Showing 0- 28 questions from 28 questions on this page.
Question: Khaali Masjid main light jalani chahiye ya nahi?
Answer: light jalana mustahab hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 899 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: mara walad ghar may namaz parta hn ya sahe hai ya nahe masjad may namaz nahe parta aur kho tu bahana banata hn
Answer: Namaz ghar mai bhi parhi ja sakti hai magar Islam ki muqadas shriat mai bohat taqeed ki gae hai k namaz masjid mai parhi jae. Is k alawa masjid mai ziada jana chaheay aur os masjid mai jana jahan log kam aatay hon mustahab hai aur agar koi shakhs masjid k paroos mai rehta ho aur koi wajah bhi na ho to os k lie masjid k alawa kisi aur jigha namaz parhna makrooh hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 880-884) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kya raat ko shayari karna haraam/makrooh hai. agar hai to kyun.
Answer: Masjid mai aisay ashar parhna jin mai nasihat aur kaam ki baat na ho makrooh hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 901)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Namaz-e Jamaat sai pehley ya baad mai namazi mustahib namaz parhtain hain is doran dusray namazi ba awaz batain kartain hain jo namazi ko distrub kartain hani Janab ye umal kia sahi hai kay nahi. mufasil jawab ki darkhwast hai. thanks.
Answer: Masjid mai dunyawi kamoo k baray mai batain krna makrooh hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 901) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Mai aik shia larka hon mujhay Masjid mai janay k mustahabat bayan karain aur oski safai k baray mai Ayatullah sistani k maslay ki roshni mai bayan karain?
Answer: Masjid ko saf suthra rakhna aur is mai chirag(light) jalana mustahab hai, aur agar koi masjid mai jana chahta ho to mustahab hai k khushboo lagae aur pakiza aur qeemti libas pehnay aur apnay jootay k tal’way k baray mai teqheeq kray k kahi najasat to nahi lagi hai. is k alawa masjid mai dakhil hotay waqt pehlay right pair aur bahir nikltay waqt pehlay left pair rakhay aur mustahab hai k sab logo sai pehlay masjid mai aye aur sab sai bad mai niklay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 899)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Mujhay aik sawal ka jawab dain mehrbani ho gi mera sawal ye hai k Masjid mai dakhil honay k baad koi khas namaz prhni hoti hai ya nahi?
Answer: Jab koi shakhs masjid mai dakhil ho to mustahab hai k 2 rakat namaz ehtiram e masjid ( ﺍﺤﺘﺭﺍﻢﻤﺴﺠﺪ )ki niyat sai namaz parhay (namaz e fajr ki terah) aur agar wajib namaz ya koi aur mustahab namaz prhay tb bhi kafi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 900)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Mera aik chota beta hai kia mai os ko apnay sath masjid mai lai kar ja sakta hon ta k oski achi tarbiat ho jawab dain?
Answer: Bachay ko 2 suratoo mai masjid mai lana makrooh hai 1: Jab wo bacha namazio k lie ba’is e zehmat ho. 2: Ehtimal ho k wo bacha masjid ko najis kr dai ga. Is k alawa bachay ko masjid mai lanay mai koi haraj nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 902)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Molana sb mre do bete hain ak ki umar 3 baras aur ak ki 2 baras h. Kia m jb fajr ki namza ke l uthta h un ko uthaon ya un ko shor don to sote rahen. Islami Hukm kia h. Kia is umer se bachn ko masjid le jaon.
Answer:
1) Mustahab hay k samajh daar bachay ko(yani os bachay ko jo buray bhalay ki samajh rakhta ho ) namaz perhne or doosri ibadaat baja lanay ki adat dali jay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1370).
2) Aisay bacho ko masjid main dakhil honay daina makhrooh hay jo namazio k liay bais e zehmat ho ya ehtimaal ho k wo masjid ko najis ker day ga. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 902). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Masjid me raat me rukna aur sona kaisa , hadish ka ref. Bhi de.
Answer: Agar insaan majboor nah ho tu masjid main sona makrooh hai. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah#901). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: phali masjid ka kya nam ha
Answer: Islam ki sab se phele masjid ka masjid quba hai.( ref: w.w.w erfan.ir). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Masjid pe kabar hein tho udar na maz padsaktha ki nahi
Answer:
Islam ki muqadis sharea`at men both ziyadad takeed ki gai hai k namaz men parhi jaye, dunya bhar ki sari masjidon men sab se behtr masjid_ul_Hran oe us k bad masjid_e_Nabvi hai or us k bad majid_e_koofa or us k bad masjid_e_bait_ul_Muqadis ka darja hai, Us k bad shehr ki jame masjid or us k bad muhalle ki masjid or us k bad bazar ki masjid ka number aata hai. (Aysi koi mana nahi aai hai agr masjid men Qabr men ho to masjid men namaz nahi pargh sakte)(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, 31th Eddition, maslah # 880)(Khuda apki tofeeqat men izafa farmaye)
Question: Assalamo Alaikum Kia masjid men imam jahan imamat karty hain usi jagah wo apny shoes shopping bag men rakh k namaz parha sakty hain ?
Answer: Wssalam o alykum, Ager masjid ki behurmati hoti ho to jaiz nahi hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 893 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: Assalam u alaikum mera question ye he ki womens ko masjid me jana q allow nhi h
Answer: Wssalam o alykum,Womens ke liye Masjid main jana jaiz hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 881 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: ager mere ghar k pass shia masjid na ho to ghar mei namaz parhna kesa amal hy...
Answer: Masjid k alawa ghar me bhi namaaz perhna jaiz hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 880-81 (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Masjid main jota pakar kr ly jana aur phir masjid main rakh kr wesy he Quran pak aur namaz parhna Sahi hai , kiun k log hath main jota pakar len to khana khany sy pehly hath dhoty hen k hota pakra tha lekin namaz aur Quran wesy he parh lety hen . islam kya kehta he es bary main plz jawab zaror den . Shukria
Answer: Agar jote najis nahe hai to hath pak karne ki zarorat nahe . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #119 ). Update on dated 26-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kya bemari ki halat mein namaz ghar mein parhi ja skti hy ?
Answer: Beemari k alawa bhi namaz ghar mai parhi jaa sakti hai masjid mai namaz parhna zaroori nahi hai albatta mustahab e takeedi. (yani wo mustahab jis ki bohat takeed ki gayi ho)hai k namaz masjid mai parhi jaey. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah #880). Update on dated 30-12-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Asslam alikum! Keya Ahly kitab masjid mai Aa Saqty hai?
Answer:
Ahl e kitab ka masjid main dakhil hona ehtiyaat ki bina jaiz nahi. (Ref: https://www.sistani.org/arabic/qa/0710/)
[Updated on 27-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: sir, kia nonmusllim masjid k andar cleaning ki niyat say ja sakta hay?
Answer:
Kafir or Ahl e kitab ka masjid main dakhil hona ehtiyaat ki bina jaiz nahi hay. (Ref: https://www.sistani.org/arabic/qa/0710/)
[Updated on 04-Sep-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamo alekum kya masjid ki cheez ghar la sakte hai
Answer:
jo qaleen waghera imambargah ke liay waqf kia gaya ho use namaz parhne ke liay masjid me nahi le jaya ja sakta khuwah woh masjid imambargah se mulhaq hi kyun na ho, lekin yeh maal imambargah ki milkiyat men ho to mutawalli ki ijazat se dosri jagah le ja sakte hain. isi tarah masjid ke liay bhi yehi ehkam hai. ( Ref : Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh ul masail ,42nd edition, masla no #2654 ).
[Updated on 22-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aj kalMasjidein band hai or mera kam marketing ka hai toh ghar se bahir hota hun toh ghr k ilawa or kaha namaz parh sakty hain?
Answer:
Namaz tu aap kahin bhi parh sakty hai office wagaira mai masjid mai namaz parhna zaroori nahi mustahab hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 880).
[Updated on 17-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: SALAMUN ALYKUM MASJID ME SAHEN HONA JARURI HY ?
Answer:
Masjid me sehen banana zaroori nahin hai. Masjid ka tameer karna aur aisi masjid ki murammat karna jo toot phot gae ho, mustahab hai aur agar masjid is qadar toot phot gae ho k is ki murammat karna mumkin na ho to osay gira kr dubara tameer kia ja sakta hai bal k agar masjid tooti phooti na ho tb bhi osay logo ki zaroorat ki khatir gira kr bara kia ja sakta hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 898)
[Updated on 17-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia aik Musliman community kisi masjid ko aik jagah se shaheed kar ke dosri jagah tameer kar sakti hai. (agar masjid shaheed karny ka maqsad ghareeb aur maskeen musliman brothers ki bhalai ke liye ho)
Answer:
1-Agar masjid toot phoot bhi jaey tab bhi nah tu osay baicha jaa sakta hay or nah hi milkiyat or sarhak main shamil kia jaa sakta hay.(Ref: Tauzihul masael, Ayatullah sistani db, maslah#896).
2-ٓAgar masjid is qadar makhdoosh ho keh os ki murammat mumkin nah ho tu osay gira kar dobara tameer kia jaa sakta hay balkeh agar masjid tooti phooti nah ho tab bhi osay logo ki zarorat ki khatir gira kar wasee kia jaa sakta hay.(Ref: Tauzihul masael, Ayatullah sistani db, maslah#898).
[Updated on 02-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Sir Masjid ke uper Ghar Banana Sahi hai ya flate ke nache masjid
Answer:
is maamlay mai dekha jaaye ga k waqf karney waalay ne waqf karty waqt is baat ki niyyat ki thi ya nahi yaani aik zameen masjid k liyeh waqf karty waqt agar yeh niyyat ki gai thi k yeh zameen sirf masjid k liyeh hai lekin is k upar jitne floors hain wo masjid mai nahi hai tou upar ghar banwana kamray banwana sahi hojaaye ga lekin agar yeh niyyat na ki ho balke sirf ye kaha ho k yeh zameen masjid k liye hai tou ab upar jitne floors honge wo masjid hi honge or ghar wagaira nahi banwaya jaa sakta. (Ref: urwatul wusqa ayatullah seestani 1388).
[Updated on 27-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Q.koyie shaks ye dawa kerti hy ka ye masjid hamara hy aur cummiti nhi manti koi shaks khapa hoker ger may namaz perta hy to jaize hy?
Answer:
Namaz, ghar me bhi parhi ja sakti hai magar Islam ki muqadas shareat me buhat taqeed ki gayei hai ke namaz masjid me parhi jaye. Is ke alawa masjid me ziyada jana chahiye aur us masjid me jana jahan log kam aatay hon mustahab hai aur agar koi shakhs masjid ke parhoos me rehta ho aur koi wajah bhi na ho to us ke liye masjid ke alawa kisi aur jagah namaz parhna makrooh hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #880,883,884).
[Updated on 11-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia imam bargah ke andar hajamat ka kam karna jaiz hai??
Answer:
Bazat e khud yh jaiz hai lekin agar iss se Imam Bargah ki touheen or hatak e hurmat shumar hoti hai to jaiz nh hoga..
(Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/02434/ Mafhoome Jawab 11)
[Updated on 26-Jun-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Ghair E Motakif (Jo Masjid Me Etekaaf Ki Niyat Se Nahi Gaya) Ko Masjid Me Khana Khana Or Sona Kaisa Hai.❓❔❓
Answer:
Agar insaan majboor na ho to masjid mein sona, duniyawi kamon ke baare mein guftagu karna aur koi kaam kaaj karna aur aise ashaar parhna jin mein nasihat aur kaam ki koi baat na ho makrooh hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani (d.b) edition #42, maslah #901).
[Updated on 25-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Is it compulsory or mustahab to pray in mosque
Answer:
Mustahab hai aur Islam ki muqadas shareat me buhat taqeed ki gayei hai ke namaz masjid me parhi jaye. Is ke alawa masjid me ziyada jana chahiye aur us masjid me jana jahan log kam aatay hon mustahab hai aur agar koi shakhs masjid ke parhoos me rehta ho aur koi wajah bhi na ho to us ke liye masjid ke alawa kisi aur jagah namaz parhna makrooh hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #880,883,884).
[Updated on 16-Feb-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]