani d.b Date:

Question: Mera sawaal ye ha ke riwayat or hadees me kia farq ha or me riwayat likh kr imam ka aqwaal frward kr skta ho or 2nd question ye ke mere madarse me sir sub se sawaalat pochte ha us ke hmen paise mlte ha to me us ka jwb ksi or se poch kr sir ko bta do ta ke paise mle ya mera dost muje khud bta de me us se nai pocho to phr wo paise jo mje mle ge wo haram honge ya halal or mera dost muje khud btae to us ko gunah mle ga

Answer: Riwayat or hadees men koi farq nahi hiaAger riwayat ke bare men Imam (a.s) ka qool hone ka yaqeen na ho to ye forward karna jaiz nahi. .(Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30,eidition 2009) , ager peso ka milna sawaloo ke imaandari se jawabaat dene per moqoof hai to us ka lena jaiz nahi hai lekin agr emandari ki shart nahi to phir ksi se poochne pr jo pese apko milte hen ap k liye hen.(Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 3 , sawaal # 207 , pg # 86 , ALLAH TAALA hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
41678
Mujtahid:
Agha Sistani Date:

Question: please tell us about Naad-e-Ali dua? is this dua is authentic? References required.

Answer: Dua o Ziaraat ke authentic o mutabar hone ka meyaar in mazameen (subject) ki bulandi hai or is etibaar se Naad e Ali authentic o mutabar hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal # 215, pg # 96 , ALLAH TAALA hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai)

Print

Id:
53299
Mujtahid:
aga sistanie Date:

Question: kay hamaray dua karny sey IMAM ZAMANA (AJTF) k zahoor mai jaldi ho sakti hai ?Hadees sey sabit karin . plzzzz mare id per sand kar da plzzZ

Answer: Riwayat aur hadees me hai k zahoor ki dua ki jaay jis tarah hamain ye hadees milti hai k tajeel-e-zahoor ki dua bakasrat kiya karo Q k yehi dua tumharay liay faraj (zahoor me aasani) hai. (Ref: Aqwaal-e-14th Masoomeen,pg#247,hadees#18) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
86325
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: agr alim hazrat aik bat par agree ho jy quran aur sunnat ki roshni mein to kia us ko hadees ka darja dy dia jata ha?

Answer: Ulama k ittefaq se kisi baat ko hadees k dajay nahi dia jasakta, Q keh deeni istilah main hadees wo hoti hay k jis ka itlaaq rasool s.a.w.w or masoomeen a.s sai manqoola farameen ya un ki rawish,seerat,sulook ya amal or un k taeed karda amaal par hota hai.(Ref: http://ur.mobile.wikishia.net/view/%D8%AD%D8%AF%DB%8C%D8%AB). Update on dated 11-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
87971
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: 14 sadi ke baad allah ke rasool ne aalimon ke bare mekya farmaya .hadees me?

Answer: Riwayaat main aakhri zamaanay k ulama ki tareef or muzammat dono aai hain. Jese k rasool ki hadees hai k meri ummat k ulama bani israeel k ambiya k jaisay hain.
or aik or riwayat hai jis mai hai k aakhri zamanay k ulama apnay libaas sai pehchanay jain gay or aakhri zamanay k ulama fitna parwar hongay waghera waghjera.(Ref:Bihaar ul anwaar, topic ulamaa k haalaat, kitab 14 sitaray, topic zahoor ki nishaniyan).
Note:Ya nahi kia jaa sakta k aap aik riwayaat ka itlaaq us k tamaam afraad par kar dain yani ye nahi kia jaa sakta k aap aik riwayat jo ulama ki tareef mai aayi hai us ka itlaaq tamam ulama par kar day k tamam ulama achay hain ya wo riwayaat jo mazammat mai aayi hain on ka itlaaq tamam ulama par kar dain k jitne bhi ulama hain wo tamam buray hai. (khuda aap ko uloom e aale muhammad s.a.w.w seekhne ka ajar ata farmaye). Update on dated 22-10-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
102414
Mujtahid:
Mohammad ali Date:

Question: Ek imam ka namaze janaza dusre imam ke alawa ghare ke koy bi insan padha sakta hai

Answer: Jee mazhab jafferiya k musallama aqaed main se aik ye bhi hay k imam a.s ka janaza imam a.s hi perhata hay. (Ref: rijaal kasha, arabi, pg#9, nafasul mahmoom,arabi, pg#206). Update on dated 10-12-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
102452
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-12-16

Question: Fiqah jafria ko fiqah jafria ku kaha jata hai??

Answer: Imam jaffer sadiq a.s ki imamat k doran choonkeh bani umaiyyah apne zawaal k ayyam se guzar rahi thi is liay aap(imam jaffer sadiq a.s) ko doosre aimma ki ba-nisbat ziyada ilmi omoor ki anjam dahi ka moqa mila. Aap k shagirdo or raviyo ki tadaad 4000 tak batae gae hay. Ahl e bait a.s se mansoob ahadees main se aksar ahadees main se aksar ahadees imam sadiq a.s se naqal hoe hain isi bina per shia mazhab ko mazhab e jafferiya k naam se bhi yaad kia jaata hay. (Ref: http://ur.wikishia.net/view/%D8%A7%D9%85%D8%A7%D9%85_%D8%AC%D8%B9%D9%81%D8%B1_%D8%B5%D8%A7%D8%AF%D9%82_%D8%B9%D9%84%DB%8C%DB%81_%D8%A7%D9%84%D8%B3%D9%84%D8%A7%D9%85)
[Updated on 16-Dec-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112973
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-02-09

Question: man kuntu moula..... kab kahha gaya tha

Answer: Man kuntu maula fa-haaza aliun muala. ye hadees 18 zil hajj 10 hijri ko Ghadeer khum, k maqam par Rasool e Khuda(s.a.w.w) ne Irshad farmaei. aur ye waqiya kuch yuon hai ke,
Rasool e Khuda(s.a.w.w) hijrat ke daswen saal (yani 10 hijri) 24 ya 25 ziqaada ko sawa laakh afrad ke sath hajj ki adaigi ke liye madinay se makkay ki tarf rawana howe. Aur Rasool e Khuda(s.a.w.w) ka ye hajj hijjtul wida ya hijjtul islam kehlata hai.
Us waqt Imam Ali(a.s) tableeg ke liye (yaman) gaye howe the, jab Aap(a.s) ko Rasool e Khuda(s.a.w.w) ke hajj par jane ki khabar mili to yamani musalmano ki aik jamaat ke sath makkay k tarf rawana aur amaal e hajj ke aagaz se pehly hi Rasool e Khuda(s.a.w.w) se ja milay.
Hajj ke ikhtitam par Rasool e Khuda(s.a.w.w) musalmano ke sath makkay se madinay ki janib rawana howe. Hajj anjam dene ke baad musalmano ka Azeemus shan Ijtimaa baroz e jumaraat 18 zil hajj ko Paigambar e Akram(s.a.w.w) ke sath Gadeer e khum ke maqam par puncha.
Wahan par Hazrat e Jiraeel(a.s) Ayat e tableeg lekar nazil howe aur Rasool e Khuda(s.a.w.w) ko Allah ka ye hukum punhcha diya ke Ali(a.s) ko apne baad wali aur wasi ke taur par mutaaraf karaain. Us waqt Rasool e Khuda(s.a.w.w) ne aik tafseeli khutba diya jis ke aakhir men ye hadees irshad farmaei ke Man kuntu maula fahaza aliun muala. (Ref: https://ur.wikishia.net/view/%D9%88%D8%A7%D9%82%D8%B9%DB%81_%D8%BA%D8%AF%DB%8C%D8%B1 ).
[Updated on 09-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114803
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-09-09

Question: Hadees K Mutabiq Jannat Kin Aadmiyon Ki Mushtaaq Hai

Answer: Rasule Khuda(s,a,a,w) Ne Farmaya "Jannat In Afraad Ki Mushtaq Hai".
1. Hazrat Ali (a.s.). 2. Janab e Salman Farsi. 3. Janab e Abuzar. 4. Janab e Miqdad.
(Ref: Naqosh e Asmat, Allama Syed Zeeshan Haidar Jawwabi, pg #54).
[Updated on 09-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115754
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-04-06

Question: Assalamo alaikum ji mujhe yeh quote milta jo mujhe clear karna h (hazrat ali ne farmaya dukh mai kabhi bhi pachtawe ke aansu na bahao kyou ke tum woh sakhs khusnaseeb ho jis ko Allah ne ajmaise ke kabil samjha..) iska kuch refference k saath kuch btaye...

Answer: Imam Ali(a.s) ye farman (agar sabit bhi hai) mujhe kisi shia websites men is ka Reference nahin mila balke kisi sunni websites men is ka koi Reference nahin mila, siwaye ye ke mene ye farman ishq o muhabbat wali websites men paya, ya ziyada se ziyada sabr ki talqeen ke mauzoo men paya.
[Updated on 07-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116633
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-09

Question: Ya ali aapki misal meri ummat main sura e tauheed jaisi hai - kya yeh hadith sahih hai and uska reference

Answer: Salman farsi or ibn e abbas raawi hain keh rasool saww ne farmaya : یا علی مثلک فی امتی مثل قل ھو اللہ فی القرآن yani aay ali teri misal mmairi ummat main quran main qul ho wallah o ahad ki tarah hay. (Ref: amali sadooq pg#33, numan bn basheer se ibn e magharli o khawaarzami ne naqal kia). [Updated on 09-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120461
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-06-27

Question: AoA Inka refrence chahye. Wo cheezain jo mard k liye zeenat ha lekin orat k liye khami jesy Khush ikhlaqi, sakhawat etc.

Answer: Wa alaikum salam.
Nehjul balagha main kalima e khisaar main kalama number 234 main is tarah ki hadees maujoood hay.http://alhassanain.org/urdu/?com=book&id=399&page=698

[Updated on 27-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120798
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-09-07

Question: tumharay do man or do bap hen eak woh jis nay tum ko Jana hay or dosray woh jo tum nikah ker k banatay ho ya kis surah may hay

Answer:
Hadees main aaya hay keh : Bay shak aap k teen baap hain, wo jis ne tujh ko paida kia, or jis ne aap ko taleem di or wo jis ne app ki shadi karwae, or behtareen baap wo hay jis ne aap ko taleem di.(إن آبائك ثلاثة: من ولدك، ومن علمك، ومن زوجك، وخير الآباء من علمك) (Ref: http://shiaonlinelibrary.com/%D8%A7%D9%84%D9%83%D8%AA%D8%A8/4044_%D8%AC%D8%A7%D9%85%D8%B9-%D8%A7%D9%84%D8%B3%D8%B9%D8%A7%D8%AF%D8%A7%D8%AA-%D9%85%D8%AD%D9%85%D8%AF-%D9%85%D9%87%D8%AF%D9%8A-%D8%A7%D9%84%D9%86%D8%B1%D8%A7%D9%82%D9%8A-%D8%AC-%D9%A3/%D8%A7%D9%84%D8%B5%D9%81%D8%AD%D8%A9_112)
[Updated on 07-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Note: teen baap wala zikr hadees main aay hay quran main is qism ki koe ayat nahi hay.

Print

Id:
121890
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-03-21

Question: Akhbari shia say that shiite books of ahadees are fully authentic and there is tawatur that present quran is not complete and complete real quran is with the holy twelfth imam?

Answer: 1: Pehle sawal ke jawab me tafseel hai is ke liye hum aap ko do link provide kar rahe hain aap in links ko visit karen
https://ur.wikishia.net/view/%D8%AD%D8%AF%DB%8C%D8%AB_%D9%85%D8%AA%D9%88%D8%A7%D8%AA%D8%B1
https://ur.wikishia.net/view/%D8%AE%D8%A8%D8%B1_%D9%88%D8%A7%D8%AD%D8%AF
2: Baaz rawayat mein is baat ki tasreeh hui hai ke mushaf(مصحف) Ali(a.s) hazrat imam muntazir(a.s) ke paas mojood hai aur imam(a.s) zuhoor ke waqt is quran ko zahir karen ge. aur yeh wohi mushaf(مصحف) ho jis ke baray mein riwayaat bayan karti hain ke Imam muntazir(a.s) ke mushaf(مصحف) ki tarteeb mojooda quran ki tarteeb se allag hai aur Imam(a.s) logon ko is ki taleem denge.
Mazeed tafseel janne ke liye darj zail link ko visit karen.
http://quran.al-shia.org/urd/maqalat/tareekhe-quran.htm
[Updated on 21-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123476
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-01-08

Question: Ilm hasil karo chahay tumhy cheen jana paray.. ye hadees kisi shia kitab mae nahi hay . barae meherbani aap ne jo refrence kisi k sawal id(10489) pr diay hain unki dobara tasdeeq kr lain.

Answer: Ye hadees mandarja zel kutub me maujood hai.
عوالي اللئالي ج۴ ص۷۰
منیة المرید ج۱ ص۱۰۳
نوادر الأخبار ج۱ ص۱۷
بحار الأنوار ج۱ ص۱۷۷
بحار الأنوار ج۱ ص۱۸۰
بحار الأنوار ج۲ ص۳۲
بحار الأنوار ج۱۰۵ ص۱۵
مصباح الشريعة ج۱ ص۱۳
روضة الواعظین ج۱ ص۱۱
مشکاة الأنوار ج۱ ص۱۳۵
وسائل الشیعة ج۲۷ ص۲۷
العلم والحكمة في الكتاب والسنة ص٢٠٥
ميزان الحكمة ج۳ ص۲۰۷۰
[Updated on 08-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123928
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-05-29

Question: nabi saw ny kis ko khuda ka saya qarara diya hai

Answer: Iss zail me mukhtalif riwayat hai ..
Rasool e Khuda s.a ne irshad farmaya : (Acha) Hakim o sultan zameen pe Allah ka saya hai, Allah uss k zariye se apne bando ki madad farmata hai.
(Ref: Awali ul AAli, Vol 1, Page 293)
[Updated on 30-May-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print