Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions:


Question & Answers << Go Back

Topic: Khareed-o-Farukht Ke Ahkam (45 Questions)


Showing 0- 45 questions from 45 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
151
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-22

Question: ASSLAM-O-ALIKUM, app say ek fatwa pochna tha aqa-e-seestani ki book roza main 196 per hai kay yahodiwoo aur asrail ki products use karna haram hai. tahira rasaly nay asa paper nakala hai jis main unn companies ka nam lakay hain maslain neslta,leverbrother.... main nay aqa-e-sistani kay wakeel ko phone kar kay inn companies ka poucha tu unhoo nay kaha kay tahqee wajab nahi aur agar dil na waqeen kar raha hoo tu app use kar sakti hain tu yaha ek taraf fatwa hai dosree tarah waqeel mana kar rahay hain tu iss sorath main hum amal karain yaa na karain. jazkallah

Answer: W Salaam, Wo tamaam products jin ka profit israel ko jata ho aisee products use karna haram hay. Yeh hukum sirf israeli products key saath hay yahoodi products key saath nahi means agar yahoodi products ka profit israel ko ja raha hay to use karna haram hay aur agar profit nahi pohonch raha to haram nahi hay. En cheezon key baray mein tehqeeq karna wajib nahi hay laikin agar yaqeen ho keh yeh israel ko profit dey rahi hein to phir use karna jayez nahi hay.

Ref: Istiftaat A.Sistani

Print

Id:
156
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-22

Question: AS-SALAM-UAKUM I WILL LIKE TO KNOW CAN WE EAT FOOD COOKED BY A HINDU COOK

Answer: Salam un alaikum
Agar aap ko maloom hay keh us hindu ney khanay ko mas kiya hay to giza najis hay aur usay khana jayez nahi hay. Agar maloom na ho keh mas kiya hay ya nahi to khana jayez hay.
Ref: Mujtahid Sey Pochay Gaye Sawalat (Part 1) Question No. 16

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
187
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khoie Date: 2018-05-24

Question: 1. Ghusl-e-juma karnay ke baad wajib ya sunat namaazon kay liye wuzu karna zaroori hai ? 2. Washing powder me inaami scheme main gold tha aur ye sunke mein ne washing powder kharida aur inaam me gold nikla hai is ke baare me kya hukam hai ?

Answer: Gusl-e-Jumma key baad wajib ya sunnat namazoon key liye wuzoo zaroori nahi hay.
Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Khoi (Topic of Mustahib Gusl)

Aap us gold ko use kar saktey hein.

Print

Id:
719
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khoie Date:

Question: kya koi momin Kutto(dogs) ka business karsakta hai yani sale and purchase of dogs and puppies us ke lia sharai kia hukum hai

Answer: Ghair Shikaari kuttay(Dog) ki khareed-o-farokht Haram hay. (Ref : Ayat Ullah khoi (d.b), Minhaajus Saliheen Part # 2, Mafhoom e Maslah # 01, Eidition 1417 hij). Update on dated 07-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id:
1759
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: AOA. Woh konsi companies hain jinki products khareedna haram hai?

Answer: Aytullah Seestani (d.b.) ne un companies ki cheezon k khareedne ko mana kiya he jin k bare main yaqeen ho k wo companies apne profit ka ek hissa israel ki madad k liay makhsoos kiya he. (Mujtahid se puchhe gaey sawalat part#1, Mafhoom e page#67) Update on dated 07-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
1835
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: KON- KON SI COLD DRINK HARAM HAI. OR SEESTANI SAHAB NE KHANE MAIN KYA HARAM BATAYA HAI?

Answer: Aytullah Seestani (d.b.) ne un companies ki cheezon k khareedne ko mana kiya he jin k bare main yaqeen ho k wo companies apne profit ka ek hissa israel ki madad k liay makhsoos kiya he. (Mujtahid se puchhe gaey sawalat part#1, Mafhoom e page#67) Update on dated 07-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
1856
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: seestani sahab ne kis-kis product par bain lagaya hai? plz give me ans fast.

Answer: Aytullah Seestani (d.b.) ne un companies ki cheezon k khareedne ko mana kiya he jin k bare main yaqeen ho k wo companies apne profit ka ek hissa israel ki madad k liay makhsoos kiya he. (Mujtahid se puchhe gaey sawalat part#1, Mafhoom e page#67) Update on dated 07-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
1891
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: why it is not permissible to buy things or work for a jew company as our Mola Ali used to work in an orchard of a jew

Answer: Aytullah Seestani (d.b.) ne un companies ki cheezon k khareedne ko mana kiya he jin k bare main yaqeen ho k wo companies apne profit ka ek hissa israel ki madad k liay makhsoos kiya he. (Mujtahid se puchhe gaey sawalat part#1, Mafhoom e page#67) Update on dated 07-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
5697
Mujtahid:
none Date:

Question: mjy konsa pether maufiq rhy ga?

Answer: Rasool Allah(s.a.w.w) ne hazrat Ali se farmaaya :Red aqeeq ka pathar( stone) pheno Q k is ne khuda ki wahdaaniyat aur mere( rasool s.a.w.w.) ki nabuwat aur hazrat Ali aur un ki aulad ki imamat ka iqraar kiya tha.(Ref: Tehzibul Islaam,Allama baqir majlisi, Mafhoom e pg#32) Update on dated 07-04-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
13614
Mujtahid:
Agha sestani Date:

Question: Salam kiya agar koi bahir country ma ho or wo apni shope kholy to us ma sharab wagaira ko sale kar sakta hai jb k us country ma sharab ki kharid o farokht aam ho kiya aisa karna jaiz hai

Answer: Jaiz nahi balkeh musalman k liay unko bhi sharab baichna haram hay jo usko halaal smajhte hoon. (Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael , Mafhoom e maslah # , Pg #244 , Eidition# 5). Update on dated 07-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
16078
Mujtahid:
Ayatullah Sistani d.b. Date:

Question: Kia kisi aisi company mai sarmayalagana jaiz hai jo sharab banati ho jb k aik maal doosray maal sai alag bhi nhi kia ja sakta?

Answer: Jaiz nahi. (Ref : Jaded Faqhi Masail Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 263, pg # 160). Update on dated 07-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id:
16252
Mujtahid:
Ayatullah Sistani Date:

Question: Kia cheque ko kam qimat par bechna jaiz hai?

Answer: Agar Cheque os udhaar k badle main ho jo chaque k malik ko lene hoon tu wo ose naqd se bach sakta hay. (Ref : http://www.sistani.org/urdu/qa/01794/ Question#2). Update on dated 07-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
32216
Mujtahid:
sistani Date:

Question: why the selling and purchasing of dogs is haram? if a person(muslim) purchase a dog on order basis and then deliver it to the buyer ( non muslim) directly from the shipment port..then what is a law...i mean the business men is working only as a middle men is it permissible? earlier the businessmen has no idea about it now he aware then what should he do..if he want to carry this business then what are the ways? sir this is my 3rd mail to you please guide me as soon as possible thanks alot

Answer: Allah is our lord and we are his servants so our duty is to follow his instructions without any question. It is not permissible to sale and purchase non-hunting dogs.(Ref: Mafhoom e E-mail rcvd from A.sistani dated: 23-05-13) Update on dated 07-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
32725
Mujtahid:
respective sistani sb Date:

Question: aoa izzat muabb mualana sb mera ye sawal ha k mein ek medical store chalata hon or store pr trhan trhan k log ate hein kuch shadi shuda or kuch single or vo sex ki medicin prchse krte hein or kai boys zina k bad iskate hamal ki medicine lene ate hein plz btayen hmara ye kam krna jaiz ha ya nahi plz reply thank you...

Answer: Agar koe cheez jis se jaiz faida uthaya jasakta ho is niyat se baichi jaey keh ose haram kaam main istemaal ki jaey or sauda is ki bunyaad per ho jaey tu ye sauda haram hay. Laikin agar is maqsad se nah baichay faqat jaanta ho k kharidaar ise haram kaam main istemaal kare ga tu koe haraj nahi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2028,2029). Update on dated 07-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
39072
Mujtahid:
Ayatollah Syed Ali Hussaini Sistani Date:

Question: Salam un Alaikum Molana sahib kya lease (qiston) pe products (Electronics etc.) sale karne ka kaarobar karna or qiston pe jo raqam orignal price se zayada wasool ki jati hai wo raqam, jaiz hai ya nahi? please Sistani Sahib key Fatwey ki Roshni me jawab send kr de... Shukria. ALLAH PAK ham sab ka HAMI O NASIR ho.

Answer: W.s. Jaiz hai.(Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, Mafhoom e sawaal # 156). Update on dated 07-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
39227
Mujtahid:
aqaid Date:

Question: parindon ko palna ya unka karobar karna jaiz he ya najaiz

Answer: Jaiz hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2016+ Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 3 , Mafhoom e sawaal # 169). Update on dated 07-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
41326
Mujtahid:
agha sistani Date:

Question: agar koi mujh se koi cheez office mai purchase karne ko kahe aur mai wohi cheez market se udhar par purchase karon aur bill ziada ka bnao with including my profit to kia ye buying and selling sahi hai aur kia mera profit (not commission) jaiz hai reply urgent as i m facing this regularly...!

Answer: Jhoot boolna or dhoka dena jaiz nahi hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 1, Mafhoom e Maslah #30 , Eidition 1430 hij). Update on dated 07-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
45514
Mujtahid:
Agha Seestani Date:

Question: Salam Janab me business karna chahta ho kisi ne mujhe mashwra dya hai k australian Totty (parrots) palny ka business bataya hai plz ap btao k shariat ijazat deti hai aisa business karne ko plz plz urgent reply im waiting

Answer: Shariat e Islam mai tote(parrots) paalna or os ki khareed o farokth kerna jaiz hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 2, Mafhoom e Maslah # 13 , Eidition 1417 hij). Update on dated 07-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
48586
Mujtahid:
Date: 2018-06-03

Question: kya jandaron ka nqsh banana shirk ya bidat hai?plzanswer in detail regarding sahi quran and sahee hadees

Answer: Jandar k mujasma banana ehtiyat ki bina per haram hai laikin in ki khareed o farokth mana nahi hai. albetta jandar ki naqashi jaiz hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2030) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
51758
Mujtahid:
Sistani Date:

Question: Salam mujhe maloom hai k 1 shaks ke pass chori (snatched) mobile hai, kya mai us se payment kar k purchase kar sakta hu?

Answer: Gazbi(maslan chori waghaira) maal ki khareed-o-faroqht jaiz nahi hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2016). Update on dated 07-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
52986
Mujtahid:
nicky Date:

Question: kia dog k sath lagny se kapry napak ho jaty hyn? or dog ko ghar rakha ja skta hyn k ni ?

Answer: 1)Kutta najis hai agar kaprhay gilahat (geele pan) k sath kuttay se lag jain tu kaprhe najis ho jain gaey. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #102).
2) Kutta ghar main rakhna jaiz hai, Laikin ghair shikari kutto ki kareedo o frookht haram hay.(Ref: Mujtahid say pochay gaye sawalaat,part#3, Mafhoom e ques #169+Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2016). Update on dated 07-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
53834
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Recent research and statement from carbonated drink manufacturers suggests that these drinks do contain traces of alcohol produced during manufacturing process. Based on this information is it permissible to drink these carbonated drinks such as coca cola, pepsi, Fanta etc?

Answer: It is allowed as long as the amount of alcohol is very minute (Ref:Email rcvd from Ayat Ullah Seestani(d.b) dated: 08-06-15). Update on dated 11-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
61966
Mujtahid:
Date:

Question: assalam alaikum mera sawal yeh he ke kya baccho ke khilono (toys) ki tizarat jaiz hai aur kya mobile ki memory me gaane naat qawwali filme waghaira dalne ka buissness jaiz hai jawab zara jaldi de hazrat aur mera ek sawal he ke mere naam ka matlab kya hai aur AMIR kis ko kaha jata he mera matlab ki RAJA ko ya commander ko aur mera ek akhri swal yeh hai ke kon kon se baal 40 din ke andar kaat lene chahiye aur inke naa katne se ham kya kya kaam nahi kar sakte maslan Namaz parhna ya Quran shareef parhna aur kya poore baal saaf karna jaroori hai agar kuch baal reh jaye toh assalam alaikum.

Answer: 1) Bacho k khilono (toys) ki tijarat jaiz hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat,ayatulah sistani(d.b), part # 4, sawaal # 159, Mafhoom e pg #75)
2) Agar mobile ki memory me haraam gaane,ya haraam filme daalne ka bussniss ho to in ka lain dain jaiz nahi hay.( Ref:Mafhoom e http://www.sistani.org/urdu/qa/01794/page/9/ )
3) Agar Aamir ain se ho tu iska matlab Abaad kerne waala hota hay. Or agar alif se amir ho tu os ka matlab hokum kerne wala (commander) hota hay. (Ref: Mafhoom e Al-munjid,pg#63,681)
4)Baaz riwayaat main takeed(mustahab) aae hay k zair e naaf baal ko 40 din se ziyada katne ko terk nah kia jay, or aurat 20 din se ziyada zair e naaf baal kaatne ko terk nah karay. Or rahi baat baghal k baal ki tu riwayaat e kaseera main in baalo ko kaatne k liay baghair mudaat e muayyana ki qaid k hokum diya gaya hay or agar aurat ye baal shohar k liay bivi se lazzat or faida hasil kerne ki raah mian nafrat ka sabab banain tu aurat k liay in baalo ka kaatna wajib hay.(Re: http://www.sistani.org/arabic/qa/0504/page/7/). Update on dated 17-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
65752
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Is this permissible to.purchase currency above its face value from the market. Because I m banker my supervisor insist me to gave money to him he purchase it from the market above it face value. My opinion is this is intrest but there is no other alternative for us . Is this right for me to gave money to him

Answer: If this dealing is cash to hand then it is lawful. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2036). Update on dated 21-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
65767
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Market se fresh currency purchase kar k customer ko daina jaiz he ya nai

Answer: Agar purchase kerne main khuch raqam ziyada daina perhti ho tu agar ye maamla naqd ho (yani udhaar nah ho) tu jaiz hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #28 se pehle, pg#450). Update on dated 22-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
69169
Mujtahid:
Date:

Question: Sir !hmary sir ny exampl di hy k agr ik shks k pas 10 kilo chawal han or dosry k pas 15 kg amrod to agr phla skhs kahy k tm .10 kg chawal ly lo or15 kg amrod dy do ....to ye tijarat hy ....mgr agr dono k pas chawal han mgr ik k pas 10 kg han or achi ququality k han jb k dosry k pas 15 kg am si quality k han to agr wo exchang krain gy chawal to ye sood hy ......... Yani sir k khny ka mtlb ye hy k agr do mukhtalif jins ki chezain han to aps main exchang krna tijarat hy or agr sam jins k hun to sood ............jb k mera khyal ye hy k kisi b cheez ki zyadti sood ho jati ...........is swal ki rehnumai main bta dain k kia ye exampl sood k lie theek hy ? Mjhy sood or tijarat ka frk is ki exampl ki roshni main smjha dain ?

Answer: Aap k sir ne bilkul theek misaal di hay. Jo cheez bhi naap ya tool ker baichi jati ho agar osi cheez k muqaable main berha ker baicha jaey tu sood hoga. Jaisay aik kilo chawal ko 2 kilo chawal k badlay baicha jaey. Balkeh agar 2 cheezo main se aik bay aib or doori aibdaar ho, ya inki qeemato main faraq ho tu agar baichne wala jo miqdaar day raha ho os se ziyada lay tab bhi sood or haram hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 36,Mafhoom e Maslah #2033). Update on dated 26-12-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
84632
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Ak Shaks ak company me saman bechne ka kaam karta hai ak din ak costomer aata hai saman lelne ke liye likin wo aman us company me mujood nahi nahin rahta lekin customer kahta hai mujhe chahiye to wo shaks kisi doosri jagah se lake deta hai, us saman ki keemat 1000 hai jo wo customer ko bata deta hai jabki usko 900 se me milti hai to aap ye batayen ki jo 100 usne usme kamaye kya wo haram hai ya halal.

Answer: Aap k sawaal sai ye zahir horaha hai k us sales man ne 100 rs apna profit rakha ha or karobaar mai profit lena jaiz hai.(Ref:tauzeeh ul masail edition 39 khareed o farokht k ahkaam pg 305). Update on dated 26-10-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
90925
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date:

Question: Dear Quran o Itrat Team, Assalam o alikum, Mainay Academic Writing k mutaliq rehnumayee hasil karni thee. Internet per kuch essi websites hain jin per international level per students abroad ki universities/colleges yani Europeans, Americans, Australian etc Universities/Colleges mai perhnay waly students Assignment/projects upload kartay hain(Assignments matlb wo kam jo un ko as a homework milta hai university ya college se, And Projects bhi semester system k end per ya degree k end per submit karana hotta hai). Yeh projects and assignments takreeban 10 to 15 percent grading ki ahmiyat rakhti hai overall degree mai har semester mai bhi itnay hi percent weightage rakhti hai, Kissi university mai ziyada aur kissi mai kam bhi ho sakti hai. Ab yeh websites un bachon ko facility faraham karti hai k ap hamain apni assignment and projects do hum ap ko yeh solve kar k dain gay badly mai students se paisay charge kar leti hai, ab yeh website online logon ko hire kar k un ko projects and assignments deti hai wo log paisay lay kar un ko kam kar k detay hain, Students wo assignment and projects apnay college ya university mai jama karwa detay hain, aur un k badlay un k grades lag jatay hain, jo un ki degree mai lag jatay hain. Now, My questions are 1. Kya essi websites mai job karna jaiz hai? 2. kya students ko assignment and projects bana kar dena jaiz hai? Jo wo hu bahu apni university mai submit karwa kar marks hasil kar lain. 3. Ager is etebar se dekha jaye, hum aik student se paisay lay kar yani uss kam ko karnay ki ujrat wasool kar k ussay kam kar k de rahay hain. lekin hamaray kam karnay ki waja se uss ko jo nuksan hoga kiya hum uss k zimadar hain? Keun k wo kam tu uss ka tha uss nay khud karna tha, jo uss nay paisay day kar kissi aur se karwa lia, ab europe mai bohat se students kam bhi kartay hain kuch nahi bhi kartay hon gay, kuch ka dil nahi kartay hoga assignments bananay ka. tu kiya humain yeh kam karna jaiz hai. kya in islam humain yeh chez dakha lazmi hai k is kam se kissi insan ko faida ya nuksan ho sakta hai phr wo uss ki apni zimadari hai, hamarai zimadari sirf uss ko kam kar k do aur paisay lay lo. 4. Kya Esse kam ko kar k kamaya huwa paisa jaiz hai ? Note: all students bear age above 16 or above. kindly respond with a clear valid reason as to why this act is jaiz or not jaiz. And Ager mujhay mutafiqah jawab mil jaye tu ap ka bohat ehsan hoga. Best Regards, Mohsin Ali Jafery

Answer:
1- Jaiz hay.
2- Jaiz hay.
3- App ki koe zimedaari nahi. Agar collage ki janib se assignment jama karane ki ye shart ho k assignment khud apni mehnat se tayyaar kerna hain tu phir on k liay ye assignment jama karana jaiz nahi hoga.
4- Assignment bana ker kamaya gaya paisa jaiz hay. Q k aap ki janib se koe aisi shart ya niyat nahi hay k ye assignment faqat collage hi main jama kerwain jain. Aap ka kaam faqat assignment bana ker daina hay ab wo chahay collage main jama kerwaey ya nahi, aap ka is se koe ta,alluq nahi. (Ref: Ayatullah khomeni(r.a),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2065). Update on dated 10-06-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
95020
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Salam.. Maera sawal yai hei k jo hm shop pr chezyn sale krty hein jaesy bedsheets etc to kya on ke price fix kr k mean fix price likh k sale krna jaiz hei??

Answer: Jaiz hay agarcheh momin se zarorat se zaaid munafa lena makhrooh hay. (Ref: Ayatollah sistani, Minhajus saliheen, maslah#49). Update on dated 27-03-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
100942
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Assalam O Alaikum Agha I have been working online to earn my livelihood and in this regard my job is to advertise different sites of international shopping stores.These stores have different garments and some of those garments are not in accordance to Hijaab or Pudency standards of Islam. Since my job is that i also have to play some role in improving selling of these garments so will this income be HALAL and if not is there any way please? JazakAllah

Answer: Halal hay. (Ref: email rcvd from ayatullah sistani, dated: 09-10-19). Update on dated 10-10-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
102309
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-12-06

Question: Kia sona ly k phr jab kuch arsay bad wo mehnga hojaye to usy bech dena jaiz hai?

Answer: Jee jaiz hay. (REF: Minhajus salehin ayatullah sistani, part#2, masla # 50)
[Updated on 06-Dec-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102724
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-12-30

Question: Mai ik German product ko original bana k sale krna chata Hun warranty or guarantee or exchange or returnable sahulat k sath Kia yeah thek ha Islam k mutabik Mai is product ki her thara sy zimidari k lanay k tyar hun

Answer: Nahi, ye jaiz nahi, Q keh ye dhoka hay.(Ref: minhajus saliheen, jild#1, maslah#30)
[Updated on 30-Dec-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104389
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-03-10

Question: Smoke shope Mai sharab sale b hote hay waha par kam karsakthai yeah nahi

Answer: Jaiz nahi balkeh musalman k liay un logon ko bhi sharab baichna haram hay jo us sharab ko halaal smajhte hoon. (Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael , Mafhoom e maslah # , Pg #244 , Eidition# 5).
[Updated on 10-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111203
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-01-21

Question: Forex se earning jaiz hai ya nahi?

Answer: Ayatullah sistani ne online forex trading k silsilay main apni raey ka izhar nahi kia hay, aap is maslay main fal-alam mujtahid ki jaib ruju kar sakte hain.(Ref: email rcvd from sistani.org on 02-01-2022). [Updated on 21-Jan-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112304
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-28

Question: Kia ham koi chiz sasti ly kar dosry ko mehangi kar k bech sakty hain ... kia ye jaiz hy ya dhoky bazi

Answer: Karobaar mai munafa lena jaiz hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, Edition 41st, khareed o farokht k ahkaam, pg #305)
[Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
113136
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-02-18

Question: Assalamualaikum...Cosmetic makeup ka karobaar krna jaayaz hai?

Answer: Jee han, Ye karobar karna jaaiz hai. (Mafhoom e Masla, Ref : http://www.sistani.org/urdu/qa/01874/1 ).
[Updated on 18-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114774
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-09-21

Question: Hm 6 bhai hn. Hamara kam zaraet krna hai(farming) hm anaj ki season mn apni gandum ghr p leke aate hn mtlb stock kr dete hn phr jb sale open hoti h bikna strt hojati h to sale krte hn chahe rate pehle se double ho ya wohi ho. Hm apni gandam anaj direct wapari ko nhn dete mgr dene k time hm khud wapari ban jate hn ab is ye situation kis zamre mn aati h?.

Answer: Jaiz hay(Ref: Minhaj us saliheen, ayatullah sistani db, part#2, maslah#50)
[Updated on 21-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116272
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-29

Question: Salamun Alikum. Kya Zakereen Ka Barsare Membar Majlis e Imam e Husain (as) Padhne Ke Liye Ujrat Ka Taqaza Karna Ya Majlis Padhne Ki Qeemat tay Karna Jayez Hai

Answer: Jaiz hay. (Ref: Tauzeeh ul Masaail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #986)
[Updated on 30-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116496
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-05

Question: Assale-O-alikum agha sahab Kia payment kah kam haram hai misal ke torper mai 1 mobile 20k ka letha hun or mai 1 month ke time pe 28k ke detha hun to Kia ayesa karna jaiz hai

Answer: Agar munafe k sath os ki qeemat wazeh bayaan ki ja chuki ho or osi moayyan qeemat per baichi jaey tu koe haraj nahi hay.(Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/01794/).
[Updated on 05-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116563
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-30

Question: Question: ak shakhs asi job kar raha hay k wo such ko joht or joht ko such kar k bayan karta hay or us joht pay phr itrarta be hay or samnay walay ko ya b show karta hy kl daik lo tmray such ki tmray alfaz ki koi ahmiyat nh or may he sab kuch ho is surat may uski ya nokri or ya amal jaiz hay? kiya wo asa kar k halal kama raha hay?

Answer: Jhoot bol kar is tarah paise kamana haraam hai.(Ref: Minhaj us saliheen part 1 masla#30)
[Updated on 30-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120804
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-09-10

Question: Is dropshipping allowed if we don't own the thing?

Answer: There is no problem in that.(Ref: email rcvd from Ayatullah sistani, Date 09-09-2022)

[Updated on 10-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121171
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-11-03

Question: Kya hm isayo k Sath Khana kha skte hai

Answer: Is sawal ka jawab de diya gaya hai.
[Updated on 03-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121574
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-02-07

Question: اسلام علیکم غیر اسلامی ملک میں کسی ریسٹورنٹ سے کھانے کو اٹھا کر کسی کسٹمر کے گھر ڈیلیور کرتے وقت کیا یہ تحقیق کرنا لازم ہے کہ اس کھانے میں کوئی سور کے گوشت کی اشیا شامل ہیں یا نہیں، یا بغیر تحقیق صرف کھانا اٹھا کر کسٹمر کو ڈیلیور کرنا جائز ہے، اور اس ڈلیوری کی اجرت حلال ہے؟ (جب کے ممکن ہے کے کھانے میں سور کے گوشت کی اشیا ہوں، اور یہ نہیں معلوم کے کسٹمر مسلمان ہے یا غیر مسلم) Assalam aliekum Ghair islami mulk may kisi restaurant say khana utha kar kisi customer kay ghar deliver kartay waqt kia yeh tahqeeq karna lazim hai kay uss khanay may sowar kay gosht ki ashiya hien ya nahi? ya bighair tahqeeq kiay sirf restaurant say khana utha kar customer ko deliver karna jaiz hai aur us delivery ki ujrat bhi halal hai? (jab kay yeh mumkin hai k khanay may sowar kay gosht ki ashiya hun, aur yeh nahi maloom kay customer muslim hai ya ghair muslim)

Answer: (Note: Zail me kuch masail bayan kiye jaa rahe hain par agar aap tawajjuh dengay to aap ka maslah wazeh ho jaye ga ke jin surton humare liye khana khana jaiz aur halal hai, unheen surton me dusron ko deliver karna aur delivery ki ujrat lena jaiz aur halal hai lekin jin surton humare liye jaiz aur halal nahin hai, unheen surton me dusron ko deliver karna aur delivery ki ujrat lena jaiz aur halal nahin hai).

1: Musalman par yeh wajib nahin ke woh khana bananay walay se is ke imaan aur kufr ke baray mein daryaft kare aur yeh ke is ne khanay ko apna tar haath lagaya hai ya nahin, agarche sawal aasaan ho aur khana bananay walay ke liye mamool ki baat ho. khulasaye kalaam yeh hai ke musalman ko yeh haq pohanchana hai ke woh gosht, charbi aur un se bani hui cheezon ke alawa baqi tamam cheezon ko khaale. agarche musalman ko is baat ka gumaan ho ke is ke ajzaye tarkeebi mein aisi cheezen shaamil hain jin ka khana Haram hai. ya is baat ka gumaan ho ke is ke bananay walay ne khuwa woh koi bhi ho is ko tar haath lagaya hoga.
2: Isi tarah musalman par wajib nahin hai ke un khanay ki cheezon ke ajzaye tarkeebi ke baray mein tehqeeq kare taake is baat ka yaqeen haasil kar le ke yeh Haram ajzaa se khaali hain neez khana bananay walay se yeh poochna bhi wajib nahin ke is ne khana tayyar karte waqt ya is ke baad usay tar haath lagaya hai ya nahin.
3: Musalman har us shakhs se halal gosht ki tamam qismain khareed sakta hai jo musalman ho aur musalmanoon ke haath farokht kar raha ho, pass is gosht ke halal hone ka hukum lagaya jaye ga agarche is (gosht ke baichne walay) ke mazhab mein zibah ke sharaait hamari sharaait se mukhtalif hon. lekin shart ye hai ke yeh ehtimal mojood ho ke hewan ko hamare mazhab ke mutabiq zibah kya gaya hoga. ya qibla rukh hone ke alawa deegar sharait ka hukum hai aur jahan tak qibla rukh hone ka talluq hai, agar zibah karne wale ke nazdeek qibla rukh hona zaroori nah ho to qibla rukh ka khayaal nah rakhnay mein koi harj nahin (zabeeha khaya ja sakta hai.
4: Agar musalman ko is baat ka yaqeen ho ke yeh gosht kisi halal gosht maslan gaaye, bher, bakri ya is jaise kisi hewan ka hai lekin use islami shariyat ke qawaneen ke mutabiq zibah nahin kiya gaya hai to yeh murdaar shumaar hoga aur musalmanoon ke liye is ka khana jaaiz nahin agarche is ka baichne wala musalman ho neez yeh gosht najis hoga aur jo cheez ratobat ke sath is ko lage woh bhi najas ho jaye gi.

(Ref: Jadeed fiqhi masaail, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #157,158,160,161).
[Updated on 07-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123798
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-26

Question: kya Un Cheezo ka business kr skty hain Jin cheezo k bary khdsha ho k wo mal pichy sy chori ka hai mgr ye Yaqeen ho k jis sy hm ly rhy hain us ny chori ni kia blky khreeda hai..?

Answer: Agar yaqeen hai k jin cheezo ka ap business krna chahte hai vo churaya hua mal hai to uski khared o farokht jaiz nahi hai laikin agar shak ho ya faqat guman ho to phir koi masla nh hai.
(Reff: Touzih ul Masail Agha Sistani d.b, 39th Edition, Masla No. 2015)
[Updated on 26-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
124272
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-07-09

Question: Network marketing ka aisa business kisi company k sath karna jo physical business bhi karti ho halal hai ya haram? Matlab ap company ek discount card purchase kar k join hongy aur phr ap dusry bndo ko bhi kahaingy k yeh discount card puchase kar k join karein wo bhi jspy apko comission milega. Aisa kaam karna jaiz h ya nahi?

Answer: Ayatullah sistani Network Marketing ki ijazat nahi daite or is main tawaqquf karte hain, lehaza is cheez se ehtiyatan perhaiz karain ya phir is masle main fal aalam mujtahid ki janib ruju karain.(Ref: Tuzih ul Masail jaame, ayatullah sistani, jild#3, maslah#649)
[Updated on 09-Jul-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print