Showing 0- 2 questions from 2 questions on this page.
Question: Salamo alaikum. Breedha pension ( OLD AGE PENSION) lena halal hai ya haram. Mai india ka rahne wala hoon aur Indian government jiska age 60 sal se jyada hai pension deti hai. Apke jawab ka intejar hai
Answer: Jo pension milti hai us ko lena jaiz hai laikin jo pension insaan k saal k akhrajaat se ziyada ho us ka khums dena zarori . (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1735). Update on dated 13-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Aslam o alaikum Kya waldiha k inteqal k bad unka beta waldiha ki pension unwalidah k sign ker k Nikal k use ker sakta hy jaiz hy woh pesa? Halal hy ya haram
Answer:
Agar pension ki shart hai k srf walidah ko unhi ki zindagi me di jaegi aur inteqal k baad nahi milegi to is tarah se pension lena haram hai.
(Ref: Ayatullah Sistani d.b, Tauzeehul Masail, Edition 42, Mafhoom e Maslah 855)
[Updated on 14-Aug-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]