Showing 0- 36 questions from 36 questions on this page.
Question: aoa.maulvi sahab maine istekhara kia tha padhai k lye,jis field k liye maine istekhara kia tha wo uskay haqq mai nai aya,lekin maine phr b wo field rakh li.ab muje kafi mushkilat ka samna krna par rha hai.lekin ab mai peche b nai ja sakhti q k 2 yrs hogai hai.is ka koi kaffara ya koi dua hai jis se mri mushkil hal hojai
Answer: Istekharay ki mukhalifat karna jaiz to he lakin is baat ka khoof zaroor he k mukhalifat se naqsan pounch sakhta he. (Ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 4, Mafhoom e ques # 204, pg # 93) Update on dated 27-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: agr istekhara negative aya ho kisi chez k liye aur ap wo karein aur mushkilat ayein tou iska koi kaffara ya dua hai jis se rah haq mai ajai agr wapas jane ka rasta bund ho chuka ho
Answer: Istekharay ki mukhalifat karna jaiz to he lakin is bat ka khoof zaroor he k mukhalifat se nuqsan pounch sakhta he, albatta mukhalifat ki surat men koi kaffar nahi hai.(ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 4, ques # 204, pg # 93) . Update on dated 27-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Aoa mare engagement mare cousin se hoe ha syed athar shah can u check iz it better to step for marriage or not plz n can u guide me way of istikhara plz ... JAZAKALLAH
Answer: Istekhay k liay : contact number 021-32226948, 021-32237207 hay. Update on dated 27-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: mujy istkhara karna hai lekin mujy pata ni kya ap btao gy kesy hota hai?
Answer: Istikhara ye hai k jis kaam k kerne men mashware kerne k baad bhi faisla nah ker pa rahe hoon to phir istikhara k zerye se madad li jaey.or istekhara kerna aik mubah amal hai, Istekhara na to wajib hai or na hi mustahab, Istekhara kerne k liay ye kafi hay k 3 baar salawaat(dorood) perhi jaey, or is k baad tasbeeh k daano per haath dala jaey or jitney daanay haath main aaen onko 2,2 ker k gintay jaen or aakhir main agar aik daana bacahy tu istekhara behter aya hay or agar 2 danay bachain tu ye samjhay k istekhara bad (sahi nahi) aya hay.(Ref: Mafhoom e http://sistani.org/index.php?p=297396&id=310&page=2&perpage=10 + Ref: Mujtahid se pochay gay sawalaat,Ayatullah Sistani(d.b),part#3, Mafhoom e Sawaal#114). Update on dated 27-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: agar rishtay k sisalay mai kiye huwe istekhare mai naa ajaye tu kya wahan shadi kija sakti hai ????
Answer:
Istekharay ki mukhalifat karna jaiz to he lakin is baat ka khoof zaroor he k mukhalifat se nuqsan pounch sakhta he. (Ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 4, Mafhoom e ques # 204, pg # 93) (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).(2) Baar baar istekhara karna sahi nahi hai magar ye k mauzo badal jaae jis ki aik sorat ye hai k kuch maal sadaqa kiya jaay. (Ref. Aqa sistani Jadeed fiqi masail masla no. 595). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: sir with due respect, shadi k lye istakhara kia gya h lakin larki walo k lye nae aya hai or larkay walo k lye shadi k lye han aya hai to esi surat mae kia krna chahye hia . kia shadi kr daini chaye ya nae . or esi surat mae kia faisla krna chahye hai?
Answer: Baar baar istekhara karna sahi nahi hai magar ye k istikhkare ka mouzu(Topic) hi badal diya jaey jis ki aik surat ye hai k khuch maal sadqa diya jaey. (Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael , Mafhoom e maslah # 595, Pg # 291, Eidition# 5). Update on dated 27-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: ASA, janab jaise bahut se shia maulana faal kholte h to kya wo Quran se h, or Quran iski ijazat de raha h to konse surah main
Answer: Faal ka koi aytebaar nahi hota hai aur faal kernay walon k liay zaroori hai k wo yaqeen k sath peshan-goi nah karen. Albatta Quran ya tasbeh waghaira se istekhara kerna islam main jaiz hay.(Ref :Mafhoom e http://sistani.org/index.php?p=827020&id=993+ http://www.sistani.org/persian/qa/0829/ ) (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Meri ami ka nam shabana hai mera nam mehwish zainab mai jisko pasand krti thi wahan rishte ki bat hui hai larke ka nam saqib hussain uski ami ka nam shahida hai rishta kaise rahe ga shadi k bad bhi aur abhi bhi hamari bht larai hoti bat bat py aur maibht bimar rehne lagi hun meri tbyt q rehne lagi kharb istakhara kar k batye ga plz jaldi jawab dijye ga
Answer: Istekhay k liay : contact number 021-32226948, 021-32237207 hay. Update on dated 27-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: hum ne aik sahab se istakhara nikalwaya aur unka jawab aya k istakhara positive hai malum karne par pata chala k istakhara me un ko kuch nazar nahe aya laikin jab subah wo bedar hue tou unke tabiyat fresh the aur unho ne eska mutlab positive liya . phir eske baad hum ne aik khatoon se istakhara nikalwaya aur unka jawabh negative aya malum kia to kaha ke kuch nazar nahe aya tou nazar nahe ane ka matlab hamesha negative lia jata hai. hum buhat pareshan hai bataean kia karain?ap hamare rahnumae karain.
Answer: Istekhay k liay : contact number 021-32226948, 021-32237207 hay. Update on dated 27-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: me apne liye Istakhara karna chahti hu, lekin mujhe sahi waqt nahi maloom, kai jaga parha hai k, NAFAL k makrooh oakaat me nahi ho sakta, kindly mujhe NAFAL k makrooh oakat bata den ... shukriya
Answer:
Istekhay k liay : contact number 021-32226948, 021-32237207 hay. Update on dated 27-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Salam mujhe estekhare ka PETA Karna Thai mera naam sana Thai mmy ka naam rukhsana begum hai or ladke ka naam ASIF or unki mmy ka naam rafiqa bank Thai aap plz meri preshani ka half btaaye main baht preshaan hu.or kya periods me time roza rakhna jayaz hai plz zaroor btaaye Allah hafiz
Answer: Istekhay k liay : contact number 021-32226948, 021-32237207 hay. Update on dated 27-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: As salam walikum mujhe yeh istekhara karvana hai mein 2 month se mammi k ghar pe hoon merey husband k kisi k saath affair hai woh bhi mere rishte mein hai wo meri aunty hai sab ko maloom hi gaya ki merey husband or aunty k beech realionship hai magar ab woh aunty india mein hai aur mere husband london chaley gaye mere 3 bacchey hai woh bhi mere husband k paas haimujhe yeh maloom karna hai ki mein divorce loon ya nahi isliye mujhe istekhara kar ke bataye plz sir mein bhouth mushkil mein hoon Mere husband k naam nooh mohammed hai aur un ki ammi k naam waheeda unnisa begum or mera naam samreen fatima hai merey ammi k naam tahseen fatima plz
Answer: Istekhay k liay : contact number 021-32226948, 021-32237207 hay. Update on dated 27-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: agar shadi ka istikhara thek nahi ata kia us par amal karna zaruri hai? kia duaon se insan ki taqdeer nahi badali jati? agar istikhara thek nahi bhi aya tou shadi kar lain phr bhi?iska hal hai koi?
Answer: Istekhara kernay k baad iski mukhalifat kerne mainn koi harj nahi hai laikin is baat ka khoof zaroor hai k mukhalifat se nuqsan pohnch sakta hai.(Ref:Mujtahid sy puchay gae sawalat,part4,Mafhoom e pg#92). Update on dated 27-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Aoa. Islam main Istakhara ki shri hasiat kia hai. Agr Istkhara kia jae or us k khilaf amal kia jae to us ka kia kafara hai thanks
Answer: Wssalam o alykum, Shariyat e Muqadasa main istakhara mutabar(sahi) hai, or mukhalifat ki surat men koi kuffara nahi agar-cheh mukhalifat munasib nahi hai.(Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 3, Mafhoom e sawaal #112 , 113 , pg # 55). Update on dated 27-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: main istkhara karana chahti hoon kya ho jayega jawab zaroor dijiye
Answer: Istekhay k liay : contact number 021-32226948, 021-32237207 hay. Update on dated 27-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: slam mujhai istekahara karwana hai ek rishta aaya hoa wo bata dain isthkara kar k k wo humaray haq may behtr hai ya nahi larki ka naam amber bintay yasmeen or larkay ka nam imran bintay nasreen akhtar plz ye istekhara kar k jawab day dain mehrbani ho gi jawab ki talabgar
Answer: Istekhay k liay : contact number 021-32226948, 021-32237207 hay. Update on dated 27-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: plz mje istahara kr k btae k mra nam anam iqbal meri shadi jamshaid sheikh k sth ho gi k ni kya hm aik dosre k nasseb me ha k ni plz help me by istahara
Answer: Istekhay k liay : contact number 021-32226948, 021-32237207 hay. Update on dated 27-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Main istakhara kareana chahti hn kia ho jaye ga plzz reply kre
Answer: Istekhay k liay : contact number 021-32226948, 021-32237207 hay. Update on dated 27-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Salam un Alukum. Agha sab, Manay aik business start karnay k liya aik istekhara karwaya, us ka jawab yah hey : "Work is perfect and right but you have to face great hurdles Further more Ba'aaz Kaam achay hotay hey magar unki rahoo may mushkilat buhat" Kindly is ka matlab kuch wazeh karay aur is kaam ko karna kesa hey" I m Confused... Jazakallah
Answer: Istekhay k liay : contact number 021-32226948, 021-32237207 hay. Update on dated 27-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Istekhara kitne baar dekha ja Sakta hai.ek baar dekhne k baad doosri baar kitne din m dekh sakte hai
Answer: Baar baar istekhara karna sahi nahi hai magar ye k istikhkare ka mouzu(Topic) hi badal diya jaey jis ki aik surat ye hai k khuch maal sadqa diya jaey. (Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael , Mafhoom e maslah # 595, Pg # 291, Eidition# 5). Update on dated 27-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Aslam alaikum sir maine isthra krwana hai apni shadi k lye jis jga mera rishta hua kya kya wahan shadi ho paye gi my name mariyam my mother name asmat parveen my fiancy javed un ki my name rubina sir pllllz jaldi jwab dijiye ga boot meharbani hogi apki jazak allah
Answer: Istekhay k liay : contact number 021-32226948, 021-32237207 hay. Update on dated 27-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Salam, I wanna do istakhara..my name Serish .dad name Sulaiman..larke ka naam Ahmed Madha
Answer: Istekhare k lie raabta karain Madrasa Quran o Itrat Academy contact number: 021-32226948, 021-32237207. Update on dated 21-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: salam main istkahar karna chhati hun mujhe tariqa bta dain plz.. phle mai n krti rai istkhara apne payar k lie. but mujhe ans he nahin milta tha, phir ek din mn roi namaz parh k or Allah se kha plz aj ans de dain.. main namaz parh k 2 nafil istkhare k parh k sogai khamoshi k sth darood e pak parhte parhte phir raat ko khawab ai k main college mnn class main hun eng ki madam green board pe white chalk se likh rai hain or main white pages pe black pen se likh rai hun... mene suna tha green or white color ho tw acha hota hai matlab main bohat khush hogai thi.. pr pta nhn kya baat hai ab dil sakoon main nahin hai.. phle ksi larki ne kha tha k wo mre se phle us k sath set tha tb mne istkhar kiya ta or ye ans aya tha college ki class wala,, ab us k kch doston ne kha k wo jhoot hai, har baat pe jhoot bolta hai tum baad mn pchtao gi,, mujhe bohat dar lag raha hai main ek bar phi istkhara krna chhati hun, pr mujhe mere istkhare pe yaqin nahin hai q k mn namaz pabandi se nahin parhti hun.. please agr ap ksi se istkhara krwa dain ya mujhe sai tariqa bta dain
Answer: Istikhara karane ke liye Madrasa Quran o Itrat Academy ke contact number 021-32226948, 021-32237207 par 2pm se 6pm ke dermiyan call karain ya kisi qaribi Masjid ke Imam e Jamat se maloom karain.(Ref:www.qoitrat.org). addres: 365/1, pire street , garden east karachi. Pakistan. Update on dated 01-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Assalamalaikum. Sir ma apse ye jana chahti the k Kia ma istekhara apna result Jane k liye or ye dekhne k liye k Kia muje medical college me dakhla mile ga k nahi? Or agar haan. To is ka tareeqa Kia ha? Shukriya khuda hafiz
Answer: Is tarah k kaam k liay istekhara nahi hota. (Ref: Mafhoom e http://www.sistani.com/persian/qa/0829/). Update on dated 30-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kia surae al ahzab ki 51 aya khair hey
Answer: Sorah e ahzaab ki ayat#51, ayat e khair nahi hay, balkeh mayyana(i.e medium) hay, yani nah buri hay or nah hi achi. (Ref: kitab Istekhara e Quran,pg#435). Update on dated 16-02-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: S.w janab,mera sawal ye hai ki kya istekhare ki mukhalfat ki ja sakti h janab pls pls pls javab zaroor dijiyega aur jaldi bahot meharbani hogi wassalam...goitrat.org
Answer: Jee ker sakty hain lekin nuqsan ka khoof rahega. (Ref: Mujtahid say poochy gaey sawalat, Part#4, pg #93 ). Update on dated 16-08-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: salam sir mena istikhara keya or me us waqat saudi (Madina) me tha or jawab na aya .pir mana aik bar or keya pir jawab na aya ..jab mana larki ko bataya tu us na bhi istikhara keya or jawab haan aya ...pir 2 bar mena or keya jawab nahi ma aya. pir aik bar or us larki na keya tu haan aya us k pass .. pir mere ami na keya tu khawab ma tiger nazar aya jo k kat na key try kar raha tha ..... tu mujh ya smjh nahi ara k 2 answer alag alag q ara hai .. pls help
Answer:
Istikahra karna wajib tu kiya mustahab bhi nahi hay, balkeh ye tu aik dua ki terah hay k jab insaan sochnay k baad bhi kisi nateejay per nahi pohanch paay tu istikhara karay shaadi bhi inhi mauqoo main say aik hay.istikharay per amal kerna wajib nahi hay.laikin istikhaaray ki mukhaalifat munasib nahi is liay k baaz auqaat (some times) istikhaaray ki mukhaalifat k baad insaan ko sharmindagi uthani perhti hay.or baar baar istikhara karna sahi nahi hay,siwaay ye k mauzoo(subject) hi badal jaay or aik maqsad k baad kisi dosray maqsad k liay sadqah day ker kiya jaasakta hay.Istikhara khud bhi nikala jasakta hay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Mujtahid say pochay gaay sawalaat, Part #3 sawal #112,113 & part#4 sawal #203 & jadeed fiqhi masail, maslah #583).
[Updated on 24-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam Un alykum Agha sahab agr shadi ke liye istikhara dekha jaye aur pehli baar istikhara ka jawab ye aye ke shuru me acha hai aur baad me bura hai. Aur dobara istikhara ki soorat me na aye tou kia krna chahiye. Jabke larka boht acha hai. Agha sahab rehnumayi farmayen. Shukria
Answer:
Istikahra kerna wajib tu kiya mustahab bhi nahi hay, balkeh ye tu aik dua ki terah hay k jab insaan soochnay k baad bhi kisi nateejay per nahi pohanch paay tu istikhara karay shaadi bhi inhi mauqoo main say aik hay.istikharay per amal kerna wajib nahi hay.laikin istikhaaray ki mukhaalfat munasib nahi is liay k baaz auqaat (some times) istikhaaray ki mukhaalfat k baad insaan ko sharmindagi uthani perhti hay.or baar baar istikhara kerna sahi nahi hay,siwaay ye k mauzoo(subject) hi badal jaay or aik maqsad k baad kisi dosray maqsad k liay sadqah day ker kiya jaasakta hay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Mujtahid say pochay gaay sawalaat, Part #3 sawal #112,113 & part#4 sawal #203 & jadeed fiqhi masail, maslah #583).
[Updated on 27-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr istakhara ka jwb negative aye to kch saal Intezar K baad dubara usi Rishty K lye istakhara kren to Kia Ye mumkin hai K jawab positive a jae??
Answer:
Istikharay per amal kerna wajib nahi hay. Laikin istikhaaray ki mukhaalifat munasib nahi is liay k baaz auqaat (some times) istikhaaray ki mukhaalfat k baad insaan ko sharmindagi uthani perhti hay.or baar baar istikhara kerna sahi nahi hay,siwaay ye k mauzoo(subject) hi badal jaay or aik maqsad k baad kisi dosray maqsad k liay sadqah day ker kiya jaasakta hay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Mujtahid say pochay gaay sawalaat, Part #3 sawal #112,113 & part#4 sawal #203 & jadeed fiqhi masail, maslah #583).
[Updated on 07-Feb-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar ek martaba istakhara krny pr jawab theek naa aye tw dusri martaba krny me jawab theek aye gaa yaa nahi
Answer:
Doosri marataba istekhara us soorat mai kara saktay hai jub sadqa dai dia jaey ya unwaan badal jaey.(Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/01728/)
[Updated on 01-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam. May ny apny liay ek mamlay se related 3 baar istekhara kia hai khud. Or us may jawab NAA aaya hai. Kia may jawab NAA k baad bhi istekhara k jawab k khilaaf jaa sakti hn?
Answer: Istekharay ki mukhalifat karna jaiz to he lakin is baat ka khoof zaroor he k mukhalifat se naqsan pounch sakhta he. (Ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 4, Mafhoom e ques # 204, pg # 93) Update on dated 27-07-2019. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: how to perform islamic istikhara for marriage +91 9928525459 In Canada
Answer:
Kaha gia hay keh salawaat ko 3 baar parha ajey(Allah humma salli alaa Muhammad wa aale muhammad) phir tasbeeh ko pakarh kar 2, 2 ginte jain agar 2 daanay baqi bachain tu natija durust nahi hay or agar aik dana bache tu natija acha hay. (Ref: https://www.sistani.org/arabic/qa/0310/). Update on dated 08-08-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
[Updated on 08-Aug-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: how to perform islamic istikhara for marriage +91 9928525459 In Canada
Answer:
Kaha gia hay keh salawaat ko 3 baar parha ajey(Allah humma salli alaa Muhammad wa aale muhammad) phir tasbeeh ko pakarh kar 2, 2 ginte jain agar 2 daanay baqi bachain tu natija durust nahi hay or agar aik dana bache tu natija acha hay. (Ref: https://www.sistani.org/arabic/qa/0310/). Update on dated 08-08-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
[Updated on 08-Aug-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Plz answer me ,agr hum istakhara krty hain aur wazu na rahy nend ma pata na lagy aur subha koi dusra bataye k ap ka wazu ni raha tha rat ko ,aur istakhara ma b behtari ajaye to kia istakhara ho jaye ga ya ni ????
Answer:
Istakhara kay lea wazu mustahab nahi hay albata agar wuzu karna chatay han to niyat may bas bawazu honay k lea wazu karain, albatta bagair wuzu k baghair istakhara kia ja sakta hay. (Ayat Ullah Seestani(d.b) Urwa tul vuska part(1) masla # 486)
[Updated on 23-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mera sawal yeh h k Istekhara agr marzi k khilaaf aye tou Dua kr k phr krna chaiye ? Ya usi pe amal krna chaiye ? Kya Dua se istekhara ka answer change hoskta hai ??
Answer:
1: Doosri marataba istekhara us soorat mai kara saktay hai jub sadqa dai dia jaey ya unwaan badal jaey. (Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/01728/).
2: Istikharay per amal kerna wajib nahi hay. Laikin istikhaaray ki mukhaalifat munasib nahi is liay k baaz auqaat (some times) istikhaaray ki mukhaalfat k baad insaan ko sharmindagi uthani perhti hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Mujtahid say pochay gaay sawalaat, Part #3 sawal #112,113 & part#4 sawal #203 & jadeed fiqhi masail, maslah #583).
[Updated on 09-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar istkhara sahi ane k bawajood rishta na karien tuo is ka kya gunah r kafara hota ha ?
Answer:
Istekharay par amal karna wajib nahin hai. Haan agar istekhara main mana aay or phir is ki mukhalifat karna jaiz to hai lakin is baat ka khoof zaroor he k mukhalifat se nuqsan puhnch sakta hai.
Mujtahid se pouchey gaey sawalat part #4, sawal #204, pg #93).
[Updated on 09-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]