Showing 0- 5 questions from 5 questions on this page.
Question: What is Khatna in Islam & Way are Very Important in Islam.? Please Ans.
Answer: Circumcision (Khatna) is obligatory in islam. (Ref : Mafhoom e www.sistani.org/urdu/khatna/q1) Update on dated 13-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: I would like to ask about khatna for ladies is it necessary?
Answer: It is not necessary for ladies. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #390 , Eidition 1427 hij). Update on dated 23-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Khatna ka ghusl ka tarikha batao
Answer: Khatna k baad koe ghuls karna mustahab nahi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Minhajus saliheen, edition 1440, maslah #-336-340).Update on dated 03-05-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Sir Mera khatna 14 years me hua tha doctor ne kya tha tanky lagay thy agay ki skin lose chori thi ab meri skin barri hogai h main 25years ka hu kya mujhe dobara khatna krwani pregy
Answer:
khatna me itne miqdaar jis me hashfe (sufaari ) ka suraakh ( hold) or jild ( skin ) ki kuch miqdaar numaaya ( zaahir ) ho jaae wajib hay. khatne me wajib had us hisse ko katna he jo hashfa (sufaari ) ko dhak leta he jis ko gulfa kha jata he, is tarh se k hashfa ka surakh aur us ki jild zahir ho jeye, agar che us hisse ki tamam jild ko na kata jaye aur tamam hashfa ko zahir na kiya jaye, baharhal itni miqdar me kata jaye k khatna kha ja sake. (ref:www.sistani.org/urdu/khatna/q1) (ref: fiqhe ahlebaiat, jild no: 2,bamutabiq fatwa aqa sistani, pg no: 579)
[Updated on 25-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: بیماری میں خاک شفا کا کھانا کس صورت میں جائز ہے ؟ خاک شفا کو کس طرح شفا کے لیے استعمال کریں ؟
Answer:
Husool e shifa ki khatir Imam Hussain a.s ki qabr ki mitti ki 1 channe k dane ki miqdar khana jaiz hai, agar kisi khak k bare me yaqeen na ho k vo asal khak e shifa hai ya nh yani khak e turbat hai ya nh to zarori hai k use pani me hal krlia jae or phr us pani ko piya jae..
(Ref: Touzih ul Masail Agha Sistani d.b, 44th Edition, Masla No. 2590)
[Updated on 27-Jun-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]