Showing 0- 50 questions from 51 questions on this page.
Question: Agar mian aur biwi ke sexual relation qayam na huay hon kya Huq mehar phir bhi ada karna hoga ?
Answer: Biwi se jima na hone ki surat me nikah me moiyan shuda mehar ka aadah(half) mahar dena hoga. (ref:www.sistani.org/arabic/mahar/q4). Update on dated 24-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Ref Q ID: 1655 Ager Aik Admi Ki Ka Kisi Aisi Larki Se Nikah Ho Jisko Ghar Waloon Ne Nikah Per Zabardasti Majboor Kiya Ho ( Qasam Waghara Deker). Awr Wo Admi Us Se Koyi Azdawaji Rishta Qayem Kiye Baghair Talaq Dena Chahey(is Soorat Main Keh Nikah Main Bhi Ashkal Hey) To Us Ke Liye Mahar Dena Lazim Hey Ya Nahi?
Answer: Agar lerki is nikah per raazi hi nahi thee (os ko qasam day ker majboor kia tha) or nikah k baad bhi raazi nahi thee(yaani shohar k ghar main aaker) tu nikah hi nahi hoa,or meher lazim nahi.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#2335), (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b.pg :90,before masla # 286) Update on dated 24-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Nikah main meher ada karne ka kya system hai? Kya meher baad main bhi ada kiya ja sakta hai, jaisa ke hamare mulk main hota hai, muajjil aur gairmuajjil, plz quran aur sahih hadid ki roshni main jawab den
Answer: Jaiz hay k saray k saray mehar ko moujil(muddati) ya ghair e moujil(ghair muddati) ya indat talab(mutaalbay k waqt ada kerna) qarar dia jay aur baaz ko moujil aur baaz ko ghair moujil qarar dia jay aur moujil may muddat ka mouin karna zaroori hay. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 masla # 302). Update on dated 24-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: slam mera sawal ye hai ke mere nikha mein ek lakh haq mehr likha hua hai jo ke pheli raat maaf ho gaya hai kiy ager mein apne biwi ko talaq doon to mujhe huqmehr ada kurna ho ga ?
Answer: Agar bivi apna haq meher apnay shohar ko maaf ker day tu phir shohar per wajib nahi hay k wo apni bivi ko huq meher ki raqam ada karay.( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Minhajus saliheen,part#3, maslah#318 ). Update on dated 24-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Haq Mehr Kyun Dete Hain, Aur Haq Mehr Dena Kyun Zaruri Hai?
Answer: Meher kisi aurat se nikah kerne k sabab se ya nikah k baad os ko mo,ayyan(fix) kerne k sabab ya jima kerne k sabab aurat ka haq hota hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e maslah before#286). Update on dated 24-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: agha sahab mera sawal ye hy k ye haq mehr kyun rakha jata hai, aur is k ada na karne par kya gunah milta hai? aur shadi raat biwi k sath jima krne se valime me kuch asar parhta hai kya?
Answer: 1-Meher kisi aurat se nikah kerne k sabab se ya nikah k baad os ko mo,ayyan(fix) kerne k sabab ya jima kerne k sabab aurat ka huq hota hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),minhaajus saliheen part#3, maslah before#286 ). 2-jab aik aurat se mehr e mo,ayyan per nikah kia ho to shohar per meher daina wajib hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),minhaajus saliheen part#3, maslah before#299 ). 3-koe asar nahi perhta. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #4,388). Update on dated 24-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Asalamualycum, Mera sawal ya hai kay agar mard ghusay main apni bevi ko Haak Mehar dey tu kya ya talak ki aik kisim ho jati hey ya nahi. app kay jawab ka matlob rahon ga.
Answer: Haq e mehar to biwi ka hi haq hai aur shohar ko mehar dena wajib hai is sai talaq nahi hoti hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2333-2462). Update on dated 24-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: mehr-e-misl kya hai?
Answer: Agar daaeme nikah mai mehar tay na kia gya ho to mard ko chaheay k biwi ko is ka mehar is jaisi auratoo k mehar k mutabiq dai, ise Mehar e misl kehte hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2383). Update on dated 24-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: sharai huq mehar kitne gold ya silver k baraber hy ?
Answer: Meher ki kam az kam miqdaar moayyan(fix) nahi hay, layhaza jitni miqdaar per shohar or bivi razi ho jain durust hogi. Isi terah meher ki ziyada se ziyada miqdaar moayyan(fix) nahi hay, laikin mustahab hay meher sunnat se ziyada nah ho, or meher e suunat 500 dirham chandi hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #287). Update on dated 24-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Asslamu alaikum, Kya Mehar Ki rakam, Miya se Sohabt krne ya Na krne pe depend krta h. Please Jawab dijiega. mere yha Km se Km 50000 rupey ka Mehar kiya jata h. islie puch rhi hu.
Answer: Agar daimi nikah parhtay waqt mahar denay k lie muddat tay nah ki jae to aurat mahar lenay sai pehlay shohar ko jima karnay sai rok sakti hai, Laikin agar wo mahar lenay sai pehlay jima par razi ho aur shohar is sai jima karay to baad mai wo sharie uzr k baghair shohar ko jima karnay sai nahi rok sakti. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2384). Update on dated 24-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: ak larli ak larka milta hain or arzi nikah krna chahte hain gunah sa bachna k liya kya nikah jaiz ha k nai?
Answer: Wo Kunwari larki jo khud mukhtaar nah ho os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat zaruri hai. Or agar lerki khud mukhtaar ho tu os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat ehtiyaat e lazim ki bina per zaruri hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2328-2335). Update on dated 24-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: agar nikah nama mein haq meher mansion na ho mgr nikah may bola jay to islam kya kehta hy haq mehar k baray mai husband or wife k ly?
Answer: Agar daa’emi nikah mein mehar mo’yyan na kiya jaey to nikah sahi hai aur agar mard, Aurat k sathh jama kare to ose chahiay keh osi jaisii auraton k mehar ke mutabiq de. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2383). Update on dated 24-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kiya aurat apna Haq mehar khud tay karima Sakti hy ?
Answer: Merher aurat ka huq hay or os ko is ki miqdaar taey kerne ka huq hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhajus Saliheen, part#3,Mafhoom e Maslah #286). Update on dated 17-01-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kiya aurat apna Haq mehar khud tay Kr Sakti hy?
Answer: Meher aurat ka huq hay or os ko is meher ki miqdaar taey kerne ka huq hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhajus Saliheen, part#3,Mafhoom e Maslah #286). Update on dated 17-01-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kiya Orat Haq mehar maaf Kar Day Dil Se , Tub Bhi Haq Mehar ki Raqam Uski Hatheli Pay Rakhna Zarori hay ya nahi???
Answer: Agar bivi apna haq meher apnay shohar ko maaf ker day tu phir shohar per wajib nahi hay k wo apni bivi ko huq meher ki raqam ada karay.( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Minhajus saliheen,part#3, maslah#318 ). Update on dated 03-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: keya Quran ya Masalay ko bator haq mehar rakhwana jaiz hy ?
Answer: Har wo cheez jis ka malik banna jaiz hay wo haq e mahar ban sakti hay. (Ref: Minhajus saliheen, jld#3, masla#286). Update on dated 05-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: If some one pay the meher after nikah but he didn't take his wife with him and after some time his wife ask divorce before doing haqe zojeet what about the haq meher she has to keep it or return back.
Answer:
Agar hambistri say pehly talaq ho jaey to is halat men mahr ka nisf (half ) biwi ko dena hota hay agar pehly hi poora mahr day chuky hen to bivi ko chahiay k nisf mahr wapas day.(Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Minhajus Saliheen, Edition# 1439, part#03,Mafhoom e Maslah #309 ). (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
[Updated on 27-Oct-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agha sahab haq mehar do hty ha ak jo foran ada kiya jata ha or dosra in case of husband death or divorce ? Dono ki rakam kia honi chaiya agr koi 5 tola gold chota or bda dono rkhy tu kia hesiat ha is ki islam ma?
Answer:
w,salm
Mahr ki kam az kam miqdaar moayyan(fix) nahi hay, layhaza jitni miqdaar per shohar or bivi raazi ho jain durust hogi. Isi tarah meher ki ziyada se ziyada miqdaar moayyan(fix) nahi hay, laikin mustahab hay keh meher sunnat se ziyada nah ho, or meher e suunat 500 dirham chandi hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #287).
[Updated on 11-Jan-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asslaam Alaykum Janab. Mera naam Mohammed Afzal hai Mera swal ye h :-kya Nikah k baad or Haq mehar ada krne se pehle bivi ko dekhna or bivi se baat krna jaiz h?
Answer: Haq meher ki adaegi se pehle bivi ko daikhna or os se baat karna jaiz hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #70). Update on dated 16-10-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Me apny shohar ko huq mehar maf krna chahti hon. Or kr bhi dia hai. Lakin wo is chez py razi nahi. Wo mjhy huq mehar dena chahty hain or me allah ki raza k liy huq mehar maf kr chuki hon. Ab me kia kron?
Answer:
Aap k liay shohar ko maaf kiarna jaiz hay or aap Aap tohfay ki niyat se os ko qobool kar sakti hain. (Ref: Ayatullah sistani d.b, Minhajus saliheen, part#3, maslah#318). Update on dated 20-12-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Agr shadi ma larki ko gold diya jaye aur jo k haq mehar ma b likha ho tu shadi k badh wapis le liya jaye tu us pe kya hukam ha plz reply
Answer:
agar bivi apna haq meher apnay shohar ko maaf ker day tu phir shohar per wajib nahi hay k wo apni bivi ko huq meher ki raqam ada karay (ref ayatullah sistani d b minhajus saliheen part # 3 maslah # 318)
[Updated on 17-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamulaikum , agr ek larki ka nikah howa ho magr ruksati na hoe ho na hi meyan biwi wala rishta qayam kia ho .. esi surat na agr talaq hojae tou kia haq maher dena hoga shohar ko?
Answer:
Agar jima (hambistari) nah ki ho to aadha meher dena hoga pura mahr(Dowry) dena wajib nahi hai. Ref : minhaaj ul saleheen , part # 3 , masala # 313 ).
[Updated on 17-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamulaikum shariat mai haq maher kitna dena chayay or khula wali lrki kai sath shahdi krtay wqt kitna haq maher dena chayay
Answer:
W Salam, Mahr ki kam az kam miqdaar moayyan(fix) nahi hay, layhaza jitni miqdaar ( jis ki market value ho) per shohar or bivi raazi ho jain durust hogi. Isi tarah meher ki ziyada se ziyada miqdaar moayyan(fix) nahi hay, laikin mustahab hay keh meher sunnat se ziyada nah ho, or meher e suunat 500 dirham chandi hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #287)
(Note: utna hi heq mahr diya jai jina aam tor diya jata hai.)
[Updated on 12-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamalikum Agar aik shohar apni biwi ko haq mehar nai dai pa rha to kia jab tak wo haq mehar nahi daita wo qurbani kar sakta hai ya nahi ?
Answer:
Agar bivi apna haq meher apnay shohar ko maaf ker day tu phir shohar per wajib nahi hay k wo apni bivi ko huq meher ki raqam ada karay.( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Minhajus saliheen,part#3, maslah#318 ).
qurbani kar sakta hay.(Ref: mafhoo https://www.sistani.org/urdu/qa/02443/).
[Updated on 07-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya ladki mahr ke paise kitne din me kharch karna chahiye? Yesa koi limit hey kya ki mahr ke paise itne din me kharch karna bolke?
Answer:
Merher aurat ka huq hay jub chahai khurch kar sakti hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhajus Saliheen, part#3,Mafhoom e Maslah #286).
[Updated on 12-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam . Ye bataye k janab fatima zehra a.s ka shari haq kitna hai ajj ki tareek mey jo nikka may likha jata hai in terms of chandi .
Answer:
W Salam, Mahr ki kam az kam miqdaar moayyan nahi hay, layhaza jitni miqdaar per shohar or bivi raazi ho jain durust hogi. Isi tarah meher ki ziyada se ziyada miqdaar moayyan nahi hay, laikin mustahab hay keh meher sunnat se ziyada nah ho, or meher e suunat 500 dirham chandi hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #287) (Note: utna hi heq mahr diya jai jina aam tor diya jata hai.)
[Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: agar bivi khud apni marzi se maher ka kuch hissa chod de to kya sohar use le sakta hai?
Answer:
G han le sakta hai.( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Minhajus saliheen,part#3, maslah#318 ).
[Updated on 30-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asslamoalaikum! Janab mera 1 sawal ye he k agr haq mahr ada krne se pehle shohr ki maut waquya hojaye to haq mehr kon ada krega? or dusra ye k haq mahr bv ne zabardasti 10 lakh rupay likhwa dia tha or shohr k pas itne paise na hon to kia hukam he?
Answer:
Agar shohar baghair huq mehr diay mar jaey tu sab se pehle shohar ki meras se huq mehr ki raqam nikali ajey gi, Huq mehr ki raqam per shohar or bivi dona ka razi hona zarori hay. (Ref: Minhajus saliheen, jild#3, maslah#286-329)
[Updated on 28-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mera swal ye hai k nikah k time mehar main 3 tola sona likha geya or humbestri say pahle ada kar diya geya hai ek Sall bad halat asy ho gay k wo 3 tola or 1 tola Jo bivi lay k ai sale kar diya geya bivi ki marzi k sath un paso say karobar kia 4 Sall main wo b khatm ho gay or ab bat talaq tak ponch gai agar mard talaq day deta hai to bivi us apna haq mehar mang sakti hai ya mard ko adda karna pare ga pls bta dain
Answer:
Mahr ki adaegi tu hambistari se pehle ho gae thi laikin baad main sona baich kar jo raqam shohar ko udhaar ki niyat se di gae thi tu wo raqam shohor ko wapas karna wajib hay laikin agar raqam shohar ko tohfe ya imdaad k taur per di thi wo wapas karna shohar per wajib nahi hay.(Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Minhajus Saliheen, Edition# 1439, part#03,Mafhoom e Maslah #303)+(Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Minhajus Saliheen, Edition# 1439, part#02,Mafhoom e Maslah #1320+994).
[Updated on 06-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: AOA, Kiya haq mehar pura ada na karny sy biwi shohar k lie Haram hojati hai. I mean to say k biwi k sath shohar humastri Kar sakta ya nahi. Meri shahdi k waqat Meri biwi k haqmehar 10 hazar rupee our 7 tola gold the howa. Lekin m ny haq mehar m srif 10 hazar rupee our 3.5 tola gold dia. Ab Kia Mera nikha tik ha. Kia main biwi k sath jima( humastri) Kar sakta ho ya pehly muje Sara haq mehar pay karna hota. Humari rukhsati ho chuki hh Please rehnomai farmaye
Answer:
Agar daami nikah perhte waqt mehar dene k liye mudad moiyan na kiya jaay to aurat mehar lene se phele shoar ko jima karne se rook sakte hai. is baat se faraq nahe perhta k shoar mehar dene per qadir ho ya na ho. lekin agar wo aurat mehar lene se phele jima per razi ho aur shoar us se jima kare to baad me wo shariy waja k beghair shoar ko jima karne se nahe rook sakti.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail edition 39th, maslah #2384)
[Updated on 14-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr bv ny sb haq mehar maaf kia hoa hu.. shohar ka dia har eik chezz even zewar b shohar k hi pas hu tu bb kia bv ko khula lyny k liue alaida raqam dyni hongi.?
Answer:
1: Agar bivi apna haq meher apnay shohar ko maaf ker day tu phir shohar per wajib nahi hay k wo apni bivi ko huq meher ki raqam ada karay.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Minhajus saliheen, part#3, maslah#318 ).
2: Talaq e khula me aurat ko raqam Is liye ada karni hoti hai ke agar shohar talaq dene par raazi nah ho tu os ko raqam day kar khula per raazi kia jasakta hai, Q keh Talaq ka haq shohar k paas hota hay. Haan agar shohar talaq apni marzi de raha hai to baghair raqam wusool kiye talaq de sakta hai.(Ref: Tauzeeh ul masail Ayatullah seestani edition#41, maslah #2492)
[Updated on 02-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam agga sahab. Kya biwi nikah mai hoty huy apny shohar se apna haq talab kr sakti hy?
Answer: Jee, huq mahr aurat ka huq hay wo apne huq ka mutaalbah kar sakti hay.(Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#3, Maslah#306, eidition 1439). [Updated on 28-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Talaq k bad mard ko haq mehr b biwi ko wapis dena hota ha jitna nikkah k waqt mard biwi ko deta ha agr nikkah k waqt biwi ko shohar ny 5000 haq mehr diya ha to talaq k bad 5000 e phir dy ha
Answer:
Agar nikah k baad mukammal haq mehr ada kar dia tha tu talaq k baad dobara mehr daina wajib nahi hay. (Ref: minhajus saliheen, ayatullah sistani, maslah#286)
[Updated on 18-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Qibla Mera nikah hoa tha aur ab rukhsati say pehlay divorce ho rahe hai to Kya mujhay haq mehar pora daina hoga barai meharbani rehnumai ker diye
Answer:
Agar hambistri say pehly talaq ho jaey to is halat men mahr ka nisf (half) biwi ko dena hota hay agar pehly hi poora mahr day chuky hen to bivi ko chahiay k nisf (half) mahr wapis day.
(Ref: Minhajus Saliheen, Ayatullah Seestani (d.b), part #03, Maslah #309).
[Updated on 27-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya nikah ma Haq mehar ka zikar kiye bagair nikah ho sakta ha?
Answer:
Jee han, ho sakta hai. Q ke Agar daa’emi nikah mein mehar mo’yyan na kiya jaey to nikah sahi hai aur agar mard Aurat k sath jima kare to ose chahiay keh osi jaisii auraton k mehar ke mutabiq biwi ko mehar de.(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2383).
[Updated on 10-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalmu Alaikum, Shaadi per larki ko gold dya jata hay, aur wo gold aus ki ho jati hay, kya thalaq k baad gold wapis karna hota hain, jabke sasural walo ne larki ka jahaiz b le liya ho?
Answer:
1: Shadi me jo sona diya gaya tha agar wo haq meher ke taur par tha to us ki do soorten bane gi. 1. Agar shadi ke baad shohar ne biwi se jima (Intercourse) kiya ho to wapis nahin karna ( yani is surat me pura mehar biwi ka hoga or shohar us se mehar waapse nahe le sakta ). 2. Agar shohar ne biwe se jima (Intercourse) nahin kiya to is mehar me se ( biwi ne shohar ko) aadha mehar wapis karna hoga.
3: Aur agar shadi ke waqt jo sona diya gaya tha agar wo tuhfe ( gifts) ke taur par tha ya biwi ki milkiyat me qaraar diya gaya tha to wo us ki maalik hojaate hay or biwe ko use waapis karna zaroori nahin hai. larki ko tuhfe ( gifts) dene wale agar larki ke khone rishtedaar hain ya tuhfe ( gifts) khatam hochuka ho ya us tuhfe ( gifts) me koi aisa tasarruf kardia ho ke phela wala tuhfe ( gifts) hone zaat usper sidq na aaye tu in tamaam surato me tuhfe ( gifts) dene walo ne jis ko tuhfe ( gifts) dia hay us se wo tuhfe ( gifts) waapse nahe le sakte albatta agar tuhfe ( gifts) dene wale ,jise tuhfe ( gifts) dia gaya ho us ke khoni rishte daar na ho or asal tuhfe ( gifts) moujood ho tu tuhfe ( gifts) dene wale ,jise tuhfe ( gifts) dia gaya ho us se tuhfe ( gifts) waapse le sakte hay or jise tufa (gift) dea gaya hay wo mana bhe nahe karsakta
lekin agar tuhfe ( gifts) ke taur par ya biwi ki milkiyat me qaraar nahin diya gaya tha ( balke aiwse he waqte tour per use istemaal ke lie diya tha ) to shohar ( ya wo insaan jis ne wo cheez dehay ) wapis le sakta hai. Jabkeh biwe ko ju jehaiz dia jaata hay wo Jahaiz aik tuhfa ( gift) hay jo baap apni beti ko deta hai or jis per par faqat baiti ka huq hota hai, lihaaza shohar ya us ke ghar walon ya kise or ka larki ke jehaiz per koi haq nahin or shohar ya us ke ghar walon par laazim hoga ke larki ko jahaiz wapis karen.
(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #2, page #361, and part #3, page #77. + Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part #2, mafhoom e sawal #150).
[Updated on 15-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aslam o Alikum Mera ye sawal hai k shohar ki taraf sai diye Gaye zewar kya shohar wapis le Sakta hai ??? Kya in zewar pr bivi Ka koi haq nhi ? Kya wo zewar bivi alag Hony ki Surat main apny pass Rakh sakti hai?
Answer:
1: Agar biwi talaq ke zariye shohar se alag ho rahi ho to is surat me jo zewar shadi me diya jata hai agar wo haq meher ke taur par tha to us ki do surten bane gi.
1. Agar shadi ke baad shohar ne biwi se jima (Intercourse) kiya ho to wapis nahin le sakta ( yani is surat me pura mehar biwi ka hoga or shohar us se mehar waapis nahin le sakta ).
2. Agar shohar ne biwi se jima (Intercourse) nahin kiya to is surat me is mehar me se aadha meher ( biwi , apne shohar ko ) wapis karegi.
2: Shadi ke waqt jo zewar diya jata hay agar wo tuhfe (gifts) ke taur par tha ya biwi ki milkiyat me qaraar diya gaya tha to biwi us ki maalik ho jaate hay or biwi ke lie zaroori nahin hai ke wo zewar waapis kare. larki ko tuhfe (gifts) dene wale agar larki ke khooni rishtedaar hain ya tuhfa (gift) khatam ho chuka ho ya us tuhfe (gifts) me koi aisa tasarruf (changing) kar diya ho ke pehle wala tuhfa (gifts) hone ki zaat usper sidq na aaye tu in tamaam suraton me tuhfe (gifts) dene walo ne jis ko tuhfe (gifts) diya hay us se wo tuhfe (gifts) waapse nahin le sakte albatta agar tuhfa (gifts) dene wale ne, jise tuhfa (gifts) diya gaya ho us ka khooni rishte daar na ho or asal tuhfa (gifts) moujood ho tu tuhfa (gifts) dene wale ne, jise tuhfa (gifts) diya gaya ho us se tuhfa (gifts) waapse le sakte hay or jise tuhfa (gift) diya gaya hay wo mana bhe nahin kar sakta. lekin agar tuhfe (gifts) ke taur par ya biwi ki milkiyat me qaraar nahin diya gaya tha ( balke aise hi waqti taur par biwi istemaal ke liye diya tha) to shohar (ya wo insaan jis ne wo cheez di hay ) wapis le sakta hai. Jabkeh biwe ko ju jehaiz diya jaata hay wo Jahaiz aik tuhfa (gift) hay jo baap ya rishtedaar apni larki ko dete hain or jis per par faqat baiti ka haq hota hai, lihaaza shohar ya us ke ghar walon ya kisi or ka larki ke jehaiz per koi haq nahin or shohar ya us ke ghar walon par laazim hoga ke larki ko jahaiz wapis karen.
(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #2, pg #361, and Part #3, pg #77. + Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part #2, mafhoom e sawal #150).
[Updated on 12-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: کیا لڑکی مہر میں قرآن پاک کی کوئی سورت رکھوا سکتی ہے؟ یعنی کہ لڑکا قرآن پاک کی کوئی سورت زبانی یاد کرے اور پھر اسی کو حق مہر کے طور پر لڑکی کو دے؟ کیا یہ جائز ہے؟
Answer: Mahr me Quran ya Quran ke kisi sureh ke taaleem rakhwana Jaiz hi, Albatta jis tarah ka mamala aap ne pesh kiya hai is tarah se rakhwana durust nahin, balke is tarah se kiya jaa sakta hai ke maslan larki, larke ko kahe ke aap mujhe Quran ya koi Surah ki taaleem do gay to ye durust hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame (farsi), Ayatullah Sistani(d.b), part #4, Edition #1443, Maslah #218). [Updated on 12-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr nikka k waqt huqemeher na leka jae tu kia huqmeher k le dobara nikka ker skte ha k dia jae kuin k nikka m huq meher wajib faraz hs
Answer:
(Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).
Agar daaemi nikah mein meher muayyin nah kiya jaye to nikah sahi hai aur dobara nikah parhne ki zaroorat nahin hai lekin mard agar biwi se jima kare to use chahiye keh us jaisi auraton ke meher ke mutabiq biwi ko mehar ada kare.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42,Mafhoom e Maslah #2383).
[Updated on 27-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: salam . mera mehr mery ghr walo or mery honay waly shohar k darmiyan 20,000 tay paya hai jis sy mein raza mand nai hu . aisi sorat mein kiya jaiz hai?
Answer:
Meher ke silsile me larke aur larki ka razamand hona zaroori hai, lihaza agar dono ke ghar walay meher tay karen aur larka ya larki dono us pe razi nah hon ya larka aur larki me se koi aik us pe raazi nah ho to ye sahi nahin hai.
(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #3, edition #1443 hij, Maslah #287,288).
[Updated on 08-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamualaikum khula ki sharait bta dain or ye bhi bta dain k agar khula m aurat apna haq mehr maaf krdeti hai tou husband is k elawa or koi mutalba bhi krskta hai jese jahaiz na dena zaiwar wagera rkh lena etc ...
Answer:
1: Jee han, meher ke alawa bhi kisi aur cheez ka mutalba kar sakta hai.
2: Talaq khula me do tarah ki sharaait hoti hai: aik khaas sharaait aur dusri aam sharaait.
Khaas sharaait:
1-Aurat apne shohar ki taraf maail nah ho aur shohar se is qadar shadeed nafrat karti ho ke use wazifa e zaujiyat maslah hambistari ada nah karne ki dhamki day.
2-Aurat apna meher ya koi aur maal use bakhsh day taake shohar use talaq day day.
3-Talaq khula ka makhsoos seegha parha jaye.
Aam sharaait.
1-Talaq ke waqt aurat haiz or nifaas se paak ho aur is paaki ke dauran mard ne jima (intercourse) nah kiya ho.
2-Talaq zabani di jaye yani likh kar talaq dena baatil hai aur talaq nahin kehlaaye gi.
3-Talaq ka seegha sahi arabi main parha jaye.
4-Talaq do aadil (jo zaahiran gunahgaar nah hon aur wajib kaamon par amal karte hon aur haram kaamon se bachte hon) gawahon ki maujoodgi main di jaye.
5-Zaroori hai ke mard talaq apne ikhteyaar se day aur agar use apni biwi ko talaq daine par majboor kiya jaye to talaq baatil hai.
6-Mard talaaq ke waqt talaq ki niyat rakhta ho lehaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day to talaq sahi nahin hogi.
(Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), Part #4, Edition #1443, Maslah #549. + Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #2376,2462 to 2472,2487).
[Updated on 13-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya talaq ho sakti hai agar haq meher na diya jaye shohor ki taraf se
Answer:
Agar koi mard, aurat ka meher nikaah mein muyyin kar de aur us ka iraada yeh ho keh woh meher nahin dega to (us se nikaah nahin tootata balkeh) sahi hai. lekin zaroori hai keh meher adaa kare.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2410).
[Updated on 23-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr kisi ne shaddi ki time adha haq nahar ada kia ho or us ke divorce hojae to wo haq nahar kiss waqt ke raqam ke hisab se dega
Answer:
Agar nikah aur talaq ke darmiyan shohar ne hambistari ki ho to talaq ki surat me baaqi aadha meher bhi dena wajib hoga aur wohi ada karna zaroori hai jo nikah ke waqt tay paya tha.
Lekin agar hambistri se pehly talaq ho jaye to is halat me nikah ke waqt wo jo adha meher biwi ko diya tha wohi kaafi hai ab mazeed adha meher dena zaroori nahin hain.
(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #3, edition #1443, maslah #309).
[Updated on 20-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr aurat haq mehr pr razi na ho lekin sign kr day mgr dil se rzi na ho to uske liye kya hukm ha
Answer:
(Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).
Fiqh e jafferiya ke mutabiq, haq meher ke silsile me mard aur aurat ka razamand hona zaroori hai, lihaza agar mard meher tay kare lekin aurat us pe razi nah ho to ye sahi nahin hai.
Isi tarah nikah ki sharait me se hai ke nikah ka seegha (nikah ke bol ada karna) parhna zaroori hai, sirf mard or aurat ka razamand hona or isi tarah nikah nama likhna (sign karna) ehtiyat e wajib ki bina par kafi nahin hai.
Isi tarah mard aur aurat me koi aik bhi dil se razi nah ho to nikah sahi nahin hoga.
(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #3, edition #1443 hij, maslah #287,288. + Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #2328,2335).
[Updated on 10-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya meher Tay hone ke baad Miya biwi milkar dobara badal sakte h
Answer:
Agar miyan, biwi razi hon to musalehat kar sakte hain.
(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #3, edition #1443 hij, maslah #287,288,308).
[Updated on 15-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Meher ke paiso ko Kahan kharch karna chhye
Answer:
Meher woh raqam hai jo aurat ko nikah ki wajah se milti hai. aur yeh biwi ka haq hai, aur us ki marzi hai chahe jahan kharch kare.
(Ref: Tauzeeh ul masail jaame, Ayatullah Sistani(d.b), part #4, maslah #217).
[Updated on 27-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: agr shadi k wqt haq meher 3 tola (4 chorio ki shkl me ) teh paya ho, r shohr ne wo choria haq meher k tor p biwi ko de b di ho, lkn bd me jb uska wazan krwaya jye to wo choriya srf 2 tole ki nkle... to kya ye dhoke k zmre me aye ga? r shohr r usk ghr wlo ko is ghlt biyani p gunah mle ga?
Answer:
Haq mehr jo te paya hai uses ada krna mard(shohar) wajib hai.
Agr haq mehr 3 tola sona rkhvaya hai to 1 tola dena lazim hai lkn agr haq mehr vo 4 choriya thi jinhe yh keh k dia gya k yh 3 tola ki hai to mazeed kuch batoure haq mehr dena wajib nhi lekin agr amadan kia hai jhoot shumar hoga
Yh bhi mumkin hai k yh dhoka dukandar ki taraf se hua ho..
(Reff: Minhaj us Saliheen Agha Sistani d.m, Jild 3, Page No. 92)
[Updated on 05-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asslamualikum! Ma ap se yeh poochna chahti hun k kia hm nikkah ma raqam ki bjae Sirf Surah Rehman rakh dein tou ic bt ka gunnah tou nai? Ya phir kch raqam ar sath ma Surah Rehman rakh lein? Konsi bt ziada sai ho gi? Please rehnumai frmaein. Shukria
Answer:
Mehr me insan surah (reham etc...) ki taleem dena bhi rakh sakta hai.
(Ref: Minhaj-us-Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #3, maslah #286).
[Updated on 31-May-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam, agar Meri wife nay mujh say shadi Kay 10 Saal tak haq mehar nahi manga...aur ab 10 Saal Baad Mang Rahi hai, Jo Kay mujhay Dena wajib hai...ab mein gold Kay us din Kay rate say paisaydun ga ya phir current rate say???
Answer:
Nikah k waqt jo haq mehar muayyan kia gya tha mard k lie vo ada krna zarori hai maslan agar haq mehar 5 tola sona rkha gya tha to jb vo mehar dia jarha hai uss waqt k aitibar se gold dia jaega, agr raqam pe biwi razi hai to uss waqt k hisab se raqam di jae
(Ref: Minhaj us Saliheen Agha Sistani d.b, Jild 3, Page No. 92)
[Updated on 30-Sep-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Plzz tell me agr nikkah k bad aur rukhsati se pehle hi biwi ne haq mehar maaf krdiya toh kya shohar phir bhi haq mehar desakta?
Answer:
Agar biwi apna haq meher apnay shohar ko maaf kar day (chahe rukhsati se pehle ya baad me) to phir shohar par wajib nahin hai ke wo apni biwi ko haq meher ki raqam ada karay.
(Ref: Minhaj-us-Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #3, maslah #318).
[Updated on 25-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]