Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Dance (11 Questions)


Showing 0- 11 questions from 11 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
962
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-06-03

Question: aslamualaykum wa rahmatullahe wa barakatu.is dancing in a wedding party haram .

Answer: Aihtiyat-e-Wajib ki bina par na kiya jaey (parhez kiya jaey).Ref:Istiftaat A.Sistani (I-10)

Print

Id:
2403
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Music and dance is allowed for a wife to learn to attract her husband?? If yes then i need the reason because our Imam said MUSIC AND DANCE IS HARAM

Answer: Jee nahi, wife k liay ye jaiz nahi k wo kisi bhi sorat main Haram music or dance sikhay. Kun k wife apnay shohar ko khush kernay or os k jazbaat ko ubhaarnay k liay sirif os k saamnay dance kersakti hay.laikin wo dosray merdo k saamay dance nahi kersakti(haram hay) or isi terah ehtiyaat e wajib ye hay k wo aurtoo k saamnay bhi dance nahi kersakti.Haan agar haram music nahi ho to osko seekha or suna jasakta hay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, Pg# 257 to 262) .

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
3591
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: AOA meray do sawal hain 1-Kyia Moor hamari fiqah main haram hay 2-kyia bivi(wife) apnay sohar kay lyia dance kar sakti hay owr agar na ata ho to sekh(learn) kar sakti hay.

Answer: 1) Moor k halal or haram honay main ikhtelaaf hay.Ayatullah sistani(d.b) k fatway main Moor khana halal or jaiz he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2587 ).
2)Aurat apnay sohar ko kush karnay k lie aur us k jazbaat ko ubhaarnay k lie os k saamnay raqs karsakti he. Laikin dosray merdo k saamnay raqs nahi ker sakti or ehtiyaat e wajib k taur per aurtoon k saamnay bhi raqs nhi ker sakti.(Ref: A.sistani(d.b),jaded fiqhi masa’il, masalah # fiqhi masa’il,maslah#553). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6213
Mujtahid:
ayatullah sistani Date:

Question: kia dhamaal suna jayiz hai?jis me mola ALI(as) ka zikr hota hai?

Answer: Aurtoon k samnay aurtoon ka raqs or merdo k samnay merdo ka raqs ishkaal se khali nahi. Ehtiyaatan isay terk kerna chahiay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Jadeed Fiqhi Masail, maslah #570). (Khuda aap ki Tawfiqaat mein Izafa farmaye)

Print

Id:
14219
Mujtahid:
Agha Syastaani Date:

Question: kya mard k liya apna dost mardoon ki mahfil main dance karna jis main koi jinsi khwahish nah ubhra jaiz ha?

Answer: 1-Aurtoon k saamne aurtoon ka raqs(dance) or merdo k saamne merdo ka raqs(dance) ishkaal se khali nahi hay.Ehtiyaatan isay terk kerna chahiay(Ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), jaded faqhi masayl masla #570).
2-Aurat apne shohar ko khosh kerne or os k jazbaat ko ubhaarne ki gharz se os k saamne raqs(dance) ker sakti hay.Laikin doosray merdo k saamne raqs nahi ker sakti or ehtiyaat e wajib k taur par aurto k saamne bhi raqs nahi kerna chahiay.(Ref:A.Sistani(d.b),Jadeed fiqhi masa,il, maslah# 553). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) . (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
18601
Mujtahid:
aqae sistani Date:

Question: aoa..mene ap k ek qstn k ans me parha k aurto ka aurto k samne dance krna agr haram music pr na ho jaiz ? Plz mujhe bata den k haram musc se kia murad hy? Or kon sa musc hy jise sunna gunah nhi?

Answer: 1)Aurato k samne aurato ka aur mardo k samnay mardo ka raqs(dance) karna ehtiyat e wajib ki bina per jaiz nahi hai. (Ref : Jaded Faqhi Masail Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 283, pg # 570)
2)Haram mosiqi wo hai jo lho wa lahab ki mahafil sai munasibat rakti ho. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 570, 555 pg # 283, 280) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
53528
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Kia shadiyon main girls K function main dance krna allow hai

Answer: Aurato k samne aurato ka aur mardo k samnay mardo ka raqs(dance) karna ehtiyat e wajib ki bina per jaiz nahi hai. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 283, pg # 570) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
56561
Mujtahid:
Date:

Question: Kya apne shoher k liye dance ker na jaiz hai kya kersakte

Answer: Biwi apnay Shohar ko Khushaal karnay ke aur iskay jazbaat ko ubharnay ki gharz say iskay samnay raqs(dance)kar sakti hai lekin dusray mardo k samnay raqs(dance) nahi kar sakti albatta ghina(songs) sunna ya gaana haraam hai. (Ref: Jadeed Fiqhi Masail, Masla #553,550)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
58970
Mujtahid:
Date:

Question: kya mard dance kr sakta hai agar uski soach theak ho jasy isy apni exercise k tor pr kry

Answer: Dance kerna ehtiyat e wajib ki bina per jaiz nahi hai cahay koe daikhne wala nah ho or chahay exercise ki naiayat se ho ya nah ho. (Ref http://www.sistani.org/arabic/qa/0486/) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
84990
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Slamun Alaikum mera swal ye h k jb rkhz(dance) krna shriyat me hram h to biwi shauhr k samne kaise dance krskti h? Jbki dance krna shriyte mohmmdi me hram h

Answer: Islam ne is soorat ko mustasnaa(exception) kia hai k Biwi apnay Shohar ko Khush,haal karnay k aur iskay jazbaat ko ubharnay ki gharz say iskay samnay raqs(dance)kar sakti hai or is tarah shohur ko bhi ijazat hay, lekin dusray mardo k samnay raqs(dance) nahi kar sakti or ahtiyat e wajib ki bina par aurton k saamne bhi raqs nah karey albatta ghina(songs) sunna haraam hai. (Ref: Jadeed Fiqhi Masail, Masla #553,550)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
101053
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-10-14

Question: Salam o alikum mufti sab myra app sa question ye hai k myri wife mujy bar bar twerk karny ko kehti h nikki minaj ki tarha ya iggi azalia ki tarha ager my na karun wo sakoon sa pubg nai khailny dyti plz myri rehnumai farmain

Answer: Bivi ka apne shohar k liay dance karna or is tarah shohar ka apni bivi k liay dance karna, jab keh os jagah koe doosra mard ya aurat nah ho tu jaiz hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail Jaame, part#1, maslah #2240). Update on dated 07-09-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
[Updated on 14-Oct-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print