Showing 0- 3 questions from 3 questions on this page.
Question: Cinema hall janay ka kia hokum hai?
Answer: Bazat e khud cinema janay mai koi haraj nahi hai. (Ref : Sistani.org urdu) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Kia cinema hall jana mutalqan jaiz hai?
Answer: Mutlaqan jaiz nahi hai laikin agar film gumrah karnay aur shehwat bharkanay wali na ho aur isay shehwat ki nigah sai na dekh raha ho aur wo jigha kharab na ho to jaiz hai. (Ref : Sistani.org urdu) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Cinema me movie dekhny k baray me Kia hukum hay?
Answer:
1) Aisi film ko dekhna jo shehwat ko ubharne waali ho, gumrah karne wali ho ya gumrahi ka shoq dilaane wali ho jaiz nahi hay.
2) Is k ilawa shehwat k saath nigah karna ya haram main mubtila hone ka khof ho tu jaiz nahi hai.
3) Ehtiyaat e wajib hai k aurat mard k mamool say ziada khule hoe badan ko nahi dekh sakti or isi tarah sai mard aurat k mamool sai ziada khule hoe badan ko nahi dekh sakta hatta k shehwat ki nigah nah bhi ho.(Ref: www.sistani.org/persian/qa/0989/). Update on dated 23-10-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).