Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions:


Question & Answers << Go Back

Topic: Commision (12 Questions)


Showing 0- 12 questions from 12 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
2027
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: assalamo elikum. i work in a company. one of my friend manufactures a product. i agreed with my friend that i will sell his product (as part time job) and want to get commission to rasie my income other than my job salary. if i sell this product to my own factory by requesting our purchasing officer to help me or to help my friend in this case. may i be allowed to take commission from my friend even the product is being sold to my own factory. my aim is not to get bribe, my aim is to increase my income by doing some extra efforts as part time job. I work in production department of a plastic factory and the product of my friend can easily be used in my department. My second question is that if this is commission is not haram than Can I give some share to that man who is directly using this product on the factory floor? please answer as soon as possible. Iltamas-e-Dua.

Answer: 1-2) Agar aap ne os se commission ki baat ki hoe thi tu jaiz hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1-8, pg#473-476). Update on dated 13-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
2065
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: 1 admi ne mujeh paise diye koi kam kerne ke kiye,farz kare ke wo kam 10 rupees me ho jata hai lekin me os admi ko batao ke ap ka kam 15 rupees me ho ga,(take me apna profit rakh lo os ko batay begair)to kia aise paise lena jaiz hai? orye bhi batay ke agar aisy sorut ho ke "mujeh pata hai ke agar me os se aise hi apni mahnat ke paise mango to wo nahi de ga or koi bahana bana le ga "to is sorat me kia hukum hai?

Answer: Jee nahi malik ko baghair batae is tarah ka amal jaiz nahi hay Q k aap us admi ki taraf se wakeel hen or wakeel per wajib hay k jo kuch us k hath me ho wo malik k supurd kare. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 2, Mafhoom e Maslah # 1302, Eidition 1417 hij). Update on dated 13-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
14352
Mujtahid:
commission Date:

Question: Aslam-0-Alaikum Dear islam mey commission k baray mey kiya ahkmat ha.plz tafseel sy batayee

Answer: Commission os waqt tak jaiz hay jab lain dain jaiz ho.(Ref: Mafhoom e Email receive from www.sistani.org , dated: Apr 16, 2012). Note: Haram kaam ka commission bhi haram shumaar hoga or halaal kaam ka commission halaal hoga.(Khuda aap ki taufiqaat main izafa fermaay). Update on dated 13-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
17182
Mujtahid:
Aayat ul Allah seestani Date:

Question: kia property key lain dain main commission laina jaiz ha ya nahe

Answer: Commission os waqt tak jaiz hay jab lain dain jaiz ho.(Ref: Mafhoom e Email receive from www.sistani.org , dated: Apr 16, 2012). Note: Haram kaam ka commission bhi haram shumaar hoga or halaal kaam ka commission halaal hoga.(Khuda aap ki taufiqaat main izafa fermaay). Update on dated 13-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
93435
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2018-11-30

Question: Mai Ek Company Mai Purchasung karta hun aur baray suppliers Ko material order karta hun aur un se apna comission set karta hun material ke paisey increase karwa ker aur har order mai mera margin set hota hai, cheez ko rate barha ker deta hun takay mujhe bhi faida ho, tou kya jaiz hai?

Answer: Jee nahi malik ko baghair batae is tarah ka amal jaiz nahi hay Q k aap us admi ki taraf se wakeel hen or wakeel per wajib hay k jo kuch us k hath me ho wo malik k supurd kare. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 2, Mafhoom e Maslah # 1302, Eidition 1417 hij).
[Updated on 30-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104355
Mujtahid:
Azhari Date: 2023-08-04

Question: Asalamualaikum, agr hm kisi bhi jagah nokri kare or waha dukan ka malik he usne kaha ke ye chiz he for example 5000 rs me bechne ki he or woh chiz ham 4000 me beche or 1000 comission apna rakhe to kya jaiz he?? Or yaha shop ke malik ne kaha tuje jo karna he kar lekin muje bussiness chahiye aisy surat me ye karna jaiz hoga??

Answer: 1) Jee nahi malik ko baghair batae is tarah ka amal jaiz nahi hay Q k aap us admi ki taraf se wakeel hen or wakeel per wajib hay k jo kuch us k hath me ho wo malik k supurd kare. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 2, Mafhoom e Maslah # 1302, Eidition 1417 hij)
[Updated on 05-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
108716
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-08-12

Question: Mere aik dost na mere through qurbani karwaye Jahan intimate qurbani ho rahi thee wahan aik hissa 15000 ka tha lakin ma na us sa 16500 ka hissab sa paisay liye 1500 apna commission rakha to Kia aisa karna jaiz ha ?

Answer: Agar aap ne os se commission ki baat ki hoe thi tu jaiz hay warna jaiz nahi hoga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1-8, pg#473-476).
[Updated on 12-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111520
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-11-27

Question: ASSALAMUALAIKUM Agar koi shaks market say kuch saman mangaye or hum apna time laga k uspr kuch pese kam kara lain to kia us shaks say hum wohi pese wasool kar sakty hain jo dukan waly nay bataye thy ? Or jo humne kam karaye kia uspr hamara zara bhi haq hai ?

Answer: Jee nahi malik ko baghair batae is tarah ka amal jaiz nahi hay Q k aap us admi ki taraf se wakeel hen or wakeel per wajib hay k jo kuch us k hath me ho wo malik k supurd kare. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 2, Mafhoom e Maslah # 1302, Eidition 1417 hij).
[Updated on 27-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115379
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-07-09

Question: Car ki deal me dono side se commission lena jaiz ha? Agr haan tou zaroori hai kya ke dono side se same commision ho?

Answer: Agar un dono se commission ki baat ki hai to jaiz hay warna jaiz nahin hoga. (Ref: this answers received by e-mail).
[Updated on 09-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116349
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-12-13

Question: Aoa, mera swal ye ha k me part time camera ka kam krta hu mjhy jo project milta ha us me kch clients products kehty hain market se ap khareed lao me agar us me apna profit rkh k unko deta hu to ye jaiz ha , bcz me udr job n krta mera apna he part time business ha camera installation ka , kindly tell me or dusra swal ye ha k me pehly job krta tha ek restaurant me waha hmy alsar purchasing k keh dety thy kyu k hmara tha e IT ka kam to us me se mera dost profit rkhta tha bill nakli bna k to wo jaiz tha ? me usko mna krta tha to wo kehta tha k ye jaiz hmy itni salary n milti jitna hm kam krty or bt ye sch thi salary km dety thy or kam bht ziada or increment b koi ni , kindly rehnunai frmaye

Answer: 1)Jee nahi malik ko bataye baghair is tarah commission rakhna jaiz nahi hai kyun k aap un clients ki taraf sai wakeel hain or wakeel ka kaam yeh hai k jitne mai cheez mili hai utne mai hi malik ko supurd karein.
yeh commission rakhna us soorat mai jaiz hoga jub aap malik ko batayen or malik is par raazi bhi ho.
2)Nahi is tarah sai naqli bill bana kar paise le lena yeh dhoka dahi hai or yeh bhi jazi nahi hai.
(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 2, Mafhoom e Maslah # 1302, Eidition 1417 hij).
[Updated on 13-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120870
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-09-15

Question: Assalamualykum janab mai ek Gadiyo ki company m salesman ka kaam krta hu aur apne ghar se kaafi door reh karta hu jisme mera accha khasa kharch ho jata hai. Company km salary pr kaam karati hai. Mai gadi tay rakam se zayada pr bech deta hu. Jo rakam company ko jani hoti hai wo company ko de deta hu aur baaqi khud rakh leta hu. Ab aap mujhe yh bataiye ki yh jayez hai. Accha jo Dealership k maalik hai wo sab jaante honge ki itni kam salary pr itni door banda kaam kr rha hai toh wo zaroor commission leta hoga. Kyu ki gadi toh mai sahi rate m bech deta hu jisme company ko koi aitraaz nhi hota. Jese maana 5 rupee ki gadi thi mne usko 5 rupee 50 pese m bech diya 5 rupee company ko jma kra diye aur 50 pese khud rakh liye isme dealership maalik ne koi aitraaz nhi kra. Toh aap plzz bataye Hindustan m iss shakal m yh kamai jayez hai ya na jayez....?????

Answer: 1: Maalik ko bataye baghair is tarah ka amal jaiz nahin hay Q ke aap us admi ki taraf se wakeel hen or wakeel per wajib hay ke jo kuch us ke hath me ho wo maalik ke supurd kare. Han, agar aap malik ko batayen or malik is par raazi bhi ho to commission rakhna jaiz hai.
2: Jo commission mile agar (wo aap ke khums ke saal ke aakhir) men us me se kuch bach jaaye to khums dena hoga aur agar na bache to khums nahin hoga.
(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part # 2, Mafhoom e Maslah #1302, Edition 1417 hij. + Tauzeeh ul Masail, edition #42, maslah #1722,1723).
[Updated on 15-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122349
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-06-22

Question: AoA, Mera ye question ha k mjhy kisi dost ne kaha k wo property me investment krna chahta ha aur men uski help krun. Men ne us k liye kafi mehnat ki aur 1 plot file jo k market me kisi price pr sale ho rhi thi wo apny 1 dost se apni personal koshish aur request se market price se kuch sasti deal ki aur apny us dost ko jo property me investment krna chahta tha market price pr sale krdi. Go k hamary darmyan koi profit decide ni hua tha lakin men ne khud bhi kafi mehnat ki, petrol wagera kharch kia to kia ye jo profit rakha ye jazz ha?

Answer: Agar aap ne us se (pehle se khud ke )commission (Lene ) ki baat ki hui thi to jaiz hai, warna jaiz nahin.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, mafhoom e maslah #1-8, pg #473-476. + Ref: this answers received by e-mail).
[Updated on 23-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print