Showing 0- 16 questions from 16 questions on this page.
Question: Is namaz e jumma wajib in this period(during gaibat)????
Answer: It is Wajib-e-Takheeri (Optional).
Question: Ham Imam MEHDI ALAIHISSALAM ko dekh saktay hain ?
Answer:
Salam un alaikum,
There are some aamals in the books, which are related to this topic for e.g Mulaqat e Imam e Zamana (a.s)
Question: kay hamrae dua sa imam zamana a.s a jaya ga ?hadez sa sabit kara
Answer: Imaam Zamana(a.s) ke liye dua karna haqiqat main apne liye dua karna hai, jesa ke Ap (a.s) ne ik toqee k aakhir main farmaaya tajeel e faraj k liye dua karo, Q k tumari faraj o kushaaish is hi main hai or isi terah dua alamat hai k ham Imaam Zamana ka kuloos k sath intazaar kar rahe hain, or intizaar ke bare main Abo Abdullah Jaffer Ibn e Muhammad a.s farmate hain, k jo shaks tum main se mar jaae or is amar (imam zamana a.s ke zuhoor ka) ka muntazir ho to wo us shaks ki terhan hai jo Hazrat Al-Qaim a.s ke kheme main mojood hai.(Ref : aahsan ul maqaal , jild # 2 , baab # 14 , fasal # 6 , pg # 414 , 415).
Question: As Salam O Alaikum Mujay Yeh Pouchna Hy K Maine Suna K Imam E Mehdi Ajf Jab Sa Ghabat Sughra Sa Ghabat Kubra Main Ghay Han Aun Ka Koi Naib Nahe Or Ghabat E Kubra Main Koi Mojza Nahe Hoga Maslan Jaisa Alam Ke Mashq Sa Pani Tapakna , Ya Pathar Sa Awaz Ayana .....Meharbani Kar K Agar Ye Imam Ka Qoul Ha Hy K Imam E Mehdi Ajf Ghabat E Kubra Main Ja Koi Mojza Pash Ya Numaya Nahe Hoga Is Ka Refrences Btada Mustanad Kitab Sa ....Mola App Ko ajar Dain Ameen
Answer:
Imaam e Zamana (a.s) se mutalliq mujizaat ki 2 qismain hain,
1 – wo mujizaat jo Ap or Dosre Masomeen (a.s) main mushtarak hain, to ye Gebat e Kubra main bhi zahir howe jesa ke ghebat e kubra main Ap (a.s) ki mominoo se mulaqaat or in ki mushkiloo ke hal karne ke mojizaat kasrat se mojood hain.
2 – Dosre wo mujizaat jo zuhoor ke baad Ap (a.s)ke saath khaas kiye gaae hain, jese momino ke sar per Ap (a.s) ke hath rakhne se un ki aqlo ka kamil ho jana, Nabi e Mosa (a.s) k mojizaat ka Ap (a.s) se sadir hona waghera waghera to ye wo mojizaat hai jo ghebat e kubra main zahir nahi ho sakte. (Ref : Bihaar u Al-Anwaar , jild # Imaam e Zamana (a.s) , Baab # 27 , Hadees # 47 , pg # 330) , (Ref : Jamaal e Muntazar , fasal # 2 , baab # 29 , riwayat # 3 , pg # 423).
Question: Imam Mehdi as n wiladat k bd konsi surah ki tilawat ki??
Answer: Imam mahdi a.s ne wiladat k moqe per sora e qasas(sorah#28) ki ayat#5 ki tilawat fermae.(Ref: http://www.tebyan.net/index.aspx?pid=72060 ). Update on dated 06-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Khilafte Rashida kon h aur kitne Saal rhi?
Answer:
Khilafat e rashida 12 imamo ki khilafat hay jin main pehlay imam hazrat ali a.s or akhri imam mehdi a.s hain or imam mehdi 329 hijri thak logo per khilafat karte rahe os k baad logo ki nazro se perda famalia or ab tak zinda hain or qiyamat se pehlay zuhoor karain gay.(Ref: http://ur.wikishia.net/view/%D8%A7%D9%85%D8%A7%D9%85_%D9%85%DB%81%D8%AF%DB%8C_%D8%B9%D9%84%DB%8C%DB%81_%D8%A7%D9%84%D8%B3%D9%84%D8%A7%D9%85)
[Updated on 11-Feb-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Gaibat e kubra kis hijri me hui
Answer:
329 AH main ghaibat e kubraa kka aghaz hooa. (Ref:http://ur.wikishia.net/view/%D8%BA%DB%8C%D8%A8%D8%AA_%DA%A9%D8%A8%D8%B1%DB%8C)
[Updated on 17-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mein imam e zamana a.s ki khidmat kis tarah kar skta hun? Koi aesa amal jis sy imam e zamana a.s sy mulaqat hO saky?
Answer:
1: Hum aap ko aik de rahen hain. jis men aap ko pehly sawal ke hawale se tafseel mil jayegi. link:- https://urdu.duas.org/imammahdi/zimadariyan.htm
2: Imam e Zamana (a.s) se tawassul ikhteyaar kerne k liay aap waqt k pabandi k saath wajib namazo ko ada karain. Or aap rozana Dua e Ehed , Dua e Salaamti e Imam e Zamana (a.s) or Dua Faraj perhain or har shab e Juma (Thirsday night) Dua e Tawassul,or Hadees Kisaa, or har Juma k din Dua e Nudba ki tilawat karain.
[Updated on 05-Mar-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: ظہور امام کے وقت ٹیکنولوجی کام آے گی
Answer:
Jee, bilkul kaam aaigi.
(Ref: http://alhassanain.org/urdu/?com=content&id=1170)
[Updated on 02-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Imam e Zamana parda e ghabat mein kyu hain?
Answer:
Shia muhaqqiqeen ki raye ke mutabiq, gaibat ke tamam asraar or asbaab humare liye Aashkar nahin hain lekin riwayat me teen(3) mauzoaat par zor diya gaya hai:
1. Momineen ki aazmaish: Jaisa ke Hazrat Imam Musa kazim(a.s) se manqool hadees me waazih kiya gaya hai ke khuda wand e mutaal gaibat ke zariye apne bandon ko aazmata hai, Riwayaat se maloom hota hai ke gaibat ke zamane ki aazmaishen Allah ki dushwaar tareen aazmaishaat hain.
2. Imam e Zamana(a.s) ki jaan ka tahfuz: Baaz riwayaat se zaahir hota hai ke khuda wand e mutaal gaibat ke zariye Imam e zamana(a.s) ko qatal ke khatre se mahfooz rakhta hai; Q ke agar Aap(a.s) ibteda hi se awaam ke darmiyanb zaahir hote to Aap(a.s) ko qatal kiya jata aur isi tarah agar Aap(a.s) munasib mauqe se qabal zuhoor karen to Aap(a.s) ki jaan ko khatraat lahaq honge aur Aap(a.s) Allah ki saunpi huei zimme dariyan nibhane or apne aala islaahi ahdaaf ke husool me kamiyab nahin ho saken ge.
3. Zamane ke taghooton ke chungul se nijaat: Ahaadees or riwayaat ke mutabiq, Imam zamana(a.s) ko kisi bhi haakim or sultaan ke muqabile me taqayya karne ka hukum nahin diya gaya aur kisi bhi zaalim hukumat or saltanat ke zer e asar nahin aainge aur deen e khuda ke ahkaam ko bager kisi se naqal kiye or bager kisi parda poshi or bager kisi khauf or tahfuzaat ke, naafiz karen ge.
Mazeed Tafseelaat ke liye mandrja zail link ko visit karen.
(Ref: https://ur.wikishia.net/view/%D8%BA%DB%8C%D8%A8%D8%AA_%D8%A7%D9%85%D8%A7%D9%85_%D8%B2%D9%85%D8%A7%D9%86%DB%81(%D8%B9%D8%AC)#%D8%BA%DB%8C%D8%A8%D8%AA_%DA%A9%D8%A7_%D9%81%D9%84%D8%B3%D9%81%DB%81_%D8%A7%D9%88%D8%B1_%D8%A7%D8%B3%D8%A8%D8%A7%D8%A8 ).
[Updated on 04-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Slm,hum imam zamana as se mulaqat kese kre agar iss ka koie saacha Rasta hai TU plz btawoo Q K saalo se Dil main yeh Khaish hai.
Answer:
Imam e Zaman(a.t.f) se mulaqat karna mumkin hai aur buhat se guzishta ulama ne Imam(a.s) se mulaqat bhi ki hai lekin taqwa or Taharat e rooh ki shart hai agar insaan muttaqi or parhez gar ban jaye to yeh amar mahaal nahi. aur khaas taur par dua e ahad, kasrat se parhi jaye Q ke Imam Jaffer Sadiq(a.s) se naqal hua hai ke jo shakhs chalees (40) roz tak har subah is dua (ahad) ko parhay to woh Imam e Zaman(a.t.f) ke madad garon mein se ho ga aur agar woh Imam e Zaman(a.t.f) ke zuhoor se pehlay faut ho jaye to khudawand e kareem use qabar se uthaye ga taakay woh Imam(a.s) ke hamrah ho jaye. Allah taala is dua ke har lafz ke aiwaz usay aik hazaar naikiyan ataa kare ga aur us kay aik hazaar gunah mehv (muaaf) kar day ga.
(Ref: https://urdu.sahartv.ir/news/society_culture-i347856 . + https://mafatih.net/?p=2810 ).
[Updated on 21-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Maryfaty imam mehdi (aj) or hamari zindagi may kia asrat ay gy
Answer:
Is hawale se aap kitab Hukoomat e Imam Mehdi(a.s) ka mutaliaa karen. Aur kitab download karne ke liye zel me diye gaye Link par click karen.
file:///C:/Users/pc/Downloads/imam_mehdi_ki_hukumat.pdf
[Updated on 07-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Imame zamane k alqabaat
Answer:
Baqitullah, Imam gayaib, Gayaib, Khalifatullah, Mehdi, Sahib-ul-amr, Khalaf-us-saalih, Farah-ul-momineen, Mehdi-e-mauood, Saahib-uz-zaman, Hafiz deen, Farah e azam, Qaim-e-mauood, Hujjatullah, Sahib-ul-asr, kalimat-ul-haq, Muntaqim, Waliyullah, Khaatim-ul-ausiya, meezaan-e-haq, Imam-al-muntazar, Haadi, Al-mansor, Ahmed.
Mazeed tafseelaat ke liye darj zel link mulahiza faramayen.
(Ref: http://www.duas.org/urdu/URDU-www-alhassanain-com/AHLEBAIT/RASOOL-AKRAM/munjiy_e_alam_bashariat/006.html ).
[Updated on 28-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Imam-e zamana keh wajood ki aqali daleel Kiya hai ??
Answer:
Is silsilay me hum aap ko aik link faraham (provide) kar rahe hain aap use visit karen
http://shiastudies.com/ur/1567/%D8%A7%D9%85%D8%A7%D9%85-%D8%B2%D9%85%D8%A7%D9%86%DB%81%D8%B9%D8%AC-%DA%A9%DB%92-%D9%88%D8%AC%D9%88%D8%AF-%D9%BE%D8%B1-%D8%B9%D9%82%D9%84%DB%8C-%D8%A7%D9%88%D8%B1-%D9%85%D9%86%D9%82%D9%88%D9%84/
[Updated on 27-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: امام مھدی (عجل اللہ فرجہ الشریف) کے لقب بقیۃ اللہ کہاں وارد ہوا ہے
Answer:
Is ke jawab ke liye aap darj zel link ko visit karen.
(Ref: https://ur.wikishia.net/view/%D8%A8%D9%82%DB%8C%DB%83_%D8%A7%D9%84%D9%84%DB%81 ).
[Updated on 15-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Ghybte kubrack waqt imam ki umer
Answer:
Imam Zamana(a.j.t.f) ki wiladat 255 hijri me huei hai aur ghaibat e kubra 329 hijri me huei hai to is lehaaz se ghaibat e kubra ke waqt Imam Zamana(a.j.t.f) umr mubark 74 saal thi.
(Ref: https://urdu.sahartv.ir/news/society_culture-i347856 ).
[Updated on 14-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]