Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions:


Question & Answers << Go Back

Topic: Ijtemai Masael (9 Questions)


Showing 0- 9 questions from 9 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
5867
Mujtahid:
Date:

Question: apas mein milney kk adab

Answer: Rasool e khuda s.a.w.w. aur imamo a.s. ki riwayat mai momineen ko aik doosray ki ziarat ,aik doosray sai mohabbat aur in sai hamdardio ki bohat ziyada takeed ki gai hai. Imam Jaffar e Sadiq a.s ne farmaya: Jo shakhs kisi momin bhai ki ziaraat karay, Allah os sai fermata hai k tu ne meri ziyarat ki hai.or tera sawab mere zimmay hai or tera liay jannat sai kam kisi sawab par razi nahi honga.(Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Mafhoom e Masla # 304 pg # 179). Update on dated 30-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
16237
Mujtahid:
Ayatullah Sistani Date:

Question: Kin logoo k sath dosti aur ulfat ka rishta qaim krna jaiz nhi?

Answer: Jin k sath dosti kerna aap k deen aur emaan ko nuqsan phonchay on k sath dosti kerna jaiz nahi.(Ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, Mafhoom e ques # 168, pg # 75). Update on dated 30-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
32668
Mujtahid:
Sunni Date:

Question: Quran me rishte torne walon aur dusro se burai rakhne walon k bare main kya farmaya gya hai

Answer: Surah raad surah # 13 ki ayat # 25 mai khuda irshad fermata hai k jo loog rishtay tohr laitay hain jin se rishtay jorhnay ka hukum dia gaya hai un k lie lanat aur bad tareen thekana hay. is k alawa surah Muhammad surah # 47 ki ayat # 22 aur 23 mai irshad farmata hai k “ Kia tum sai kuch door hai k tum hakim bano aur zameen mai fasad phelanay aur apnay rishtay natay ko torh do. Ye wohi log hain jin par khuda nai lanat ki hai. aur in k kanoo ko behra aur in ki aankhoo ko andha kar dia hai. ” Update on dated 30-03-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
39231
Mujtahid:
Date:

Question: AssamOalekum. sir mera sawal hai k agar apne behin se Mohabbat ho jae to kia ye guna hai?

Answer: Wssalam o alykum, agar aap ki muhabbat se murad wo muhabbat hay jo aik merd ko na-mehram aurat k liay peda ho jati hai to ye jaiz nahi hay. (Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69). Update on dated 30-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey

Print

Id:
39415
Mujtahid:
Date:

Question: Ek muslman baligh lrka dosrey musalman lrkey ko ks had tk chom skta hai or kahan tk daikh skta hai dosrey baligh lrkey k nangey jism ko

Answer: Sharamgah k alawa pure jism ko baghair lazzat ki niyat se dekhna jaiz hai. Or sharmgah ko dekhna jaiz nahi hai chahe lazzat ki niyat ho ya nah ho (Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael , Mafhoom e masala # 500 , Mafhoom e pg # 278 , eidition # 5). Update on dated 30-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
41787
Mujtahid:
Fiqa Jaferia Date:

Question: mera sawal hai k kia ek biwi shadi k baad apny bhai or baap se bilkul samny (Front) se galy mil sakti hai bilkul is andaz mein jaisy wo apny shoher se mil sakti hai. 2) kia biwi apny bhai ya baap k sath ek he bister per so sakti hai? Mujy meri biwi ki is herkat per ghusa ata hai. Mery liye kia munasib hai. Plz meri rahnumai fermaien.

Answer: 1)Jaiz hay. 2) jaiz hay. (Ref : nigaah o lebaas , baab # 04 , Mafhoom e sawaal no # 114 , pg # 71) Update on dated 30-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
47033
Mujtahid:
kya musalman dost christain dost ke shadi m Date:

Question: Janab, Assalamalaikum, Ek doubt clear karna hai, mere office mein ek office colleque christain hai, uski shadi hai aaj, kya mein uske shadi mein sharik ho sakta hoon, pls jawab deejiye Mushtaq Ahmed

Answer: Jaiz hay. (Ref : Ayat-ul- Sistani db, Mafhoom e Email receive from a.sistani d.b). Update on dated 30-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
52805
Mujtahid:
Date:

Question: kya jamaai iddat ke doran apni saas se mil sakta hain

Answer: Jaiz hay. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 2350). Update on dated 30-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
57905
Mujtahid:
Date:

Question: aslaam o alaikum muhtaram janaab mera ap say sawaal hai k kia khud kushi kernay walay k liye dua ya quran khawani kerwana jaiz hai? kia us ka us per masbat aser perh sakta hai ya ni kia khud kushi kernay walay ki saza sedha jahanaum hi hay? ap say dosra (2nd question) hai k please koi esa wazifa bataa den jis say wo hamesha mera sucha dost bana rahay usurbezaar ur naraaz dost k dil may meri jaga ban jaay ur kabhi khafa na ho please is ka zeror amal bata den shukria ap k liye talbe dua

Answer: Wssalam o alykum, us shakhs k liay aamaal e khair karne chahiye jese dua o Quraan Khawani waghera, is men koi harj nahi hai.(Ref : Mafaati hul jinaan , topic # amwaat ke liye kheraat ,Mafhoom e pg # 203).Allah Ghafoor o Raheem in ko jehannam se nijaat de ga ya nahi ye Allah Qadir o Tawana ka muaamla hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 1 , Mafhoom e sawaal # 202). 3)agar koe shaks har rooz naad e ali perh ker apne oper dam kare tu har shaks os ko doost rakhay ga.(Ref: wazaaif e naad e ali a.s, pg#14). Update on dated 30-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print