Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Jins ki tabdeeli (3 Questions)


Showing 0- 3 questions from 3 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
45810
Mujtahid:
newly converted muslim Date:

Question: Assalamwallaykum. Mera sawal yeh he ke me ek gay hun..meri awaz ladki jaisee he meri chhati bhi ladki jaisee he mene koi hormones ke injection nahi liye he mujhe mard pasand he aurato me thodi bhi dilchaspi nahi he .. me aurato se nikah nahi kar sakta... meri sakal bilkul ladki jaisee he dhadhi muchhe rakhne ke baad bhi sakal meri aurato jaisee he.... meri chal bhi ladkiyo ki tarah he... me mardo ke sath jinnah karti hun aur isse nazat pana chahtihun isliye kya me sex change karva sakti hun sex change karne ke bad me mard se nikah karke ke saleha zindagi bitana chahtihun ..mujhe pata he sex change karne ki ijjjajat shariyat nahi deta he lekin me kya karu apni puree zindagee kaise nikalu??? mera ghar se bahar nikalna haram ho gaya he kyonki me aurat jaisee hun....log mujh par haste he...plz meri madad kijiye....mujhe gunaho se bachahiye....aur ek achchee zindagi kis tarah se jee saku uske bare me mujhe mashwara dijiye

Answer: Is farz per k jins ki tabdeel ho jaay to sare ahkaam nae(new) jins ki bina per jaari hoon ge nah k porani jins k mutabiq (maslan agar aurat ban jaay to perda karna parhega) laikin sirf zahiri tour per tabdeeli k aa jane ka matlab ye nahi hota hai k jins tabdeel ho gae hay. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 3, Mafhoom e sawaal # 164). Update on dated 13-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
110897
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date: 2022-02-28

Question: Aik Mard Jo agar larkiyoon jesa banna chahta in ke jesi chal dhal Wala ho. Uss ko larki main interest na ho larkoon main interest ho to wo Kya Jins tabdeel karwa Sakta hai?Mard se Shadi Kar Sakta hai? Waiting for your reply

Answer: Agar waaqean aisa hona mumkin ho(yani jins ki tabdeeli) tu ba-zaat khud ye haraam nahi hay albatta dosery jihaat jaise chhone aur dekhne k aitebaar se haraam hoga siwaae ye k ye amal (yani jins ki tabdeeli) zarori ho jaay aur is farz per k jinsi tabdeeli ho jaay tu saare ehkaam naay(new) jins ki bina per jaari hongay nah k purani(old) jins k mutaabiq laikin sirf zaahiri tour per tabdeeli k aajane ka matlab ye nahi hota hay k jins tabdeel ho gae hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Mujtahid se pouchey gay sawalat part #3 , ques #164 , pg # 74) ).
[Updated on 28-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
110913
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-02-26

Question: Kya Mard Jins tabdeel karwa Sakta hai agar uss ke Andar Auratoon wali Chal dhal bool chaal mojud hoon Aur wo aurat jasa bane ka soochta ho Aur wo auratoon ki cheeson ki tarf zayada mayl ho. Wo aurat se nahi Mard se Shadi karna chata ho iss Surat main uss Kya karna chahiya. Jawab zaroor dijie ga

Answer: Agar waaqean aisa hona mumkin ho(yani jins ki tabdeeli) tu ba-zaat khud ye haraam nahi hay albatta dosery jihaat jaise chhone aur dekhne k aitebaar se haraam hoga siwaae ye k ye amal (yani jins ki tabdeeli) zarori ho jaay aur is farz per k jinsi tabdeeli ho jaay tu saare ehkaam naay(new) jins ki bina per jaari hongay nah k purani(old) jins k mutaabiq laikin sirf zaahiri tour per tabdeeli k aajane ka matlab ye nahi hota hay k jins tabdeel ho gae hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Mujtahid se pouchey gay sawalat part #3 , ques #164 , pg # 74) ).
[Updated on 26-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print