Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions:


Question & Answers << Go Back

Topic: Taweez (4 Questions)


Showing 0- 4 questions from 4 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
10603
Mujtahid:
quran our hadith Date:

Question: molana tabiz karte hai or pase lete hai kya yah jaiz hia our inke piche namaz hoti hai quran our hadith mai manai hai [para 1 ayat 41 me dode pase ke liy sadhan mat banao is ayat ki tafsir bayan kar ke likho]

Answer: Dua se bane tawezo ki ujrat (pese) liye ja sakte hai, or ager in main pesh e imam ki tamaam sharait mojood hai to in ki jamaat main iqtida karna jaiz hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 1434 to 1440 , 2016).

Print

Id:
46231
Mujtahid:
Date:

Question: Salam... Mohtaram mujy ap sy detail mai jawab chahye... Meri shadi ko 3 saal or 5 month ho gay hain. Meri 1 beti ha. Mery husband saudia mai kaam karty hain... Wo shadi k baad 3 month sath rahay. Phir saudia chalay gay. Phir us k 5 month baad wapis aay. Ku k beti hui thi is lye. Phir wo 3 month meray sath rahay. Ab un ko saudia gay 2 saal or 5 month ho gay hain.. Wo koshish to boht kar ray hain k mai un k pass saudia chali jaaon. Par kaam nai ban paa raha.. Meray susraal mai meri mother in law hain.1 nand hai jo k divorcd hai. 2 young dewar hain. 1 ki age 23 saal ha or 1 ki age 16 saal ha. Pahly to 2 saal mai apnay susraal mai rahi hu.. Sab kaam b kiye. Par jab ki meri sister in law divorced ho k aai ha. Meray susraal waly mujy boht ignora krny lag gay hain. Mai apni ammi ki trf aa gai hu. To wo log relax hain. Wo b ye he chahty hain k mai apni ammi ki trf he rahu. Ap plz mujy ye btaaye k mera susraal mai rehna theek ha ya apni ammi trf rahu. Ku k mery to husband b mery sath nahi. Or plz kuch parhny k lye bata dain k mai apny husband k pass chali jaaon.. Or istekhra b karwa dain.. Apki meharbaani ho gi... Mai ab akeli nai rehna chahti. Ku k shadi k baad husband k sath ki boht zaroorat hoti ha... Plz mery sawalon k tassali bakhsh jawab dain.. Shukria

Answer: Kisi bhi jaiz maqsad main fatah hasil kerne k liay 141 mertabah “yaa fattaaho yaa azeezo” (یا فتاح یا عزیز) wird kia jay.(Ref: Naeemul amaal, pg#315)

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
47136
Mujtahid:
Date:

Question: Kia taveez gale me dalna sahi ha.manzil ya surat yaseen ka taveez

Answer: Koi haraj nahi hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 3, sawaal # 148,pg # 70)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
57897
Mujtahid:
Date:

Question: waldein ki lambi umar aur unki khairo afiyat k liye wazifa baten..meri ami kuch bemar si rahti h kbi khuch ho jata h kabi kuch..plz iska b wazifa baten.

Answer: Sura e Yaseen ko ibtida se pharna shuroo karain, jab 1st mubeen tak ponhche to 41 martaba darj zeel ayaat phar kar dua maangain, phir doosre din phir shuru se Sura e Yaseen ko shuro se pharye yahan tak ke 2nd mubeen tak ponhach jaain to 41 us hi ayat ko phar ka dua maangain jis ko 1 din phara tha, or jab Sura e Yaseen main 7 martaba lafz e mobeen aaya hai to 7 rooz tak ye hi amal karain.
41 martaba pharne wali ayaat : Sura e Al-Hamd (Sura no 1) ayat no 4 is ke baad ye dua pharni hai allah umma an taqziya hajati (or apni hajat ko bayaan karain).(Ref : nawaa e Saleheen , pg # 49 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print