Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Libas k Ahkam (41 Questions)


Showing 0- 41 questions from 41 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
162
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khoie Date: 2018-05-23

Question: Agar koi kapra najis ho jaye to kya kissi gareeb ko us ki najasat ka bataey bagair de sakte hain? aur agar woh kapra aisa ho jo pak nahi ho sakta ho maslan aisa kapra jis se rang nikal ta ho?

Answer: Salam un Alaikum,
Kapray kee najasat key baray mein batlana zaroori nahi hay. Wo kapra jis ka rang nikalta hay usay baarish (rain) key pani sey paak kiya ja saktaa hay.
Ref: Tawzeeh ul Masail A.Khoei Probe No. 147 & 2366.

Print

Id:
84629
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Saamun Alekum, Kaale Jute pahenne ke kya nuksan hain aur kisne kaha hai. Sistani Saheb

Answer: Was-salam. Kaaley jootey ka pehnna ayatullah seestani k nazdeek makrooh hona sabit nahi hay. (Ref: Mujtahid sai poochey gaye sawalaat hissa doum page# 44). Update on dated 28-10-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
85030
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Kia muharram k elawa normal days me black clothes pehenna allow he? And black shoes also?

Answer: kaaley kaprey or jotay pehnna makrooh nahi hai chahey ayyam e aza ho ya nah ho. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Mujtahid se poochhe gaye sawalat , Part # 2, Ques # 84. Update on dated 30-12-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
92840
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2018-11-02

Question: Sir mein underwear pehnta hu. Or jab peshab krke wufu krta hu namaz k liye. Lekin jb namaz padta hu to pet dabne ki wajah se mere peshab ki boond nikal jati h. Halaki m underwear pehnta hu. To agar sirf underwear par boond gire to kya namaz hogi. Or baad m pehne hue pr paani daal leta hu thoda gila krke. Lekin dusri namaz yk agar wo sookh jaye to kya usi underwear se baki namaze bhi pad sakte hain ? Plz zarur btaye mein bht preshan rehta hu is chiz ko lekr

Answer: Jee nahi agar peshaab ka aik qatra bhi laga hoa ho libaas par tu namaz nahi hogi q k libaas ki sharaet main say aik libaas ka paak hona zarori hai.
Istibra aik mustahab amal hay jo merd hazrat peshab k bad is wajah say anjam daite hain takeh ye itminaan ho jae k peshab ki naali may peshab baki nahi raha. Is ka tareeqa ye hay k peshab say farigh honay k baad ultay haath(left hand) ki darmiyaani ungli (middle finger) ha us ko pakhanay k maqam say peshab ki naali ki jerh tak soontain(wipe) aur is k baad angothay ko peshaab ki naali k oper or aur angutay k saath wali ungli ko peshaab ki naali k neechay rakhain or daba kar khatna k maqam tak le aaen phir 3 dafa jatkein.
or istibraa karne k baad koi rutoobat kharij ho jis k baaray mai shak ho k peshaab hai ya nahi tou phir wo rutoobat pkaa maani jaaye gi or phir us mai namaaz bhi ho sakti hai. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 776,70)
[Updated on 02-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
94405
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-02-28

Question: Can i allowed to wear two silver rings with stones during namaz ?? Is there any restriction on the wait if the rings ??

Answer: Chandi(i.e silver) ki rings pehnne main koe ishkaal nahi hai lekin mard k liay sone ki anghooti pehnna haram hay or us k sath namaz batil hay. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition#41,maslah#820).
[Updated on 01-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
95212
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-04-06

Question: Salaam walaikum Kala juta pehan sakte hai ya nahi

Answer: Kaley jotay pehnna makrooh nahi hai chahey ayaam e aza ho ya nah ho. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Mujtahid se poochhe gaye sawalat , Part # 2, Ques # 84.
[Updated on 06-Apr-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
97668
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-06-14

Question: Billi ka Bal agar libas pe ho to Kya Namaz ho jaey gi

Answer: Agar aap k libas per billi k itne kam baal hoon jisay nah hona shumaar kia jaey jaisay k 1, 2 or 3 baal maujood hoon tu namaz durust hay. (Ref: Ayatullah sistani d b tauzeehul masail jaame, part#1, maslah#995).
[Updated on 14-Jun-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
97669
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-06-14

Question: Agar billi ka Baal libas pe ho to Kya Namaz ho jaey gi

Answer: Agar aap k libas per billi k itne kam baal hoon jisay nah hona shumaar kia jaey jaisay k 1 2 or 3 baal maujood hoon tu namaz durust hay. (Ref: Ayatullah sistani d b tauzeehul masail jaame, part#1, maslah 995).
[Updated on 14-Jun-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
99582
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-08-20

Question: Kya khoon lage hue kapdon me namaz ho jati h

Answer: Namaz per saktay han agr kapron per aik dirham sy kam khoon lag jahay ar ahtiyat e wajib yah hay k dirham ki miqdaar anguthay ki uper wali girha k barabar samji jaey. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #835). Update on dated 20-08-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
[Updated on 20-Aug-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
99908
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: kia ahle sunat ko black soot pehnany ki ijazat ha mtlab islam m black soot jaiz hai

Answer: Kala libas pehenna jaiz hay or makhrooh bhi nahi hay. (Ref : https://www.sistani.org/urdu/qa/01844/). Update on dated 04-09-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
102405
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-12-10

Question: Agar pent pe aik qatra peshab ka gir jay to kia us pent k saath namaz ho jati hy? Lekin sirf aik e katra gira ho istanja karny k baad to usi pent k saath namaz ho jati hy ya ni?

Answer: jee nahi pehle us maqaam ko paak kia jaaye phr hi usi pent mai namaz parhi jaa sakti hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 787).
[Updated on 10-Dec-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103260
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-01-28

Question: kia mardon k liye tanbay ki anguti pehn'na jaiz hai,

Answer: jaiz hay. (https://www.sistani.org/urdu/qa/search/59535/)
[Updated on 28-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103551
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-02-03

Question: AOA.SIR MUJHE PUCHNA THA K AGAR KAPRON MAIN NIJASAT LAGI ho OR HUMAIN PATA NA HO OR HUM NAMAZ PARHLAIN TO NAMAZ HOGI

Answer: Agar aap ko yaqeen ho keh libas najis nahin he aur kapre ke najis hone ke bare main namaz ke bad pata chale to aap ki namaz saheeh he. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41 edition, maslah # 790 )
[Updated on 03-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103606
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-02-05

Question: Kya aurat sotey huye shirt pehen sakti hai aur kamrey mn behen ya shohar ho toh kya woh beparda so sakti hai shirt mai ??

Answer: Q keh ye aap k mehram hain to in k samnah is halat may so sakte hain.... (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2399).
[Updated on 05-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103638
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-02-07

Question: Kis kapre se naak saaf kre us kapre se namaz ho Sakti hai?

Answer: Jee han ho jai gi Q ke naak ki aalaish (pani) pak he.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 mahfoom e maslah # 80)
[Updated on 07-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104214
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-10

Question: Assalam o Alaikum. Sir kia hum necktie(tie) bandh sktay hn kia jaiz hy

Answer: Aytullah sistani sahab ke mutabiq tie baandhna jaiz hay .
(Ref:sistani.org ,arabi ,topic :lubsulhareer,sawaal no :1)
[Updated on 11-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104580
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-03-29

Question: Salam un Alaikum ... Meri mother sang sitara stone ki chandi me ring pehanti hain tw kya is ka pehna sahi h?? Q k humay kisi ny btaya k roz e ashura ya khilla hua tha islye is ko ainda nhi pehna .. wasalam . Plz According to ayatullah sistani sahab.

Answer: On nagino ko pehna jaey jin ki riwayaat main takeed or fazilat aae hay, maslan Aqeeq, Yaqoot, Zabarjad, Zamarrud, Ferozah, Dur e najaf, Buloor or Hadeed e cheeni.(Tehzeeb e aal e Muhammad saww, Allama majlisi ra, pg#49-55)
[Updated on 30-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104603
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-03-18

Question: Assalamu alaikum mera sawal hai agar ghar me koyi haiz se hai aur uske kapdon pe blood laga hai aur wo sofa pe baith ke uth gayi aur hum usi jagah pe baith gaye toh kya hamara libaas ganda hogaya?kya hum un kapdo me namaaz padh sakte hai?

Answer: Agar khoon aap k libaas par laga hai tou usay paak karna hoga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 787).
[Updated on 18-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
108206
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-08-14

Question: Assalam alikum. Sir Mera swal ye hai ki printed kapde jinme cartoons ya kisi bhi trah ki tasweer bani ho Kya aise kapde pehn Kar namaz padhna jayaz hai.

Answer: wsalam.Namaz parhi jaa sakti hai lekin fuqaha k nazdeek aise kaprhe mai namaz parhna jis mai chehra ki tasveer wagaira ho tou makrooh hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 853).
[Updated on 14-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110349
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date: 2020-09-12

Question: Kia fiqa jafria ma murad Kan ma Bali dal sakta ha

Answer: Jaiz nahii hay. (Ref: https://www.sistani.org/english/qa/search/37441/). [Updated on 12-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110533
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-06-24

Question: Aurat ka Jean's ya tshirts phenna sahi hai

Answer: aurat ke lie pents shirts pehan kar bazaaro ( markets) or sarkho ( roads) per nikalne se agar us ke badan ke hassas hisse mujassam ho kar zahir hote ho ya nazereen ke jinse ahsasaat ubharte ho tu us ka pents shirts pehanna jaiz nahe hay . mard ke lie zanana libaas pehanna or aurat ke lie mardaana libaas pehanna haram nahe hay. albatta ehteyaate wajib ki bina per ye jaiz nahe hay ke mard apne aap ko aurat ke rano rooop me dhaal le ise trah aurat apne aap ko mard ke roop me dhaal le .(ref.jadeed fiqhe masail, aqa sistani,masla:541) ,( Aytullah Sistani(d.b), tauzeeul masa’il, maslah# 141)
[Updated on 24-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110561
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-05-17

Question: Mai ne napak kapray pehan liya hain galti say achanak namaz ka time hoa tu yaad aya kai kai napak k a pray pehne hain kya kaprey change kar kai namaz parh sakta hn?

Answer: Namaz parhnay walay ka libas paak hona zaroori hai. Agar koe shakhs halat e iktiyari mai najis (napak) libas k sath namaz parhay to is ki namaz batil hai. (Ref: Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 787)
(Note: Libas ko pak kar ke usi libas me bhi namaz parh saktay hai, aur aap chahen to libas ko tabdeel kar lain
[Updated on 17-May-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111692
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-30

Question: Is it permissible to pray in black clothes other than Muharram? کیا محرّم کے علاوہ سیاہ لباس میں نماز جائز ہے؟

Answer: Kala libas pehenna jaiz hay or makhrooh bhi nahi hay. (Ref : https://www.sistani.org/urdu/qa/01844/).
[Updated on 01-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112374
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-12-02

Question: Maine ghussal k baad NaPaak trouser pehn liya sara din namaz aur wazifa karne k baad raat ko pata chala k Trouser napaak hai. Mujhy kiya Namaz aur wazifa dobara se parhna parhy ga?

Answer: agar koi shaks bhool jaaye k us ka libaas najis hai or usay namaz k baad yaad aaye tou agar us ne is mai laa parwahi ki ho tou ehtiyaat e laazim ki bina par zaroori hai k dobaara namaz parhe or agar kotahi na ki ho tou namaz dobara parhna zaroori nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 791).
[Updated on 03-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112519
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-01-11

Question: Salam Agha jan Tie pehana k bare mai kia hukm hai

Answer: Tie pehanna bezat e khud haram nahi he. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 2, ques # 185, pg # 78)
[Updated on 11-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112920
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-02-06

Question: Assalam o alekum mera sawal apse ye hai ke billi ghr me pal skte hai kya kya usse ghr me khula chodha skte hai aur kya bili ke baal jis jaga per girte hai waha namaz nhi hoti hai kya

Answer: 1: Billi ko paalna jaiz hai. (Ref: Mujtahid se pouchey gay sawalat part #3, Mafhoom e ques #169, pg #75).
2: Usay hatana zaroori nahi hay or agar aap k libas per billi k itne kam baal hoon jisay nah hona shumaar kia jaey jaisay k 1, 2 or 3 baal maujood hoon tu namaz durust hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail jaame, part #1, maslah #995).
[Updated on 06-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
113015
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-02-22

Question: Assalamualaikum. Mai 23 ka hun or Kan mai top ya Bali pehn'nay ki khawahish ha? Is ko pehn,nay se koi nuqsan to ni hoga??

Answer: Mard ke liye Kaan me baali pehenna ehtiyat e wajib ki bina par haram hai. (Ref: https://www.sistani.org/english/qa/01276/)
[Updated on 22-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
113710
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-03-23

Question: 1Kia jeans pant me namaz ho sakti hae jabke wo badn se chipki hue na ho 2 Kia tights me namaz hosakti hae jabke qameez gutno se nechi ho 3 Kia namaz ke lea bara dopata lazmi hae ya chota dopata pehn ke bhi namaz ada hojati hae

Answer: Note:- In teeno suraton me mamaz sahi hai. laikin Namaz ke waqt Aurat apna tamam badan hatta kay sar aur baal bhi dhaanpay aur aihtiyat-e-wajib ye hay kay apnay aap say bhi chupaaey, lihaza agar aurat chadar(choti ya bari) is tarah pehnay kay usay apna badan nazar aaraha ho to is main bhi ishkaal hay albatta chehray ka jitna hissa wuzu main dhoya jata hay aur kalaiyoon tak haath aur takhnoo tak paaon ka laazmi hissa dhanpna zaroori nahin hay laikin ye yaqeen karnay kay liye kay us nay badan ki wajib miqdaar dhaanp li hay zaroori hay kay chehray ke atraaf ka kuch hissa aur kalaiyoon aur takhnoo say nichay ka kuch hissa bhi dhaanpay.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatllah Sistani(d.b.) edition #42, maslah #777,786).
[Updated on 23-Mar-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114091
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-24

Question: Salaam ,Agar billi kapro me sat jay yani touch ho jay to kya un kapdo me namaz hogi? Ya fir change karna hoga

Answer: Agar libas per billi k itne kam baal hon jisay nah hona shumaar kia jaey jaisay k 1 ya 2 ya 3 baal maujood hon to namaz durust hay.( or agar ziyada baal libaas per hoghe tu namaz nahe hoghe) (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #995).
[Updated on 24-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114270
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-04-19

Question: Mobile ko agr napak hath lag jae or wo jaib me ho to namaz hojati? Isi trah agr napak note jaib me ho to kia namaz hojati

Answer: Wo cheezen jo namazi ka libas shumar nahin hoteen. jese roomal, chabi, ya chaqoo ya is tarah ki cheezen jesa ke aap ne bayan farmaya. agar ye namazi ke pass hon to in ke sath namaz parhna jaiz hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #849).
[Updated on 19-Apr-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115139
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-06-22

Question: Billi k pishab se mutalliq namaz k liye kon se ehtiat lazim hai

Answer: Haram gosht janwer jaise billi k monh ya naak ka pani ya koe dosri ratubat namaz perhne wale k badan ya libaas per lagi ho, agar wo tar (gheeli) ho to namaz batil laikin agar khush ho aur is ki ain nijasat zaail ho gayei ho to namaz saheeh hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #80,813).
[Updated on 22-Jun-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115184
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-07-15

Question: Kya shorts pehna gunna hai

Answer: mardo k liay shorts pehenne se koi gunah nahin hota. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Mafhoom e Maslah #2397,2400).
[Updated on 15-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115454
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-07-15

Question: Ladies jins t-shirt me namaz padh sakti hai

Answer: zarori hai ke Aurat namaz ke waqt apna tamam badan hatta kay sar aur baal bhi dhaanpay aur aihtiyat-e-wajib ye hay kay apnay aap say bhi chupaaey, lihaza agar aurat chadar(choti ya bari) is tarah pehnay kay usay apna badan nazar aaraha ho to is main bhi ishkaal hay albatta chehray ka jitna hissa wuzu main dhoya jata hay aur kalaiyoon tak haath aur takhnon tak paaon ka laazmi hissa dhanpna zaroori nahin hay laikin ye yaqeen karnay kay liye kay us nay badan ki wajib miqdaar dhaanp li hay zaroori hay kay chehray ke atraaf ka kuch hissa aur kalaiyoon aur takhnoo say nichay ka kuch hissa bhi dhaanpay.aurat ke lie namaz me mardana libaas pehanna haram nahe hai or is se namaz batil nahe hote albatta ehtiyate wajib ki bina per ye jaaiz nahe ke aurat apne aap ko mard ke roop me dhaal le .
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatllah Sistani(d.b.) edition #42, maslah #777,786,833).
(Note: Jeans aur full t-shirt men namaz sahi hogi lekin half t-shirt men namaz sahi nahin hogi ).
[Updated on 15-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116244
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-12-01

Question: Kia aurtein blazer, shirt and pant pahenskte hai ?

Answer: Agar libaas tang ho aur shehwat ka sabab bane (jese ke is libaas se aurat ke ubhare hoye hisse zahir hon) to is tarah ka libas pehenna jaiz nahin hai, aur in ko chadar ya munasib aur khule howe coat ke zariye chhupana zaroori hai.
(Ref: Nigah Aur Libaas, pg #90).
[Updated on 02-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116428
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-09-16

Question: Pls mujay ya batai kay agar kapre pay janwar ki shakal bani wi hai to namaz parsaktay hai

Answer: Jee han, In kapron men Namaz saheeh hai. Albatta Fuqha e karaam is ko makrooh maante hain ke namazi ke libas par jandaar ke chehre ki tasweer ho. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition 42, Maslah #853).
[Updated on 16-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116499
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-10-30

Question: Assalamualaikum Warahmatullahi Wabarakatuhu, Suna hai kisi se ki mard apne gutne(Knee) se niche aur taqnoo se uper tak ka hissa chupana farz hai, Kya yeh sahi hai aur farz hai iska jawaab dijiye

Answer: Jee nahin, wajib nahin hai.(Ref: Tauzeeh ul Masail, Aayatullah Sistani(d.b), Edition #42, mafhoom e maslah #2397,2399,2400).
[Updated on 30-Oct-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120536
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-07-18

Question: Salamun Alaikum, Agar shirt pe Kisi Janwar (animal) ka logo ya print howa ho us me namaz parhna jaiz hai ya nhi?

Answer: Jee han, is shirt men Namaz jaiz or saheeh hai. Albatta Fuqha e karaam is ko makrooh maante hain ke namazi ke libas par kisi jandaar ke chehre ki tasveer ho.
(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition 42, maslah #852).
[Updated on 18-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120906
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-09-22

Question: Mardo ki satar chupane ka kia hukum hai? Kia aik mard shorts pehan sakta ha jo knees ke oper tak ho chota ? Aur wo pehan kr bahar jai

Answer: Mardon ka na-mehram ke saamne bhi agli or pichli Sharamgaah ke alawa baaqi badan chupana wajib nahin hai. lihaza wo shorts pehen sakte hain, or usi halat me baahir bhi jaa sakte hain
(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, before maslah #54).
[Updated on 23-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120910
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-09-22

Question: Mardo ki satar chupane ka kia hukum hai? Kia aik mard shorts pehan sakta ha jo knees ke oper tak ho chota ? Aur wo pehan kr bahar jai

Answer: Is sawal ka jawab de diya gaya hai.
[Updated on 23-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121687
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-02-27

Question: kya mard jersey ki panty pehen saktay hain

Answer: Jee han pehen sakte hain, Q ke mard ke liye zanana libaas pehenna aur aurat ke liye mardaana libaas pehenna Haram nahin hai, albatta ehtiyat-e-wajib ki bina par ye jaiz nahin hai ke mard apne aap ko aurat ke rang or roop main dhaal lay isi tarah baraks yani aurat apne aap ko mard ke roop main dhaal lay.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatllah Sistani(d.b), edition #42, maslah #833).
[Updated on 28-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123053
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-10-17

Question: Slam_un_alaikum!mera swaal yeh hai kay,kya intercaurse k baad k kapray (jis per koi discharge k nishan nahi han)ko kya dhoy bina paaki ki halatain pahna ja skta hai? Or us main nmaz prhi ja skti hai?

Answer: Agar yaqeen hai ke wo libaas najis nahin hua to usi libaas ko pehen kar usi me namaz parh sakte hain. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #115,119).
[Updated on 17-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print