Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions:


Question & Answers << Go Back

Topic: Sadqa (64 Questions)


Showing 50- 64 questions from 64 questions on this page.

Id:
122831
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-31

Question: السلام علیکم امید ہے آپ خیریت سے ہوں گے برادر مجھے ایک سوال پوچھنا تھا صدقہ کے پیسے ادھار کی صورت میں لے سکتے ہیں مطلب صدقے کے پیسے لے لو پھر واپس رکھ دوں ادھار کی صورت میں

Answer: Sab se pehlay sadqa jama karne ke hawalay se sharaei maslah ye hai ke Sadqa jama kiya jaa sakta hai lekin sadqa jama karne walay ko chahiye ke kisi faqeer ka wakeel ban kar us ki janib se apnay paas rakhe, albatta phir wo sadqa usi faqeer ki milkiyat hoga jis ke liye jama kiya tha.
Ab agar faqeer se ijazat lay kar sadqa jama kiya ho to udhaar ki surat me apne liye lena aur baad me waapis rakh dena faqeer ki ijazat ke bager jaiz nahin aur agar bager ijazat ke khud se sadqa jama kar rahe the to aisa karna jaiz hai or phir sadqa wohi shumaar hoga jo baad me waapis rakha gaya hai.

(Ref: Mujtahid se poochay gaye sawalat, part #1, Ayatullah Sistani(d.b), mafhoom e maslah #185, pg #90).
[Updated on 01-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123049
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-10-14

Question: kya shadi/nikkah ke bad koi sadkha de sakhte han? agar de sakhte han to kis cheez ka dena chaheya.

Answer: 1: Sadqa kisi bhi waqt nikala jaa sakta hai, albatta mustahab hai ke din ke aghaaz mein nikala jaye Q ke ye is din shar ko door karta hai or isi tarah Raat ke aghaaz mein nikala jaye Q ke ye raat ke shar ko door karta hai. Sadqa dainay main qasd e qurbat zaroori hai yani qurbatan ilallah diya jaye.
2: Sadqe ke taur par paise, libas, khana ya koi aur cheez day sakte.
(Ref: Minhaaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #2, mafhoom e maslah #1601,1603,1610).
[Updated on 14-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
123095
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-10-20

Question: Assalamualaikum, 2010 se abtak jo b dua maangte hain ulta milta hai, aur jiske liye wazifa karte hain ulta milta hai, kya baat hai samajhme nahi aai plz kuch dua bataye jisse sab theek ho, 2010 me umrah kiya tha tabse aisa horaha hai

Answer: 1: "Sadqa" un cheezon mein se ke jis ke baray mein buhut si ayaat aur mutawatar riwayaat mein tashweeq aur targheeb waarid huei hai.
Riwayat hai ke sadqa beemari ke liye dawa hai; is ki wajah se, aafat dafaa ho jati hai; rizq naazil hota hai; sadqa nematon ko lata hai; is ki wajah se, karz ada hota hai; sadqa karne se rizq mein izafah hota hai. Isi tarah Riwayaat mein hai ke sadqa sattar (70) qisim ki buraiyon ko door karta hai jin mein buri maut, beemari, jalna, doob jana, korh aur junoon shaamil hain.

2: Har qism ke gham aur pareshani ki doori ke liye surah anaam ayat #17 ko sehri (fajar se pehlay) ke waqt likh kar apnay pas rakha jaye.

(Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), part #3, pg #601,602. + Payam E Shifa pg #185).
[Updated on 21-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123121
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-10-24

Question: Asslam o alikum Sadqa k ghost kis ko diya ja skta ha ?

Answer: Mustahab sadqa (yani jo kisi par wajib na ho aur chahe ghosht ki surat me ho) tamam logon ko diya jaa sakta hay chahe ameer ho, gareeb ho, shia ho, sunni ho ya chahe kafir zimmi ho lekin kafir e harabi (jo musalmanon se halat-e-jang me ho) or jo shakhs ahl-e-haq (masalan Muhammad-o-aal-e-muhammad{s.a.w.w}) se dushmani rakhta ho us ko na diya jaaye. Lekin sdqa qareebi muhtaj rishtedaar ko daina ziyada afzal hai.

(Ref: Minhaaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #2, mafhoom e maslah #1607,1609).
[Updated on 25-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123172
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-11-02

Question: Assalamualaikum Kia ak ghair Syed larki ak Syed larkay se shadi k bad bhi Sadqa le skti he?

Answer: 1: Jab kisi ghair Syed larki ka nikah kisi Syed larkay se ho jaye to wo larki Syed nahin ho jati. lehaza sadqa (chahe wajib ho jaise maal e zakat aur fitra, sharait ke sath, ya mustahab sadqa ho jaise ke bala o musibat door karne ke liye nikala jata hai) wo larki lay sakti hai.
2: Waise syed ke hawale se sharaei maslah ye hai ke ghair syed, syed ko apna wajib sadqa (jaise maal e zakat aur fitra) nahin day sakta aur syed bhi ghair syed se wajib sadqa nahin lay sakta lekin Syed ka sadqa (wajib ho ya mustahab) syed aur ghair syed dono ko diya jasakta hai.
Albatta ghair syed ke liye syed ko mustahab sadqa daina jaiz hai lekin ehtiyat e wajib ki bina par bala o musibat door karne ke liye nikaali janay wali chhoti miqdaar ka sadqa kisi syed ko dena jis se syed ki tauheen ho rahi ho to jaiz nahin hai.
(Ref: Minhaaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #2, maslah #1604).
[Updated on 02-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123251
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-11-15

Question: Assalamualaikum mra sawal y h k agr kisi ko jism k kisi hissy pr githan hojay (cancer k elawa koi githan) toh wo kia prhy

Answer: 1: "Sadqa" un cheezon mein se ke jis ke baray mein buhut si ayaat aur mutawatar riwayaat mein tashweeq aur targheeb warid hui hai.
Riwayat hai ke sadqa beemari ke liye dawa hai; is ki wajah se, aafat door ho jati hai; rizq nazil hota hai; sadqa nematon ko lata hai; is ki wajah se, karz ada hota hai; sadqa karne se rizq mein izafah hota hai. Isi tarah Riwayaat mein hai ke sadqa sattar (70) qisim ki buraiyon ko door karta hai jin mein buri maut, beemari, jalna, doob jana, korh aur junoon shaamil hain.
2: Surah e Al-Hamd ka 70 Baar Parhna har qism ke Dard ke liye Shifa hai balkay har Bimari ke liye Shifa hai.
3: Har dard ke liye maqaam e dard par haath rakh kar surah e bani Israil ki ayat #105 ko 3 baar dam kar lain. isi tarah surah e Bani Israil ki ayat #105 ko likh kar apnay paas rakhnay say har qism ke dard say nijaat mil jaye gi.

(Ref: Tauzeeh ul masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), part #3, pg #601,602. + Payam-e-Shifa، Page #189. + Nawaye Saliheen, pg #317).
[Updated on 16-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123511
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-01-08

Question: Sir maine ak kam kiya h or maine niyt ki h ke me wo paise sadqa de dun ga jb wo paise ae tu mere uper khud ak qaraz h r mjhe ak cheez leni h zarori kiya wo paise me apne uper sdqa kar skta hun

Answer: Khud ko hi sadqa dena ye saqda shumaar nahin hota.
(Ref: Minhajus Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #2, maslah #1601).
[Updated on 09-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123707
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-02-04

Question: naya ghr bnwwany sy phly kia sadqa krna chaiye

Answer: Sadqe ke taur par kuch bhi (paise, libaas, khana ya koi aur cheez) day sakte hain.
Note: aam tur pe sadaqa dena mustahab ( acha ) hai laikin wajib (zarori nahe hota hay )
(Ref: Minhaaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #2, baab sadqa, pg #514).
[Updated on 05-Feb-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123855
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-04-23

Question: Salam. kiaa maa.ko sidqa dy skta hai. Jo ki bewa b ho agr bewa na ho to kiaa hukam hai/?

Answer: Jee, in ko mustahab sadqa diya jaa sakta hay. (Ref : Ayat Ullah Sistani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 2, Mafhoom e Maslah #1609 , Eidition 1417 hij).
[Updated on 23-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
124128
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-06-09

Question: Agr mainy sadqay k 500 rupee nikal k neeyat kr k rkhliye or agr usi waqat paison ki zarurt a pary or ghar ma paisay na houn tou wohi 500 agr kisi zarurt ma istemal krliya jaye or uski jaga bank sy 500 ka sadqa nikal diya jaye tou sadqah qabool hojaye ga??? Ya wohi wala sadqay ka note dena zaruri hai??

Answer: Kisi faqeer ki niyabat me sadqa jama kia jaskta hai lekin phr vo sadqa usi faqqer ko dia jaega..
Agar apko yaqeen ho k faqeer ki ijazat hogi to uss raqam ko batour e qarz lia jaskta hai..
Yh zarori nh hai k usi note ko sadqa me dia jae, uss note ki jagah kisi or note ko bhi sadqe ki niyyat se kharch kia jaskta hai..
(Ref : Mujtahid se pochay gaay sawalaat, Ayat Ullah Seestani(d.b), part # 1 , Mafhoom e sawal # 185)
[Updated on 10-Jun-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
124238
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-06-28

Question: Sallam sir. Ma dubai ma hon aur mery sath office ma 1 sikh lady non muslim kam krti hain wo chahti hain k har mnth apni salery sy kuch gharebo k ley pesy nikalen to kia hum un sy pesy ly k pakistan ma kisi ghareb ko sadqa k tor py dy skty hain?

Answer: G blkl Sadqa nikalna intehai faide mand hai or shariat me mustahab bhi hai lekin sadqa Khalisatan Allah k lie nkala jae kisi or ko dikhana maqsood na ho..
(Ref: Minhaj us Saleheen Agha Sistani d.b, Mafhoom e Muqaddama e Sadqa)
[Updated on 29-Jun-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
124669
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-09-01

Question: Kia agr koi cheez na do to kia paisoun ka sadqa kia ja sakta hai

Answer: Riwayaat main umoomi tour par sadqay ke fazail moujood hai or ye kisi ke liye bhi diya jaa sakta hai.
Behtr hai k insan apni taqat k mutabiq Sadqa nikalay chahe vo kisi cheez ka sadqa nkale ya paiso k zariye sadqa de..
(Ref: https://www.sistani.org/arabic/book/15/855/ )
[Updated on 02-Sep-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
125339
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-05-07

Question: Asalam o alaikum, kya hum apna dost ka liya sadqa nikla sakte bina usse kahe ??

Answer: Riwayaat main umoomi tour par moujood hai ke sadqay ke fazail hain or ye kisi ke liye bhi diya jaa sakta hai. (Ref: https://www.sistani.org/arabic/book/15/855/ )
[Updated on 08-May-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
125820
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-01-26

Question: Kya hum ahlulbayt a.s ki trf say rah e khuda maii sadqa dyy skty hein?

Answer: Riwayaat main umoomi tour par moujood hai ke sadqay ke fazail hain or ye kisi ke liye bhi diya jaa sakta hai.
(Ref: https://www.sistani.org/arabic/book/15/855/ )
[Updated on 27-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print