Showing 0- 19 questions from 19 questions on this page.
Question: birds ko quaid krna gunnha hai ya sawab
Answer: Agar parinde(birds) k khane or peene ka bandobast achi tarah kiya jaye to phir inko apne pas qaid kerne men koi harj nahi hia. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #460 , Eidition 1417 hij). Update on dated 31-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: assalamu alaikum janab kya hum kutta dog pal sakte h. agar nhi to kyu or kutta hi kyu napak h.
Answer:
1) Paalto dogs ko rakhna jaiz hai (agar in k khane pine ka intezaam kiya ja raha ho to ) jaiz hai. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 169, pg # 75)
2) tamaam ahkaam sharhe ki illato ( waja) ka hamare liye jaznna zaruri nahi hai, jo khuch alllah aur us k rasool ne hokum diya hai us ka baja lana zarori hai.(ref: sistani .org,urdu, topic hajj, que: 23) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
1) Kutto ki khareed o farokht k aytbar se 2 qismen hen , Shikari or ghair shikari, in dono ko paalne men koi harj nahi hai Albatta ghair-shikari kutto ki khareed o farokht jaiz nahi hai, lekin agr inse koi bara faida hasil ho to is surat men inko kiraye per lena , tohfe k taur per lena take unse halaal faide hasil kiye jaen, tu ye jaiz hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 2, Mafhoom e Maslah # 01, Eidition 1417 hij).
2) Aksar akhkaam e sher,e ki sabab or illatain(reasons) or shriyat k bananay walay(yani khuda) ki nazar main qabil e aytebaar maslihat hum logo se poshida hay, or hamari aqlain on ko samajhnay se aajiz hain. Or wajib ye hay k illat or wajah per nazr kiay baghair wazeh hadees ki pairwi(following) karain.(Ref: Lumah#6,kitaab e meraas,nashir maktab e naveed e islam, pg#472). Update on dated 31-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
1) Paalto dogs ko rakhna jaiz hai (agar in k khane pine ka intezaam kiya ja raha ho to ) jaiz hai. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 169, pg # 75) 2) tamaam ahkaam sharhe ki illato ( waja) ka hamare liye jaznna zaruri nahi hai, jo khuch alllah aur us k rasool ne hokum diya hai us ka baja lana zarori hai.(ref: sistani .org,urdu, topic hajj, que: 23) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). 1) Kutto ki khareed o farokht k aytbar se 2 qismen hen , Shikari or ghair shikari, in dono ko paalne men koi harj nahi hai Albatta ghair-shikari kutto ki khareed o farokht jaiz nahi hai, lekin agr inse koi bara faida hasil ho to is surat men inko kiraye per lena , tohfe k taur per lena take unse halaal faide hasil kiye jaen, tu ye jaiz hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 2, Mafhoom e Maslah # 01, Eidition 1417 hij). 2) Aksar akhkaam e sher,e ki sabab or illatain(reasons) or shriyat k bananay walay(yani khuda) ki nazar main qabil e aytebaar maslihat hum logo se poshida hay, or hamari aqlain on ko samajhnay se aajiz hain. Or wajib ye hay k illat or wajah per nazr kiay baghair wazeh hadees ki pairwi(following) karain.(Ref: Lumah#6,kitaab e meraas,nashir maktab e naveed e islam, pg#472). Update on dated 31-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: paltu kute se kya mtlb hy jo admi ghr rakh skta hy
Answer: Kutto ki khareed o farokht k aytbar se 2 qismen hen , Shikari or ghair shikari, in dono ko paalne men koi harj nahi hai Albatta ghair-shikari kutto ki khareed o farokht jaiz nahi hai, lekin agr inse koi bara faida hasil ho to is surat men inko kiraye per lena , tohfe k taur per lena take unse halaal faide hasil kiye jaen, tu ye jaiz hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 2, Mafhoom e Maslah # 01, Eidition 1417 hij). Update on dated 31-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kia Islam main tote palna mana hai.
Answer: Prande (brids) palna jaiz hai.(Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 3, sawaal # 169,pg # 75). Update on dated 31-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kya billi palna munasib h
Answer: Billi ko paalna jaiz hai.(Ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, Mafhoom e ques # 169, pg # 75). Update on dated 31-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: asslam alikum. kya aaap mujhe bta sakty hy ky ghar may chicken ka bacha palna yani choza palna kysa hy q ky idhar to saudia may band ghar hoty hy or wi khula ghom phir nhi sakty ir agr wo mar jaye to is ka gunah kya hy myry hisab sy to zindagi mout allah ki traf sy hi hy to phir bhi aao bta dy shukriya
Answer: Choza (Chicken) paalna jaiz hai.(Ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, Mafhoom e ques # 169, pg # 75) Update on dated 31-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: AOA. Sir Kia KharGosh Ko Ghar Mai Paala Ja Sakta Hy..........!
Answer: Jaiz hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #459 , Eidition 1417 hij+ Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 2, Mafhoom e Maslah # 13 , Eidition 1417 hij). Update on dated 21-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Dogs k hairs kyu napaak hai Kya dogs ko bath kra kr paak kiya ja skta hai Me dogs ko traine krta hu to ye shi h ya glt
Answer: Kutta napaak hay, ye dhone se paak nahi hota. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #102). Update on dated 06-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kya awara bili k buchon ko hm apne pas rkh skte hain yani paal skte h paltu janwar ki tarah?
Answer: Jaiz hay lekin ehtiyaat e wajib ki bina par us ki zarorat ka khayaal rakhna zarori hay. (Ref: Minhajus saliheen, jild#3, Maslah#458). Update on dated 19-10-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kya ghar ma shoqia tor pa dog rkhna islami tor pa jaiz ha k ni
Answer:
Kutto ki khareed o farokht k aytbar se 2 qismen hen , Shikari or ghair shikari, in dono ko paalne men koi harj nahi hai Albatta ghair-shikari kutto ki khareed o farokht jaiz nahi hai, lekin agar inse koi bara faida hasil ho to is surat men inko kiraye per lena , tohfe k taur per lena takeh unse halaal faide hasil kiye jaen, tu ye jaiz hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 2, Mafhoom e Maslah # 01, Eidition 1417 hij).
[Updated on 15-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: salam sir kya fakhta pal sakte hai
Answer:
Prande (brids) palna jaiz hai.(Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 3, sawaal # 169,pg # 75).
[Updated on 13-Apr-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia ghar mai tote rkh skte hain
Answer:
Jee ap usse rakh sakte hain.(Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/search/2274718/)
[Updated on 06-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Paltu billiyan inkey bachey sale kr skty hein
Answer:
Agar inki khareed o farokht se koi halaal faida hasil ho to is surat men inka khareed o farokht jaiz hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 2, Mafhoom e Maslah # 01, Eidition 1417 hij)
[Updated on 25-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Moor palna jaiz hai?
Answer:
Moor ka paalna jaiz hai.(Ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, Mafhoom e ques # 169, pg # 75).
[Updated on 28-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kon kon se janwar paalna jaiz hai?
Answer:
Tamam Janwar ya Parinday paalna jaiz hai.soar or ggghair shikaari kitto ko khareedna or baichna bhi jaiz nahi hay.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2016 + Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, Mafhoom e ques # 169, pg # 75).
[Updated on 30-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asallam alequm kya islam mai billiyan paalne ki ijazat hai.
Answer:
1: Jee han, Billi paalna jaiz hai. (Ref: Mujtahid se pouchey gay sawalat, Ayatullah Sistani(d.b), part #3, Mafhoom e sawal #169, pg #75).
2: Agar namaz parhne waale ke libas per billi k itne kam baal hoon jisay nah hona shumaar kia jaey jaisay k 1 2 or 3 baal maujood hoon tu namaz durust hai. lekin agar is se ziyada baal maujood hon to namaz batil ho jati hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail jaame, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, maslah 995).
3: Haram gosht janwer jaise billi k monh ya naak ka pani ya koe dosri ratubat namaz perhne wale k badan ya libaas per lagi ho, agar wo tar (gheeli) ho to namaz batil laikin agar khush ho aur is ki ain nijasat zaail ho gayei ho to namaz saheeh hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #80,813).
[Updated on 26-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar murghian hamari kotaahi se mar jaein to kaffara Kya hota hai?
Answer:
Koi kaffara nahi hota.
(Ref: Mujtahid say pochay gaay sawalaat, Part #3 sawal #171, pg #76).
[Updated on 03-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya islam me sher palna Jaiz h?
Answer:
Jee, Jaiz hai agar is se koe halal faidah hasil kia jaata ho. lekin ehtiyaat e wajib ki bina par us ki zaroorat ka khayaal rakhna zaroori hai.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Minhaj us Saliheen, edition 1443 hijri, part #2, maslah #13. + part #3, maslah #458,459).
[Updated on 26-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: السلام علیکم امید کرتا ہوں آپ خیریت سے ہوں گے میں بھی بالکل خیریت سے ہوں میرا سوال یہ ہے کہ کیا ہم فاختہ کو گھر میں پال سکتے ہیں اس کی شرعی حیثیت کیا ہے ہمارے گھر والوں نے سنی سنائی باتوں پر عمل کیا ہوا ہے جیسے وہ کہتے ہیں کہ فاختہ کو گھر میں نہیں رکھنا چاہیے نہ اس کو پالنا چائیے کیونکہ یہ لڑائ جھگڑے کا سبب بنتا ہے۔ برائے مہربانی اس معاملے میں میری راہنمائی کر دیں
Answer:
Agar parinde (birds) k khane or peene ka bandobast achi tarah kiya jaye to phir inko apne pas qaid kerne men koi harj nahi hia.
(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #460 , Eidition 1417 hij).
[Updated on 04-Jun-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]