Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Nikah Parhne Ka Tareka (30 Questions)


Showing 0- 30 questions from 30 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
9813
Mujtahid:
Date: 2018-06-03

Question: mei ak lrkay sa pyar krti hon hum na ak dinbeth k Allah or nabi pak ko apna gahwa bana k nikah kr lia. mene arbi mei pucha k mei tm ko khud py mehram krti hon us na kaha qabolto kia hmra nikah ho gaya?

Answer: G nahi ye nikah sahi nahi hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2335-2341).Update on dated 18-11-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id:
12615
Mujtahid:
Date:

Question: Kya larka aur Larki donon razi hon aur wo ALLAH ko gawah mantay huway aik dosray kay k nikah main dil say qabool karain to kya nikah ho jata hah ya nae ?

Answer: Is terah se nikah nahi hota. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #). Update on dated 03-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
47885
Mujtahid:
Aytullah sistani Date:

Question: Aslam o alaikum , Mera sawal hain k kia ek baligh lardki or larka khud apna Nikaah para saktain hain ?Agar han to us kay kia ehkamat hain?

Answer: Agar aurat aur mard khud daimi nikah ka seegha padhe to maher moyyan karnay k bad pahele aurat khe : "zawwjtoka nafsi als sidaqil maaloom" yaani me ne is maher par jo moyyan ho chuka he apne aap ko tumhari biwi banaya aur is k lamhe bhar bad mard kahe : "qabiltuz tazweeja" yaani me ne izdawaj ko qabool kiya, to nikah sahih he aur isi tarah agar faqat "qabilto" kahe tab bhi nikah sahih he. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2328). Update on dated 03-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
92751
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2018-10-25

Question: A.o.a sir m shia syed frm pakistan.sir mera sawal ye hy k mera start se he ye mind tha k aik syed larki ka gher syed se nikah jayez nhi hy.or ye mjy mery ghar walun se concept mila par mera contact aik larky se ho gya jo k syed nhi tha or hmara relation bht zeda ho gya sirf fone ki had tak wo mujh se shadi krna chahta tha but mn dil mn razi nhi hti thi just isliye k wo syed nhi sec mery abu or dada ki death ho chuki hy mn apny mamu k pas rehti hn or ye wja b thi k mamu log kabhi nhi many gy he said k shia maslak mn seeghy par k nikah ho jata hy mn uski batun ko mazak samjha but mn usk kehny py seeghy par liye par mn such mn nhi janti thi k aisy niakh ho jata hy or us waqt b mery mind mn yehi tha knsa nikah ho gya hy phr usk bad wo mulk se bahir chala gya mera contcy khtm ho gya or meri shadi ho gae or mn seeghun wali bat bilkul bhol gae or ab mery do bachy hn or us larky ny mery se rabta kia hy k mn uski bv hn shrayi lehza se or bachy b halal nhi hn mn mjy us ny allam logo k msgs send kiye k they said mn usk nikah mn hn par mjy bilkul b ilam mhi tha mn ab bht paryshan hn k mn apny husband sth bht happy hn par is bat py bht paryshan kindly meri rehnumyi ki jaye mn apny husband ko b nhi bta skti even kisi k sth share b nhi kr skti meri help ki jaye shukria

Answer: Aap ka nikah us larke k sath nahi huwa kion ke ap ne mazaq men seeghe parhe they to qasd e insha nahi huwa.
Nikah parhne men ek shart ye he ke Mard or aurat ya unka wakeel sigha parhte waqt qasd-e-insha rakhte hoon (matlb ye niyat ho k abhi nikah ko eejad ker rahe hen) (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2335)

[Updated on 25-Oct-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
92775
Mujtahid:
Date: 2018-10-23

Question: A.O.A Meri sis ki hm shadi krna chahte the.mgr us ne hmen btaya ke wo jis lrke ke sath shadi ki khwahish rkhti thi.us lrke or meri behan ne Allah or Rasool pak(s.a.w) ki zat ko hazir o nazir jan ke aek dosre ko miyan bv qabool kya tha.main ye janna chahti hon ke kya ye nikah hy.or Quran.o.Hades main is bare main kya frmaya gya hy.plz is bare main koi rehnomai karen.

Answer: Is terah nikah nahi hota. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2328-2335,2341,2342)
[Updated on 23-Oct-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
92825
Mujtahid:
Date: 2018-10-29

Question: Kia shia larky ki shadi sunni larki k sath ho sakti hai??

Answer: Was Salam. Jee is main koe haraj nahi hay, nikah ho sakta hai albatta lazim hay k shia wala nikah har sorat main perha jaey Q k shumaar jo hoga wo faqat shia wala hi hoga.Q k sunni nikah main wo sharaet nahi hoti jo aik shia nikah k liay zaroori hain.(Ref:Tauzaaeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 2335). Update on dated 08-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
[Updated on 29-Oct-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
93441
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2018-12-01

Question: KYA LADKI AGAR 2 LOGO K SAMNE KISI LADKE KO SOHAR TASLIM KARE TO NIKAH HOJATA HAI ?

Answer: Jee nahi is tareekay say nikah nahi hota nikah ki kuch sharaet hain jin k mutabiq amal kia jaey tu nikah ho jata hai un sharaet k liay ruju karein. (Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 2335).
[Updated on 01-Dec-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103250
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date: 2020-01-31

Question: A. A mera sawal yeh ha ky agr larki ka name sahi bola jaye or larki ky waled ka nam galt bol ho jaye molvie sy... Jab ky larky ka name or larkye ky bap dono ka nam sahi bolye molvi to kia nikah jaiz ha???

Answer: Nikah k sahi hone k liay larki or larke k walid ka naam zarori nahi hay. bas ye zarori hay k ye irada ho keh is larki ka os larke se nikah kia jaa raha hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail, edition#42, maslah#2335).
[Updated on 31-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103358
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-01-24

Question: Kya Allah ko gawah bna kar nikkah karna apas mei jaiz hai? Ta k zina say bacha ja skay aur logo ko na btaya jay? Sirf Allah lo raazi karny ki neeyat say kia gaya ho

Answer: Jee nahi، is tareeqay sai nikah durust nahi hoga. Nikah ki agar sharait poori hon tou nikah durust ho jaayega jese nikah k seeghay parhay jaaye, or agar larki kunwari ho tu larki k wali (baap ya dada) ki ijaazat ho wagaira.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2335,2341).
[Updated on 24-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
107806
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date: 2023-08-04

Question: Myra swal ye hay k agr lrka lrki aik dousry ko dil sy qaboul kr lyn 3 bar qaboul hy bhi keh lyn.. to kia wo aik dousry ko shohar or bevi ka haq day skty hain?

Answer: G nahin, Is tarah se nikah nahi hota.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2328-2335,2341,2342).
[Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
108411
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-06-26

Question: Nikah kin padwa sakta Madarse se koi b ya sirf quazi?

Answer: Nikah parhane k liye qaazi ka hona zaroori nahi hai aap madressa k kisi taalib e ilm sai bhi parhwa sakte hai bashart ye k wo aaqil ho, sahi arabic mai seeghay adaa kar sakta ho.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2335).
[Updated on 26-Jun-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
108803
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-07-06

Question: Agr lrki ky walid or dada intqal kr gy ho to phir kya lrka lrki ko tanhai my AllH ko guwah bna ky ussy apny nikkah my ly lyto kya nikkah ho jai ga?? Plz apky jwab ki bhtt zrourt h plz

Answer: agar larki k wali (baap ya dada) moujood na ho or nikah tamaam sharait k saath kia jaaye tou nikah durust hoga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2341,2335).
[Updated on 07-Jul-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
109196
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-07-27

Question: Agr sunni lrka shia lrki se shadi k baad shia hone k lia tayar ho tau kia us se nikkah krna jaiz hai?

Answer: jee nikah kia jaa sakta hai..(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus Saliheen,Part#3, Maslah#215 )
[Updated on 27-Jul-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
109596
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-08-07

Question: Nikkah aik Maulana parha sakte hain? Aur seeghe konsi kitaab main likhe hain?

Answer: jee bilkul nikah mai aik wakeel moayyan kia jaa sakta hai jo dono ki taraf sai nikah parhaaye.
nikah k seeghay kitaab "namaz e jafferia" naami kitaab mai mil jaayen gay jo k urdu zubaan mai moujood hai.
agar nikah e daaimi aik maulana parhaye tou is tarah parhaaye ga
انکحت موکلتی موکلی علی المھر المعلوم
قبلت النکاح لموکلی علی المھر المعلوم
(Ref:tauzeeh ul masail aaytullah seestani edition 41 maslah no 2332).
[Updated on 07-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110152
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-12-22

Question: Assalamualaikum agr larki ka bap dada zinda na hon to us k lye kisi ki ijazat zrori hai #Q2 kia larki larka khud seegha parh lein to mutta jaiz hai ya molvi sb ka hona zrori hai

Answer: Jee han, nikah ka seegha khud bhi parh saktay hain. aur kunwari larki ka baap or dada zinda nah ho tu phir nikah k liay kisi se ijazat lene ki zarorat nahi hay.(Ref: Tauzeeh ul masail, aayatullah seestani, edition 41st, mafhoom e maslah #2328,2341).
[Updated on 23-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110991
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-02-03

Question: Molana Sb mera mera sawal he kh jb ik dfa Muttah ki mudat khatm ho jay to dubara pora sigha prhna lazim he ya again mudat ki niat ki jay gi.

Answer: jis aurat k saath kise nay mutah kia tha or mutah ki muddat (yani mutah ka agreemant duration ) khatam hogahe ho tu agar yehe mard is aurat se dobara mutah karna chata hay tu dobara mutah ke sahe seghe ( yani alfaaz perhna ) perhna zarori hay.or srif niyat kafi nahe hay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#2396,2328).

[Updated on 03-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111415
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-11-09

Question: Asalam o ailkum. Mey ye pochna chahty ho ke me sunni ho aur mera nikah chup ker ek shia larkay se howa hay wo bhi sunyun walay tareqay se. Molvi ki majodgi me lakin beghair koi gawah ke. Molvi sahb ne nikah krwaya haq mehr wagara sab kiya. Per ye nikah jaiz hay ya nhi ha?

Answer: Baap ya dada ki ijazat k baghair ghair khud mukhtaar kunwari lerki nikah nahi ker sakti. (Ref: Ayatullah sistani(d.b), Tauzeehul masail, 31th edition, maslah #2341)
[Updated on 09-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111893
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-28

Question: Slam mari 2 mah tak shadi hai 3 mah pahlay mari mangaitar sai phone pai bat shuru hui is dar sai kai koi gunah na ho ham nai aik molvi sahib sai kah kai phne pai mashroot nikah kr lia hai larki ka bap foat ho chuka hai aur daday abu sai banti nahi hai kia mara nikah jaiz hai aur kia main ami aur dada(jin sai family ki nahi banti)sai milnay ki ijazar zarori hai

Answer: Agar kunwari larki ka baap zinda nah ho aur kisi wajah se dada se ijazat lena mumkin na ho tu phir nikah k liay kisi se ijazat lene ki zarorat nahi hay. aur maan, bhai ki bhi ijaazat ki zaroorat nahi hai nikah hosakta hai.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani, edition 41st, mafhoom e maslah #2341).
[Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112449
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-01-08

Question: Agr lrka lrki apas me aik dsry sy poch lan or dono qubool b krlan k hmen niqah qubool ha to kia niqah hojay ga ?

Answer: jee nahi is tarah ka nikah durust nahi hoga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2335).
[Updated on 08-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112450
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-01-08

Question: Or agr mazaq me lrka lrki k apas me iqrar krny sy niqah hojata ha to dbra ksi or sy niqah k lye kia hukam ha ?

Answer: Maktab e jafferia mai mazak mai nikah nahi hota. is ki chand sharaet hain. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2335).
[Updated on 08-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115731
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-04-10

Question: Assalam-u-Alaikum mjay apsay yay janna tha k agr aik larka aur larki Allah Tallah ko hazir nazir jan kr aik doosray ko khawand aur zoja kabool kr laitay hain bakaida apni zuban say iqrar krtay hain to is k baray mai kya hukam hoga

Answer: Is tarah (mard or aurat ka Allah ko hazir o nazir jante hue aik dosre ko miyan or biwi kabool kar lene ya zaban se iqraar kar lene ) se nikah nahin hota.
Nikah men chand sharten hoti hain jin ki pabandi karna zaroori hoti hai. or agar in sharaait ki pabandi na ki jaye to nikah hi durust nahin hota. jaise ke agar larki kunwari ho tu nikah ke liye larki ke wali yani baap ya dada ki ijazat ho, or dono larki or larka khud bhi raazi hon, or nikah men seeghay (nikah ke bol) parhne hote hain or zaroori k seeghay Sahi arabi mai adaa kiye jaayen, or nikah ki deegar sharait moujood hon to hi nikah durust hoga warna nahin.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2335,2341).
[Updated on 11-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116079
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-01-17

Question: Nikah khwan larki waley latey hain ya larke waley?

Answer: 1: Izdiwaaj khawah daimi ho ya ghair e daimi is mein seegha (nikah ke bol) parhna zaroori hai. Aurat aur mard ka mehaz razamand hona aur isi tarah (nikaah nama) likhna ehtayaate- waajib par kaafi nahin hai. Nikaah ka seegha ya to aurat aur mard khud parhte hain ya kisi wakeel ko muqarrar kar lete hain takeh woh un ki taraf se parh de.

2: Aqd e daimi ya aqd e ghair e daimi ka seegha parhne ke liye aik shakhs do ashkhaas ki taraf se wakeel ban sakta hai. Aur insaan yeh bhi kar sakta hai keh aurat ki taraf se wakeel ban jaaye aur us se khud daimi ya ghair e daimi nikaah kar le lekin ehtayaat-e-mustahab (behtar) yeh hai keh nikaah do ashkhaas parhen.
3: Nikaah ke liye wakeel (nikah khwan) muqarrar karna zaroori nahin hai balke mard aur aurat khud bhi nikah ke seeghe parh sakte hain lekin agar kisi ko wakeel muqarrar karna chahen to koi haraj nahin hai, kar sakte hain. Ab wo larki walo ke taraf se ho ya larke walon ki taraf se is men aap ka ikhtiyar hai Q ke shareat ne nahin bataya ke ke kis ki taraf se ho.albatta larka or larki ko iqteyaaar hay ke apna nikah perhne ke lie wo jis ko chaie apna vakeel yani nikah perhne wala muqarrar kare or apna nikah perwane ke lie vakeel bane ki zimmedaare kise or ko bhi desakta hay .
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Mafhoom e Maslah #2328,2332,2335).
[Updated on 18-Jan-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116281
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-27

Question: Hafiz shahb ho word use krte h nikhaa krate time kya ap vo words type kr skte ho plzzz

Answer: Agar aurat aur mard khud daimi nikah ka seegha parhe to maher moyyan karnay k bad pehle aurat kahe : "zawwjtoka nafsi als sidaqil maaloom" ( زَوَّجْتُكَ نَفْسِي عَلَى الصِّدَاقِ الْمَعْلُوْم ) yaani me ne is maher par jo moyyan ho chuka hai apne aap ko tumhari biwi banaya aur is k lamhe bhar bad mard kahe : "qabiltuz tazweeja" ( قَبِلْتُ التَّزْوِیجَ ) yaani me ne izdawaj ko qabool kiya, to nikah sahih hai aur isi tarah agar mard faqat "qabilto" ( قَبِلْتُ ) kahe tab bhi nikah sahih hai.
Lekin agar nikah e daaimi aik maulana parhaye tou is tarah parhaaye ga. pehle aurat ki janib se kahe : "ankahto muwakkelati muwakkeli alal mhril maloom " (أنْكَحْتُ مُوَكِّلَتِی مُوَكِّلَي عَلَى الْمَھْرِ الْمَعْلُوم) phir mard ki janib se kahe : " qabiltun nikaha limuwakkeli alal mhril maloom " (قَبِلْتُ النِكاحَ لِمُوَكِّلِي عَلَى الْمَھْرِ الْمَعْلُوم).
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Mafhoom e Maslah #2328).
[Updated on 27-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120392
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-06-12

Question: online nikah ki kia sharten hen ager kisi ne phone per nikah kerna hu tu kesy krega? ager lrka or lrki phone per nikah k seeghy parh len tu kia nikah hojyga

Answer: 1: Phone ke zariye jo nikah kiya jaye us men bhi wo tamam sharait hoti hain jo sharaait saamne beth kar kiya jaye us men hoti hain.
2: Phone par bhi nikah ho sakta hai lekin In sharait ko poora kiye baghair aik larka or larki aik doosre par halal nahin hote.
3: Azdewaj khawah daaemi ho ya ghair daaemi is mein seegha (nikaah ke bol) parhna zaroori hai. Aurat aur mard ka mehaz razamand hona aur isi tarah (nikaah nama) likhna ehtayaat-e-waajib par kaafi nahin hai. Nikaah ka seghaa ya to aurat aur mard khud parhte hain ya kisi wakeel ko muqarrar kar lete hain takeh wo un ki taraf se parh de.
4: Agar aurat aur mard apne daa’emee nikaah ka segha padhen to mehar muayyin karne ke baad pehle aurat kahe “zawwajtoka nafsi alas sidaaqil maaloom” yani main ne is mehar par jo muayyin hua hai apne aap ko tumhaari biwi banaya aur us ke lamhay bhar baad mard kahe: “qabiltut tazweeja” yani main ne azdoaaj ko qubool kiya to nikaah sahi hai. Aur isi tarah agar faqt "qabilto" kahe tab bhi nikaah sahi hai. Aur agar woh kisi dusre ko wakeel muqarrar karen ke un ki taraf se seegha e nikaah parh de to agar misaal ke taur par mard ka naam ahmed aur aurat ka naam fatema ho aur aurat ka wakeel kahe ““zawwajto muwakkelaka ahmada muwakkelati fatemata alas sidaaqil maaloom” aur is ke lamhay bhar baad mard ka wakeel kahe “Qabiltut tazweeja le muwakkeli ahmada alas sidaaqil maaloom” to nikaah sahi hoga.
5: Nikah ki sharayet me hain ke. 1. Ehtiyaat wajib ye he k Nikah sahi Arabi men parha jaye,or agr khud mard or aurat sighah arabi main na perh saktay hon ( or book se daikh kar bhi sahe nahe perh sakte hon) to arabi k ilawa kisi dosri zaban main perh sakte hain or kisi ko wakeel banana lazimi nahin hai. 2. Mard aur aurat ya in ke wakeel jo keh seghaa parh rahe hon woh “qasde insha’” rakhte huye yani agar khud mard aur aurat segha parh rahe hon to aurat ka “zawwajatoka nafsi” kahna is niyyat se ho keh khud ko us ki biwi qarar de aur mard ka “qabiltut tazweeja” kehna is niyyat se ho keh woh us ka apni biwi banna qabool kare. Aur agar mard aur aurat ke wakeel seegha parh rahe hon to “zawwajto” aur “qabilto” kehne se un ki niyyat yeh ho keh woh mard aur aurat jinho ne unhein wakeel banaya hai aik dusre ke miyan biwi ban jaayen. 3. Jo shakhs seegha parh raha ho zaroori hai keh woh aaqil ho aur agar apne liye parh raha ho to baaligh hona bhi zarori hai. Balkeh ehtayaat-e-waajib ki bina par na-baaliigh mammayez bachche ka dusre ka nikaah parhna kaafi nahin hai. Aur agar parh de to talaaq dena zaroori hai ya dobarah nikaah parhen. 4. Agar aurat aur mard ke wakeel ya un ke sarparast seghaa parh rahe hon to woh nikaah ke waqt aurat aur mard ko moyyin kar len. Maslan un ke naam len ya un ki taraf ishara Karen. Lehaaza jis shakhs ki kayee larkiyaan hon agar woh kisi mard se kahe “zawwajtoka ihde banati” yani main ne apni betion mein se ek ko tumhaari biwi banaya aur woh mard kahe “qabilto” yani main ne qabool kiya to chunkeh nikaah karte waqt larki ko moyyin nahin kiya gaya is liye nikaah batil hai. 5. Aurat aur mard izdewaj par raazi hon. Han! Agar bazaahir na-pasandeedgi ka izhaar Karen aur maloom ho keh dil se raazi hain to nikah sahi hai. 6. Kunwari (virgin) larki jo khud mukhtiyar nah ho tu wo os waqt tak nikah nahin ker sakti jab tak lerki ka wali (yani Baap ya Dada) lerki ko nikah ki ijazat nah day day or jo larki khud mukhtar ho wo ehtiyaat e wajin ki bina par yehi hukum hy k apny walid ya dada sy ijazat lay.
(Ref: Tauzeeh ul masael, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2328,2333,2335,2341. + Jadeed fiqhi masail, topic izdewaji zindagi, maslah #422).
[Updated on 13-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120422
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-06-15

Question: Mutaa k lye wife sey ijazat Lena zaruri he. Mein khud parhna ho to kia parhengey Sigha bhej dein. Christian k sath mutaa karna he.

Answer: 1: kisi musalman aurat se nikah e daimi ya nikah (muta) karne ke liey pehli biwi ki ijazat laina zaroori nahin hai.
2: Nikah e Muttah ki sharayet me hain ke. 1. Ehtiyaat wajib ye he k Nikah sahi Arabi men parha jaye, or agr khud mard or aurat sighah arbi main na perh saktay hon ( or book se daikh kar bhi sahe nahe perh sakte ho) tu arabi k ilawa kisi dosri zaban main ( masalan urdu,english wagaira me ) perh sakte hain or kisi ko wakeel banana lazimi nahi ha. 2. Sigha parhne wala aqal-mand ho or agar khud apne liye parh raha ho to baligh bhi hona zurari hai, 3. Mard or aurat or uska wakeel sigha parhte waqt qasd-e-insha rakhte hon (matlb ye niyat ho k abhi nikah ko eejad ker rahe hen) 4. Nikah Mutta parhne se pehle Muta ki muddat or Meher taey kerliya jaey. 5.( nikah ke sighe ke aeraab or sahe arabi talaffuz karna na zarori hay ot nikah ke sighe tuiziulmasail se daikh kar bhe perhsakte hay ,hawale niche dea ghe hya ) Pehle Orat kahe (زوجتک نفسی فی المدۃ المعلومۃ علی المھر المعلوم) (Zawwajtoka nafsee fil muddatil ma’loomati alal mahril ma’loom) Or os k baad mard foran kahe (قبلت) (qabiltu) tu nikah ho jayga. (arabi seegho ka urdu terjuma mehar or muddat muta moiyan karne ke baad phele aurat, mard se mukhatab ho kar khe : me apne aap ko tumhaare zojiyat me deti ho (yani nikah mutah me dete ho ) is mudddad maloom me is mehar moiyan per is ke furan baad mard khe : me is nikah muta ko apne lie qabool karta ho.
3: Yahodi or essaii aurtoon se mutah karne main koe haraj nahin or ehtiyaat e lazim ki bina per on se daaimi nikah nah kiya jaey.
Albatta wo mard jis ki biwi musalman ho wo apni biwi ki ijazat k baghair yahodi ya essaei se nikah e muaqqat (yani mutah) nahin kar sakta balke ehtiyaat e wajib ki bina par us (biwi) ki ijazat say bhi in se nikah e muaqqat (yani mutah) jaiz nahin.

(Ref: Mihaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #3, maslah #200,202. + Tauzeeh ul masail, Edition #42, Maslah #2334,2335,2362).
[Updated on 15-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121626
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-02-07

Question: Aslam o alikum ma yeah janna cahti hun ka ma na ak larky ka sath nikha kia ur nikha us ka kisi dost na parhaya tha 2 gawahan ke mojodgi mai haq mehar ka sath kya hamara nikah ho gaya

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

Nikah ki Sharaait:
1: Ehtiyaat-e-waajib ki bina par nikaah ka sighah (jumla) arabi mein parha jaaye.
2: Nikah parhne (ya parhanay) wala qasd e insha rakhta ho. yani nikah parhnay ki niyat se sighah kahay.
3: Nikah parhne (ya parhanay) wala zaroori hai ke aaqil ho yani pagal nah ho. or ehtiyaat e wajib ki bina par na-baligh bhi nah ho.
4: Nikah parhne (ya parhanay) wala nikah ke waqt mard or aurat ko muayyen (nominate) karay. maslan unka naam le ya unki taraf ishara kare.
5: Mard or aurat ke nikah par raazi hon.
6: Kunwari or rasheeda larki ke baap ya dada ka is nikah par raazi hone ka ilm ho. balkeh agar larki apni zindagi ke kamon ko khud mukhtari ke saath anjaam daiti ho tab bhi ehtiyaat e wajib ye hai ke baap ya dada se ijazat li jaaye. Agar in sharaait ka khayaal nah rakha jaaye to nikah sahi nahin hoga.
7: Larkay ko nikah liye kisi se ijazat lena zarori nahin hai.
8: Nikah me gawah ki zarorat nahin hoti.
9: Agar aurat aur mard khud daimi nikah ka sighah parhe to meher muayyen karne ke bad pehlay aurat kahe: "zawwajtuka nafsi alassidaqil maaloom" yaani mene is meher par jo muayyen ho chuka hai apne aap ko tumhari biwi banaya aur is ke lamhe bhar bad mard kahe: "qabiltut tazwija" yaani me ne izdewaj ko qubool kiya, to nikah sahi hai aur isi tarah agar faqat "qabilto" kahe tab bhi nikah sahi hai. (sahi arabi ibarat ke liye kitab me dekh liya jaaye).

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2333,2335,2341).
[Updated on 07-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121962
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-04-11

Question: Aoa Daimi nikkah phrany ky waqt knse Dua phre jte hy ?. R mutta nikkah ky waqt knse dua phre jte hy ? Dno seegha dua bta dian please. R in mn duon mn farq bh Aur agr kse ki niat daimi nikakh ki ho aur unhain lgy unho ne muuta nikkah wli dua phre hy lkn bqi sra tariqa daimi nikkah wla ho to knsa nikkah hota hy?

Answer: 1: Agar aurat aur mard khud nikah e daimi ka seegha parhna chahen to meher mauyyen karne ke baad pehle aurat kahe: "zawwjtoka nafsi als sidaqil maaloom" (زَوَّجْتُكَ نَفْسِي عَلَى الصِّدَاقِ الْمَعْلُوْم) yani me ne is meher par jo mauyyen ho chuka hai apne aap ko tumhaari zaujiyat me deti hon, aur is ke lamhe bhar bad mard kahe: "qabiltuz tazweeja" (قَبِلْتُ التَّزْوِیجَ) yani me ne izdawaj ko qabool kiya, to nikah sahi hai aur isi tarah agar mard faqat "qabilto" (قَبِلْتُ) kahe tab bhi nikah sahi hai.
2: Agar aurat aur mard khud nikah e mutah ka seegha parhna chahen to nikah ki muddat aur meher mauyyen karne ke baad pehle aurat kahe: "zawwajtoka nafsi fil muddatil maaloomati alal mahril maaloom (زَوَّجْتُكَ نَفْسِي فِی الْمُدَّۃِ الْمَعْلُوْمَۃِ عَلَی الْمَھْرِ الْمَعْلُوْم) yani me is muddat maloom me is meher mauyyen par apne aap ko tumhaari zaujiyat me deti hon, is ke baad mard fauran kahe: "qabilto" (قَبِلْتُ) to nikah sahi ho jaye ga.
3: Jee han in dono seeghon me farq hai aur agar koi jan bhooj kar ya bhool kar ya gaflat ki bina par ya galati se nikah e daaimi ki jagh nikah e muttah ke seeghe parh lay to nikah e muttah bhi sahi nahin hoga aur nikah e daaimi bhi sahi nahin hoga. (yani dono nikah baatil ho jayen gay).

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2333,2334. + Mihaj us Saliheen, part #3, maslah #243).
[Updated on 11-Apr-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122101
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-05-18

Question: 5 sal Pele Meri sis ny kzn k sath nihka k bol bole tay call py or unko ab dono ko thk se yad ni k aisaaa kch hua ta k ni larkay ki shadi ho gae hai kahen or

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

1: Nikah ki chand sharaait hain agar nikah ke waqt ye tamam sharaait maujood theen to hi nikah sahi shumar hoga, lekin agar nikah ke waqt in sharaait me se koi bhi aik shart ya saari ki saari sharaait maujood nah hon to nikah sahi nahin hoga.

2: Nikah ke sahi hone ki surat me bhi Mard to dusri ya teesri shadi kar sakta hai Q ke mard aik waqt me chaar nikah kar sakta hai lekin aurat aik waqt me aik hi nikah kar sakti hai Q ke aurat agar kisi ke nikah me ho to us ke liye kisi aur se nikah karna haram hai.

3: Nikah ki Sharaait:
1: Nikah me seegha (yani nikah ke bol) parhna zaroori hai. Aurat aur mard ka sirf razamand hona aur isi tarah (nikaah nama) likhna ehtayat e wajib ki bina par kaafi nahin hai.
2: Ehtiyaat-e-waajib ki bina par zaroori hai ke nikah ka seegha (jumla) arabi mein parha jaaye.
3: Nikah parhne wala qasd e insha rakhta ho. yani nikah parhnay ki niyat se nikah ka seegha kahe.
4: Nikah parhne wala zaroori hai ke aaqil ho yani pagal nah ho. aur ehtiyaat e wajib ki bina par na-baligh bhi nah ho.
5: Nikah parhne wala nikah ke waqt mard or aurat ko muayyen (nominate) karay. maslan unka naam le ya unki taraf ishara kare.
6: Mard or aurat ke nikah par raazi hon.
7: Nikah ke liye Larkay ko kisi se ijazat lene ki zaroorat nahin hai. lekin Kunwari (virgin) larki jo khud mukhtiyar nah ho to wo us waqt tak nikah nahin kar sakti jab tak larki ka wali (yani Baap ya Dada) larki ko nikah ki ijazat nah day day, aur jo larki khud mukhtar ho to bhi ehtiyaat e wajib ki bina par yahi hukum hai ke apne wali (baap ya dada) se ijazat lay.
8: Agar aurat aur mard khud nikah e daimi ka seegha parhna chahen to meher mauyyen karne ke baad pehle aurat kahe: "zawwjtoka nafsi als sidaqil maaloom" (زَوَّجْتُكَ نَفْسِي عَلَى الصِّدَاقِ الْمَعْلُوْم) yani me is meher par jo mauyyen ho chuka hai apne aap ko tumhaari zaujiyat me deti hon, aur is ke lamhe bhar bad mard kahe: "qabiltuz tazweeja" (قَبِلْتُ التَّزْوِیجَ) yani me ne izdawaj ko qabool kiya, to nikah sahi hai aur isi tarah agar mard faqat "qabilto" (قَبِلْتُ) kahe tab bhi nikah sahi hai.

(Ref: Tauzaaeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2328,2333,2335,2341,2366).
[Updated on 18-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122546
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-07-23

Question: Agr ek larki nikkah k wqt Apne baap ki jaga khalu k nam pr nikkah kre tu kia nikkah hoga or agr aulad hui tu kia wo jaiz hai?

Answer: Agar nikah ke waqt kunwari larki ka wali (yani baap ya dada) maujood (hayat) ho aur larki ne bhi nikah ke liye apne wali se ijazat li ho to chahe khaalu ke naam par nikah kare koi haraj nahin hai, nikah sahi hai aur aulad huei to jaiz hogi.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2335,2341)
[Updated on 24-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123303
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-11-19

Question: اگر کوی لڑکی کہے کہ میں تمہاری ہوی اور لڑکا قبول کر دے تو اس سے نکاح ہو جاتی ہے؟

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

Fiqh e jafferiya ke mutabiq, Is tarah nikah nahin hota, balke agar nikah me darj zel saari ki saari sharaait payei jayen to nikah sahi hota hai warna hain.

1. Nikah mein seegha (nikaah ke bol) parhna zaroori hai. Aurat aur mard ka sirf razamand hona aur isi tarah (nikaah nama) likhna ehtiyaat-e-waajib par kaafi nahin hai. Nikaah ka seeghaa ya to aurat aur mard khud parhte hain ya kisi wakeel ko muqarrar kar lete hain taakeh wo un ki taraf se parh day.
2. Ehtiyaat-e-waajib ki bina par nikaah ka seegha arabi mein parha jaaye aur agar khud mard aur aurat seegha arabi mein na parh sakte hon to arabi ke alawa kisi dusri zabaan mein parh sakte hain aur kisi shakhs ko wakeel banana laazim nahin hai. Albatta unhein chahiye keh woh alfaaz kahen jo “zawwajto” aur “qabilto” ka mafhoom ada kar saken.
3. Mard aur aurat jo keh seegha parh rahe hon woh “qasd e insha’” rakhte hon yani agar khud mard aur aurat seegha parh rahe hon to aurat ka “zawwajatoka nafsi” kehna is niyyat se ho keh khud ko us ki biwi qarar de aur mard ka “qabiltut tazweeja” kehna is niyyat se ho keh woh us ka apni biwi banna qabool kare.
4. Jo shakhs seegha parh raha ho zaroori hai ke woh aaqil ho aur agar apne liye parh raha ho to baaligh hona bhi zaroori hai. Balkeh ehtiyaat-e-waajib ki bina par na-baaliigh mummayez bache ka dusre ka nikah parhna kaafi nahin hai. Aur agar parh day to talaaq dena zaroori hai ya dobarah nikaah parhen.
5. Aurat aur mard nikah par raazi hon. Han! Agar bazaahir na-pasandgi ka izhaar karen aur maloom ho ke dil se raazi hain to nikah sahi hai.
6. Wo kunwari larki jo baaligh ho lekin khud mukhtaar nah ho to nikah ke liye us ko apne wali (baap ya dada) ki ijazat zaroori hai aur agar larki khud mukhtaar ho tab bhi nikah ke liye apne wali (baap ya dada) se ijazat lena ehtiyaat e lazim ki bina par zaroori hai. yani kunwari larki apne wali (baap ya dada) se ijazat liye bager nikah nahin kar sakti.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2328,2335,2341).
[Updated on 20-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print