Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions:


Question & Answers << Go Back

Topic: Imam Hussain a.s (6 Questions)


Showing 0- 6 questions from 6 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
84412
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Kaha jata hai k imam hussain nae karbala mein bani asad k logoon ko bula kr kaha tha k 11 muharram ko aa kr humare janzae ko gusal o kafan dae dena. Aur yeh bhi kaha gaya hai k imam hussain ki sada e halmin pr labbaik wajib tha tw bani asad k logoon nae Q imam ki nusrat mein labbaik nahi kaha???

Answer: Bariwayat e allama mohammad baqir majlisi k jub habib ibn e mazahir ne jub mukhalif simt lashkar ki kasrat mulahiza ki to imam hussain a.s k paas aakar arz ki k aey farzand e rasool s.a.w.w mai asadi hoon agar aap ijazat dain tu main bani asad k kabilay k paas jaata hoon jo yahan sai nazdeek hain un ko aap ki nusrat ki taraf dawat doon to imam ne unhen ijazat di, habib ibn e mazahir raat ki tareeki mai bani asad k kabilay main aey or kaha k main aaj tum loogo k liay aisi khushkhabri laya hoon jo is pehle koi nahi laya hoga, mai aya hoon k tumhe fazrzand e rasool ki nusrat ki dawat doon, tum loog meri dawat qubool karo takeh duniya o akhirat main kamiyaab ho jaon, us waqt un main say Abdullah ibn e basheer ne uth kar habib sai kaha k gawah rehna k sub sai pehle main ne tumhari dawat ko qubool kia hai us k baad dusre loog bhi qubool karne lage or is tarah habib ibn e mazahir 90 banday le kar rawana hoe to kisi munafiq ne ja kar umer ibne saad ko khabar day di to us ne arzaq e shami k saath 400 afrad ka kafla rawana kia or us kafley ne in ka raasta rook liya or in say larhne ka irada kia or un mai say kuch ko qatal kar dia or kuch lashkar laut gaye jub habib ibn e mazhahir ne imam ko bataya to imam ne kaha la hawla wala qoowata illa billah.(Ref: jame ut tawarikh page no 97). Update on dated 26-12-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
84597
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Karbala k baad pehla matam kis ny kiya?

Answer: Pehli safar ko ahle bait a.s ka kaafla darbaar e sham mai warid hoa, teen din qaid mai rahey , teesrey din yazeed ne rehai ka hukm saadir kia or teen din ahle bait k kaaflay ne khud yazeed k ghar mai syed us shauhada a.s par girya o buka kia or maraasim e aza ka izhaar kia gaya jis mai sham ki khawateen e quresh ne barabar hissa lia . (Ref: Sadat udairain fi maqtal e hussain pg#566 & 567) Update on dated 16-11-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
95277
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-04-09

Question: Mera sawal ye hai ke wo kon tha jiski rooh Allah ne khud nikaali?

Answer: Imam Hussain a.s ki rooh khud Allah ne nikaali.(Ref: Khasais e hussainia qazi noor ullah shoostri).
[Updated on 09-Apr-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115886
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-08-12

Question: Bibe Fatima zehar ki shahadat ke waqt imam Hussain ki umer kitni thi

Answer: Imam Hussain(a.s) ki wiladat 3 shaban 4 hijri men aur Bibi fatima Zahra(s.a) ki shahadat 3 jamadi al saani 11 hijri men hoi to is hisab se Bibi fatima Zahra(s.a) ki shahadat waqt Imam Hussain(a.s) ki umer mubarak 6 saal 10 mahine thi.(Ref: 14 Sitaray, Syed Najam ul Hassan Kararvi, pg #98,103).
[Updated on 13-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123467
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-01-10

Question: Salam.Imammat ka mansab kon si qualities me juda hey nabowat sey yani nabi me our imam kia farq hey.

Answer: نبوت، رسالت اور امامت میں فرق: آیات میں موجود اشارات اور احادیث میں وارد ہونے والی مختلف تعبیرات سے ظاہر ہوتا ہے کہ خدا کی طرف سے مامور لوگ مختلف منصبوں پر فائز تھے:

۱۔ مقام نبوت: یعنی خدا کی طرف سے وحی حاصل کرنا۔ لہذا نبی وہ ہے جس پر وحی نازل ہو اور جو کچھ وحی کے ذریعے معلوم ہو لوگ چاہیں تو انہیں بتا دے۔
۲۔ مقام رسالت: یعنی مقام ابلاغ وحی، تبلیغ و نشر احکام الہی اور تعلیم و آگہی سے نفوس کی تربیت۔ لہذا رسول وہ ہے جس کی ذمہ داری ہے کہ وہ اپنی ماموریت کے خطے میں جستجو اور کوشش کے لئے اٹھ کھڑا ہو اور ہر ممکن ذریعے سے لوگوں کو خدا کی طرف دعوت دے اور لوگوں تک اس کا فرمان پہنچائے۔
۳۔ مقام امامت: یعنی رہبری و پیشوائی اور امور مخلوق کی باگ ڈور سنبھالنا۔ در حقیقت امام وہ ہے جو حکومت الہی کی تشکیل کے لئے ضروری توانائیاں حاصل کرنے کی کوشش کرتا ہے تاکہ احکام خدا کو عملا جاری اور نافذ کر سکے اور اگر فی الوقت با قاعدہ حکومت کی تشکیل ممکن نہ ہو تو جس قدر ہو سکے اجرائے احکام کی کوشش کرے۔
بہ الفاظ دیگر امام کا کام اور ذمہ داری احکام و قوانین الہی کا اجراء ہے جب کہ رسول کی ذمہ داری احکام الہی کا ابلاغ ہے۔ دو لفظوں میں یوں کہیے کہ رسول کا کام ارائة الطریق ہے اور امام کی ذمہ داری ایصال الی المطلوب ہے۔
یہ بات واضح ہے کہ رسول اسلام کی طرح بہت سے پیغمبر تینوں عہدوں پر فائز تھے۔ وحی وصول کرتے فرامین خداوندی کی تبلیغ کرتے نیز تشکیل حکومت اور اجرائے احکام کی کوشش کرتے اور باطنی طور پر بھی نفوس کی تربیت کرتے تھے۔
مختصر یہ کہ امامت ہر جہت سے مقام رہبری کا نام ہے وہ مادی ہو یا معنوی، جسمانی ہو یا روحانی اور ظاہری یا باطنی ۔امام حکومت کا سربراہ، لوگوں کا پیشوا، مذہبی رہنما، اخلاق کا مربی اور باطنی ہدایت کا ذمہ دار ہوتا ہے

(Ref: https://makarem.ir/maaref/ur/article/index/253983/%d8%a7%d9%85%d8%a7%d9%85-%d8%a7%d9%88%d8%b1-%d9%be%db%8c%d8%ba%d9%85%d8%a8%d8%b1-%d9%85%db%8c%da%ba-%d9%81%d8%b1%d9%82 ).
[Updated on 10-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
124368
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-08-14

Question: why Imam Hussain A.S was chosen for karbala and not Imam Hassan A.S ?

Answer: There is a very detailed answer of this question, in short, the conditions that were created during reign of Imam Hussain a.s were not there during the reign of Imam Hasan a.s for example asking an Most Fasik o Fajir person Yazeed to pledge allegiance to Imam Hussain a.s and threatening to kill him in case of refusal..
[Updated on 14-Aug-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print