Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Halala (6 Questions)


Showing 0- 6 questions from 6 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
47683
Mujtahid:
Date:

Question: kya hihala mai dusry miya ko haqe zojiat daina zaroori hai agr dusra husband apni marzi sy hi apna haq na ly aur talaq dy dy to kya ye hilala jaiz hua phr kiya ja sakta hai pehly husband sy nikah k nhi

Answer: Jab tak doosra shohar jima(hambistry) nah kare tab tak wo aurat pehle shohar per halal nahi hogi.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2491). Update on dated 03-08-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
48370
Mujtahid:
Date:

Question: aik aurat aik hi aadmi kitni baar khula le sakti hai nikha ke baad

Answer: Agar koi shakhs apni biwi ko 2 dafa talaq dai kar oski taraf roju kar lai ya osay 2 dafa talaq dai kar os sai nikah kar lai ya aik talaq k baad roju kar lai aur aik talaq k baad nikah kar lai to teesri talaq k baad wo aurat is mard par haram ho jae gi. laikin agar choti bar bhi nikah karna chahay to halala karna parta hai. aur halala ki 5 shartain hai. jin ki pabindi zaroori hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2491) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
66241
Mujtahid:
Date:

Question: Aik lrke jis ka lrky k sath dosti rahy 3,4 sal tk. Phr end py lrka apny parents ko lrke k ghr na baij sky. Lrke pr us ke mother ka presure ho mgar han ya na krny ka hq lrke ko ho. Jb us lrky sy naumeed ho jai or i hoay 2sry rishty py han kr dy.parents b kush ho. Sirf nikah ho us k 2 din bd lrke. Abroad chle jai. Phr uske na bn sky apny shohr sy koshish k bawajood. Or wo phely lrky sy phr dosti kr ly. Ab wo lrke khula ka mutalba kia kr skte? Husbnd mai koe kami na ho. Or lrke k parents b khula k liay na man ry ho. Kia aisa krna islam mai jaiz hai?

Answer: Is terah ki talaq ko khula nahi kaha jata. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2492). Update on dated 05-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
84833
Mujtahid:
Date:

Question: talaq k bad apni biwi se rujoo ka kia tareeqa hy?

Answer: Talaq ki khuch sharait hen, agar aap 1 talaq de chuke hen apni biwi ko to teesray haiz aanay se pehlay aap apni biwi se agar ruju kerna chahtay hain tu ker sakte hen bagher nikah k albatta agar tesray haiz aa jaey tu phir ap dubara nikah ker saktay hain.
Note: Ruju ka matlab hai dubara biwi ko apnana or us se dubara relationship qaaim kerna or ruju 2 tareekon se kiya ja sakta hai 1)shohor aisi batain kare k jin se pata chale k usne usay dubara apni biwi bana liya hai. 2) koe kam kare or us kaam se ruju kerne ka irada kare or jimaa(humbistary) kerne se ruju sabit hojata hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail, 33rd edition,msla#2488). Update on dated 01-02-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
111166
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-12-01

Question: Assalamualaikum sir mera question hy agr aik orat ko 3 talaq hu jaye or wo halala karey or jis din usky halala ka nikkah hu or raat ko usky halalay ka sohar mar jaye hambistari kiye bagher to kiya wo phaly sohar k liye halal hu jati hy ya nai??

Answer: Is website par Fiqh e Jaffariya ke mutabiq jawabat diye jatay hain.
[Updated on 02-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114031
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-22

Question: Assalam.o.Alaikum Sir G Puchna ye tha K Halala karna ho to KiYa sirf dukhool krne se Halala ho jaye ga ya 2no ka farig hona zaroori hai

Answer: (Note: Is website par Fiqah-e-Jaffaria (Mazhab-e-Shia) kay mutabiq jawabat diye jatay hain.)
1: Fiqah-e-Jaffaria main Halala karnay ki zarorat us sorat men parhti hai jab teen talaqain hoi hon lehaza aik talaq ki wajah say halala ki zarorat nahin parhati hai is liay baghair kisi halala k nikah kiya jaasakta hai.
(Ref: Aayatullah Sistani(d.b), Minhajus Saliheen, Edition #1439, part #03, Mafhoom e Maslah #520).
2: Agar koi shakhs apni biwi ko 2 dafa talaq dai kar oski taraf roju kar lai ya osay 2 dafa talaq dai kar os sai nikah kar lai ya aik talaq k baad roju kar lai aur aik talaq k baad nikah kar lai to teesri talaq k baad wo aurat is mard par haram ho jae gi. laikin agar chothi bar bhi nikah karna chahay to halala karna parta hai. aur halala ki 5 shartain hai. jin ki pabindi zaroori hai.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail, edition #42, maslah #2491).
[Updated on 22-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print