Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Family Planning (20 Questions)


Showing 0- 20 questions from 20 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
183
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-23

Question: What is the fatwa of mujtahid regarding french cut Darhi. Is Islam encouraged family planning.

Answer: French cut darhi ahtiyat-e-wajib kee bina par jaiz nahi hay.
Ref: Mujtahid Sey Poochay Gaye Sawalaat (Part 1) Ques No. 160.
Family planning aik detail topic hay jis key liye munasib yeh hay keh aap kisee aalim e din sey rujoo kijye.

Print

Id:
2326
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khamnaie Date:

Question: Salam, ham log family planning kay mukhtalif tareeqa yanee (Injection, Tablets, Condom) waghara astaimal kar sakta hain ya naheen?

Answer: w.s., waqti tor par manae hamal tariqo ya mawad k zariye nutfa na thaherne dena shohar ki ijazat ke sath jaiz he. (ref: istiftaat k jawabat part: maamelat Aytullah Khamnaie (d.b.) page # 100)

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
3080
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: mene 1997 me abortion karwaya tha... masail na maloom honay ki waja se fetus ko humne dafnaya nahin... to ab meri kya zimedari banti hai??

Answer: Qaraar e nutfa(mani k rehem main thehernay) k baad isqaat e hamal jaiz nahi he.magar ye khoof ho k hamal ka baaqi rakhna aurat ki zindagi k liay nuqsan dah hay tu hamal main agar jaan nah perhi ho tu isqaat jaiz hay,laikin hamal main jaan perhnay k baad bachay ka zaya kerna jaiz nahi hay. Agar maa khud bachay ko zaya kray to is ki diyat maa par wajib hai aur zaroori hai k wo diyat bachay k baap ya doosray worsa ko dai aur agar baap hamal ko zaya kray to is ki diyat is par wajib hai aur zaroori hai k wo maa ko ada kray. (Ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) jaded masayl ,masla # 73). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
5939
Mujtahid:
Topic: Akhlaqiat/Muharramat Date:

Question: AGAR KOI AURAT ABORTION KARATI HAI. OR APNE GUNAH SE TUABA KARTI. AURAT YA MARAD KAISE APNE GUNAH KO ALLAH SE BAKASBAYE. PLEASE REPLY ZAROOR

Answer: 1)qarar e nutfa(mani k rehem main thehernay) k baad isqaat e hamal jaiz nahi he.magar ye khoof ho k keh hamal ka baaqi rakhna aurat ki zindagi k liay nuqsandah hay tu hamal main agar jaan nah perhi ho tu isqaat jaiz hay,laikin hamal main jaan perhnay k baad bachchay ka zaya kerna jaiz nahi hay. Aur agar maa khud bachay ko zaya karay to o ski diyat sohar ya doosray warsa ko de. Aur agar bap hamal zaya karay to zurari he k maa ko diyat de(ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) jaded masayl ,masla # 73).
2) Toba karein Parwar digar ne quran me wadah kia he k wo toba karney walon ki toba ko qabool karte he aur aisa hirgis nahi ho sakhta he k wo apne wadeh per amal na karey. Aur ghuna se bachney k lie mazboot irada chahiea. (Ref : sistani.org ques # 1 , toba) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6805
Mujtahid:
fiqah jafria Date:

Question: mjy athra hy me roohani illaj sy pehly pregnant ho gai me isy waist kr skti hu?

Answer: Qaraar e nutfa(mani k rehem main thehernay) k baad isqaat e hamal jaiz nahi he.magar ye khoof ho k keh hamal ka baaqi rakhna aurat ki zindagi k liay nuqsandah hay tu hamal main agar jaan nah perhi ho tu isqaat jaiz hay,laikin hamal main jaan perhnay k baad bachchay ka zaya kerna jaiz nahi hay. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) jaded masayl ,masla # 73). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
10580
Mujtahid:
aqa ali sistani Date:

Question: is test tube baby with husbands semen sperm allwed in islam

Answer: Also if it is kept by husband so it is allowed. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , jaded masail , edition # 31 , maslah # 68 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
15903
Mujtahid:
Ayatullah Sistani Date:

Question: Kia family planning k maqsad sai pehlay hi bachay ka abarish karwana jaiz hai?

Answer: Jaiz nhi hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 1, sawaal # 190, pg # 91) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
24835
Mujtahid:
Date:

Question: Sir maine ap se pahle do bar sawal liya Tha ap Ne koi jawab nahi diya,Mara sawal Tha k abortion karwane k kitni dear tak namaz nahi par sakti or mujhe abortion karwane ki mafi kase mile gi mujhe kya karna ho ga k mujhe is guna ki mafi mil jae plz answer zaroor dijiye ga shukriya.

Answer: 1)Qaraar e nutfa(mani k rehem main thehernay) k baad isqaat e hamal jaiz nahi he.magar ye khoof ho k hamal ka baaqi rakhna aurat ki zindagi k liay nuqsan dah hay tu hamal main agar jaan nah perhi ho tu isqaat jaiz hay,laikin hamal main jaan pernay k baad bachay ka zaya kerna jaiz nahi hay. Agar maa khud bachay ko zaya kray to is ki diyat maa par wajib hai aur zaroori hai k wo diyat bachay k baap ya doosray worsa ko dai aur agar baap hamal ko zaya kray to is ki diyat is par wajib hai aur zaroori hai k wo maa ko ada kray.
2)ye zaroori nhi hai k bachay ki khilqat mukammal ho bal k agar is ki khilqat na mukammal ho laikin khoon ka lothra ya ghosht ka tukra honay ki halat sai ghuzar chuknay k baad abortion kia jae to jo khoon 10 din tk aye wo khoon nifas hai.(Ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) jaded masayl ,masla # 73, 500). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
43619
Mujtahid:
Date:

Question: dnc k bad hamla kitne time me rukta h

Answer: Qarar e nutfa k baad isqaat e hamal jaiz nahi hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #72 )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
44567
Mujtahid:
Yes Date:

Question: 4months phele 1st delivery howe phir mere biwi ko 2nd pregnancy ka shak huwa or phir mene use pregnancy strip la ker dia us ne pata nahi kese check kia us me nahe aya phir 1 hafte ke bad phir shak huwa mien phir strip laya or mene khud check kia lab se bhi check karaya wo pregnant the or phir doctor ke pass gay unho ne kha belkul growth nahi hay phir 2 hafte bad humne abortion karadia or 2doctors ko check karaya donno ne kha maa ko khatra hay mien phir bhe dara duwa ho kia karo plzzzzzzzz helppp mien bhut pareshan hoooo

Answer: Qaraar e nutfa(mani k rehem main thehernay) k baad isqaat e hamal jaiz nahi he.magar ye khoof ho k hamal ka baaqi rakhna aurat ki zindagi k liay nuqsan dah hay tu hamal main agar jaan nah perhi ho tu isqaat jaiz hay,laikin hamal main jaan pernay k baad bachay ka zaya kerna jaiz nahi hay. Agar maa khud bachay ko zaya kray to is ki diyat maa par wajib hai aur zaroori hai k wo diyat bachay k baap ya doosray worsa ko dai aur agar baap hamal ko zaya kray to is ki diyat is par wajib hai aur zaroori hai k wo maa ko ada kray. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 72)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
44627
Mujtahid:
saad Date:

Question: ager hamal ther jaye to is ko kesay roka jaye

Answer: Qarar e nutfa k baad isqaat e hamal jaiz nahi hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #72 )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
45432
Mujtahid:
Family planning Date:

Question: Assalamualikum. Is it permissible for a female to take pill or tablet after having intercourse with her husband to refrain from getting pragnent because Islamically a child has a right to have breastmilk for two yrs. If you do not plan then she will get pragnent in every year.

Answer: Abortion is not allowed after the implantation of the (fertilized) ovum (on the lining of the womb), except if the mother’s life is in danger or the continuation of pregnancy will cause difficulty for her that is not normally bearable and there is no other solution but abortion. In this case, it would be permissible to abort the foetus as long as the soul has not entered into it, after the entering of the soul, it is not permissible at all. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 70-73)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
46076
Mujtahid:
Muamilaat >> Pregnancy Date:

Question: Salam mera sawal yeh hai keh.agar koi maa khud bacha pedah nahi kerna chahati.or us ka husband bacha chahata hai.or us k hamal ko 4 din ho jayein or woh yeh bacha nahi chahati.or apne husband ko ya kisi ko bataye bagair zaya kerna chahay.toh islam may is k liye kiya hukum hai.please agar is ka answer jaldi mil jaye toh acha ho ga.

Answer: Hamal ruknay k baad os ko zaya karna jaiz nahi hay. Agar maa khud bachay ko zaya kray to is ki diyat maa par wajib hai aur zaroori hai k wo diyat bachay k baap ya doosray worsa ko dai. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #72 )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
46708
Mujtahid:
Sunni Ahl-e-Sunnat Date:

Question: Abortion Karanai kai bad Kitni diat biwi ko daina chahiay kai kuffara ho jaye aur 13 din upar ho gaye hain ek mahinai kai bad barahe meherbani jaldi jawab dain thanks

Answer: Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain. Hamal ruknay k baad os ko zaya karna jaiz nahi hay. Agar maa khud bachay ko zaya kray to is ki diyat maa par wajib hai aur zaroori hai k wo diyat bachay k baap ya doosray worsa ko dai. aur agar baap hamal ko zaya kray to is ki diyat is par wajib hai aur zaroori hai k wo maa ko ada kray. Rooh phoknay k baad agar larka ho to 5250 miskal chandi hai aur agar larki ho to is ki adhi ho gi. rooh pookhnay sai pehlay ki diyat agar nutfa ho to 105 misqal chandi hai agar khoon jama hua ho to diyat 210 misqal chandi hai agar ghost ka tukra ho to diyat 315 misqal chandi hai agr haddi ban gae ho to diyat 420 misqal chandi hai aur agar azah e badn mukammal hon to diyat 525 misqal chandi kafi hai aur ehtiyat e wajib ki bina par janeen mai jaan na parnay ki surat mai larkay ya larki honay mai koi faraq nahi hai. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #72 )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
47572
Mujtahid:
what is this ? Date:

Question: i had girl firned we live 4 month together now she is pregnet .. i dont want to birth child but she want so i want to know if i put her presure to remove this after its in gunaha ... i want to know give me good advice what to do ... i am not marrid with her she was just my girl friend.....please soon give me answer thanks

Answer: 1)Abortion is not allowed after the implantation of the (fertilized) ovum (on the lining of the womb). (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 72)
2)Zina kerna gunah e kabira hay.(Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
48678
Mujtahid:
Pregnancy Date:

Question: Assalamwalekum....mera sawal he ki mei 15 din ke hamal se hu aur meri 9 mahine ki beti hai jo opration se huyi he.mere liye iss hamal ko rakhna nuksaandeh he by doctor.aur mei khud iss hamal ko nahi rakh sakti meri kuch pesonal dikkate he..mujhe kuch samajh nahi aa raha mei kya karoon..kaha jaun.mei or mere husband is hamal ko rakhna nahi chahte.kya khuda hame iss ke liye maaf karenge..plzzzzzz khuda ke waste meri help kariye.

Answer: Qarar e nutfa(mani k rehem main thahernay) k baad zaya karna jaiz nahi hai. magar ye khoof ho k hamal ka baqi rakhna aurat ki zindagi k liay nuqsan dah hay tu hamal main agar jan nah perhi ho tu zaya karna jaiz hay, laikin hamal main jan pernay k baad bachay ka zaya kerna jaiz nahi hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 72)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
48965
Mujtahid:
Date:

Question: 10.12 din ka hama zaya kia ja sakta h?

Answer: Hamal k ho janay k bad zaya karna jaiz nahi hai. (Ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) jaded masayl, masla # 73). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
104508
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-04-26

Question: humy 2nd baby k lia 2 saal ka gaap chaiea taa k first baby jo 3 months ka ha

Answer: Mard k liay jaiz hay k wo family planning k liay condom or is qisim k doosray cover istemal kare or ehtiyat e wajib ye hay k istemal se pehlay apni bivi se ijazat lay lay.(Ref: Ayatullah sistani d.b, Jadeed fiqhi masael, Maslah#465).
[Updated on 27-Apr-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110641
Mujtahid:
Other Date: 2020-09-24

Question: Assalam o alikum...meray bachy operation se hotay hain mere 3 bachy hogaye hain..islam main bachy rokna sahi nahi hai par apni sehat aur operation kinwajha se rok saktay hain?

Answer: wsalam.
hamal teher jaane k baad us ka isqaat (abortion) karna jaaiz nahi hai. Lekin mard or aurat family planing kar sakte hai or mard ehtiyate wajib ki bina par biwi sai ijaazat lai kar condum use kar sakta hai or isi tarah biwi bhi pills use kar sakti hai lekin agar hamal teher gaya tou phr is ka girana jaaiz nahi hai.(Ref:aqa sistani jaded fiqhe masail ,masla 465,pg # 254).
[Updated on 24-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120818
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-09-10

Question: Kia bachadani ya( bacha peda krne wali rag) katwana sahi hai..?

Answer: Aurat ke liye jaiz hai ke wo bhanjh-kaari ka operation karwaye lekin yeh kaam us ke badan ke uryan hone ya choonay par moqoof ho to yeh kaam faqat us ka shohar anjam day siwaey yeh ke koi zarorat pesh aajaey jese aurat ka hamila hona us k liye nuqsan day ho. Bache daani ko kaatne ya us ko nikalne ke liye aisa operation karwana jaiz nahin jo nuqsan ka baais ho jaise ke kisi uzw ko kaatna pare magar ye ke kisi beemari ki wajah se us ka kaatna zaroori ho.
(Ref: Tauzeehul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, page #466, maslah #71).
[Updated on 10-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print