Showing 0- 9 questions from 9 questions on this page.
Question: Salamunalaykum There are lot of terms use in the fiqa regarding the niyyat of any act. I need the explaination of "what is the meaning of niyyat of Qurbat". Was-salam Iltimas-e-duaa
Answer: Marzeea parwardigaar say qareeb honay ka irada.
Question: Rukan se kya Murad ha? Aur Nimaaz ke kitne aur kon kon se Arkaan hain...
Answer: Rukan sai murad hai k agar insan inhain baja na lay to chahae aisa krna jan boojh kar ho ya galti sai ibadat batil ho jati hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 929)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: What is the Difference between Fard and wajib
Answer: Wajib or farz har wo amal hota hay jis ka anjaam daina shariyat/islam ki nigah me zarori or laazimi ho.in main koe faraq nahi hay, aik hi matlab hay. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) fiqhi istelahaat pg # 479). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Haram auq halal kya hai iske nuksanat kya hai hamare momin bhai sarkari iskeem me profit ke liye sarkari iskeem lete hai to ye sahi hai ya galat
Answer:
1) Wo amal jo shariyat ki nazar me na kaabl e tareef ho aur na kaabl e muzmmat ho osko mobah yani halal kehtay hain. (ref. Tuziul masail aqa sistani pg#478)
2) Her wo amal jis ka terk kerna shariyat ki nazar me zarori ho os ko haram kehtay hain.(ref. Tuziul masail aqa sistani pg no 475)
3) sarkari(Government) k ya neem sarkari(Sami-Goverment) bank me is surat me raqam rakh saktay hain or profit lay sakhtay hain jab raqam raktay waqt profit ki shart nah ki gae ho tu is surat main profit lay saktay hain or is profit ka aadha hissa kisi deendar(shia) faqeer ko dena hoga tu aadah profit aap k liay halaal hoga.
2-Private bank me agar raqam rakhte waqt is faide ki shart na rakhi gye ho to usi lena jaiz he agar chah ye jante hoon k bank faida de ga. Isi terha kafir bank me bhi yahi hokum he balke is me agar shart bhi rakhi gye ho tab bhi faide ko hasil karna jaiz he (Ref: Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 01 , ques # 113, pg # 62). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Farz aur wajib 2 lafz elehda kun istamal hotey hn Kisi amal k wajib honey ka reason kia hota hy misal k tor per jo kam hamary nabi ney anjam deya wo sunnat hy to ab wajib ka kesy pata chalta hy Kia Jin amal ka hukam quran mn hy wo wajib hotey hn
Answer:
Wajib or faraz dono ka matlab aik hi yani wo kaam jo karna zorori hoon. (Ref: https://article.tebyan.net/265836/%D9%85%D8%B9%D9%86%D8%A7%DB%8C-%D9%81%D8%B1%D8%B6-%D9%88-%D9%88%D8%A7%D8%AC%D8%A8-%DA%86%DB%8C%D8%B3%D8%AA- )
[Updated on 30-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Sir ehtiat e wajib say kia murad hai?
Answer:
Agar mujtahid fatwa nah day or ehtiyat lagaye tu aisi ehtiyaat ko ehtiyaat e wajib kehte hain. Ehtiyaate wajib mai muqallid ko ikhtiyaar hai k ya tu is ehtiyaat par amal karay ya fal aalam ki taraf ruju kar k os k fatway par amal kare.
(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition#41, maslah#6).
[Updated on 01-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: wajib e ainee se kia muraad hai kuck misaal de kar wazeh karen
Answer:
wo wajib jo har shaks par khud wajib ho jese namaz, roza wagaira.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 page no 494).
[Updated on 12-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Pakistan ka lafzi matlab
Answer:
Pakistan ka matlab Paak jagah ya paak logo ki jagah hay. (Ref: https://ur.wiktionary.org/wiki/%D9%BE%D8%A7%DA%A9%D8%B3%D8%AA%D8%A7%D9%86).
[Updated on 12-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Makrooh se Kya Murad hai sir?
Answer:
Makrooh yani na pasandidah yani har wo amal jis ka anjam dena haram na ho laikin anjam na dena behtar ho albatta is k anjam denay main koi gunah nahin hota hai.(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Fiqhi Istelahat, pg #488,493).
[Updated on 13-Oct-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]