Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions:


Question & Answers << Go Back

Topic: Nazr e bad ka wazifa (11 Questions)


Showing 0- 11 questions from 11 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
95797
Mujtahid:
Date: 2019-05-02

Question: Mera Nazar kabi lag jata a Mai kesey apna Nazar thoru agar kisi ko Nazar lag jaey . Ya hesa kuch bataey k kabi Mera Nazar na lagy

Answer: Hazrat imam jaffer sadiq a.s se manqool hay keh jab kisi shaks ko andeshah ho keh osay kisi ki nazr e bad lag jaey gi ya o ski nazr e bad kisi ko lag jaey gi tu teen baar ye perhe: (مَا شَاءَ اللَّهُ لَا قُوَّةَ إِلَّا بِاللَّهِ الْعَلِیِّ الْعَظِیْمِ) Mashaa Allah laa qoowata illaa billaahil aleeyil azeem.(Ref: Zaadul ibaad li youmil maad, pg#246).[Updated on 03-May-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
98560
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date: 2019-07-23

Question: Mujhe Nazar e Bad Lag Jati Hai Aur Halat Bohat Kharab Hojati Hai, Koi Wazeefa Koi Ibadat Koi Amaal Bata Den.

Answer: Hazrat imam jaffer sadiq a.s se manqool hay keh jab kisi shaks ko andeshah ho keh osay kisi ki nazr e bad lag jaey gi ya o ski nazr e bad kisi ko lag jaey gi tu teen baar ye perhe: (Hazrat imam jaffer sadiq a.s se manqool hay keh jab kisi shaks ko andeshah ho keh osay kisi ki nazr e bad lag jaey gi ya o ski nazr e bad kisi ko lag jaey gi tu teen baar ye perhe: (مَا شَاءَ اللَّهُ لَا قُوَّةَ إِلَّا بِاللَّهِ الْعَلِیِّ الْعَظِیْمِ) Mashaa Allah laa qoowata illaa billaahil aleeyil azeem.(Ref: Zaadul ibaad li youmil maad, pg#246).[Updated on 03-May-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]) Mashaa Allah laa qoowata illaa billaahil aleeyil azeem.(Ref: Zaadul ibaad li youmil maad, pg#246).
[Updated on 23-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
110696
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-09-28

Question: Aoa mjhe apni Nazar hi lag jati hai aur docron ko bhi lagtii hai plz kuch btyain k mjhe na lagy Nazar aur na docron ko lagy merii

Answer: Imam jaffer saddiq a.s se manqool hay keh jab kisi insan ko andeshah ho keh osay kisi ki nazar bad lag ajey gi ya os ki nazr e bad kisi ko lag jaey gi tu 3 baar ye perhe: ماشاء اللہ لا قوۃ الا باللہ العلی العظیم (Ref: zaadul ibaad, pg#246)
[Updated on 28-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110996
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-10-13

Question: Nazray baad ka Hal or mushkilaat say nikalny ka rasta, Mera ik Kam kafi time say ruka Hai, her guzartay Din k sath wo or rukta ja raha Hai kamyabi ki koi surat nazar nae arahe. Please Mujy koi Hal Batain k Mai imtehan Mai kamyab hojaon.

Answer: Agar kisi ko Nazar-e-bad lag gaye ho to Surah-e-Humza parh kar dam karay nazar bad door ho jaye gi.(Ref: Wazaif-ut-Talib pg#100).
Jisa ki Nazr lagti hai usko chahiye k wo ziyada se ziyada Quran majeed ki tilawat kre, Or Nazar bad bachne k lye surah falaq aur surah naas parh kar dam kare.(Ref : Jaffri Tofat_ul_awaam pg#202).
[Updated on 13-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111351
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-30

Question: Main ne ghuse main a kr jazbat main apne husband ko kaha main Allah ki ksm khati hun main tumse rishta ni rkhti na tumse mera koi taluq hai main aisa kiya krun Allah naraz na ho mujhse?

Answer: Jo qasam ghussay ki haalat ya jazbaat mai aakar khayi jaaye aisi qasam durust nahi hai lehaza is ka Gunah ya kaffara nahi hoga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41, maslah # 2634)
[Updated on 01-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111383
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-11-07

Question: Assalam o Alaikum agr koi insaan quran pak par hath rakh kr kasam uthaye or woh kasam apne gunnah ko chupane ke liye ho tou kya is kasam par koi saza hotti hai...woh kasmam jo sirf or sirf gunnah chupane ke liye ho bss or koi waja na ho.?

Answer: Qasam ki sharait mai sai hai k kaha jaaye allah k liye ye kaam karoo ga ya nahi karoo ga is k ilawa quran par hath kar qasam nahin khaee jati. lehaza ye qasam durust nahin hai. aur Qasam sahi na hone ki waja se na koi gunah hota hai or na hi koi kaffar hota hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2633,2634)
[Updated on 07-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112307
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-28

Question: Assalam o alaikum .. Meri walida ne mannat mani thii k agr mera beta hua to usy me hafuz e quran bnaoo gii ..lekin ab hifz pora nii horha haii ..is ka kiya hal haii plzz rehnumaii farmay

Answer: Ye nazar (Mannat) sahi nahi Q k nazar kerne men ye baat lazmi hai k jis cheez ki nazar ki jaye wo insan ko khud anjam deni hoti ha. (Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition #35, Mafhoom e Maslah #2604,2630).
[Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
113647
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-26

Question: Me maide ki bimare me kafi time se mubtala hun, ilaj bhi kra leya bhut, rohani ilaj me molana kehte hen k nazar e bad hen Plz koi ilaj btaen

Answer: Hazrat imam jaffer sadiq a.s se manqool hay keh jab kisi shaks ko andeshah ho keh usay kisi ki nazr e bad lag jaey gi ya uski nazr e bad kisi ko lag jaey gi tu teen baar ye perhe: (مَا شَاءَ اللَّهُ لَا قُوَّةَ إِلَّا بِاللَّهِ الْعَلِیِّ الْعَظِیْمِ) Mashallaho laa qoowata illaa billaahil aleeyil azeem. (Ref: Zaadul ibaad li youmil maad, pg #246)
Hazrat Imam Jafar Sadiq a.s ka Irshaad hai k jo shaks aksar Surah Jin ki Tilawat kare ose Qaum ki Ankhon(Nazar e bad) Jadoo, Makr o faraib se koe nuqsaan na hoga. (Ref: Kitab payam e shifa, pg #83).
[Updated on 27-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116047
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-03-05

Question: Assalam alaikum janab meta masla yeah hai ke mein ease sheher mein rehta hoon jahan log ALLAH per kam aur amaliyaat waloon per ziyada bharosa kerte hein aur doosroon KO zindagi KO sirf Chand rupyoon ke liye barbaad karte hein mujhe6 mahinoon se ziyada hogaya hai Jo mein ghar betha hoon koi kam nhi hai mein dubai mein tha wahan se aya apne mulk mein karobar karne lekin abhi aesa hai ke mein ghar se nikal hi nhi pata din ke time lekin jese maghrib hoti hai Fir mein say I hoon bahr jana ya Fir doosroon se bat chet karna sahi hai lekin ager mein din mein Kahin bahar jane LA sochoon toh bukhar ya sar mein dard ya Fir poori jism mein larzish shuru hojati hai ALLAH ke waaste Meri madad karen

Answer: Hazrat imam jaffer sadiq a.s se manqool hay keh jab kisi shaks ko andeshah ho keh osay kisi ki nazr e bad lag jaey gi ya o ski nazr e bad kisi ko lag jaey gi tu teen baar ye perhe: (مَا شَاءَ اللَّهُ لَا قُوَّةَ إِلَّا بِاللَّهِ الْعَلِیِّ الْعَظِیْمِ) Mashaa Allah laa qoowata illaa billaahil aleeyil azeem.(Ref: Zaadul ibaad li youmil maad, pg#246).
Hazarat Amirul momeneen alhis salam se manqool he ke "bismillahir rahmanir raheem, mashaa Allaho la hawl w la quwwat ella billahil aliyyel azeem aur is ke baad sure yunus ki ayat no.81-82 ko likh kar saher zada shakhs ke gale me latkae to Allah taala ke hukam se jadu ka asar fawran zael ho jayega.
Surah e Zariyaat(surah #51) aur surah e alam nashrah(surah # 94) k parhnay walay k lie Khair o barkat mai izafa aur rizq mai ziadti hoti hai aur is k ahl o ayal ki rozi wasee(ziada) hoti hai ye amal tajrba shuda hai. (Ref : Kitab payam e shifa, Mafhoom e Pg # 236).
[Updated on 05-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122232
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-06-01

Question: Aslamualikum mera swal yh h k agr mia biwii k rishty ko bchany k liye jhoti ksm uthaa di jay ya quran pa hath rkh diya jay toh uska kafara kesy ada kiya jay ga please mujhy btaye

Answer: 1: Jhoot bolna yani wo khabar dena jo haqeeqat mai na ho ye gunah e kabeera hai chahe is se kisi ko nuqsan pohnche ya nah pohnche. Is mai koi faraq nahin ke jhoot mazaq me bola jaye ya sanjeedgi men.
2: Jhoot bolna faqat do maqamaat par jaaiz hai: 1. Apni ya momineen ki jaan bachane ke liye. 2. Do logon men islah karane ke liye.
3: Agar tauriyah kiya jaye to koi haraj nahin hai. tauriyah yani alfaaz ke zaaheri mafhoom ko chhor kar dusray matlab ki niyat karna maslan agar koi zaalim kisi ko aziyat dena chahe aur kisi dosray shakhs se pooche ke kiya tum ne fullan shakhs ko dekha hai? Aur is ne us shakhs ko aik minute pehlay dakha ho to wo kahay ke mein ne use nahin dekha aur qasad (irada) ye karay ke is waqt se 5 minute pehlay mene use nahin dekha.Qasam ki 2 qismen hen. 1) Jab koi shakhs qasam khaye k falan kam anjam dega ya tark karay ga maslan qasam khaye k roza rakhe gay a tambakoo istemal nahi karay ga, Is Qasam ki shariat : Qasam khane wala balig or aaqil ho apna irade aur ikhtear se qasam khaye, jis kam ki qasam khai jaye wo haram or makrooh na ho, Qasam men Allah ka aysa naam le jo kisi or k liye istemal na hota ho 4: qasam k alfaz zaban per laye, Or us qasam per amal karna bhi mumkin ho.
Note :agar qasam apne tamaam sahe sharaait ke Sath khaai jaaye or us ki mukhaalfat ki jaaye tu kaffara hota hay laikin agar qasam he sahe na ho tu phir kaffara nahe hay .
(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2633-2634) 2) - Agr koi shakhs qasam khaye k me jo kuch keh reha hon sach keh reha hoon to agar sach keh reha ho to ye qasam khana makrooh he aur agar jooth bool reha ho to haram hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2638)

(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #2, Maslah #38. + sawal o jawab website agha sistani Link: https://www.sistani.org/urdu/qa/01776 . + Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Maslah #2638).
[Updated on 01-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122449
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-06-23

Question: Oulad ki jhooti kasm khana ghar bachane k lye os ka kaffara or mazhab main kia h is bare main?

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

1: Agar pehle tauriya kiya jaa sakta ho to pehle yahi karna hoga aur agar is se bhi maslah hal na ho to jhooti qasam khayei jaa sakti hai. waise aam haalaat men Jhoot bolna (ya jhooti qasam khana) Haram or ghunah e kabeera hai chahe is se kisi ko nuqsan pohnche ya nah pohnche. Is mai koi faraq nahin ke jhoot mazaq me bola jaye ya sanjeedgi men.

Note: Tauriyah yani alfaaz ke zaaheri mafhoom ko chhor kar dosray matlab ki niyat karey maslan agar koi zaalim kisi ko aziyat dena chahe aur kisi dosray shakhs se pooche ke kiya tum ne fullan shakhs ko dekha hai? Aur is ne us shakhs ko aik minute pehlay dakha ho to wo kahay ke mein ne use nahin dekha aur qasad (irada) ye karay ke is waqt sai 5 minute pehlay mene use nahin dekha.

(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #2, Maslah #38. + sawal o jawab website agha sistani Link: https://www.sistani.org/urdu/qa/01776 . + Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Maslah #2638).
[Updated on 24-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print