Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions:


Question & Answers << Go Back

Topic: Gumshuda maal k Ahkam (5 Questions)


Showing 0- 5 questions from 5 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
16150
Mujtahid:
Ayatullah Sistani Date:

Question: Aik namazi galti sai kisi masjid ki tasbeeh masjid sai lai kar aa gya. Ab tashwesh mai mubtila ho gya hai k ye 3 masajid mai sai kis masjid ki tasbeeh hai. koi nishani bhi nhi mil rhi, aisay mai is ki kia zimadari hai?

Answer: Jab kisi tareeqay sai tay nah ho sakay to qurah andazi k zarie tay kia ja sakta hai. Jis masjid k naam per qurah nikla aay aap os masjid main rakh dain. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 1, Mafhoom e sawaal # 195, pg # 93) Update on dated 09-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
54493
Mujtahid:
Date:

Question: aoa ky zamean par pari chez ko utha lena chahea like money or gold etc if no then ager utha lea jay to us ka ky hukam hay in islam?????

Answer: Agar kisi shakhs ko kisi dusre ka gumshuda maal mile, jo k hewanaat mein se nah ho or jis ki koe aysi nishani bhi nah ho jis k zariye us k maalik ka pata chal sake to chahe uski qeemat ek dirham (taqriban 2.50 gram) sikkedaar chandi se kam ho ya nah ho apne liay lay sakta hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2528). Update on dated 09-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
59697
Mujtahid:
Date:

Question: Aslam I alaikum! Mera sawal yeh hai ke mere husband ko Ali Asghar (as) ke jhoolay ki ziyarat kartay huway ek Kara (bangle) unke hath mei aa Gaya aur woh usay ghar le aye.. Mujhy plz yeh baat drink Iss ka kya matlab hua? Jazakallah!

Answer: Wssalam o alykum, us karhe(bangle) ko Hazrat Ali Asgar (a.s) k jhole tak ponchana wajib hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 3 ,Mafhoom e sawaal # 174). Update on dated 09-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
121813
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-03-08

Question: A.s...agar kahin paise giry hue mil jayn or pata nah ho k wo kis k hain to kia uska istimal krna jaiz hai???or jisko pare hue milein wo bht majboor ho

Answer: 1: Agar kisi dusre ka gumshuda maal mile, jo ke hewanaat mein se nah ho aur jis ki koi aisi nishani bhi nah ho jis ke zariye us ke maalik ka pata chal sake to chahe uski qeemat aik dirham (taqriban 2.50 gram) sikkedaar chandi se kam ho ya nah ho apne liye lay sakta hay.
Aur agar us par maalik ki taraf se koi nishaani ya alamat wagera ho to maalik tak punhchani hogi ke jis wazahat zail me bayan ki jaa rahi hai.
2: Agar koi shakhs aik aisi cheez paaye jis par koi aisi nishaani ho jis ke zariye us ke maalik ka pata chalaya ja sake to agarche use maloom ho keh us ka maalik aik aisa kaafir hai jis ka maal mohtaram hai to us surat mein keh us cheez ki qeemat aik dirham tak pohunch jaaye to zaroori hai keh jis din woh cheez mili ho us se aik saal tak logon ke majme (baithakon ya majlison) mein us ka ailaan kare. Aur agar us ki qimat aik dirham se kam ho to ehtayaat-e-waajib yeh hai keh use us ke maalik ki taraf se sadqa kar de aur jab bhi us ka maalik nikal aaye aur woh sadqa karne par raazi na ho to use us ka aiwaz deday.
3: Agar aik saal tak ailaan karne ke baad bhi maal ka maalik na mile to wo use us ke maalik ke liye apne paas rakh sakta hai takeh jab bhi wo mile use dede aur us muddat mein us ki hifaazat ke sath sath us se istifaada karne mein koi ishkaal nahin. Aur yeh bhi kar sakta hai keh us maal ko us ke maalik ki taraf se faqeeron ko sadqa kar de aur ehtayaat-e-waajib yeh hai keh wo khud na lay.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2528,2529,2531).
[Updated on 09-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122260
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-06-04

Question: Assalam o Alekum, Mujhy Haqeek ka Anghoti mili, Ma Aek Mahiny sa Anghoti ka Malik ka intezar kar raha hon...lakin abhe tak usy koi lenay nahe aya...Is ka bary ma keya hookom ha...Keya ma wo Anghoti phen sakta hon. Aamir from Dubai

Answer: 1: Agar kisi dusre ka gumshuda maal mile, jo ke hewanaat mein se nah ho aur jis ki koi aisi nishani bhi nah ho jis ke zariye us ke maalik ka pata chal sake to chahe uski qeemat aik dirham (taqriban 2.50 gram) sikkedaar chandi se kam ho ya nah ho apne liye lay sakta hay. Aur agar us par maalik ki taraf se koi nishaani ya alamat wagera ho to maalik tak punhchani hogi ke jis wazahat zail me bayan ki jaa rahi hai.

2: Agar koi shakhs aik aisi cheez paaye jis par koi aisi nishaani ho jis ke zariye us ke maalik ka pata chalaya ja sake to agarche use maloom ho keh us ka maalik aik aisa kaafir hai jis ka maal mohtaram hai to us surat mein keh us cheez ki qeemat aik dirham tak pohunch jaaye to zaroori hai keh jis din woh cheez mili ho us se aik saal tak logon ke majme (baithakon ya majlison) mein us ka ailaan kare. Aur agar us ki qimat aik dirham se kam ho to ehtayaat-e-waajib yeh hai keh use us ke maalik ki taraf se sadqa kar de aur jab bhi us ka maalik nikal aaye aur woh sadqa karne par raazi na ho to use us ka aiwaz deday.

3: Agar aik saal tak ailaan karne ke baad bhi maal ka maalik na mile to wo use us ke maalik ke liye apne paas rakh sakta hai takeh jab bhi wo mile use dede aur us muddat mein us ki hifaazat ke sath sath us se istifaada karne mein koi ishkaal nahin. Aur yeh bhi kar sakta hai keh us maal ko us ke maalik ki taraf se faqeeron ko sadqa kar de aur ehtayaat-e-waajib yeh hai keh wo khud na lay.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2528,2529,2531).
[Updated on 05-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print