Showing 0- 5 questions from 5 questions on this page.
Question: SALAAM, PESHAB KARNE KE BAD AGAR PANI KHARIJ HO TO KIA YEH NAJIS HO GA.
Answer:
Salam un Alaikum,
Agar yaqeen ho keh yeh ratoobat peshab hee hay to phir najis hogi. Shak kee sorat mein agar peshab key baad istabra kiya tha to wo ratoobat paak shumar hogi, laikin agar istabra nahi kiya tha to phir najis shumar hogi. Aurat key liye pehsab key baad istabra nahi hay lehaza agar koi ratoobat kharij ho aur shak ho keh paak hay ya nahi to wo paak mani jaye gee.
Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Seestani (Topic of Istabra Page No.18)
Question: Salam elekum, Please tell me the quantity of Kur water in litres. Thankyou
Answer: Kur pani wo hota hay kay jo 36 cubic Balisht (1 Balisht taqreeban 22 centi meter) kay bartan ko pur kar day jo kay taqreeban 384 litre hota hay.Ref: Tauzeehul Masail (A.Sistani) Masala No.14.
Question: kapron ko pak karne ka kai tareeqa hai agar particular jaga ka pata ho?aur agar napaak jaga ka ilm na hoo tu pir kaisay paak kya ja sakta hai?
Answer:
Agar kisi najis cheez ko kurr pani (384 liters) ya jari pani me is tarah dibo diya jaye kay pani is chiz kay tamaam najis maqamaat tak pohonch jaye to wo cheez paak hojati hai aur libaas ko pak karnay ke liye isay nichorna bhi zarori nahi hai aur agar badan ya libaas pishaab say najis ho jaye to ehtiat-e-wajib ki bina par isay kur say 2 dafa dhona lazim hai albatta jari pani say 1 dafa dhona kafi hai.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail,33rd Edition,maslah #153) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kai shady shudda lakhi sa mutta ho sakhta agar oska husband oske khawaish ni poori kar sakhta ya baap na ban sakhy tu
Answer:
Nahin kar sakte Q ke shadi shuda aurat se nikah (daaimi ya mutah) karna Haram hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2366).
[Updated on 29-May-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam Alekum Molana Sahab Mujhe Ye Maloom Karna Hai Ki Agar Kisi Kunwari Ladki Ke Baap Or Dada Ka inteqal Ho Gaya ho to Phir Us Ladki Ko Mutta Ke Liye Kisse Ijazat leni Padegi ....
Answer:
Agar kunwari larki ka wali (yani baap ya dada) maujood (hayat) na ho to phir nikah ke liye kisi se ijazat lena zaroori nahin hai, aur nikah (daaimi ya mutah) kar sakti hain. Albatta nikah ki baaqi sharaait ka maujood hona zaroori hai. lekin agar wali ki ijazat ke alawa, nikah ki baaqi sharaait me se koi aik shart bhi agar maujood na ho to nikah sahi nahin hoga.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2328,2335,2342).
[Updated on 02-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]