Showing 0- 10 questions from 10 questions on this page.
Question: is it adviseable to put a 3 -4 yr child in such kindergarten/nursrey schools where they make them learn rymes and poem with some music and tune (simple poems) will this put some negative effect in upbringing of a child in future regard to her faith.(no instrument is use perhaps they put a cassatte on tape fr the same)
Answer: Haram Music may put negative effect on child-s behaviour.
Question: MY DAUGHTER NAME IS ZEHRA A MAULANA ADVICE US ACCORDING TO ILM E NUJUM HER NAME IS NOT SUITABLE FOR HE SAID TO KEEP HER NAME HUDA PLEASE ADVICE TO KEEP THIS NAMEOR NOT
Answer: bismehi taala, mustahab he ke bache ka achha nam rakha jae chunke yeh bachhe ka bap par haq he, or riwayat me aya he k "sab se sachha nam wo he ke jis me Allah jall shanohu ki ubudiyyat shamil ho or namo me sab se achha ambiya salwatullahe alyhim ke nam he" or inhi ke sath aeema alyhemusslam k namo ko bhi mulhiq qiya jayega. or nabi salllaho alyhe w aalehi wasllam se marawi he k aap ne farmaya: jis k yaha char awlad ho or usne un me se ek ka nam bhi mere nam se nahi rakha to usne ne mujh par jafa ki" or makrooh he agar bachhe ka nam mohammad ho to us ki kuniyyat abul qasim rakhi jae or eesi tarh makrooh he ke aemma salwatullah alyhim ajmaeen ke dushmano ke nam se bachhe ka nam rakha jae. (ref: munhajus salehenn Part-1 Aytulla Seestani (d.b.) masala no.387 page no. 117)
Question: Assalam o Alaikum. mera sawal yeah he k child ki birth (pedaish) pe name rakhnay k baray me kia hukum he kuch log kehtay he k date aur time k hisab say word choose kia jata he phir os pehlay word say name rakha jata he. hum agar Imam k name say rakhtay he to kia is me bhe date aur waqt k hisab say name rakha jata he . ya jesay me sochta ho k betay ka name Muhammad Hassan ya Hassan Ali rakho to kia hukum he k apni marzi say name rakh saktay he ya sahe time k hisab say word choose karna lazmi he. aur me apni beti ka name insya fatima rakhna chahta ho is baray me yeah jan na chahta ho k insya Bibi fatima ki kunyat he. me insya fatima, insya batool ya phir insya khurram rakh sakta ho. Please advice Thanks Khurram Ali
Answer: w.s. mustahab he ke bache ka achha nam rakha jae chunke yeh bachhe ka bap par haq he, or riwayat me aya he k "sab se sachha nam wo he ke jis me Allah jall shanohu ki ubudiyyat shamil ho or namo me sab se achha ambiya salwatullahe alyhim ke nam he" or inhi ke sath aeema alyhemusslam k namo ko bhi mulhiq qiya jayega. or nabi salllaho alyhe w aalehi wasllam se marawi he k aap ne farmaya: jis k yaha char awlad ho or usne un me se ek ka nam bhi mere nam se nahi rakha to usne ne mujh par jafa ki" or makrooh he agar bachhe ka nam mohammad ho to us ki kuniyyat abul qasim rakhi jae or eesi tarh makrooh he ke aemma salwatullah alyhim ajmaeen ke dushmano ke nam se bachhe ka nam rakha jae. (ref: munhajus salehenn Part-1 Aytulla Seestani (d.b.) masala no.387 page no. 117)
Question: Surah falaq or surah naas mai laafz "Aizah" meaning Panah maagta ho mai ya maagti ho mai. ye alfaaz larki ka naam rakh saktay hai?please reply soon
Answer: bismehi taala, mustahab he ke bache ka achha nam rakha jae chunke yeh bachhe ka bap par haq he, or riwayat me aya he k "sab se sachha nam wo he ke jis me Allah jall shanohu ki ubudiyyat shamil ho or namo me sab se achha ambiya salwatullahe alyhim ke nam he" or inhi ke sath aeema alyhemusslam k namo ko bhi mulhiq qiya jayega. or nabi salllaho alyhe w aalehi wasllam se marawi he k aap ne farmaya: jis k yaha char awlad ho or usne un me se ek ka nam bhi mere nam se nahi rakha to usne ne mujh par jafa ki" or makrooh he agar bachhe ka nam mohammad ho to us ki kuniyyat abul qasim rakhi jae or eesi tarh makrooh he ke aemma salwatullah alyhim ajmaeen ke dushmano ke nam se bachhe ka nam rakha jae. (ref: munhajus salehenn Part-1 Aytulla Seestani (d.b.) masala no.387 page no. 117)
Question: bache ki pedaish pe naam kese rakhain sahi islamic tareka kia hay.
Answer: Allah ki ubudiyat k mafoom per mustamil asmaa(naam) (maslan abdur rehman) k mutabiq naam rakhna mustahab hai. Baqi ambiya karam ,hazrat ali (a.s) , hazrat hasan(a.s) , hazrat hussain(a.s) , hazrat jafar tiyar ,talib ,hamza , aur hazrat Fatima (a.s) k asma k mutabiq naam rakhna mustahabb hai aur islam aur ahle bait (a.s) k dusmano k naam k mutabiq naam rakhna makroo hai. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 573 pg # 287) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: agar aurat par ghusal farz ho jaey tou aisay halat mai bachay ko dhood pilana chahiyey kiya
Answer: Halat e janabat main aurat k liay apne bachay ko dhoodh pilana jaiz .(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 354, 355)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: assalam o alaikum mera sawal yeh hai ke Mohammad naam rakhna jaiz hai ya nai mjhe apne bete ka naam Mohammad rakhna tha is ka ans de dain
Answer: Muhammad naam rakna mustahab haqi. (Ref : Jadeed faqhi masail , ques # 573 , pg # 287) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Asalam o alaikum Meri 3betiyan hain mai online inko islamic taleem dyna chahti hum koi bachon k liye website bta dyn abi Meri brri beti 7sal ki h ..Mai chahti hum mujhy koi aisi website shia mil jae Jo mujhy help kry Meri betiyon ki prwarish achi ho plz
Answer:
wa alaikumusalam. App in website ka visit karain insha Allah aap ki baitiyo k liay mufeed hogi. https://www.youtube.com/user/madrasaalqaaim+ http://najafi.org/+ https://www.sistani.org/
[Updated on 08-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Meny dosri shadi ki hy pahla byta biwa ka tha pahly sy to wo mera kya lagyga mera or uska rishta kysa hoga yani me naam wagaira to apna nai laaga sakta uska sath to kya wo mera dost ban ky rah sakta hy ya bahi ya me uska baap hi howoga
Answer:
aap ki biwi ka beta jo aap ka haqeqe beta nahe hay balke aap ki biwi ke saabqa shohar ka beta hay .aap kise dosere ke bacche ki adoption karsate hay laikin use apna beta khelana jaaiz nahe hay.is bacche ko aap ki wiraasat nahe mile ghe or is bacche ko haqeqat bata de albatta is tarah se ke is per zehne dabaauo na perhe or is ka naam apne bete ke tour per (i. card) na likhwaae .chunache kise nuqsaan ya mushaqqat ki waja se aisa karna mumkin na ho to (is baat ko mahfooz kare or ) likhe or is per ghawaah baahe (ref: sistani.org,urdu,gooadlena,sawaal no:1)
[Updated on 07-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: New Born Baby Boy/Girl ka name rukhtay wuqt kin cheeson ka khyal rukhna chaiyay?
Answer:
Kucha khas nahin sirf ye ke Bachay ka achcha naam bachay ka haq hay apne walid par. bacahe ke naam rakhne ka huq baap ko hay. Ahadees k mutabiq ambiya, Masomeen (a.s) waghaira k naam per bache ka naam rakhna mustahab hay.
(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatulah Sistani(d.b), Part #3,Maslah #387, Edition 1439 hij). Allah ki ubudiyat k mafoom per mustamil asmaa(naam) (maslan abdur rehman,abdul raheem ) k mutabiq naam rakhna mustahab hai. Baqi ambiya karam ,hazrat ali (a.s) , hazrat hasan(a.s) , hazrat hussain(a.s) , hazrat jafar tiyar ,talib ,hamza , aur hazrat Fatima (a.s) k asma k mutabiq naam rakhna mustahabb hai aur islam aur ahle bait (a.s) k dusmano k naam k mutabiq naam rakhna makroo hai. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 573 pg # 287)
[Updated on 07-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]