Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Bohtaan(tohmat) (4 Questions)


Showing 0- 4 questions from 4 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
17804
Mujtahid:
Any Hanfi Aalim Date:

Question: Assalam o alai kum. Islam mai bohtan ki kya saza hay agr bohtan b zina ka ho?

Answer: Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain.
Momin par bohtan lagana gunnah e kabeera mai sai hai. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 1, masla # 39)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
103322
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-01-24

Question: Hum ihle sunnat ul jammat se taluq rakhte hain aur ek gadinasheen family se b ek sawal pochna tha? Yahan am tor par har koi kehta ke shia kafir hai jab ke Allah ne hume kafir ko b kafir kehne se roka sbha nimaz fajar ke bad ek kitab ka mutaleya kr rhe the jis me Ihlesunnat ne likha wa Hum Shia ali hain es par thora deeply search ki tu kuch bten samne ae us bare me ap kuch bta sakte? Regards Peer Malik Arslan ali awan

Answer: Aap kitab shiat ka muqaddima perhain tu aap haqiqat tak pohanch jain gey. is kitab ka link dia jaa raha hay is ko downlaod kar lain. (Ref: https://www.pdf-archive.com/2018/01/31/untitled-pdf-document-6/untitled-pdf-document.pdf)
[Updated on 24-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
108012
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-08-18

Question: Kisi p bohtan lga k nadamat ka ehsas hojana or Allah se sachay dil se maafi mangne se maafi mil jati h?

Answer: 1- Momin par bohtan lagana gunnah e kabeera mai sai hai. (Ref: Minhaj us salaheen ayat ullah sistani d b, part#1, masla#39)
2- Tauba ka sahi mafhom ye hai k sab se pehlay tu aap ko apnay is gunah per nidamat honi chahiay or Allah se istighfaar or tauba talab kerni chahiay or apnay aap se ehed or wada kerna chahiay k is ghunah e azeem ko phir kabhi anjaam nahi dain gi.or hamaisha yaad rakhain k Allah aap ko har waqt daikh raha hay or aap is gunah ko anjaam day ker shaitan ka hokum maan rahay hain or Allah ki na fermani ker rahay hain.(E-mail Rcvd from A.Sistani(d.b) Sep 27, 2010).
[Updated on 18-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112436
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-01-11

Question: Salaamun Alaikum... Ek ladki pe tohmate lagayi gayi hai ke uske past me bohot kharab kaam kiye hai...But usne mujhe 14 masoomeen ki kasam khake bola hai ke yeh sab ilzamaat hai uspar...Aise me uski baato yakeen kar sakte hai. Khuda Hafiz

Answer: Pak daman aurat ya mard par sharaei gawahon k beghair zina aur dosere fuhush kaamo ki tumat laghana haram aur gunahan e kabira main se hai. (Ref: Ayatullah sistani(d.b), Minhaj us salaheen, part #1, maslah #30)
[Updated on 11-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print