Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Qarz ki adaegi ka wazifa (18 Questions)


Showing 0- 18 questions from 18 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
11638
Mujtahid:
Date:

Question: main apna karz utarna chahta hoon mere pas sirf 14 din baqi hain aur 50000/- rupay ka karz hai

Answer: 1-Kitab sirrul mustatir sheikh bihae(r.h) main hazrat imam e riza a.s se riwayat hay k agar koe maqrooz ho or qarz ki adaegi ki koe sorat nazar nah aati ho tu sorah e ambiya(sorah#21) ki ayat# 87or 88 ko 442 mertabah perhe tu insha Allah os k qarze ki adaegi ki sorat paida ho jay gi.(Ref: Nawa e saliheen, pg#347).
2-Agar koe qarz daar ho jay tu sorah feel(sorah#105) ko likh ker bazo per baandh le tu is ka qarz ghaib se ada hoga. (Ref: Nawa e saliheen, pg#347).
3-Agar koe sorah deher(sorah#76) ko likh ker gale main daale tu is ka qarz ghaib se ada hoga. (Ref: Nawa e saliheen, pg#347).

Print

Id:
15591
Mujtahid:
Date:

Question: Mohtaram Allah Tabarak Taalah ko razi karney ka tareqa bata dain. Merey maali haalaat bauhat khrab hain aur ma qarz ke daldal ma phance gaya hoon aur nikalney ka koi rasta nazar nahi aa raha agar Allah Tabarak Taalah razi hojay too merey maslay hal hosaktey hain. Merey oper 2 wives aur 5 bacho ki zemadari ha aur amadani zero ha. Qarz leyker kharch kerta rahta hoon aur qarz ke daldal ma dhansta ja raha hoon aap khas taur per merey leya duwa bhi karain aur iss maslay ka koi hal bhi bata dain aapki bari merharbani hogi. Shukria. Muhammad Farooq Ahmed.

Answer: Hazrat Ali a.s ka irshaad hay k agar koe is dua ko perhay ga tu Allah oska qarz ghaib se ada karay ga agarchah wo pahaarh(mountain) k baraber hi Q nah ho.
بسم اللہ الرحمن الرحیم اللھم ۔ اغنی بحلالک عن حرامک و بطاعتک عن معصیتک و بفضلک عمن سواک برحمتک یا الرحمن الراحمین۔
(Bismillaahir Rahmaanir Raheem. Allaahumma Aghninee Bihalaalika An Haraamik, Wa Bitaa,atika An Maseeyatik Wa Bifazlika Amman Siwaaka Birahmatik, Yaa Arhamar Raahimeen.) (Ref: Nawaay Saliheen, pg#339). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
16084
Mujtahid:
biyaz se liya huwa quarz Date:

Question: assalmalaikum maine xerox machine ke liye 2009 mai 20,000 quarz byaz se liya tha lekin uski muddal kum nahi huwi aur byaz badhta gaya takriban 20,000 per 50,000 huwe maine oh machine bech dali lekin uski kimat bhangar ke bhav me mili mai is byaz ke quarz se pareshan hu please aap se request hai aap duva me yaad kare aur iske liye wajifa bata de ki jald se jald byaz ka quarz utar jaye

Answer: Sood(bayaz) lena aur daina haram hai aur gunah-e-azeem hai,is liay faqat qarz ki asal raqam wapas kerna hi jaiz hay sood ki raqam daina jaiz nahi hay. Laikin ye mumkin hay k aap qarz or sood ki raqam ki miqdaar k baraber ya os se zaid raqam kisi doosri currency main ada ker dain. Maslan dollar main. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition,( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Jadeed Fiqhi Masail, maslah # 473) masail maslah # 1, pg#434,435)
Surah e talaq surah#65 ki ayat#2 and ayat#3 rozana 3 baar parhain,awal-o-aakhir aik martaba durood bhi parh lain,rizq mai bohat izafa hoga,aur agr qarz ada krna hai tou isi ayat ko rozana 21 baar parhain.(ref:book payame shifa pg#229 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
40333
Mujtahid:
sistani Date:

Question: Qarz denay k baray mai btain k kitna sawab hai?

Answer: Mominoo ko aur khas tor par un zurarat mando ko qarz dena mustahab kamoo mai sai hai jis k baray mai masoomeen a.s. ki hadeeso mai takeed ki gae hai. Hazrat Muhammad Mustafa s.a.w.w. nai farmaya: “ Jo shakhs kisi momin bhai ko qarz dai dai aur osay wapis krnay ki isteta’at tak mohlat dai to aisay shakhs k maal mai izafa hota hai aur farishtay is par durood bejhtay hain yaha tk k wo apna qarz wapis lai lai. ”
Hazrat Imam Jaffar e Sadiq a.s. sai manqool hai k “Aik momin kisi doosray momin ko qurbat ki niyat sai qarz dai dai to Allah is ko sadqa ka ajar ata krta hai yaha tk k wo apna qarz wapis lai lai.”
Qarz denay k kuch makhsos ahkam hain jin k baray mai Tauzeehul masail dekhain . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2236)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
46702
Mujtahid:
yes Date:

Question: both krza ha both prshan ho koi hal ha is ka

Answer: 1)Maqrooz adami har namaz k baad ba-qa’edgi say surah muzammil ki tilawat karay to qarz ada ho jae ga. (Ref : Kitab payam e shifa Pg pg # 240-41) 2)Hazrat Imam Jaffar e Sadiq a.s. ka farman he ke “Namaz e shab charey ko zeba(khoob surat) aur Aqhlaaq ko acha banati he. Aur insan ko khushboo daar karti he. Rizq ki ziadti aur qarz ki adaigi ka baes benti he ghum ko door karti aur aankooh ko noor ata karti he”. Aik aur irshad k aik jumla he k namaz e shab charahey ko safaid aur khoobsurat karti he. (ref : Kitab payam e shifa pg # 147) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
54663
Mujtahid:
Date:

Question: slaam! Mera masla hy mera business jo k bohut acha chal raha tha lakin pichly 9 month see bilkul bund hy bohut preshaan hn wazaief b bohut kiye han kisi ne bataiya k jado hy lakin torr es ka ho nahi raha plz meri madad kiya k mujy kiya karna chahye jo log sath thy business mein sub rabta khutm ker gaye mein bohut wori hon. Allah ap ko ajer dy ga mujy is ka hal bataye muj py bohut qarza ho giiya hy.

Answer: jo shaks sura e baqra aayat no 285 ko hamesha tilawat karta rehe ga to ALLAH TALA us ke qarzko apne khazana e geeb se aada kare ga, or uske dushmanoo ke shar se mehfooz rakhe ga.(Ref : tajalliyaat e Quraan , pg 31 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
66451
Mujtahid:
Date:

Question: A.o.a sir mene qaraz ada krna ha...8000 rupay ha takreban 1 saal se zayada ho gya ha lekn me qarz nhi de pa rha..jiski waja se me bht preshan hu..plz koi solution bata dn

Answer: 1-Kitab sirrul mustatir sheikh bihae(r.h) main hazrat imam e riza a.s se riwayat hay k agar koe maqrooz ho or qarz ki adaegi ki koe sorat nazar nah aati ho tu sorah e ambiya(sorah#21) ki ayat# 87or 88 ko 442 mertabah perhe tu insha Allah os k qarze ki adaegi ki sorat paida ho jay gi.(Ref: Nawa e saliheen, pg#347).
2-Agar koe qarz daar ho jay tu sorah feel(sorah#105) ko likh ker bazo per baandh le tu is ka qarz ghaib se ada hoga. (Ref: Nawa e saliheen, pg#347). Update on dated 17-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
70583
Mujtahid:
Date:

Question: Janab Maulana Sahib Mujh Per kareeb bees Lakh INR Ka qarza hai ada nahin ho raha aur koi soorat bhi nahin nazar nahin aati

Answer: 1-Kitab sirrul mustatir sheikh bihae(r.h) main hazrat imam e riza a.s se riwayat hay k agar koe maqrooz ho or qarz ki adaegi ki koe sorat nazar nah aati ho tu sorah e ambiya(sorah#21) ki ayat# 87or 88 ko 442 mertabah perhe tu insha Allah os k qarze ki adaegi ki sorat paida ho jay gi.(Ref: Nawa e saliheen, pg#347). 2-Agar koe qarz daar ho jay tu sorah feel(sorah#105) ko likh ker bazo per baandh le tu is ka qarz ghaib se ada hoga. (Ref: Nawa e saliheen, pg#347). Update on dated 29-03-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
87960
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: mere friends ko Paise ki jarurat ti school ki fees isliye Maine use ki help karke usko ek kam Diya mere paihchan KE dusre dost Se Maine usse apple ka mall Maine bheja aur usse uske 2lakh rs nhi Diya aur Maine dost KE 2lakh Dene ke liye kisi aur SE paise nikal diye ab main 3 logo beech fas gaya ab Kya karu??????? Main to jaan de rha plz help me save my life ??????????

Answer: 1-Kitab sirrul mustatir sheikh bihae(r.h) main hazrat imam e riza a.s se riwayat hay k agar koe maqrooz ho or qarz ki adaegi ki koe sorat nazar nah aati ho tu sorah e ambiya(sorah#21) ki ayat# 87or 88 ko 442 mertabah perhe tu insha Allah os k qarze ki adaegi ki sorat paida ho jay gi.(Ref: Nawa e saliheen, pg#347). 2-Agar koe qarz daar ho jay tu sorah feel(sorah#105) ko likh ker bazo per baandh le tu is ka qarz ghaib se ada hoga. (Ref: Nawa e saliheen, pg#347). Update on dated 22-10-2018. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
100910
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-10-08

Question: M e bhot maqroz ho gea ho mughy kuch easa btya jy ks m is qiraz sy nijat hasal ker lo

Answer: 1-Kitab sirrul mustatir sheikh bihae(r.h) main hazrat imam e riza a.s se riwayat hay k agar koe maqrooz ho or qarz ki adaegi ki koe sorat nazar nah aati ho tu sorah e ambiya(sorah#21) ki ayat# 87or 88 ko 442 mertabah perhe tu insha Allah os k qarze ki adaegi ki sorat paida ho jay gi.(Ref: Nawa e saliheen, pg#347).
2-Agar koe qarz daar ho jay tu sorah feel(sorah#105) ko likh ker bazo per baandh le tu is ka qarz ghaib se ada hoga. (Ref: Nawa e saliheen, pg#347).
[Updated on 08-Oct-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102736
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-12-28

Question: Dukan nai chal rahi karja chad gaya kya karu

Answer: 1-Kitab sirrul mustatir sheikh bihae(r.h) main hazrat imam e riza a.s se riwayat hay k agar koe maqrooz ho or qarz ki adaegi ki koe sorat nazar nah aati ho tu sorah e ambiya(sorah#21) ki ayat# 87or 88 ko 442 mertabah perhe tu insha Allah os k qarze ki adaegi ki sorat paida ho jay gi.(Ref: Nawa e saliheen, pg#347).
2-Agar koe qarz daar ho jay tu sorah feel(sorah#105) ko likh ker bazo per baandh le tu is ka qarz ghaib se ada hoga. (Ref: Nawa e saliheen, pg#347).
[Updated on 28-Dec-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103678
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date: 2020-02-09

Question: meri kisi aunty nay sawal kia hay: Meray husband ka karobar hy woh doob raha hy meray husband lakhoon k maqrooz ho gaey hain bohat ziyada crisies mein hain

Answer: Riwayat mai hai k jo shakhs subah k waqt kisi sai baat karnay sai pehlay 3 bar surah e maeda ayat # 114 ki tilawat karay osay waha sai rozi milay gi jahan sai osay wahm o ghuman bhi na ho ga. (Ref : Kitab payam e shifa Pg # 232) ayat (rab,ban,a anzil alina . . . . . . khairur razaqeen ) (Ref : Kitab payam e shifa Pg pg # 240-41).
[Updated on 10-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
107893
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-08-27

Question: mere gr waly sakht qarzy k neechy daby huwe hain jo unho ny mere susral se lia ab wo wapis mang re hain koi aisa wazifa btayein k mere gr walo k pas paisy ka intezam ho jaye r unhy gr na bechna pary

Answer: 1-Kitab sirrul mustatir sheikh bihae(r.h) main hazrat imam e riza a.s se riwayat hay k agar koe maqrooz ho or qarz ki adaegi ki koe sorat nazar nah aati ho tu sorah e ambiya(sorah#21) ki ayat# 87or 88 ko 442 mertabah perhe tu insha Allah os k qarze ki adaegi ki sorat paida ho jay gi.(Ref: Nawa e saliheen, pg#347).
2-Agar koe qarz daar ho jay tu sorah feel(sorah#105) ko likh ker bazo per baandh le tu is ka qarz ghaib se ada hoga. (Ref: Nawa e saliheen, pg#347).
[Updated on 27-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114479
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-03

Question: as salam o alaekum. janab e aali mera naam sohaib hy. qarz ki waja sy bht pareshan hn. smjh nai aati kya kru. mali halat ki waja sy bv sy b aksar nok jok ho jati hy. hamari pasand ki shadi hy. usko chor b nei skta. aaj to hadd e ho gae us ny mujh sy talaq ka mutaliba kr dea. 5 bachy hein, 3 betiyaan, 2 bety. bray meharbani qarz ki jald az jald adaegi ka koe wazifA btaein taky meri khangi zindgi mutasir na ho. or hala rizq m kasrat o barkat o

Answer:
1: Agar koe qarz daar ho jay tu sorah feel(sorah#105) ko likh ker bazo per baandh le tu is ka qarz ghaib se ada hoga. (Ref: Nawa e saliheen, pg #347).
2: Surah e talaq surah #65 ayat #2 ka akri hissa and ayat #3 puri yani(wa-maei yattqillaha yaj-al lahu makhraja sy........le kulle shaei-in qadra tak) rozana 3 baar parhain, awal-o-aakhir aik martaba durood bhi parh lain,rizq mai bohat izafa hoga,aur agr qarz ada krna hai tu isi ayat ko rozana 21 baar parhain. (Ref: book payame shifa, pg #229).

[Updated on 03-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116312
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-09-08

Question: Assalamualaikum Hazrat hum bohot qarz me hai Bohot Sara qarz hai Aur sab kch hai jagah zameen Lekin vo bikta bhi nhi hai Har kaam me rukawat aajati hai Har kaam rok dena padta hai Kaam bante bante bigaad jate hai Bohot tangdasti hai qarz hai Berozgari hai Hamari family bohot pareshan hai Please koi amaal wazifa batae?

Answer: 1: Kitab sirrul mustatir sheikh bihae(r.h) main hazrat imam e riza a.s se riwayat hay k agar koe maqrooz ho or qarz ki adaegi ki koe sorat nazar nah aati ho tu sorah e ambiya(sorah #21) ki ayat #87,88 ko 442 martabah parhe tu insha Allah os k qarze ki adaegi ki sorat paida ho jay gi.
2: Agar koe qarz daar ho jay tu sorah feel(sorah #105) ko likh ker bazo per baandh le tu is ka qarz ghaib se ada hoga. (Ref: Nawa e saliheen, pg#347).
3: Husool e rizq or taraqqi e rizq k liay 141 mertabah ye zikr perha jaay. yaa razzaaqo urzuqnee. (Ref: naaemul aamaal, pg #315).
4: Riwayat main hai k jo shakhs subah k waqt kisi sai baat karnay sai pehlay 3 baar surah e maeda ayat #114 ki tilawat karay osay wahan sai rozi milay gi jahan sai osay wahm o ghuman bhi na ho ga. (Ref: Kitab payam e shifa, Pg #232) ayat (rabbana anzil alina . . . . . . khairur razaqeen).
5: Pareshani doori hone k liye wazifa: Har qism ki pareshani ka liya surah e Mubarak e Anaam ayat #17 (in yamsask . . . . . . .al khabir) ko fajr say pehlay likh kar apna pas rakhain. Inshallaha faida ho ga.(Ref: kitab payam e shifa, pg #221,282).
[Updated on 08-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116621
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-10-30

Question: s.w mera pela khudka business tha mene market se credit me bhi mal uthaya tha aj muje darlagta he ke maszid me jau ga or log pakde ge muje veseto me nahi jahna jahta par mohoram me bhi nahi ja saka or aj 40 ma he mola or aj matan bhi hoga me meri izzat gava chuka plz help ho sakti ho to madad kre

Answer: Sorah e mubaarkha hijr, Sorah number 15 ko likh kar paas rakhna ada e qarz k liay mujarrub hay.. Jo koe sorah e dahr ko likh kar gale main daalay ga tu bhi os ka qarz ghaib se ada ho jaey ga. (Ref: nawaey saliheen, pg#340)
[Updated on 30-Oct-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121701
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-02-18

Question: Asalam Alikum .Mai bht zyada qarz mai phn chuki ho or koi surat smjh nhi arhi.Qarz or phir us qarz py sood ny meri zindagi ka sukoon khtm krdia mai ap k agay hath jor k khti jo k kch aesa bta dijye k ALLAH Pak mjhy is azab sy nijat dila day. Shukria

Answer: 1-Kitab sirrul mustatir sheikh bihae(r.h) main hazrat Imam e Riza(a.s) se riwayat hai ke agar koi maqrooz ho or qarz ki adaaigi ki koi surat nazar nah aati ho to surah e ambiya(sorah #21) ki ayat #87 or 88 ko 442 martaba parhe to inshAllah us ke qarze ki adaaigi ki surat paida ho jaye gi.
2-Agar koi qarz daar ho jaye to surah feel(sorah #105) ko likh kar baazu par baandh lay to is ka qarz ghaib se ada hoga.
(Ref: Nawa e saliheen, pg#347).
[Updated on 18-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey].

Print

Id:
122065
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-05-09

Question: asalam alikum.mai bht pareshan ho .mainy zarort k liye aik 2 mobile app sy qarza ly lia ab mai is sood k daldal mai phns chuki ho Allah k wasty mjhy is sy niklny ka rasta btaye koi .mai apny shohr ko nhi bta skti wrna wo mjhy ghar bhej dygy mery jo mai kbhi nhi chahti.is qarz or sood ki waja sy meri puri life barbad ho rhi ha roz yh log calls kr k btamezi krty ha .kafi paisy mai dy chuki ho lekn ab bhi is mai phnsi ho. aik rupya nhi bachta mery pas or sb sy udhar magna parta ha.Allah ka wasty meri madad kry or mjhy ntaye k mai kia parho jis sy mery halat thek hojaye qarz utar jaye.izzt ki zindagi ji sko mai. Shukria jazakAllah

Answer: 1: Kitab sirrul mustatir sheikh bihae(r.h) main hazrat Imam e Riza(a.s) se riwayat hai ke agar koi maqrooz ho or qarz ki adaaigi ki koi surat nazar nah aati ho to surah e ambiya(sorah #21) ki ayat #87 or 88 ko 442 martaba parhe to inshAllah us ke qarze ki adaaigi ki surat paida ho jaye gi.
2: Agar koi qarz daar ho jaye to surah feel(sorah #105) ko likh kar baazu par baandh lay to is ka qarz ghaib se ada hoga.
(Ref: Naway e saliheen, pg #347).
[Updated on 10-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print