Showing 0- 4 questions from 4 questions on this page.
Question: Aik Imambargah main kuch alam kay panjay waqf shuda maujood hain jo kay wahan ki zarooriyaat say ziada hain to aisi soorat main kiya un waqf shuda panjoon ko dosray imambargah main shift kiya jasakta hay? jab kay wahan kay mutawalli afrad khud is baat par raazi hain.
Answer: Agar kisi bhi tarah in panjoo say us Imam Bargah main faida uthana mumkin ho to zaroori hay kay in ko isi Imam Bargah main rakha jaey. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 2, Mafhoom e Maslah # 1568 , Eidition 1417 hij). Update on dated 09-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kiya Iman apni biwi ke sath masjid me reh sakte hain jo room imam ko mila hai us room me?
Answer:
jo chiz kisi shaks ne waqf ki ho agar us ne us ka mutawalli bhi muaiyan kia ho to zaroori hai keh hidayat ke mutabiq amal ho.
(Ref: Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani , Tauzeeh ul masail, 42edition, masla no # 2648.)
[Updated on 22-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar admi k jisam k Koch hesy k leye pane acha na ho yene pane jazab karty ho our is sorat adme apne beve sa humbestare Kary to ghosal kasy Kary.
Answer:
Agar pani ka istemal kisi shaks ke liye jaan lewa ho ya us ke badan mein kisi aib ya marz ke paida hone ya maujoodah marz ke toolani ya shadeed ho jane ya ilaj mualijah mein dushwari paida hone ka sabab ho to us ke liay zaroori hai keh tayammum kare. lekin agar pani ke zarar ko kisi tariqay se door kiya ja sakta ho masaln yeh keh pani ko garam karne se zarar door ho sakta ho to pani garam kar ke wazu kare. (Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh Ul Masail, Masla no # 659)
[Updated on 17-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kiya Azadari ke liye waqf property's ko perched kiya ja sakta hai.
Answer:
Agar ek shakhs koi cheez sharaait ke sath waqf kare to woh cheez us ki malkiyat se nikal jaati hai aur woh khud ya dusre log na hi woh cheez kisi dusre ko bakhsh sakte hain aur na hi use bech sakte hain aur na hi koi shakhs us mein se kuchh bataur meeraas le sakta hai.(Ref: Tauzeeh ul Masail, Aayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2639).
[Updated on 29-Oct-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]