Showing 0- 4 questions from 4 questions on this page.
Question: DOES ISLAM ALLOW THE KILLING OF A PERSON WHO IS DISRESPECTFUL TO YOUR FAMILY WOMEN AND WANT TO ESTABLISHED ILLEGAL RELATION WITH THEM?
Answer:
It is not allowed, killing is a biggest sin. you must complaint him to the police station.(Ref:Minhaj us saliheen ayatollah seestani jild # 1, maslah # 30)
[Updated on 27-Apr-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Hashraat ul arz k bary my masoomeen as ka Kia hukm Hy? Kia sanp bichu keeray machr makhi marna jayiz Hy ?
Answer: Hashraatul arz ko qatal karna jaiz hay. (Ref: https://www.sistani.org/arabic/qa/02085/#21708 ). [Updated on 12-Jan-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Katal kin kin soorton (situations) mein jaiz hai
Answer:
Allah taala ne sorah e israa ki ayat #33 me waazih taur par farmaya hai: " Aur jis jaan ka maarna Allah ne Haram kiya hai tum use Qatal na karo magar haq ke sath aur jo shakhs mazloom maara jaye to hum ne us ke wali ko (Qisaas ka) ikhtiyaar diya hai, Ps use bhi Qatal me had se tajawuz nahin karna chahiye, Yaqeenan nusrat usi ki hogi ". yani sirf aik surat me qatal karna jaiz hoga aur wo ye hai ke jo shakhs na haq maara jaye to us ke waris ko ikhtiyaar haasil ke wo qisaas lay (yani qisaas ke taur par qaatil ko qatal kare), magar waris khud nahin kare ga balke haakim shara ke zariye diyat lay kar qisaas muaaf kare ya qisaas ke taur par qatal ke badle qatal kare, aur qatal me israaf na kare is ka matlab ye hai ke waris ko sirf qaatil se qisaas lene ka haq hai, deegar azeezon se nahin. is tarah aik ke badle sirf aik maara jaye ga ziyada nahin.
(Ref: https://www.balaghulquran.com/quran-mozooati-ayaat.php?sno=1756&tid=1763&frm= ).
[Updated on 11-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: islam mai kin kin soorat mai qatal halal ya jayaz hai
Answer:
Allah taala ne sorah e israa ki ayat #33 me waazih taur par farmaya hai: " Aur jis jaan ka maarna Allah ne Haram kiya hai tum use Qatal na karo magar haq ke sath aur jo shakhs mazloom maara jaye to hum ne us ke wali ko (Qisaas ka) ikhtiyaar diya hai, Ps use bhi Qatal me had se tajawuz nahin karna chahiye, Yaqeenan nusrat usi ki hogi ". yani sirf aik surat me qatal karna jaiz hoga aur wo ye hai ke jo shakhs na haq maara jaye to us ke waris ko ikhtiyaar haasil ke wo qisaas lay (yani qisaas ke taur par qaatil ko qatal kare), magar waris khud nahin kare ga balke haakim shara ke zariye diyat lay kar qisaas muaaf kare ya qisaas ke taur par qatal ke badle qatal kare, aur qatal me israaf na kare is ka matlab ye hai ke waris ko sirf qaatil se qisaas lene ka haq hai, deegar azeezon se nahin. is tarah aik ke badle sirf aik maara jaye ga ziyada nahin.
Note . Fiqhe masail per Amal karne se pehle Apne mujtahid ke fatwe ko jaanle us ke baad us per Amal kare
(Ref: https://www.balaghulquran.com/quran-mozooati-ayaat.php?sno=1756&tid=1763&frm= ).
[Updated on 19-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]