Showing 0- 13 questions from 13 questions on this page.
Question: Qibla Aslam o Alaykum mayra sawal zati noiat ka hy. Mari bv ki delivery k doran death ho gai hy aur 3 bachy b sath fot ho gay hain. Qibla main 4 mah sy sabr kr rha hon pr ab mari himat jwab dy gai hy aur main khudkushi k bary main soch rha hon. Kia in halat main khudkushi jaiz hy. Ya phr Is amal sy bachny ka koi wazeefa btain. Main Imam e zamana sy twasal b krna chahta hon is k lye main kia amaal kron. Plz mari mushkil kushai krain. Jazak Allah
Answer:
Khud khushi kerna azeem gunah main se hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),minhajus saliheen,part#1, maslah #30).
Note: Imam e Zamana (a.s) se tawassul ikhteyaar kerne k liay aap watq k pabandi k saath wajib namazo ko ada karain. Or aap rozana Dua e Ehed , Dua e Salaamti e Imam e Zamana (a.s) or Dua Faraj perhain or har shab e Juma (Thirsday night) Dua e Tawassul,or Hadees Kisaa, or har Juma k din Dua e Nudba ki tilawat karain. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Aslam O Alaikum, mj pr 5 sal phly jadoo kya gya. Aj mri y halat hy ka mra dmagh senseless ho chuka. Jadoo study sy door krny k lye kya gya. Kya mn khudkshi kr skta hn?
Answer:
Khudkushi karna haram hai.(ref:sistani.org,urdu, khud Khudkushi )
Jadoo k lie: Imam jaffar e Sadiq a.s. farmatay hain k jo surah e jin ki apni zindigi mai kasrat sai tilawat karta hai to wo jinnat aur in k shar sai mehfooz rehta hai. (Ref : Dunya o aakhirat ki 100 preshanio ka hal pg # 36)
Question: Meri shadi ko 1.5 saal howa ha, meri bivi kirdar ka lehaz sa sahe nai thi ye mjhy apni shadi kay 18 days baad pta chala jab ma achanak ghar aya, tou achanak meri nazar uskay cell pa pari ma nay us ma kuch ajeeb say message dhekay tou ma nay us say pocha lakin wo jawab na day pai or na ma satisfied howa, barhal ma nay usko is tarhan 5 moqay diye lakin wo apna bhrosa dobara nai jeet pai or bar bar wo he harkat krti rahi..mjhy us say bhut mohabbat thi lakin wo ab nafrat ma badal chuki ha. wo kisi tarhan sudhrnay ka nam nai lay rahi..meri zindagi azab ma agai ha. ma is haal ma khudkashi krna chahta hon kia ye halal ha ??? kiyon ka ma us orat ko na chor skta hon or na ma rakh skta hon mjhy us say bhut ghin ati ha ma kahan jaoun or kia karoun ?? plzz reply as soon as possible
Answer: Khudkushi kerna haram hay. Aap ko Allah ki janib se ikhteyaar hay k ya tu os ko talaq dain ya nah dain. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael jeme,Edition# 1435,Mafhoom e Maslah #2224+ Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2462). Update on dated 27-06-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Mera sawal ye he k. Agar dushman ki hirasat se bachne k liye jis me dushman ki taraf se takleef de mout ka andesha ho us se bachne k liye khud khushi kar sakte hen.
Answer:
Khud khushi kerna haraam hai or azeem gunah main se hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),minhajus saliheen,part#1, maslah #30).
Har rooz sone se pehle sura e yaseen ki tilawat karain. (Ref : mafaati ul jinaan , fehrist e baqiyaat e salihaat , topic # dushman per fatha pane ki dua , pg # 467).
[Updated on 05-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aoa...mai kuch arse se bht zeyada depress hon ....mai khuda ky rehmat se na omeed nhi lekin muje koi rasta nazer nhi a raha.....kin halat mai khud khushi jaiz hai....agr khud khushi k bad b aziyat hai rohh k liye tu ub kon sa sakoon hai...plz guid
Answer:
Khud khushi kerna azeem gunah main se hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),minhajus saliheen,part#1, maslah #30).
Ayatullah kashmiri k mutabiq 7 rooz tak agar surah e alam nashrah surah#94 ko aik bar subah aur aik bar sham mai tilawat kar lia jae to tamam huzn gham door ho jain gay. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 94) Jo koe kise hajat k lie surah yaseen ki ayat no:40 ko 7 baar perhe to is ki hajat puri ho jay gi. ( ref: payaam shifa, pg: 249).
[Updated on 20-Jun-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar mere waja se bohtt koi pareshan hai or mere Marne se wo log ki Zindagi Mai Khushi ati hai or hum iss lye marna chahte h to kya ye mout haram Hoga ? Koi aisa Surah btaye jiske parhne se 10 din m Mera intekal ho Jaye halal tarika se please......
Answer:
(Halat or zindagi chahe kis qadar hi mushkilat ka shikar hojaye) lekin khud-kushi kisi bhi surat men jaiz nahi hai balke haram or gunah e kabeera hai(Ref:Ayat-ul-Allah Sistani (db) http://www.sistani.org/urdu/qa/01796/) Or isi Quraan ki roshni men Khuda ki rehmat se mayoos hone ko Kufr shumar kiya gaya hai lehaza kese bhi haalaat ajaen har wqt Allah se umeed honi chaiye or mayoos nahi hona chahiye.(Suraah Yousuf , Ayat#87)
[Updated on 21-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar jumma k roz khud khushi ki jaye to kiya uska azab milta hai?kyun k mei ne suna hai k jo insan jumma k din marta hai uska hisab nhi hota?
Answer:
Agar koi khud kushi karta hai to use azab diya jai ga Q ke Khud khushi kerna gunahan e kabira main se hay aur jo gunah e kabira anjam dega us se hisab o kitab sakhti se liya jai ga.( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),minhajus saliheen,part#1, maslah #30).
[Updated on 03-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam walekum ji Mera sawal hai Ki Meri maa (mother) kabhi bhi Meri side nhi leti aur koi bhi kaam ho toh galti dusre ki rhegi lekin saree galti ka kusoor Mera hoga aur Meri mama ki beti usse bahoot mohabbat krti Hain kabhi mujhse mohabbat nhi krti Mujhe kabhi kbhi lagta hai Mai khudkhushi kar Kya Mai khudkhushi kar sakti Hun plzz jawab dijiye
Answer:
Khudkushi aik haram kaam hai. Allah Taala ne insaan ko zindagi jaisi azeem nemat se nawaza ha lihaza insaan ko chahiay k is nemat per Allah Taala ka khaas shukar ada karay or is zindagi ka maqsad(Marifat e Khuda or Ibadat e Khuda) ko pora karay. Allah Taala ki khushnoodi k liay os ke ahkaam ke mutabiq apni zindagi guzaray. Masail tu zindagi ka hissa hain, insaan ko chahiay k Ahlebait(a.s) k batay hoay raastay per amal kartay hoy in masail ka saamna karay or Allah Taala ki riza per razi rahay or os per mukammal bharoosa karay.
[Updated on 27-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: لوگونے بہت تنگ کیا ہے خودکشی کرنی چاہئے مجھے کوئی اور راستہ نہیں نظر آتا ہے
Answer:
Agar koi khud kushi karta hai to use azab diya jai ga Q ke Khud khushi kerna gunahan e kabira main se hay aur jo gunah e kabira anjam dega us se hisab o kitab sakhti se liya jai ga.( Ref: Ayatullah Sistani(d.b), minhajus saliheen, part #1, maslah #30)
(Note: Khud kushi aik haram kaam aur gunah e kabira hai. Allah Taala ne insaan ko zindagi jaisi azeem nemat se nawaza hai lihaza insaan ko chahiay k is nemat per Allah Taala ka khaas shukar ada karay or is zindagi ka maqsad (Marifat e Khuda or Ibadat e Khuda) ko pora karay. Allah Taala ki khushnoodi k liay os ke ahkaam ke mutabiq apni zindagi guzaray. Masail tu zindagi ka hissa hain, insaan ko chahiay k Ahlebait(a.s) k batay hoay raastay per amal kartay hoy in masail ka saamna karay or Allah Taala ki riza per razi rahay or os per mukammal bharoosa karay ).
[Updated on 20-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asslam alikum sir . Khty khuda insan sy bht piyr krta h phr kisi ko pura jhn dy dyta h or kisi ko sirf tklef or hmry rony trpny fryad krny pr b nh sunta mgr hm phr b mngty rhty h ab agr hm thk jy or tklef hmri bs m na rh tu khud kushi kr saqty ?
Answer:
Qismat ko kosna munasib nahin magar bad-gumani is had tak pohanch jaey k khuda say mayosi ho jaey tu ye gunah e kabira hai. Agar koi khud kushi karta hai to use azab diya jai ga Q ke Khud khushi bhi kerna gunahan e kabira main se hay aur jo gunah e kabira anjam dega us se hisab o kitab sakhti se liya jai ga.
(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #1, maslah #30).
(Note: Aap apne mazi ko bhool kar apne hal par tawajo den or khuda ki madad or rehmat se mayusi ikhtiyar na kren, Or khuda se Mohammad w Aal-e-Mohammad ka waseela de kar tawasul ikhtiyar karen, khuda un Buzrg Hastiyon k sadqe aap ke tamam Masaail ko zaroor hal farmaye ga.
Khudkushi aik haram kaam hai. Allah Taala ne insaan ko zindagi jaisi azeem nemat se nawaza ha lihaza insaan ko chahiay k is nemat per Allah Taala ka khaas shukar ada karay or is zindagi ka maqsad(Marifat e Khuda or Ibadat e Khuda) ko pora karay. Allah Taala ki khushnoodi k liay os ke ahkaam ke mutabiq apni zindagi guzaray. Masail tu zindagi ka hissa hain, insaan ko chahiay k Ahlebait(a.s) k batay hoay raastay per amal kartay hoy in masail ka saamna karay or Allah Taala ki riza per razi rahay or os per mukammal bharosa karay ).
[Updated on 25-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Do gharo ki kushhali k lia ya aisa b kha ja sakta ha k do gharo ko bachana k lia ik shaks ko khudkushi krna pra to kya iska phir b gunah hoga?
Answer:
Khudkushi karna Har surat me haram kaam hai or guhaane kabera hay. (Allah Taala ne insaan ko zindagi jaisi azeem nemat se nawaza ha lihaza insaan ko chahiay k is nemat per Allah Taala ka khaas shukar ada karay or is zindagi ka maqsad(Marifat e Khuda or Ibadat e Khuda) ko pora karay. Allah Taala ki khushnoodi k liay os ke ahkaam ke mutabiq apni zindagi guzaray. Masail tu zindagi ka hissa hain, insaan ko chahiay k Ahlebait(a.s) k batay hoay raastay per amal kartay hoy in masail ka saamna karay or Allah Taala ki riza per razi rahay or os per mukammal bharoosa karay)
(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, maslah #30, sistani.org,topic khudkushi,que.2).
[Updated on 21-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Me apnay walidain ko boht bar boht hi ziada hadd tak mayus kr chuka hu khud se. Ab to hadd hi hogai he. Unka mere pr ab 0.1% bhi bharosa nhi he. Me boht bura hu. Agr zinda rha to unko or takleef milti rhe gi har bar. Wo b kehte hen tune hme kahi ka nhi chora. Agay b ye wo. In halat me mera jeenay ka koi maksad nhi he kiu k jis k walidain naraz hon us ki to wese hi dunya akhrat ujar jati he. Khud khushi ka guna to phir chota he. Is mamlay me meri madad kren. Me bilkul mayus hun
Answer:
Khudkushi karna Har surat me Haram kaam hai or gunah e kabeera hay. Allah Taala ne insaan ko zindagi jaisi azeem nemat se nawaza ha lihaza insaan ko chahiay k is nemat per Allah Taala ka khaas shukar ada karay or is zindagi ka maqsad(Marifat e Khuda or Ibadat e Khuda) ko pora karay. Allah Taala ki khushnoodi k liay os ke ahkaam ke mutabiq apni zindagi guzaray. Masail tu zindagi ka hissa hain, insaan ko chahiay k Ahlebait(a.s) ke batay hoay raastay per amal kartay hoy in masail ka saamna karay or Allah Taala ki riza per razi rahay or os per mukammal bharoosa karay.
(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, maslah #30, sistani.org, topic khudkushi, ques #2. link; https://www.sistani.org/urdu/qa/01796/ ).
Parwardigar e aalam se Bad-gumani is had tak pohanch jaye ke khuda se maayosi or na umeed ho jaye to ye bhi Haram or ghunah e kabira hai. aur Quraan ki roshni men Khuda ki rehmat se mayoos hona Kufr hai. lehaza har waqt Allah se umeed honi chahiye or mayoos nahin hona chahiye. Agar ye khauf kisi ghunah ki wajah ho, misaal ke taur agar kisi ne koi ghunah kiya ho to us ke liye tauba ka darwaza khula howa hai. aur Haqeeqi tauba ye hai ke ghunah ki anjaam dahi par nidamat (pashemani) honi chahiye. or isi liye kaha gaya hay ke nidamat hi tauba hay. or waazeh hay rahay ke haqiqi nidamat hamesha ghunah ke na karne ke mazboot iraday or dobara is ki taraf na palatnay ke iraday ke saath hoti hay. or haqiqi naadim shakhs zaroor ba zaroor apnay pichlay ghunahon ka azaala or tadaruk karta hay. agar os ka ghunah huqooq e khuda main se ho tu khuda ki baargaah se maghfirat talab karay, taubah faqat astaghfirullaah kehnay se nahi ho jati, balkeh nidamat or hamesha ghunah k terk kernay ka mazboot irada or os ka tadaruk lazim hai, Albattah agar tauba k baad ghunah karay tu bhi remat e Khuda se mayoos na ho balkeh zarori hai k dobarah tauba Karen, Q ke Khuda kareem or meherban hai, or bakshnay wala hay. or tauba kernay walon ko dost rakhta hay. hadees e shareef main hay k: Aik lamha e fikr kerna 60 saal ki ibadat se behter hay or tauba main asar andaaz cheez ye hay k azmat e Khuda or os ka apnay bando per haq or khuda ka her jagah hazir o nazir honay per fikr kerna hay. or isi liay hadees main aaya hay: tanhaei main bhi ghunah ke anjaam dainay se parhaiz karo ke Khuda hazir or naazir (dekhne wala) hay. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, maslah #30. + email rcvd from Aqae sistani(d.b), dated:17-08-2011 ).
[Updated on 28-Sep-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia khudkushi ki koi mafi hai agly jahan main??? Koi gunjiesh plzz??
Answer:
Khudkushi haram hay or gunah e kabira main se hay. (Ref: https://www.sistani.org/persian/qa/0897/).
[Updated on 09-Jul-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]