Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Co-education (2 Questions)


Showing 0- 2 questions from 2 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
42698
Mujtahid:
Ahl.e.Sunnat Date:

Question: Assalam O Alaikum Mera Swal ye hai k Aurto ka duniawi talim ka hasil karny ka Islam Me kis had tak hukam hai Aur ye univeristy me co.education system kis had tak thek hai agar thek hai to q aur agar thek nai to Aik Islami Riasat me Kesy Hm sb ye apni ankho k samny brdasht kar rahy hain . Shukria

Answer: Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain. 1)University me co education me agar ghunnah aaloud nigahoo ka tabaadla nah ho aur haram may mubtila honay ka khoof nah ho to koi haraj nahi. laikin is k bawajood ye maslah is laeq hay k islami mumaalik(countries) k zimaydar afraad larkoo aur larkioon k liay alag alag taleemi idaray bananay k liay mansooba bandi karain. (Ref : nigah aur libas Mafhoom e ques # 92 pg # 63). Update on dated 07-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
122988
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-09-29

Question: یہ آجکل فتنے کے اعتبار سے بات درست ہے ورنہ مجبوری کے تحت نامحرم کو تعلیم دے بھی سکتے ہیں اور تعلیم حاصل بھی کر سکتے ہیں۔ اگر آپ نے دین پڑھا ہو تو آپکو علم ہو گا کہ اماں عائشہ سے کئی صحابہ نے دین سیکھا ہے۔ لہٰذا Categorically حرام کا فتوی نہیں لگتا

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

1: Universitys aur Colleges me co-education me agar ghunah aalood nigahon ka tabaadla nah ho aur Haram me mubtila honay ka khauf nah ho to koi haraj nahin. lekin is ke bawajood ye maslah is laaik hai ke islami mumaalik (countries) ke zimme daaar afraad larkon aur larkioon ke liye alag alag taleemi idaray bananay ke liye mansooba bandi karain.

2: Na-mehram larka aur larki apas men aisi batain kar sakte hain jin ka natija kisi akhlaqi fasaad ki surat me na nikal raha ho jabke koi aisi baat bhi nah ki jaa rahi ho ke jis ka kisi ajnabi ke saath kiya jana munasib nahin hota.
Na-mehram aurat ki awaz sunna jaiz hai lekin is shart ke sath ke ye lazzat aur shehwat ki niyat se nah suni jaye aur haram me mubtila hone ka bhi khauf na ho.
Aurat ke liye ye jaiz hai ke wo apni awaz na mehram mardon ko sunaye magar ye keh haram kaam me mubtila honay ka khauf ho to is surat me jaiz nahin hai. Albata aurat ki zimmedari bhi hai ke wo apni awaz ko itna khubsurat aur bareek na banaye jo insaan ke jazbaat ko ubharne wali ho. aur agar ghunah me parhne ka khauf ho agarche ahista ahista parhne ka hi khauf Q na ho baat karna jaiz nahin hai, isi tarah ger akhlaqi aur mazaq me bhi warid hona jaiz nahin hai.

(Ref: Nigah aur libas, sawal #92, pg #63. + Mujtahid se pochay gaye sawalaat, part #4, sawal #125,127, pg #65,66).
[Updated on 30-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi