Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions:


Question & Answers << Go Back

Topic: Hazrat Muhammad s.a.w.w. (46 Questions)


Showing 0- 46 questions from 46 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
47479
Mujtahid:
Date:

Question: NBI PAAK PAI AKHRI AYAT KAB, konsi, kis halat mai nazil hui?

Answer: Akri ayat : sura e Baraat ki aakri ayat Quraan e Majeed ki nazil hone wali aakri ayat hai, or ye sura kamil tor per nazil howa yani pora ik saath. jesa ke Hazrat Imaam Zain u al-Abedeen (a.s) se manqool hai ke jis ka mafhoom ye hai ke Ap (s.a.w) per aakri nazil hone wali sura sura e al-baraat hai. (Ref ; Tafseer Anwaar ul Najaaf ,{ jild # 1 , pg # 136} , { jild # 7 , pg # 143} ).
Musalmaan o kuffar ke dermiyaan muaahide (wade) howe the or kun ke in ki taraf se baar baar khilaaf warzi ki gaae to ye sorat nazil hoi. (Ref : tafseer ul Quraan , mufassir # al-haaj molana syed zafar Hassan sahib qibla amrohavi , jild # 2 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
50743
Mujtahid:
Date:

Question: hazrat khadija (R.A) pehli wahi k baad hazoor pak (S.A.W) ko apne kis chacha zad bhai k paas lay gaein?

Answer: Nazool e wahi k silsilay mai hazrat jabriel a.s. ka pehli martaba aana, Hazoor s.a.w.w. par kap-kapi ka tari hona, surah e alaq ki ibtedai ayaat ko 3 bar israr k sath hazoor s.a.w.w. ko parhnay k lie kehna, aur hazoor s.a.w.w. ka itni hi bar “mai parhna parhna nahi janta” kehna, farishtay ka garift mai lai kar dabana, kaptey huay ghar ana, kapra aorhna, Hazrat khadija s.a. ka itminan dilana, apnay chacha zad bhai aur asmani kitab k aalim warqa bin nofal k pas lai jana, warqa ka aap s.a.w.w. ko nabuwat ka yaqeen dilana, aur nauzubillah ye bayan k aap s.a.w.w. apnay aap ko pahar ki choti sai ghira detna chehtay hain, jabriel a.s. k kehnay par ruk jatay hain, khabi nauzubillah nazool e wahi par bhi nabuwat ka yaqeen na ana aur jabriel a.s. ka bar bar yaqeen dilanay par bhi yaqeen na hona laikin warqa bin nofal k kehnay par mukammal aetibar karna, jaisay bayanat musalman k zahan mai uljhan paida kartay hain . aisa mehsoos hota hai k aisi riwayat bayan karnay walay shan e risalat s.a.w.w. hi nahi samajhtay aur is terah ki tareekh aur ahadees ka ikhtilaf aam logo mai hasi ka mauqa farahm karta hai. Laikin haqiqat is sai mukhtalif hai. (Ref : Kitab mohsinan e Islam pg # 38)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
50792
Mujtahid:
ayatullha janab shestaini sabh Date:

Question: Assalam-ale-kum. Janab me yeh pouch na chahta ho ke Allha ke Noor se Janab-e-Rasool Khuda s.a.w.w ko khalk kiya hai mujhe isko Quran se sabit kriye.

Answer: wssalam o alykum, Quraan e Majeed sura e hasher ki aayat no 7 main farmaata hai ke Rasool tuhmain jis cheez ka hokum dain us ko mano or jis se mana karain us se ruk jaao, or mutawater hadees hadees e saqlain main AP (s.a.w) ne farmaya ke jis ka mafhoom ye hai ke main tumare dermiyaan do(2)essi cheezian choor raha hon ke ik dosere se juda nahi hon gi, or wo Quraan o Ehl e bait(a.s) hain, agr tum in dono (ik se nahi balke dono se) se mutamassik (un k aqeede pr or mazhab pr mazbuti se qaaim rehna) raho ge to gumraaha nahi ho gai, pas in se ye natija nikalta hai Quraan ko sahi samjne ka tareqa Masoom(a.s) ki mojoodgi main us se Is ka matlab pochna or Un ki gebat main ese ehl e ilm se (jo Quraan or Un hazraat ki hadeso ko mila kar samjne ki salahiyat rakhta ho) Quraan ke matlab ke bare main pochna.(Ref : Ali(a.s)khalefah ul Rasool , muallif # janaam faqar ul al-deen musvi , mutarajjim
3 Muhammad saleem alavi , fasal # 2 , pg # 138).
Jesa ke wazi ho gaya ke Quraan ko sahi samjna Masoom (a.s) ke qool ke samajne per moqoof hai or ager hum usool e kafi jild 1 main kitaab e al-aqal o al-jehal ki riwayat no 14 or baab no 100 ki riwayat no 4, or baab no 151 ki riwayat no 2 ko milate hai to pate hai ke ye natija deti hai ke ALLAH TAALA ne her cheez ke khal karne se pehle Ap(s.a.w) ko Apne nor e azmat se khal kiya.(Ref : usool e kafi , jild # 1 , kitaab e aqal o jehal , riwayat # 14 : kitaab e al-hujjah , baab # 100 , riwayat # 4 : baab #151 , riwayat # 02 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
51920
Mujtahid:
ied miladunnabi Date:

Question: aslamo alekum janab mera saval he ki eid miladun nabi s.a.w. Ko manana chahiye kya nhi ? Manate he to kis tarah manana chahiye? Kya ceack vagera kaat ke s.a.w ka janmdin manana chahiye kya nhi? Janab ans hadis se hi de......

Answer: Wssalam o alykum, manana chahiye, or manane ke tareqe ko samajhne ke liye 12 Rabee u al-aowal ke amaal ko duwaao ki kitaboo se pharye jese mafati u al-jinaan.(Ref : mafaati ul jinaan , , topic # Rabee u al-aowal ke mahine ka bayaan , pg # 283 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
54070
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Q..Rasool e pak s.a.w.w k pas jb jibrail a.s pehli ayat(wahi ) lekr ayay.tho aunho ny kia kaha..aor kia waqi Hazoor s.a.w.w parhna lekhna nai jantay thay.aor hmara yani shiy0n ka kia aqeeda hai.suni0n ka aqeeda yai hai k ras0ol ko 40.sal mai nabowat mili.hamara kia aqeeDa hai plzzZ.ANSwer Me.quicklY.THANkx.

Answer: Muarrikheen ka bayaan hai k AaP(s.a.w) isi aalam e tanhai(ghaar e hira) main mashgool e ibaadat thay, k aap k kano main awaaz aae ya Muhammad aap ne idhar udhar dekha koi dikhaae nah diya, phir awaaz aae, phir aap ne idhar udhar dekha, na-gaaha aap ki nazar aik noraani makhlooq per parhi, wo janab e jibraeel a.s the, un ho ne kaha k iqraa (pharoo), HOZOOR ne irshaad farmaaya, maa aqraoo (kya paarho), unooh ne arz ki iqraa bisme rabika allazi khalaq phir aap ne sab kuch phar diya. Kisi ka aap(s.a.w.w)ko likhte howe or pharte howe na deekhna ye dalalat nahi karta k aap ko likhna o pharna nahi aata, balke ap aalim e haqiqi hain. Aap derjae naboowat per ibtidaae fitrat hi se faaiz the, or 27 rajb ko mabooz barasaalat howe. (Ref : 14 sitare , baab # 1 , pg # 52 ,53).

Print

Id:
54269
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Salam Mera ak sawal hai k juma ki namaj pahle bar kab,kisne aur kaha shuru hoi the?

Answer: Wssalam o alykum, Besat e Nabi (s.a.w.w) k 14 saal, 16 rabiul aowwal Jumme k din Masjid e bani saalim main aap (s.a.w.w) ne musalmaan ko pehli namaaz e jumma ba jamaat pharaae. (Ref : Tafseer e anwaar ul najaf , jild # 14 , topic # sura e jumma ki ayat no 10 ki tafseer , pg # 18) , (Ref : 14 Sitaree , muallif # syed najam al-hasan , baab # 1 , topic # madine main dakhila , pg # 64 , Allah Taala tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
54619
Mujtahid:
Date:

Question: aam ul hizan sy kia murad hy?

Answer: jab janab e abu talib ka intiqaal howa to is ke 3din baad janab e kadejah ul kubra ka intiqaal hoga to in dono sanihe ki waja se RASOO(s.a.w) shadeed ranj o ghum or sadma o aalam ke aalam main ho gaae or is saal ka naam aam ul hazan (yani ghum ka saal) qaraar diya.(Ref : 14 sitare , baab # 1 , chapter # hazrat abu talib or janab e kadejah ul kubra ki wafaat , pg # 59 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
56718
Mujtahid:
Date:

Question: hazrat muhammad pbuh per pehli wahi kis islami month main nazil huee

Answer: Maah e Rajab.(Ref : Hyaat ul qoloob , jild # 2 , baab # 23 , chapter # Ap (s.a.w) ka maboos e risalat hona or ummat ke jafakaaroo ke mazalim sehna or nozool e wahi ki kefiyat wagera , pg # 419 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
62323
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: A.A Janab me yeh pochna chahta hon k Hazoor pak s.a.w.w kitni betian thin? ahel e sunat hazrat ne poster chapva rakhy hen k hazoor pak s.a.w.w ki 4 betian hen aur unko na man'ny wala kafir hai, hmary aksr shia hazrat kehty hen k hazoor pak s.a.w.w ki ek he beti janab fatima s.a hen, haqiqat kia h? plz jawab zarur dain. thanks

Answer: Rasool e akram s.a.w.w ki faqat ek ki beti thin wo janab e Syeda Fatima s.a hain. (Ref: Ayatullah Hafiz Bashir Najafi d.b, Book: Mukhtasar ul ahkam, Pg # 155) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
62921
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date:

Question: ASLAM O ALIKUM MERA SAWAL YEH HAI K HUMARY NABI PAK (SAWW) NE KITNI JANGON (WARS) MAIN SHIRKAT KI AUR KITNI MAIN NAHI KI HAI

Answer: NABI PAAK (SAWW) ne taqreban 28 JANGON( Gazwaat) MAIN SHIRKAT farmai thi.
(Ref: magazine.mohaddis.com/shumara/.../2109-ghazwa-hind-tayun-fazeelat ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
66946
Mujtahid:
Date:

Question: Hazrat Muhammad(SAW) pr pehli wahi knsy Islamic year mai nazil hoi?

Answer: waqiya Amul feel guzar jane k 40 saal baad 27 rajab ko pehli wahi nazil hoe. (Ref: http://www.erfan.ir/urdu/20793.html ). Update on dated 13-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
69543
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date:

Question: salam un alikum mera sawal hai k imam Muhammad baqir ka laqab Baqir kb aur kyu parha ?

Answer: Imam Muhammad baqir a.s ko baqir ka laqab hamaray nabi s.a.w.w ne diya. Or hadees k alfaaz ye hain nabi s.a.w.w ne irshad fermaya k “imam Muhammad baqir uloom o maarif lo is terah shagaafya kar dain gay jis terah zaraat k liay zameen shagaafta ki jati hay.(Ref: 14 sitaray, maulana syed najamul hasan karaarwi. pg#312). Update on dated 27-01-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
77900
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: salam alaykum me aap ko is zehmat dena chahta hu sir rasool islam ke sahadat ke ba bibi fatima kitne din zinda rahe

Answer: Rasool e khuda s.aw.w ki shahadat k 75 ya 95 din k baad bibi zehra s.a ki shahadat hoe. Tafseel k liay is link per click karain. (http://airtaza.blogspot.com/2014/03/blog-post_6779.html ). Update on dated 03-04-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
78221
Mujtahid:
Date:

Question: Kya hazrat muhammad (SAW) K walden jannat main jae gy ya jhanam main

Answer: Rasool e kareem ka nor jin aslaab o arhaam main muntaqil hoa, wo sab k sab musalman , mowahhid or Allah ki ibadat kerne walay thay, aap s.a.w.w. ka nor kisi aisay sulb I rehem main nahi raha jo kur o shirk ki gandagi se aalooda rahay hoon. (Ref:Tareekh e Islam, muallif syed najmul hasan sahib karaarvi,pg#46. Update on dated 15-04-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
84429
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Rasool e khuda saw ka nikkah bibi khadija se kaab hua

Answer: Rasool e khuda or bibi khadija ka nikah 595 a.d mai hoa, rasool e khuda k ailaan e risaalat sai 15 saal pehle us waqt janab e khadija ki umre Mubarak 28 years ya 40 years thi or rasool e khuda ki umre Mubarak 25 years thi. (Ref: http://www.questionsonislam.com/article/prophet%E2%80%99s-pbuh-marriage-hazrat-khadija) . Update on dated 21-12-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
84986
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: shehr e ALLAH kis mahine ko kaha jata hai qoitrat

Answer: Rasool (s.a.w.w) ne shahrullah maah e ramazan ul Mubarak ko kaha hai. (Ref:Khutba e shabaniyah). Update on dated 07-08-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
86330
Mujtahid:
Date:

Question: Nabi per Sabse pehle Wahi kid sureh ne nazil hui

Answer: Pehli wahi yani sorha e alaq ki pehli 5 ayaat ghaar e hiraa main hamaray nabi Muhammad s.a.w.w per nazil hoe. (Ref: https://ur.wikipedia.org/wiki/%D8%BA%D8%A7%D8%B1_%D8%AD%D8%B1%D8%A7 ). Update on dated 10-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
93031
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2018-11-10

Question: Ya Rasool e pak ko zehar dya gya

Answer: jee is silsilay mai do riwayatein milti hai.
1.kheybar mai yahoodi aurat ne zeher dia tha jis ka asar bohat dair sai hota tha (slow poison) or us ka dard rasool allah ko har saal uthta tha.
2.Doosri riwayat ye hai k jab rasool e khuda aakhri ayyaam mai kaafi aleel they tu dawai k sath zehr diya gaya tha.(Ref:chaudaÚ¾ sitaray, pg# najmul hasan qararvi).
[Updated on 10-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
93242
Mujtahid:
Date: 2018-11-24

Question: Pbuh kiwiladat din k kis waqt mein hoi

Answer: Allama majlisi likhte hain k rasool e khuda 17 rabi ul awwal, 1 aamul feel baroz e jumma ba waqt e shab ya ba waqt e subah sheb e abi taalib mai paida hoe.(Ref:chauda sitaaray of allama najmul hasan karaarvi pg no 47).
[Updated on 24-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
93358
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-02-12

Question: HAZRAT MOHAMMED MUSTAFA SALLALLAO ALEYSSALAM ne kis sahaba se kha tha ki aap mere liye ese h Jaise Musa ke liye Harun the?

Answer: Rasool e khuda (s.a.w.w)imam ali a.s k liye kaha tha انتَ مِنّی بِمَنزلةِ هارونَ مِنْ مُوسی، اِلّاأنـّه لانَبیّ بَعدی
ye rasool e khuda ki hadees hai jis mai unhon ne imam ali sai kaha tha k aye ali tumhe mujh sai wohi nisbat hai jo moosa a.s ko haroon a.s sai thi siwaey is k keh mere baad koi nabi nahi aye ga.(Ref:http://www.alburhan.com/Article/index/8067)
[Updated on 12-Feb-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
93896
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-02-04

Question: Zikar kah sy start hua h dunya m

Answer: jub khuda ne sub sai pehle rasool e khuda k noor ko khalq kia tou us noor ne sub sai pehle khuda ka zikr kia.(Ref:hayat ul quloob jild 2 baab (takhleeq e awwal e noor).
[Updated on 04-Feb-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
98544
Mujtahid:
Date: 2019-07-15

Question: Hazrat Muhammad s.a.w.w.ne hajj kis hijri me kiya

Answer: 10 hijri.(Ref:https://darussalamblog.com/khutbah-hajjatul-wida/).
[Updated on 15-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
101509
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-11-04

Question: Mohammad Sahab ka poora naam kya haiÛ”(Ref: http://ur.mobile.wikishia.net/view/%D9%85%D8%AD%D9%85%D8%AF_%D8%B5%D9%84%DB%8C_%D8%A7%D9%84%D9%84%DB%81_%D8%B9%D9%84%DB%8C%DB%81_%D9%88_%D8%A2%D9%84%DB%81 ).

Answer: Hamare nabi s.a.w.w ka poora naam muhammad s/o abdullaah hay.
[Updated on 04-Nov-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102858
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date: 2020-01-04

Question: huzur s.a.w.w ka pehla nikah kisne padhaya

Answer: Rasool (S.A.W.W) ka nikah Hazrat Abu Talib (A.S) ne parhaya tha .
(Ref : 14 Sitare, By Allama Najmul Hassan Kararvi , Topic : Janab e Khadija (S.A) ke sath apki shadi khana abadi).
[Updated on 04-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103280
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-01-24

Question: Who was second wife of easum e khuda saww after hazrat khadija

Answer: Hazrat muhammad saww ki doosri zauja janab e sauda (r.a) theen. (Ref: http://ur.wikishia.net/view/%D8%B3%D9%88%D8%AF%DB%81_%D8%A8%D9%86%D8%AA_%D8%B2%D9%85%D8%B9%DB%81_%D8%A8%D9%86_%D9%82%DB%8C%D8%B3)
[Updated on 24-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104243
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-03-04

Question: Hazrat Muhammad ebadth k leye kaha jatay tay

Answer: Wahi k aghazz se pehle nabi saww ibadat k liay ghaar e hira jaya karte thay. (Ref: http://ur.wikishia.net/view/%DA%A9%D9%88%DB%81_%D8%AD%D8%B1%D8%A7%D8%A1).
[Updated on 04-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104568
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-04-21

Question: Humarey ghar quran meisy baal nikla. yeh kaisy pata chalay k baal hmra ha ya aima athar a.s meisy kisi hasti ka?

Answer: Ye maloom karna keh quran main milne wale baal masoom a.s k hain ya kisi aam insan k baal tu is ka asan tariqa ye hay keh on baalo ko jala kar daikh lain agar jal jain tu wo baal masoom k nahi haongay or agar nah jalain balkeh soney(Gold) ki tarah chamakne lagain tu wo baal masoom a.s k hoon gay. Ye jo hum ne bayan ki wo aik hades ka khulasa hay jo bihaarul anwaar or manaqib ibne ashoub main maujood hay.(Ref: Biharul anwaar, jild#49, pg#59-60[Biharrul anwaar jild#49 link: https://lib.eshia.ir/71860/49/59 , https://lib.eshia.ir/71860/49/60], Manaqib ibn e ashoub, jild#4, pg#348).
[Updated on 22-Apr-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
109343
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-08-03

Question: Hazrat Muhammad na kitni saal ki umar mai nabuat ka ilan kia

Answer: Hazrat muhammad saww ne aylaan e nubobat 40 saal ki umar main kia. (Ref: https://www.imamali.net/?id=8023#_ftn1)
[Updated on 04-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
109666
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-08-11

Question: Nabi e pak ki pehli shadi kis ke sath huwi

Answer: Nabi mUhammad (saww) ki pehli shadi hazrat khadija (s.a) se hoe. Ref:http://ur.wikishia.net/view/%D9%85%D8%AD%D9%85%D8%AF_%D8%B5%D9%84%DB%8C_%D8%A7%D9%84%D9%84%DB%81_%D8%B9%D9%84%DB%8C%DB%81_%D9%88_%D8%A2%D9%84%DB%81#.D8.B4.D8.A7.D8.AF.DB.8C)
[Updated on 11-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110793
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-10-03

Question: Hazrat Muhmammad(saw) ko kis surat m ahmad kaha gia ha

Answer: Surah Saff surah # 61 Ayat 06 me he ke Hazrat Eisa (a.s) ne kaha ke mere bad aik nabi aai ga jis ka naam Ahmed hoga.(Ref: Al-Quran.)
[Updated on 03-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110842
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-10-05

Question: قرآن مجید کی کس سورت میں آیا ہے کہ حضرت محمد صلی اللہ علیہ وآلہ وسلّم اللّٰہ کے رسول ہیں

Answer: Surah Al-Imran Ayat number 144 me hai ke Muhammad (saww) nahin hain siwaye rasool, aur Surah Al-Ahzab Ayat number 40 me bhi hai ke Muhammad (saww) tum logon me se kisi aik ke bhi baap nahin hain lekin Allah ke Rasool hain aur khatam un nabiyeen hain, aur Surah Al-Fatah ayat number 29 me to wazih tor kaha gaya hai ke Muhammad (saww) Allah ke Rasool hain.(Ref: AL-Quran)
[Updated on 05-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111256
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date: 2020-10-28

Question: Hazrat rasule khuda ka bibi khatija ka nikah kab hua tah

Answer: Rasool e khuda or bibi khadija ka nikah 595 a.d mai hoa, rasool e khuda k ailaan e risaalat sai 15 saal pehle us waqt janab e khadija ki umre Mubarak 28 years ya 40 years thi or rasool e khuda ki umre Mubarak 25 years thi. (Ref: http://www.questionsonislam.com/article/prophet%E2%80%99s-pbuh-marriage-hazrat-khadija) .
[Updated on 28-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111371
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-11-06

Question: Salam. Mujhe ye poochna hai k syed shajra kaha se shuru hua. Kia hazrat Abu talib a.s ki aal olad bhi syed thy? Ya syed shajra BiBi Syeda s.a se chala?

Answer: Syed se murad wo shakhs hai k jis ka silsila nasab bap k zariye se hazrat hashim (a.s) jo (Rasool khuda k walid k dada hain) tak poochta ho.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 1, Mafhoom e Maslah # 1261, Eidition 1430 hij).
[Updated on 07-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112538
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-01-14

Question: جب آپء کی روح پرواز ہوئ تو آپ کا سرِمبارک کس کی آغوش میں تھا

Answer: wafaat k waqt rasool e akram saww ka sar e mubarak maula Ali a.s ki gardan or seene k darmiyaan tha. (Ref: https://ur.wikishia.net/view/%D9%85%D8%AD%D9%85%D8%AF_%D8%B5%D9%84%DB%8C_%D8%A7%D9%84%D9%84%DB%81_%D8%B9%D9%84%DB%8C%DB%81_%D9%88_%D8%A2%D9%84%DB%81 ). [Updated on 14-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112899
Mujtahid:
Illyaas attari Date: 2021-02-05

Question: Kiu abu talib ny rasool ko Muhamad ka name diya

Answer: Hazrat Rasool e Akarm(s.a.w.w) ka naam Hazrat Abdul Mutalib nay Allah taala ke hukum say Muhammad rakha tha. (Ref: Nuqoosh e Asmat page #21,22)
[Updated on 05-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
113013
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-02-22

Question: Hazrat Muhammad s a a w ka kabar Moubarak ki kaha hn or Hazart Muhammad s a a w ko kis nia dafnaya

Answer: Paigambar Akram(s.a.w.w) ke jism e mutahhar ko Hazrat Imam Ali(a.s) nay apnay khandan ke chand afrad ke sath mil kar G=ghusl aur kafan diya aur masjidun nabi men mojuud Aap ke apnay Ghar men supurd e khaak kiya. (Ref:
https://ur.wikishia.net/view/%D9%85%D8%AD%D9%85%D8%AF_%D8%B5%D9%84%DB%8C_%D8%A7%D9%84%D9%84%DB%81_%D8%B9%D9%84%DB%8C%DB%81_%D9%88_%D8%A2%D9%84%DB%81#.D9.88.D9.81.D8.A7.D8.AA ).
[Updated on 22-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
113054
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-02-11

Question: Huzrat Muhammad s.a.w.w ny apny inteqal sy kitny maah qabal huj farmaya?

Answer: Hazrat Muhammad (s.a.w.w) nay apnay inteqal say taqriban 2 maah pehle haj kia. (Ref: https://ur.wikishia.net/view/%D9%85%D8%AD%D9%85%D8%AF_%D8%B5%D9%84%DB%8C_%D8%A7%D9%84%D9%84%DB%81_%D8%B9%D9%84%DB%8C%DB%81_%D9%88_%D8%A2%D9%84%DB%81). [Updated on 11-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
113394
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-03-04

Question: hujur sallallaho wale wasallam kya syed the?

Answer: Jee han. (Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part #1, Edition 1430 hij, Mafhoom e Maslah #1261).
[Updated on 04-Mar-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114775
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-09-16

Question: Muhammad nay elan nabuwat k bd kitny sal Makkah may guzary

Answer: Nabi kareen(s.a.w.w) ne Elan e nubuwwat ke bad 13 saal makke men guzare aur madine me 10 saal. Elan e nubuwwat ke bad Nabi kareen(s.a.w.w) ki kul zindgi 23 hai. (Ref:
https://ur.wikishia.net/view/%D9%85%D8%AD%D9%85%D8%AF_%D8%B5%D9%84%DB%8C_%D8%A7%D9%84%D9%84%DB%81_%D8%B9%D9%84%DB%8C%DB%81_%D9%88_%D8%A2%D9%84%DB%81 ).
[Updated on 16-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116321
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-22

Question: Aoa, my question is that who give poison to Holy Prophet PBUH??

Answer: Is silsilay mai do riwayatein milti hain.
1. kheybar mai yahoodi aurat ne zeher diya tha jis ka asar bohat dair sai hota tha (slow poison) or us ka dard Rasool e Khuda(s.a.aw) ko har saal uthta tha.
2. Doosri riwayat ye hai k jab Rasool e khuda(s.a.aw) aakhri ayyaam mai kaafi aleel they tu dawai k sath zehr diya gaya tha.(Ref: 14 Sitaray, Maulana Syed Najm ul Hassan Kararvi, pg #88).
[Updated on 23-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120549
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-08-10

Question: Quran ke nazool ka zikr ap S. A. W ne sab se pehly kis se Kiya tha

Answer: Rasool e khuda saww ne sab se pehle nozool e quran ka zikr hazrat khadija sa se kia tha.(Ref: https://www.erfan.ir/urdu/20793.html)
[Updated on 10-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121317
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-12-14

Question: quran pak ki kitni ayat mn aqeedah khtm ka tazkra ha

Answer: Quran main faqat aik baar sorah ahzab ki ayat#40 main khatam e nubovat ka tazkira aya hay.( sorah#33, ayat#40).
[Updated on 14-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121615
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-02-06

Question: السلام وعلیکم بھائی امید ہے آپ خیریت سے ہونگے میرا سوال یہ ہے کہ حضور صلی اللّٰہ علیہ وسلم کے سگے چچا ابو طالب ایمان لاۓ تھے یا نھیں ؟

Answer: Sub se pehli baat to ye hai ke: Janab abu talib(a.s) aik momin or tauheed parast insaan thay jinhon ne zindagi ke akhri lamhaat tak nabi e khuda(s.a.w.w) ko khuffaar e quraish ke shar se mehfooz rakha or islam ki taraqqi or paishtraft main sub se ziyada taawwun (madad ki) kiya. Aur tamam ulmaye shia aur ahal sunnat ke baaz buzurag ulama maslan 'Ibn abi al-hadeed' shaareh nahajulblagh ne aur 'qastalani' ne irshad-ul saari mein aur 'zaini dahlaan' ne seerat e halabi ke hashia mein hazrat Abu Talib ko momnin e ahal e islam mein se bayan kiya hai islaam ki buniyadi kitabon ke manabe mein bhi hain is mauzoo ke bohat se shawahid miltay hain ke jin ke mutalea ke baad hum gehray taajjub aur herat mein parh jate hain ke hazrat Abu Talib par aik giroh ki taraf se is qism ki be ja tuhmaten q lagai gayeen ?
Jo shakhs apne tamam wujood ke sath paighambar e islam ka difaa kiya karta tha aur baarha khud apne farzand ko pighmbr e islam ke wujood muqaddas ko bachanay ke liye khatraat ke mawaqay par dhaal banadiya karta tha ye kaise ho sakta hai ke is par aisi tohmat lagai jaye
yahi sabab hai ke diqat e nazar ke sath tehqeeq karne walon ne yeh samjha hai ke hazrat Abu Talib ke khilaaf, mukhalfat ki lehar aik siyasi zaroorat ki wajah se hai jo 'shajrah e khabisiya bani umayia' ki hazrat Ali(a.s) ke maqam wa martabe ki mukhalfat se peda hui hai
Q ke yeh sirf hazrat Abu Talib ki zaat hi nahin thi ke jo hazrat Ali(a.s) ke qurb ki wajah se aise hamle ki zad mein aayi ho, balkay hum dekhte hain ke har woh shakhs jo tareekh e islam mein kisi tarah se bhi ameer ul momineen hazrat Ali(a.s) se qurbat rakhta hai aise no jawan mardana hamlon se nahin bach saka, haqeeqat mein hazrat Abu Talib ka koi gunah nahin tha siwaye is ke woh hazrat Ali(a.s) jaise azeem peshwaye islam ke baap thay.

(Ref: link: http://urdu.duas.org/masoomeen/Hazrat_Abu_Talib.htm + link: https://www.makarem.ir/main.aspx?reader=1&pid=62032&lid=4&mid=61746&catid=6483 ).
[Updated on 06-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122281
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-06-07

Question: Mohammed sallallahu Ala wasallam Kaun nabwat kab Mili

Answer: Hazrat Aadam(a.s) se leker hamaray nabi Hazrat Rasool Akram(s.a.w.w), tak jitne bhi anbiya e kiraam(a.s) duniya mein tashreef laye sab pedaishi nabi hain balke aalam arwah mein nabi thay jesa ke Quran mein hai ke 'aur jab Allah ne paighambaron se ehad liya ke jab mein tumhe kitaab aur hikmat ataa kar don phir aindah koi Rasool tumahray paas aaye aur jo kuch tumahray paas hai is ki tasdeeq kare to tumhe is par zaroor imaan lana ho ga aur zaroor us ki madad karna hogi, phir Allah ne poocha: kiya tum is ka iqraar karte ho aur meri taraf se (ehad ki) bhaari zimme daari letay ho? unhon ne kaha: Haan! hum ne iqraar kiya, Allah ne farmaya: pas tum gawah raho aur mein bhi tumahray sath gawah hon'

yeh ehad o misaaq Allah taala ne paighambaroon se payghambaron ke liye liya hai ke saabiq nabi ka fareeza hai ke anay walay Rasool par imaan laaye. agar muasar (usi zamane ke) hain to tasdeeq karen jaisa ke Hazrat Loot(a.s) ne Hazrat Ibrahim(a.s) ki tasdeeq ki aur agar baad mein aanay walay hon to un ki aamad ki basharat den aur apni ummat ko un ki pairawi ki wasiyat kar jayen aur har aanay walay nabi ka yeh fareeza bantaa hai ke wo guzishta Rasoolon ki tasdeeq kare. Hazrat Ali(a.s) se manqool hai ke Allah taala ne hamaray nabi se pehlay aanay walay tamam anbiya se yeh ehad liya hai ke wo hamaray nabi ke maboos(مبعوث) honay ki khabar aur un ke fazaail apni apni ummton ko bayan karen aur inhen un ke aanay ki basharat aur tasdeeq karne ka hukum den.

(Ref: https://www.balaghulquran.com/index.php?sno=3&ano=81 ).
[Updated on 07-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122471
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-07-26

Question: Nabi pak sawl Pala Muslim Kase kia tha

Answer: 1. Anas bin maalik kehta hai: paighambar e islam(s.a.w.w) do shanbeh (monday) ke din maboos ba risaalat hue aur Ali(a.s) seh shanbeh (tuesday) ke din islam le aaye, aur deegar ibaarat mein is tarah se aaya hai ke Rasool khuda(s.a.w.w) do shanbeh maboos ba risaalat hue aur Ali(a.s) ne seh shanbeh namaz parhi.
is riwayat ko tirmizi ne kitaab jaame mein aur haakim ne mustadrik mein naqal kya hai aur ibn abi al-hadeed ne sharah nehjul balaghah mein is riwayat ko zikar kya hai.
2. Abdullah ibn abbas kehte hain: Ali(a.s) mein chaar aisi khaslaten paayei jaati hain jo kisi aur mein nahin paayei jaati. Ali(a.s) arab o ajam mein woh pehlay shakhs hain ke jinhon ne Rasool(s.a.w.w) ke sath namaz pari hai.
3. Salman farsi kehte hain: is ummt mein sab se pehlay hauz e kusar par paighambar islam(s.a.w.w) ki khidmat Ali(a.s) haazir honge aur Ali(a.s) hi sab se pehlay musalman hain.
4. Muhammad ibn abu bakar ne aik khat muawiya ko likha uss mein se baaz kalmaat yahan par zikar karte hain: Rasool islam(s.a.w.w) ki sab se pehlay dawat qubool karne aur un ki taraf anay walon ki tasdeeq karne aur un ke sath rehne walay aur sab se pehlay islam laane aur is ko tasleem karne walay aap ke chacha zaad bhai Ali ibn abi taalib(a.s) hain, Aap(a.s) hi sab se pehlay musalman honay walay aur logon se ziyada saadiq niyat thay, haif hai tujh par aye muawiya too Ali(a.s) ke sath qiyaas karta hai apne ko un ke barabar samjhta hai jabke woh waaris aur wasi e Rasool hain aur yeh bhi ke un ke beton ke waalid hain, Rasool islam(s.a.w.w) ki sab se pehlay itaat karne walay hain aur aakhir tak apne kiye hue ahad par baqi rehne walay hain, Rasool islam(s.a.w.w) ne un ko apne tamam asaraar o rumooz se aagah kiya hua tha aur apne tamam umoor mein un ko apna shareek qarar diya tha.
5. Imam Muhammad baaqir(a.s) farmatay hain: Allah taala par sab se pehlay imaan laane walay Ali ibn abi taalib(a.s) hain aur us waqt aap ki umar 11 giyarah saal ki thi.
6. Abuzar ghaffari, Jabir bin abdullah ansari, aur maalik bin haaris ashtar yeh tamam sahaba is baat ka iqraar karte hain ke Ali ibn abi taalib(a.s) hi sab se pehlay musalman hain.
yeh ashaab aur tabaein ka kalaam hai ke jo is baat par dalalat karta hai ke Ali(a.s) ki shakhsiyat wo hai ke jinhon ne sab se pehlay islam qubool kya.

(Ref: https://makarem.ir/main.aspx?typeinfo=23&lid=4&catid=25106&mid=252506 ).
[Updated on 26-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123492
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-01-08

Question: Hazoor pak ki kitni wife thi

Answer: Chand kaneezon ke alawa jihen maariya aur rehana bhi shaamil thien Aap(s.a.w.w) ki 11 biwiyan thien jin me se jinab e Khadija aur Zainab bint e khuzaima ne Aap(s.a.w.w) ki zindagi me wafat payei thi aur 9 biwiyon ne Aap(s.a.w.w) wafat ke baad inteqaal kiya.

(Ref: Chauda (14) Sitaray, Allama Sayyid Najma ul Hassan Kararvi, Page #89).
[Updated on 08-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print