Showing 0- 22 questions from 22 questions on this page.
Question: Aslam o alikum: sir mjy pochna tha kya islam ma biwi apny shohr ko khon (blood) dy sakte hy please bta dyn
Answer:
Jee haan, jaiz hay.(Ref:Tauzeeh ul masail maslah no 62 pg no 464)..
[Updated on 31-Dec-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Is ultrasound allowed in Islam?
Answer:
Jee haan bazat e khud ye jaiz hay (Ref: istiftaat a sistani i 17)
[Updated on 01-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aoa. Bacha dani left side hoi hai iska ilaj kya hai
Answer:
Allah se dua kare ke koi nuqsaan na ho or doctor se bhe ruju kare .
[Updated on 22-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: HOW MANY DAY WOMEN ARE PREGNANT AFTER SEX
Answer:
Doctor se rabta kare
[Updated on 23-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr aik admi ny peechy sy sex kia ho 4 sal bd kia wo DNA main aa jay ga or kia agy sy hi krny sy DNA main ata ya phr peechy sy b
Answer:
is maamale men doctor se ruju karen.
[Updated on 22-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salamun alaikum.. Kya hair fall k liye dawai bator biotin gummies ya tablets khana jayaz hai? Or agr halal biotin na mile to jo bazar m bikrha h wo biotin gummies kha skte hain?
Answer: Agar is dawae main koe haram ajzaa hay tu phir is ko kha nahi sakte. (Ref: https://www.sistani.org/persian/book/53/243/). [Updated on 29-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Bv apnay shohar sy hmbistri k bd usky boday usky hath Pao swallow ho jy to iska Kya mtlb hota hai uski ankhee b swallow man bra rhy bhook na lgy
Answer:
Is silsilay me aap doctor se ruju karen.
[Updated on 17-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: 5 month ma pait ma dard or pori body ma dard ka hony ke waja
Answer:
Is hawale se doctor ki janib ruju kiya jaye.
[Updated on 22-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: 5 month ma pait ma dard or pori body ma dard ka hony ke waja
Answer:
Is hawale se doctor ki janib ruju kiya jaye.
[Updated on 22-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aslam o alikum Kya dilvery k 7 din baad haml ther skta h
Answer:
Is hawalay se doctor se maloom kiya jaye.
[Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: السلام علیکم زور لگا کر پاخانہ کرنے کے کیا نقصانات ہے اور زور لگا کر پیشاب کرنے کے کیا کیا نقصانات ہے کیا ایسا کرنے سے منی پتلی ہو جاتی ہے
Answer:
Is sisilay me doctor se maloomaat li jaye.
[Updated on 27-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: larky banj q hoty hai
Answer:
Zanana banjh pan:
Khawateen ke tauleedi nizaam mein peda honay wali kharabiyan banjh pan ka baais banti hain.
Beza daani yani bacha daani, Fallopian tubes, Endocrine system, haiz ke amraaz, selan-ul-reham, kasrat tams Hormones ki satah mein kami beshi, pcos, std aur jimaa ke baad khoon ka aana, date missing bazariya herbconcept.com (error: unknown archive url) yani post coital bleeding banjh pan ki bunyadi ya saanwi wujoohaat ho sakti hain.
Bunyadi aur Saanwi banjh pan mandarja zail hain.
Bunyadi banjh pan:
Bunyadi banjh pan se muraad aisi kefiyat jis mein aurat ko kabhi bhi zindagi mein musalsal se azdawaji taluqaat qaim karne ke bawajood hamal kabhi thehra hi nah ho.
Saanwi banjh pan:
Saanwi banjh pan se muraad jab aik dafaa aurat ko hamal thehra ho lekin is ke baad koshish ke bawajood kabhi hamal nah thehra ho.
Zanana banjh pan ki tashkhees:
Zanana banjh pan ki behtar tashkhees ke liye khawateen ke harmons ka test yani progesterone level ka check karna is marz ki tashkhees mein madadgaar ho sakta hai. is ke alawa mubashrat se peda honay wali soozish ya kisi soozish ki muntaqili ka test bhi is marz ki tashkhees mein madad day sakta hai. is ke alawa beza daani ya fallopian tubes ka scan ya test bhi is marz ki shanakht kar saktay hain.
Zanana banjh pan ki wujoohaat:
Bacha daani mein mukhtalif naqais zanana banjh pan ka mujib ban satke hain bacha daani ki soozish aur waram ke baais nah sirf leucorrhoea yani silan-ul-reham ka marz ho sakta hai balkay amraaz haiz maslan kasrat tams (haiz ka zaroorat se ziyada aana) haiz ka rukawat ke sath aur shiddat dard se aana bhi laahaq ho saktay hain jis se banjh pan ka khadsha rehta hai Q mazkoorah baala amraaz hamal mein rukawat ka baais bantay hain.
Lagataar maan-e-hamal adwiyaat ka istemaal bhi banjh pan ke khatray ko janam deta hai.
Bacha daani mein rasuliyon ka peda ho jana aur cyst ka banna bhi zanana banjh pan ki ahem wajah hai.
(Ref: https://ur.wikipedia.org/wiki/%D8%A8%D8%A7%D9%86%D8%AC%DA%BE_%D9%BE%D9%86 ).
[Updated on 06-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya mani peny sa pragnet ho sakti hy larki
Answer:
Is silsilay me doctor se maloomat li jaye.
[Updated on 07-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aoa sir main lrki sy bt krty krty bht grm ho gya or mani ncklny wali thi pr ni.nckali ab us k.bd mjhy nafs sakht sakht rehta hy or dmagh m ajeb sa kch hota h or vo chota sa ho jata sakht. Is ka elaj
Answer:
Is me aap doctor se maloomat le ya elaaj karwaae
[Updated on 14-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aoa sir main lrki sy bt krty krty bht grm ho gya or mani ncklny wali thi pr ni.nckali ab us k.bd mjhy nafs sakht sakht rehta hy or dmagh m ajeb sa kch hota h or vo chota sa ho jata sakht. Is ka elaj
Answer:
Is me aap doctor se maloomat hasil kare ya elaaj karwaae
[Updated on 14-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamualaikum sir Mera nafs dhela rehta ,tehra or sukrao bht hai Maine musht zani pehly ki thi ab kie mahinoo se chor di or Mera right side ka testis chlty huye lgta hai jaise bara ho gya ho lkin ultrasound main SB Normal ata hai Kya main thk ho skta hon
Answer:
W.slm
Iss masle k lie kisi ache doc se rujo krein ya kisi ache hakeem k paas jae.
Jo pehle mushtzani ki hai uss k lie sache dil se parwardigar se toubah talab krein.
[Updated on 01-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Raat ko sotay wakt koi cheez apko touch karay or aap hil jul b na skain...iska kya matlab hai
Answer:
W.slm
Baaz aukaat aisa mehsoos hoa hai k kisi ne tightly pakar lia hai lekin koi bhi samne nhi hota to iss me pareshan nhi hona chahiye.
Aisi sorat me Sone k adaab ka khayal rkhna chahiye msln Ba Wadh ho k Ayatul Kursi ki tilawat kr k soya jae, Right side ki karwat pr soya jae etc..
Agr phr bhi musalsal aisa mehsoos ho to phr kisi ache Doctor se concern krlia jae..
[Updated on 02-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam. Muje r meri bv ko aik bemari he jis ka name thalassemia minor h. Doctors ne hamen btaya he k is ki waja se ap k bachay ko thalassemia major hos skta h pedaishu tor pr. Thalassemia major k bachy ko hr month blood lgana prta h ta keh wo zinda reh sky. Aur uski umr taqreeban 15 se 20 sal tak hoti h r phr death ho jati h. Mzeed pochne pr doctor ne smjhaya h keh hamal k wqt dosry month m aik test kia jata h maan ka , us se pta chal jata h k paida hone walay bachy ko thalassemia major hoga ya ni. Agr thalassemia major hoga to ap abortion krwa lena aur next bachy ki try krna shayad wo sehat mand paida ho. Hamara ap se swal he keh kia ham abortion krwa skty hen test report py agr aa jae keh paida hone wala bacha thalassemia major k sath hoga. Aur is trah abortion krwa k sehatmand bachy k liay try krty rahen.
Answer:
W.slm
Jb tak maa ki zindagi ko khatra na ho Abbort krana jaiz nhi hai aur jis condition ko apne btaya hai uss sorat me cho k maa ki zindagi ko khatra nhi hai lehaza iss me bhi abortion jaiz nh hoga..
Khuda apki mushkilat asan farmae aur apki parshanio ko door farmae..
[Updated on 07-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Bacha aik sal 8 mahine ka Hy Maa ne Bache ka dodh churwa diya Hy Agr galti se 10 din bad bacha dodh pi lay koi Masla to ni kyn ke Kuch log kehte Hain wo ruka Huwa dodh zehar ban jata hy
Answer:
Note .Iss me koi sharan mumaniat nhi hai..
Albatta iss hawale se doc se rujo krein
[Updated on 07-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: mujy pregnant howe 1 maheena howa hai main naraz ho kar aai hoi hun apne susral se ... ab main dawai ly rahi hun tu khuwab main dekha maine ke main goli leti tu aik dam se phansi wale phande pe latka dety hai kuch log mujy waha likh hota 1*10 ke 10 mint main moat tu main darr jati hun aur aankh khul jati hai ....
Answer:
Pregnant hone k baad isqaat e hamal jaiz nahi he.magar ye khoof ho k keh hamal ka baaqi rakhna aurat ki zindagi k liay nuqsandah hay tu hamal main agar jaan nah perhi ho tu isqaat jaiz hay,laikin hamal main jaan perhnay k baad bachchay ka zaya kerna jaiz nahi hay. Aur agar maa khud bachay ko zaya karay to o ski diyat sohar ya doosray warsa ko de. Aur agar bap hamal zaya karay to zurari he k maa ko diyat de
(Ref : Tauzeeh ul Masayl Ayatullah Sistani (d.b.) jaded masayl ,masla # 73)
[Updated on 22-May-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamualaikum,sir mai 19 sal ka hu mujhay ihtilam bht kam hota hai taqriban sal mai aik martaba b nahi hota hai .to kia koi bimari to nahi ha
Answer:
Doctor se maloom karen.
[Updated on 31-May-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr bacha Paidaish k bad kuch din maa ka doodh pia r phr chor da r doubara 10 mah bad doodh pina shro kar da to issa pina sa bachy ki sehat pa koe bura asr to ni ho ga???
Answer:
Doctor se maaloom kiya jaye ke doodh bache ke liye muzir hai ya nahin.
[Updated on 03-Jun-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]