Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Question & Answers << Go Back

Topic: Paishab k qatre ka wazifa (10 Questions)

Showing 0- 10 questions from 10 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
69379
Mujtahid:
Date:

Question: Sir mugha pishab karna ka bad peshab ka katra ata hai is ka koi hal haii to bta dai

Answer: Akhrot ka har roz khana peshab k qatray qatray aanay wali beemari k lie faiday mand hai. (Ref : Kitab Makhzan e Amaliat pg # 79)Update on dated 13-02-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
71163
Mujtahid:
Date:

Question: mai jab pessab karke uthata hoo to pessab ka katra ek do boond gir jata hai mai kya karo

Answer: 1-Wazifa: Sorah zumar(sorah#39) ki ayat # 67 qatray qatray peshab aanay k liay likh ker mareez ki kamar main bandh dain or zaafran se likh ker pee lain tu aap ko ifaqa hoga.(Ref: nawaay saliheen,Mafhoom e pg#329. 2-Bock Pharma #69 paishab k qatro ki wajah se kaprhay napaak hona or qatre qatre paishab aana band ho jate hain. (Address: ST-I, v,c, Shop#11 Jinah Post Graduate Collage, Opp. Board Of Secondary Education, Nazimabad#5, Karachi. Phone: 021-36617486.).Update on dated 20-05-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
94997
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-03-27

Question: A.o.a..khansnay(cough) ki waja se agar qatra nikal jae to kia ghusal karna hoga ye jism pay pani baha k kapray change kar k agli namaz parh sakhtay hain??

Answer: Agar wo rutoobat mani hai tu ghusl karna wajib ho jaey ga lekin agar wo peshaab k qatre hai tu jahan qatray lagay hai usay paak kar k namaz parhi ja sakti hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition#41, maslah#344).
[Updated on 27-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
97665
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-06-13

Question: Peshab ke qatron ke lia wazifa

Answer: surah zumr ki aayat 67 ko likh kar mareez ki qamar mai baandhe aur zaafraan sai likh kar pilaayen inshallah sehtyaabi hogi.(Ref:Nawaaye saliheen page no 329).

1)Istibra aik mustahab amal hay jo merd hazrat peshab k bad is wajah say anjam daite hain takeh ye itminaan ho jae k peshab ki naali may peshab baki nahi raha. Is ka tareeqa ye hay k peshab say farigh honay k baad ultay haath(left hand) ki darmiyaani ungli (middle finger) ha us ko pakhanay k maqam say peshab ki naali ki jerh tak soontain(wipe) aur is k baad angothay ko peshaab ki naali k oper or aur angutay k saath wali ungli ko peshaab ki naali k neechay rakhain or daba kar khatna k maqam tak le aaen phir 3 dafa jatkein. 2)Agar kisi nay istibra na kia ho aur peshab karnay k bad peshaab k makraj se ratobat kharij ho jis k baare me na jaanta ho k paak hai k nahe to wo ratobat najis hai aur wuzu ko bhi batil kar de gi aur agar kafi waqt ghuzr janay ki wajah say osay itminan ho k peshab nali may baqi nahi raha tha aur is doran ratoobat kharij ho aur osay shak ho k pak hay ya nahi to wo ratoobat pak hogi aur os say wuzo bhi batil nahi ho ga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #69,71).
[Updated on 13-Jun-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
98884
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Assalamwalaekum mujhe peshab karne k bad aksar kb kar leta hu or kr pani se paak ho k jb uth jata hu bad mein aisa hota hai thoda bht peshab nikalta hai is halat mein kya kiya jaye ye pareshani hai mujhe... Kya main namaz padh sakta hu or quran or riya kharish ki pareshani bhi hai hawa paas hone ki aksar ab is halat mein bar bar wazu kiya jaye

Answer: Wazifa: 1-Sorah zumar(sorah#39) ki ayat # 67 qatray qatray peshab aanay k liay likh ker mareez ki kamar main bandh dain or zaafran se likh ker pee lain tu aap ko ifaqa hoga.(Ref: nawaay saliheen,Mafhoom e pg#329).
2-Akhrot ka har roz khana peshab k qatray qatray aanay wali beemari k lie faiday mand hai. (Ref : Kitab Makhzan e Amaliat pg # 79) . Update on dated 26-07-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
102897
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-01-06

Question: Peshab ke qatron ka ilaj

Answer: Wazifa: 1-Sorah zumar(sorah#39) ki ayat # 67 qatray qatray peshab aanay k liay likh ker mareez ki kamar main bandh dain or zaafran se likh ker pee lain tu aap ko ifaqa hoga.(Ref: nawaay saliheen,Mafhoom e pg#329).
2-Akhrot ka har roz khana peshab k qatray qatray aanay wali beemari k lie faiday mand hai. (Ref : Kitab Makhzan e Amaliat pg # 79) .
[Updated on 06-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103604
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-02-11

Question: Sir mjhy peeShab ki bimari hai main peeshab nahi rok sakti bht zyada ata hai agar main subha main namaz parhti hun saaf kapry pehn kar or agli namaz sy phly mjhy bathroom jany tak peeshab shalwar main hi nikal jata hai to main kya karun ab bar kapry b nai badal sakti dun main 3 4 bar mairy sath aisa hta hai main namaz parhna chati hun but mairy kapry pak nai rhty vo peshaab ki vja sy napak ho jaty hain plz answer me main bht pareshan hun

Answer: 1) Tukhm e kahoo (lettuce seeds) k khanay sai sailan e peshab sai nijat milti hai. (Ref : Kitab Makhzan e Amaliat pg # 60)
2) Akhrot ka har roz khana peshab k qatray qatray aanay wali beemari k lie faiday mand hai. (Ref : Kitab Makhzan e Amaliat pg # 79)
[Updated on 11-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103605

111046
Mujtahid:
Sunni Date: 2020-10-19

Question: السلام عليكم میری شادی کو 5 سال ہونے والے ہے کبھی ایسی تکلیف نہیں ہوئی مگر اچانک سے مجھے کتروں کی تکلیف لگ گے ہے۔ میں ہفتے کو خالی پیٹ تھا اور بھوک لگے جاری تھی مگر خانہ خانے کا ٹائم نہیں تھا کام کی وجہ سے تو جب گھر آیا تو شام میں ٹی پی کچھ کھایا بس بس سے ہی یہ کترے نکلتے ہے ۔ پیشاب میں نہیں بس و۔ انڈرویر میں نکل جاتے ہے سوتے وے کوئی میڈیسن یا آیات بتاؤجسسے مجھے اسے نجات میل بوہت پریشن ہوں۔ یہ میرا وہاتسپپ نمبر ہے 0343-3046778 اس پی بتا دینا آپ کی مہربانی ہوگے۔

Answer: 1) Tukhm e kahoo (lettuce seeds) k khanay sai sailan e peshab sai nijat milti hai. (Ref : Kitab Makhzan e Amaliat pg # 60)
2) Akhrot ka har roz khana peshab k qatray qatray aanay wali beemari k lie faiday mand hai. (Ref : Kitab Makhzan e Amaliat pg # 79)
[Updated on 19-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111854
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-12-05

Question: Peshab kerny ky baad katry anay ka kia ilaj hy

Answer: wo qatray najis shumaar honge lehaaza jahan jahan qatre lagay hai wo jagah paak karni hogi is ka tu bus yahi ilaaj hai k jab bhi peshaab karay tu us k baad istibraa kar lay, (Istibraa aik mustahab amal hai jo mard hazrat peshab k bad is wajah say anjam daite hain takeh ye itminaan ho jae k peshab ki naali may peshab baqi nahi raha. Is ka tareeqa ye hay k peshab say farigh honay k baad ultay haath(left hand) ki darmiyaani ungli (middle finger) ha us ko pakhanay k maqam say peshab ki naali ki jerh tak soontain(wipe) aur is k baad angothay ko peshaab ki naali k oper or aur angutay k saath wali ungli ko peshaab ki naali k neechay rakhain or daba kar khatna k maqam tak le aaen phir 3 dafa jhatkein). or agar istibraa karnay k baad koi rutoobat kharij hoti hai jis k baaray mai shak karay k peshaab hai ya nahi tu wo rutoobat paak hogi or us sai wuzu bhi baatil nahi hoga.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah seestani, edition 39th, maslah # 69 and 70).
[Updated on 05-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print