Showing 0- 2 questions from 2 questions on this page.
Question: Assalam o Alaikum Mera beta ha 5 months ka wo rozana maghrib ki namaz k bad bht ziada rota ha or zidd krta ha kya usko koi rohani masla ha?
Answer:
Agar Sorah e ghashiya bache per perrhi jaey tu nah dare ga or nah roey ga. (Ref: Payaam e shifa, page #288)
[Updated on 20-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: mayra sawal ya ha k agar koi shaks baghair kisi vajha ka roza na rakhay uska kafara kiya ha, wo roza is liya choray ka wo kha pee aur baki mamlat kar sakhay jab k wo roza rakh sakhta ho? is surat e hal main kiya kafara ha?
Answer:
1: Agar koi shakhs Ramazan ka roza nah rakhe jabke jabr aur lachaari ki bina par nahin balke jaan boojh kar aur ikhtiyaar se aisa kiya ho to qaza ke alawa kafffara bhi waajib hoga.
2: Kaffara ye hai ke wo shakhs in 2 men se koi aik kam anjam day: ya to 2 maheenay musalsal rozay rakhay ya phir 60 sharaei faqeeron ko pait bar kar khana khilaye ya har faqeer ko 750 gram gandum, roti wagera day.
Note: Do maheenay is tarah Rozay rakhay ke aik poora maheena aur is se agle maheene ke aik din tak musalsal roze rakhay aur isi tarah baaqi maheene ke rozay bhi ehtiyaat e wajib ki bina par zaroori hai ke lagataar rakhay lekin agar rukawat paish aa jaaye ke jise urfan wajah shumaar kiya jaaye to is din ka roza na rakhe aur uzr ke door hone ke baad dobara shuru kare.
(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1630,1632)
[Updated on 09-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]